Genesis 10 · 32 verses

उत्पत्ति 10 Genesis 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Utpatti 10.

1

नूह के पुत्र जो शेम, हाम और येपेत थे उनके पुत्र जलप्रलय के पश्चात उत्पन्न हुए: उनकी वंशावली यह है॥

Nooh ke putra jo shem, haam aur yepet the unke putra jalapralay ke pashchaat utpann hue: unki vanshavli yah hai.

2

येपेत के पुत्र: गोमेर, मागोग, मादै, यावान, तूबल, मेशेक, और तीरास हुए।

Yepet ke putra: gomer, magog, madai, yavaan, toobal, meshek, aur teeraas hue.

3

और गोमेर के पुत्र: अशकनज, रीपत, और तोगर्मा हुए।

Aur gomer ke putra: ashaknaj, reepat, aur togarma hue.

4

और यावान के वंश में एलीशा, और तर्शीश, और कित्ती, और दोदानी लोग हुए।

Aur yavaan ke vansh mein eleesha, aur tarsheesh, aur kitti, aur dodani log hue.

5

इनके वंश अन्यजातियों के द्वीपों के देशों में ऐसे बंट गए, कि वे भिन्न भिन्न भाषाओं, कुलों, और जातियों के अनुसार अलग अलग हो गए॥

Inke vansh anyajatiyon ke dweepon ke deshon mein aise bant gaye, ki ve bhinn bhinn bhashaon, kulon, aur jatiyon ke anusaar alag alag ho gaye.

6

फिर हाम के पुत्र: कूश, और मिस्र, और फूत और कनान हुए।

Phir haam ke putra: koosh, aur Misr, aur phoot aur kanaan hue.

7

और कूश के पुत्र सबा, हवीला, सबता, रामा, और सबूतका हुए: और रामा के पुत्र शबा और ददान हुए।

Aur koosh ke putra saba, haveela, sabta, rama, aur sabootka hue: aur rama ke putra shaba aur dadaan hue.

8

और कूश के वंश में निम्रोद भी हुआ; पृथ्वी पर पहिला वीर वही हुआ है।

Aur koosh ke vansh mein nimrod bhi huaa; prithvi par pahila veer vahi huaa hai.

9

वही यहोवा की दृष्टि में पराक्रमी शिकार खेलने वाला ठहरा, इस से यह कहावत चली है; कि निम्रोद के समान यहोवा की दृष्टि में पराक्रमी शिकार खेलने वाला।

Vahi Yahowa ki drishti mein parakrami shikaar khelne vala thahra, is se yah kahavat chali hai; ki nimrod ke samaan Yahowa ki drishti mein parakrami shikaar khelne vala.

10

और उसके राज्य का आरम्भ शिनार देश में बाबुल, अक्कद, और कलने हुआ।

Aur uske rajya ka aarambh shinaar desh mein babul, akkad, aur kalne huaa.

11

उस देश से वह निकल कर अश्शूर को गया, और नीनवे, रहोबोतीर, और कालह को,

Us desh se vah nikal kar ashshoor ko gaya, aur neenve, rahoboteer, aur kalah ko,

12

और नीनवे और कालह के बीच रेसेन है, उसे भी बसाया, बड़ा नगर यही है।

Aur neenve aur kalah ke beech resen hai, use bhi basaya, bada nagar yahi hai.

13

और मिस्र के वंश में लूदी, अनामी, लहाबी, नप्तूही,

Aur Misr ke vansh mein loodi, anami, lahabi, naptoohi,

14

और पत्रुसी, कसलूही, और कप्तोरी लोग हुए, कसलूहियों में से तो पलिश्ती लोग निकले॥

Aur patrusi, kasloohi, aur kaptori log hue, kasloohiyon mein se to palishti log nikle.

15

फिर कनान के वंश में उसका ज्येष्ठ सीदोन, तब हित्त,

Phir kanaan ke vansh mein uska jyeshth seedon, tab hitt,

16

और यबूसी, एमोरी, गिर्गाशी,

Aur yaboosi, emori, girgashi,

17

हिव्वी, अर्की, सीनी,

Hivvi, arki, seeni,

18

अर्वदी, समारी, और हमाती लोग भी हुए: फिर कनानियों के कुल भी फैल गए।

Arvadi, samari, aur hamati log bhi hue: phir kananiyon ke kul bhi phail gaye.

