हे निर्बुद्धि गलतियों, किस ने तुम्हें मोह लिया है? तुम्हारी तो मानों आंखों के साम्हने यीशु मसीह क्रूस पर दिखाया गया!
He nirbuddhi galtiyon, kis ne tumhein moh liya hai? Tumhari to manon aankhon ke samhane Yeshu Masih kroos par dikhaya gaya!
Galatians 3 · 29 verses
हे निर्बुद्धि गलतियों, किस ने तुम्हें मोह लिया है? तुम्हारी तो मानों आंखों के साम्हने यीशु मसीह क्रूस पर दिखाया गया!
He nirbuddhi galtiyon, kis ne tumhein moh liya hai? Tumhari to manon aankhon ke samhane Yeshu Masih kroos par dikhaya gaya!
मैं तुम से केवल यह जानना चाहता हूं, कि तुम ने आत्मा को, क्या व्यवस्था के कामों से, या विश्वास के समाचार से पाया?
Main tum se keval yah janna chahta hoon, ki tum ne aatma ko, kya vyavastha ke kamon se, ya vishwaas ke samachaar se paya?
क्या तुम ऐसे निर्बुद्धि हो, कि आत्मा की रीति पर आरम्भ करके अब शरीर की रीति पर अन्त करोगे?
Kya tum aise nirbuddhi ho, ki aatma ki reeti par aarambh karke ab shareer ki reeti par ant karoge?
क्या तुम ने इतना दुख यों ही उठाया? परन्तु कदाचित व्यर्थ नहीं।
Kya tum ne itna dukh yon hi uthaya? Parantu kadachit vyarth nahi.
सो जो तुम्हें आत्मा दान करता और तुम में सामर्थ के काम करता है, वह क्या व्यवस्था के कामों से या विश्वास के सुसमाचार से ऐसा करता है?
So jo tumhein aatma daan karta aur tum mein samarth ke kaam karta hai, vah kya vyavastha ke kamon se ya vishwaas ke susmachaar se aisa karta hai?
इब्राहीम ने तो परमेश्वर पर विश्वास किया और यह उसके लिये धार्मिकता गिनी गई।
Ibrahim ne to Parmeshwar par vishwaas kiya aur yah uske liye dharmikta gini gai.
तो यह जान लो, कि जो विश्वास करने वाले हैं, वे ही इब्राहीम की सन्तान हैं।
To yah jaan lo, ki jo vishwaas karne vale hain, ve hi Ibrahim ki santaan hain.
और पवित्र शास्त्र ने पहिले ही से यह जान कर, कि परमेश्वर अन्यजातियों को विश्वास से धर्मी ठहराएगा, पहिले ही से इब्राहीम को यह सुसमाचार सुना दिया, कि तुझ में सब जातियां आशीष पाएंगी।
Aur pavitra shastra ne pahile hi se yah jaan kar, ki Parmeshwar anyajatiyon ko vishwaas se dharmi thahrayega, pahile hi se Ibrahim ko yah susmachaar suna diya, ki tujh mein sab jatiyan aasheesh payengi.
तो जो विश्वास करने वाले हैं, वे विश्वासी इब्राहीम के साथ आशीष पाते हैं।
To jo vishwaas karne vale hain, ve vishwasi Ibrahim ke saath aasheesh pate hain.
सो जितने लोग व्यवस्था के कामों पर भरोसा रखते हैं, वे सब श्राप के आधीन हैं, क्योंकि लिखा है, कि जो कोई व्यवस्था की पुस्तक में लिखी हुई सब बातों के करने में स्थिर नहीं रहता, वह श्रापित है।
So jitne log vyavastha ke kamon par bharosa rakhte hain, ve sab shraap ke aadheen hain, kyonki likha hai, ki jo koi vyavastha ki pustak mein likhi hui sab baton ke karne mein sthir nahi rahta, vah shrapit hai.
पर यह बात प्रगट है, कि व्यवस्था के द्वारा परमेश्वर के यहां कोई धर्मी नहीं ठहरता क्योंकि धर्मी जन विश्वास से जीवित रहेगा।
Par yah baat pragat hai, ki vyavastha ke dwara Parmeshwar ke yahan koi dharmi nahi thaharta kyonki dharmi jan vishwaas se jeevit rahega.
पर व्यवस्था का विश्वास से कुछ सम्बन्ध नहीं; पर जो उन को मानेगा, वह उन के कारण जीवित रहेगा।
Par vyavastha ka vishwaas se kuchh sambandh nahi; par jo un ko manega, vah un ke karan jeevit rahega.
मसीह ने जो हमारे लिये श्रापित बना, हमें मोल लेकर व्यवस्था के श्राप से छुड़ाया क्योंकि लिखा है, जो कोई काठ पर लटकाया जाता है वह श्रापित है।
Masih ne jo hamare liye shrapit bana, hamein mol lekar vyavastha ke shraap se chhudaya kyonki likha hai, jo koi kaath par latkaya jata hai vah shrapit hai.
यह इसलिये हुआ, कि इब्राहीम की आशीष मसीह यीशु में अन्यजातियों तक पंहुचे, और हम विश्वास के द्वारा उस आत्मा को प्राप्त करें, जिस की प्रतिज्ञा हुई है॥
Yah isliye huaa, ki Ibrahim ki aasheesh Masih Yeshu mein anyajatiyon tak panhuche, aur ham vishwaas ke dwara us aatma ko praapt karein, jis ki pratigya hui hai.
