Genesis 17 · 27 verses

उत्पत्ति 17 Genesis 17 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 17.

1

जब अब्राम निन्नानवे वर्ष का हो गया, तब यहोवा ने उसको दर्शन देकर कहा मैं सर्वशक्तिमान ईश्वर हूं; मेरी उपस्थिति में चल और सिद्ध होता जा।

Jab abraam ninnanve varsh ka ho gaya, tab Yahowa ne usko darshan dekar kaha main sarvashaktimaan ishwar hoon; meri upasthiti mein chal aur siddh hota ja.

2

और मैं तेरे साथ वाचा बान्धूंगा, और तेरे वंश को अत्यन्त ही बढ़ाऊंगा।

Aur main tere saath vacha bandhoonga, aur tere vansh ko atyant hi badhaoonga.

3

तब अब्राम मुंह के बल गिरा: और परमेश्वर उससे यों बातें कहता गया,

Tab abraam munh ke bal gira: aur Parmeshwar usse yon batein kahta gaya,

4

देख, मेरी वाचा तेरे साथ बन्धी रहेगी, इसलिये तू जातियों के समूह का मूलपिता हो जाएगा।

Dekh, meri vacha tere saath bandhi rahegi, isliye tu jatiyon ke samooh ka moolpita ho jayega.

5

सो अब से तेरा नाम अब्राम न रहेगा परन्तु तेरा नाम इब्राहीम होगा क्योंकि मैं ने तुझे जातियों के समूह का मूलपिता ठहरा दिया है।

So ab se tera naam abraam na rahega parantu tera naam Ibrahim hoga kyonki main ne tujhe jatiyon ke samooh ka moolpita thahra diya hai.

6

और मैं तुझे अत्यन्त ही फुलाऊं फलाऊंगा, और तुझ को जाति जाति का मूल बना दूंगा, और तेरे वंश में राजा उत्पन्न होंगे।

Aur main tujhe atyant hi phulaun phalaoonga, aur tujh ko jati jati ka mool bana doonga, aur tere vansh mein raja utpann honge.

7

और मैं तेरे साथ, और तेरे पश्चात पीढ़ी पीढ़ी तक तेरे वंश के साथ भी इस आशय की युग युग की वाचा बान्धता हूं, कि मैं तेरा और तेरे पश्चात तेरे वंश का भी परमेश्वर रहूंगा।

Aur main tere saath, aur tere pashchaat peedhi peedhi tak tere vansh ke saath bhi is aashay ki yug yug ki vacha bandhata hoon, ki main tera aur tere pashchaat tere vansh ka bhi Parmeshwar rahoonga.

8

और मैं तुझ को, और तेरे पश्चात तेरे वंश को भी, यह सारा कनान देश, जिस में तू परदेशी हो कर रहता है, इस रीति दूंगा कि वह युग युग उनकी निज भूमि रहेगी, और मैं उनका परमेश्वर रहूंगा।

Aur main tujh ko, aur tere pashchaat tere vansh ko bhi, yah sara kanaan desh, jis mein tu pardeshi ho kar rahta hai, is reeti doonga ki vah yug yug unki nij bhoomi rahegi, aur main unka Parmeshwar rahoonga.

9

फिर परमेश्वर ने इब्राहीम से कहा, तू भी मेरे साथ बान्धी हुई वाचा का पालन करना; तू और तेरे पश्चात तेरा वंश भी अपनी अपनी पीढ़ी में उसका पालन करे।

Phir Parmeshwar ne Ibrahim se kaha, tu bhi mere saath bandhi hui vacha ka palan karna; tu aur tere pashchaat tera vansh bhi apni apni peedhi mein uska palan kare.

10

मेरे साथ बान्धी हुई वाचा, जो तुझे और तेरे पश्चात तेरे वंश को पालनी पड़ेगी, सो यह है, कि तुम में से एक एक पुरूष का खतना हो।

Mere saath bandhi hui vacha, jo tujhe aur tere pashchaat tere vansh ko palni padegi, so yah hai, ki tum mein se ek ek puroosh ka khatna ho.

11

तुम अपनी अपनी खलड़ी का खतना करा लेना; जो वाचा मेरे और तुम्हारे बीच में है, उसका यही चिन्ह होगा।

Tum apni apni khaldi ka khatna kara lena; jo vacha mere aur tumhare beech mein hai, uska yahi chinh hoga.

12

पीढ़ी पीढ़ी में केवल तेरे वंश ही के लोग नहीं पर जो तेरे घर में उत्पन्न हों, वा परदेशियों को रुपा देकर मोल लिये जाए, ऐसे सब पुरूष भी जब आठ दिन के हो जाए, तब उनका खतना किया जाए।

Peedhi peedhi mein keval tere vansh hi ke log nahi par jo tere ghar mein utpann hon, va pardeshiyon ko rupa dekar mol liye jaye, aise sab puroosh bhi jab aath din ke ho jaye, tab unka khatna kiya jaye.

13

जो तेरे घर में उत्पन्न हो, अथवा तेरे रुपे से मोल लिया जाए, उसका खतना अवश्य ही किया जाए; सो मेरी वाचा जिसका चिन्ह तुम्हारी देह में होगा वह युग युग रहेगी।

Jo tere ghar mein utpann ho, athva tere rupe se mol liya jaye, uska khatna avashya hi kiya jaye; so meri vacha jiska chinh tumhari deh mein hoga vah yug yug rahegi.