19

और कनानियों का सिवाना सीदोन से ले कर गरार के मार्ग से हो कर अज्जा तक और फिर सदोम और अमोरा और अदमा और सबोयीम के मार्ग से हो कर लाशा तक हुआ।

Aur kananiyon ka sivana seedon se le kar garaar ke maarg se ho kar ajja tak aur phir sadom aur amora aur adma aur saboyeem ke maarg se ho kar lasha tak huaa.

20

हाम के वंश में ये ही हुए; और ये भिन्न भिन्न कुलों, भाषाओं, देशों, और जातियों के अनुसार अलग अलग हो गए॥

Haam ke vansh mein ye hi hue; aur ye bhinn bhinn kulon, bhashaon, deshon, aur jatiyon ke anusaar alag alag ho gaye.

21

फिर शेम, जो सब एबेरवंशियों का मूलपुरूष हुआ, और जो येपेत का ज्येष्ठ भाई था, उसके भी पुत्र उत्पन्न हुए।

Phir shem, jo sab ebervanshiyon ka moolpuroosh huaa, aur jo yepet ka jyeshth bhai tha, uske bhi putra utpann hue.

22

शेम के पुत्र: एलाम, अश्शूर, अर्पक्षद, लूद और आराम हुए।

Shem ke putra: elaam, ashshoor, arpakshad, lood aur aaraam hue.

23

और आराम के पुत्र: ऊस, हूल, गेतेर और मश हुए।

Aur aaraam ke putra: oos, hool, geter aur mash hue.

24

और अर्पक्षद ने शेलह को, और शेलह ने एबेर को जन्म दिया।

Aur arpakshad ne shelah ko, aur shelah ne eber ko janm diya.

25

और एबेर के दो पुत्र उत्पन्न हुए, एक का नाम पेलेग इस कारण रखा गया कि उसके दिनों में पृथ्वी बंट गई, और उसके भाई का नाम योक्तान है।

Aur eber ke do putra utpann hue, ek ka naam peleg is karan rakha gaya ki uske dinon mein prithvi bant gai, aur uske bhai ka naam yoktaan hai.

26

और योक्तान ने अल्मोदाद, शेलेप, हसर्मावेत, थेरह,

Aur yoktaan ne almodaad, shelep, hasarmavet, therah,

27

यदोरवाम, ऊजाल, दिक्ला,

Yadorvaam, oojaal, dikla,

28

ओबाल, अबीमाएल, शबा,

Obaal, abeemayel, shaba,

29

ओपीर, हवीला, और योबाब को जन्म दिया: ये ही सब योक्तान के पुत्र हुए।

Opeer, haveela, aur yobaab ko janm diya: ye hi sab yoktaan ke putra hue.

30

इनके रहने का स्थान मेशा से ले कर सपारा जो पूर्व में एक पहाड़ है, उसके मार्ग तक हुआ।

Inke rahne ka sthaan mesha se le kar sapara jo poorva mein ek pahaad hai, uske maarg tak huaa.

31

शेम के पुत्र ये ही हुए; और ये भिन्न भिन्न कुलों, भाषाओं, देशों और जातियों के अनुसार अलग अलग हो गए॥

Shem ke putra ye hi hue; aur ye bhinn bhinn kulon, bhashaon, deshon aur jatiyon ke anusaar alag alag ho gaye.

32

नूह के पुत्रों के घराने ये ही हैं: और उनकी जातियों के अनुसार उनकी वंशावलियां ये ही हैं; और जलप्रलय के पश्चात पृथ्वी भर की जातियां इन्हीं में से हो कर बंट गई॥

Nooh ke putron ke gharane ye hi hain: aur unki jatiyon ke anusaar unki vanshavliyan ye hi hain; aur jalapralay ke pashchaat prithvi bhar ki jatiyan inhi mein se ho kar bant gai.