हे भाइयों, मैं मनुष्य की रीति पर कहता हूं, कि मनुष्य की वाचा भी जो पक्की हो जाती है, तो न कोई उसे टालता है और न उस में कुछ बढ़ाता है।
He bhaiyon, main manushya ki reeti par kahta hoon, ki manushya ki vacha bhi jo pakki ho jati hai, to na koi use talta hai aur na us mein kuchh badhata hai.
निदान, प्रतिज्ञाएं इब्राहीम को, और उसके वंश को दी गईं; वह यह नहीं कहता, कि वंशों को; जैसे बहुतों के विषय में कहा, पर जैसे एक के विषय में कि तेरे वंश को: और वह मसीह है।
Nidaan, pratigyayen Ibrahim ko, aur uske vansh ko di gai; vah yah nahi kahta, ki vanshon ko; jaise bahuton ke vishay mein kaha, par jaise ek ke vishay mein ki tere vansh ko: aur vah Masih hai.
पर मैं यह कहता हूं की जो वाचा परमेश्वर ने पहिले से पक्की की थी, उस को व्यवस्था चार सौ तीस बरस के बाद आकर नहीं टाल देती, कि प्रतिज्ञा व्यर्थ ठहरे।
Par main yah kahta hoon ki jo vacha Parmeshwar ne pahile se pakki ki thi, us ko vyavastha chaar sau tees baras ke baad aakar nahi taal deti, ki pratigya vyarth thahre.
क्योंकि यदि मीरास व्यवस्था से मिली है, तो फिर प्रतिज्ञा से नहीं, परन्तु परमेश्वर ने इब्राहीम को प्रतिज्ञा के द्वारा दे दी है।
Kyonki yadi meeraas vyavastha se mili hai, to phir pratigya se nahi, parantu Parmeshwar ne Ibrahim ko pratigya ke dwara de di hai.
तब फिर व्यवस्था क्यों दी गई? वह तो अपराधों के कारण बाद में दी गई, कि उस वंश के आने तक रहे, जिस को प्रतिज्ञा दी गई थी, और वह स्वर्गदूतों के द्वारा एक मध्यस्थ के हाथ ठहराई गई।
Tab phir vyavastha kyon di gai? Vah to apradhon ke karan baad mein di gai, ki us vansh ke aane tak rahe, jis ko pratigya di gai thi, aur vah swargadooton ke dwara ek madhyasth ke haath thahrai gai.
मध्यस्थ तो एक का नहीं होता, परन्तु परमेश्वर एक ही है।
Madhyasth to ek ka nahi hota, parantu Parmeshwar ek hi hai.
तो क्या व्यवस्था परमेश्वर की प्रतिज्ञाओं के विरोध में है? कदापि न हो क्योंकि यदि ऐसी व्यवस्था दी जाती जो जीवन दे सकती, तो सचमुच धार्मिकता व्यवस्था से होती।
To kya vyavastha Parmeshwar ki pratigyaon ke virodh mein hai? Kadapi na ho kyonki yadi aisi vyavastha di jati jo jeevan de sakti, to sachmuch dharmikta vyavastha se hoti.
परन्तु पवित्र शास्त्र ने सब को पाप के आधीन कर दिया, ताकि वह प्रतिज्ञा जिस का आधार यीशु मसीह पर विश्वास करना है, विश्वास करने वालों के लिये पूरी हो जाए॥
Parantu pavitra shastra ne sab ko paap ke aadheen kar diya, taki vah pratigya jis ka aadhaar Yeshu Masih par vishwaas karna hai, vishwaas karne valon ke liye poori ho jaye.
पर विश्वास के आने से पहिले व्यवस्था की आधीनता में हमारी रखवाली होती थी, और उस विश्वास के आने तक जो प्रगट होने वाला था, हम उसी के बन्धन में रहे।
Par vishwaas ke aane se pahile vyavastha ki aadheenta mein hamari rakhvali hoti thi, aur us vishwaas ke aane tak jo pragat hone vala tha, ham usi ke bandhan mein rahe.
इसलिये व्यवस्था मसीह तक पहुंचाने को हमारा शिक्षक हुई है, कि हम विश्वास से धर्मी ठहरें।
Isliye vyavastha Masih tak pahunchane ko hamara shikshak hui hai, ki ham vishwaas se dharmi thahrein.
परन्तु जब विश्वास आ चुका, तो हम अब शिक्षक के आधीन न रहे।
Parantu jab vishwaas aa chuka, to ham ab shikshak ke aadheen na rahe.
क्योंकि तुम सब उस विश्वास करने के द्वारा जो मसीह यीशु पर है, परमेश्वर की सन्तान हो।
Kyonki tum sab us vishwaas karne ke dwara jo Masih Yeshu par hai, Parmeshwar ki santaan ho.
और तुम में से जितनों ने मसीह में बपतिस्मा लिया है उन्होंने मसीह को पहिन लिया है।
Aur tum mein se jitnon ne Masih mein baptisma liya hai unhonne Masih ko pahin liya hai.
अब न कोई यहूदी रहा और न यूनानी; न कोई दास, न स्वतंत्र; न कोई नर, न नारी; क्योंकि तुम सब मसीह यीशु में एक हो।
Ab na koi Yahudi raha aur na yoonani; na koi daas, na swatantra; na koi nar, na nari; kyonki tum sab Masih Yeshu mein ek ho.
और यदि तुम मसीह के हो, तो इब्राहीम के वंश और प्रतिज्ञा के अनुसार वारिस भी हो॥
Aur yadi tum Masih ke ho, to Ibrahim ke vansh aur pratigya ke anusaar varis bhi ho.