14

जो पुरूष खतनारहित रहे, अर्थात जिसकी खलड़ी का खतना न हो, वह प्राणी अपने लोगों मे से नाश किया जाए, क्योंकि उसने मेरे साथ बान्धी हुई वाचा को तोड़ दिया॥

Jo puroosh khatnarhit rahe, arthaat jiski khaldi ka khatna na ho, vah prani apne logon me se naash kiya jaye, kyonki usne mere saath bandhi hui vacha ko tod diya.

15

फिर परमेश्वर ने इब्राहीम से कहा, तेरी जो पत्नी सारै है, उसको तू अब सारै न कहना, उसका नाम सारा होगा।

Phir Parmeshwar ne Ibrahim se kaha, teri jo patni sarai hai, usko tu ab sarai na kahna, uska naam sara hoga.

16

और मैं उसको आशीष दूंगा, और तुझ को उसके द्वारा एक पुत्र दूंगा; और मैं उसको ऐसी आशीष दूंगा, कि वह जाति जाति की मूलमाता हो जाएगी; और उसके वंश में राज्य राज्य के राजा उत्पन्न होंगे।

Aur main usko aasheesh doonga, aur tujh ko uske dwara ek putra doonga; aur main usko aisi aasheesh doonga, ki vah jati jati ki moolmata ho jayegi; aur uske vansh mein rajya rajya ke raja utpann honge.

17

तब इब्राहीम मुंह के बल गिर पड़ा और हंसा, और अपने मन ही मन कहने लगा, क्या सौ वर्ष के पुरूष के भी सन्तान होगा और क्या सारा जो नब्बे वर्ष की है पुत्र जनेगी?

Tab Ibrahim munh ke bal gir pada aur hansa, aur apne man hi man kahne laga, kya sau varsh ke puroosh ke bhi santaan hoga aur kya sara jo nabbe varsh ki hai putra janegi?

18

और इब्राहीम ने परमेश्वर से कहा, इश्माएल तेरी दृष्टि में बना रहे! यही बहुत है।

Aur Ibrahim ne Parmeshwar se kaha, ishmayel teri drishti mein bana rahe! Yahi bahut hai.

19

तब परमेश्वर ने कहा, निश्चय तेरी पत्नी सारा के तुझ से एक पुत्र उत्पन्न होगा; और तू उसका नाम इसहाक रखना: और मैं उसके साथ ऐसी वाचा बान्धूंगा जो उसके पश्चात उसके वंश के लिये युग युग की वाचा होगी।

Tab Parmeshwar ne kaha, nishchay teri patni sara ke tujh se ek putra utpann hoga; aur tu uska naam Ishaq rakhna: aur main uske saath aisi vacha bandhoonga jo uske pashchaat uske vansh ke liye yug yug ki vacha hogi.

20

और इश्माएल के विषय में भी मैं ने तेरी सुनी है: मैं उसको भी आशीष दूंगा, और उसे फुलाऊं फलाऊंगा और अत्यन्त ही बढ़ा दूंगा; उससे बारह प्रधान उत्पन्न होंगे, और मैं उससे एक बड़ी जाति बनाऊंगा।

Aur ishmayel ke vishay mein bhi main ne teri suni hai: main usko bhi aasheesh doonga, aur use phulaun phalaoonga aur atyant hi badha doonga; usse barah pradhaan utpann honge, aur main usse ek badi jati banaoonga.

21

परन्तु मैं अपनी वाचा इसहाक ही के साथ बान्धूंगा जो सारा से अगले वर्ष के इसी नियुक्त समय में उत्पन्न होगा।

Parantu main apni vacha Ishaq hi ke saath bandhoonga jo sara se agle varsh ke isi niyukt samay mein utpann hoga.

22

तब परमेश्वर ने इब्राहीम से बातें करनी बन्द कीं और उसके पास से ऊपर चढ़ गया।

Tab Parmeshwar ne Ibrahim se batein karni band ki aur uske paas se oopar chadh gaya.

23

तब इब्राहीम ने अपने पुत्र इश्माएल को, उसके घर में जितने उत्पन्न हुए थे, और जितने उसके रुपे से मोल लिये गए थे, निदान उसके घर में जितने पुरूष थे, उन सभों को लेके उसी दिन परमेश्वर के वचन के अनुसार उनकी खलड़ी का खतना किया।

Tab Ibrahim ne apne putra ishmayel ko, uske ghar mein jitne utpann hue the, aur jitne uske rupe se mol liye gaye the, nidaan uske ghar mein jitne puroosh the, un sabhon ko leke usi din Parmeshwar ke vachan ke anusaar unki khaldi ka khatna kiya.

24

जब इब्राहीम की खलड़ी का खतना हुआ तब वह निन्नानवे वर्ष का था।

Jab Ibrahim ki khaldi ka khatna huaa tab vah ninnanve varsh ka tha.

25

और जब उसके पुत्र इश्माएल की खलड़ी का खतना हुआ तब वह तेरह वर्ष का था।

Aur jab uske putra ishmayel ki khaldi ka khatna huaa tab vah terah varsh ka tha.

26

इब्राहीम और उसके पुत्र इश्माएल दोनों का खतना एक ही दिन हुआ।

Ibrahim aur uske putra ishmayel donon ka khatna ek hi din huaa.

27

और उसके घर में जितने पुरूष थे जो घर में उत्पन्न हुए, तथा जो परदेशियों के हाथ से मोल लिये गए थे, सब का खतना उसके साथ ही हुआ॥

Aur uske ghar mein jitne puroosh the jo ghar mein utpann hue, tatha jo pardeshiyon ke haath se mol liye gaye the, sab ka khatna uske saath hi huaa.