अब्राम की पत्नी सारै के कोई सन्तान न थी: और उसके हाजिरा नाम की एक मिस्री लौंडी थी।
Abraam ki patni sarai ke koi santaan na thi: aur uske hajira naam ki ek misri laundi thi.
Genesis 16 · 16 verses
अब्राम की पत्नी सारै के कोई सन्तान न थी: और उसके हाजिरा नाम की एक मिस्री लौंडी थी।
Abraam ki patni sarai ke koi santaan na thi: aur uske hajira naam ki ek misri laundi thi.
सो सारै ने अब्राम से कहा, देख, यहोवा ने तो मेरी कोख बन्द कर रखी है सो मैं तुझ से बिनती करती हूं कि तू मेरी लौंडी के पास जा: सम्भव है कि मेरा घर उसके द्वारा बस जाए।
So sarai ne abraam se kaha, dekh, Yahowa ne to meri kokh band kar rakhi hai so main tujh se binti karti hoon ki tu meri laundi ke paas ja: sambhav hai ki mera ghar uske dwara bas jaye.
सो सारै की यह बात अब्राम ने मान ली। सो जब अब्राम को कनान देश में रहते दस वर्ष बीत चुके तब उसकी स्त्री सारै ने अपनी मिस्री लौंडी हाजिरा को ले कर अपने पति अब्राम को दिया, कि वह उसकी पत्नी हो।
So sarai ki yah baat abraam ne maan li. So jab abraam ko kanaan desh mein rahte das varsh beet chuke tab uski stri sarai ne apni misri laundi hajira ko le kar apne pati abraam ko diya, ki vah uski patni ho.
और वह हाजिरा के पास गया, और वह गर्भवती हुई और जब उसने जाना कि वह गर्भवती है तब वह अपनी स्वामिनी को अपनी दृष्टि में तुच्छ समझने लगी।
Aur vah hajira ke paas gaya, aur vah garbhavti hui aur jab usne jana ki vah garbhavti hai tab vah apni swamini ko apni drishti mein tuchchh samajhne lagi.
तब सारै ने अब्राम से कहा, जो मुझ पर उपद्रव हुआ सो तेरे ही सिर पर हो: मैं ने तो अपनी लौंडी को तेरी पत्नी कर दिया; पर जब उसने जाना कि वह गर्भवती है, तब वह मुझे तुच्छ समझने लगी, सो यहोवा मेरे और तेरे बीच में न्याय करे।
Tab sarai ne abraam se kaha, jo mujh par upadrav huaa so tere hi sir par ho: main ne to apni laundi ko teri patni kar diya; par jab usne jana ki vah garbhavti hai, tab vah mujhe tuchchh samajhne lagi, so Yahowa mere aur tere beech mein nyaay kare.
अब्राम ने सारै से कहा, देख तेरी लौंडी तेरे वश में है: जैसा तुझे भला लगे वैसा ही उसके साथ कर। सो सारै उसको दु:ख देने लगी और वह उसके साम्हने से भाग गई।
Abraam ne sarai se kaha, dekh teri laundi tere vash mein hai: jaisa tujhe bhala lage vaisa hi uske saath kar. So sarai usko dukh dene lagi aur vah uske samhane se bhaag gai.
तब यहोवा के दूत ने उसको जंगल में शूर के मार्ग पर जल के एक सोते के पास पाकर कहा,
Tab Yahowa ke doot ne usko jangal mein shoor ke maarg par jal ke ek sote ke paas pakar kaha,
हे सारै की लौंडी हाजिरा, तू कहां से आती और कहां को जाती है? उसने कहा, मैं अपनी स्वामिनी सारै के साम्हने से भाग आई हूं।
He sarai ki laundi hajira, tu kahan se aati aur kahan ko jati hai? Usne kaha, main apni swamini sarai ke samhane se bhaag aai hoon.
यहोवा के दूत ने उससे कहा, अपनी स्वामिनी के पास लौट जा और उसके वश में रह।
Yahowa ke doot ne usse kaha, apni swamini ke paas laut ja aur uske vash mein rah.
और यहोवा के दूत ने उससे कहा, मैं तेरे वंश को बहुत बढ़ाऊंगा, यहां तक कि बहुतायत के कारण उसकी गणना न हो सकेगी।
Aur Yahowa ke doot ne usse kaha, main tere vansh ko bahut badhaoonga, yahan tak ki bahutayat ke karan uski ganna na ho sakegi.
और यहोवा के दूत ने उससे कहा, देख तू गर्भवती है, और पुत्र जनेगी, सो उसका नाम इश्माएल रखना; क्योंकि यहोवा ने तेरे दु:ख का हाल सुन लिया है।
Aur Yahowa ke doot ne usse kaha, dekh tu garbhavti hai, aur putra janegi, so uska naam ishmayel rakhna; kyonki Yahowa ne tere dukh ka haal sun liya hai.
और वह मनुष्य बनैले गदहे के समान होगा उसका हाथ सबके विरुद्ध उठेगा, और सब के हाथ उसके विरुद्ध उठेंगे; और वह अपने सब भाई बन्धुओं के मध्य में बसा रहेगा।
Aur vah manushya banaile gadhe ke samaan hoga uska haath sabke viruddh uthega, aur sab ke haath uske viruddh uthenge; aur vah apne sab bhai bandhuon ke madhya mein basa rahega.
तब उसने यहोवा का नाम जिसने उससे बातें की थीं, अत्ताएलरोई रखकर कहा कि, क्या मैं यहां भी उसको जाते हुए देखने पाई जो मेरा देखनेहारा है?
Tab usne Yahowa ka naam jisne usse batein ki thi, attayelroi rakhkar kaha ki, kya main yahan bhi usko jate hue dekhne pai jo mera dekhnehara hai?
इस कारण उस कुएं का नाम लहैरोई कुआं पड़ा; वह तो कादेश और बेरेद के बीच में है।
Is karan us kuein ka naam lahairoi kuaan pada; vah to kadesh aur bered ke beech mein hai.
सो हाजिरा अब्राम के द्वारा एक पुत्र जनी: और अब्राम ने अपने पुत्र का नाम, जिसे हाजिरा जनी, इश्माएल रखा।
So hajira abraam ke dwara ek putra jani: aur abraam ne apne putra ka naam, jise hajira jani, ishmayel rakha.
जब हाजिरा ने अब्राम के द्वारा इश्माएल को जन्म दिया उस समय अब्राम छियासी वर्ष का था।
Jab hajira ne abraam ke dwara ishmayel ko janm diya us samay abraam chhiyasi varsh ka tha.