Galatians 2 · 21 verses

गलातियों 2 Galatians 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Galatiyon 2.

1

चौदह वर्ष के बाद मैं बरनबास के साथ यरूशलेम को गया और तितुस को भी साथ ले गया।

Chaudah varsh ke baad main baranbaas ke saath Yerushalem ko gaya aur titus ko bhi saath le gaya.

2

और मेरा जाना ईश्वरीय प्रकाश के अनुसार हुआ: और जो सुसमाचार मैं अन्यजातियों में प्रचार करता हूं, उस को मैं ने उन्हें बता दिया, पर एकान्त में उन्हीं को जो बड़े समझे जाते थे, ताकि ऐसा न हो, कि मेरी इस समय की, या अगली दौड़ धूप व्यर्थ ठहरे।

Aur mera jana ishwareeya prakaash ke anusaar huaa: aur jo susmachaar main anyajatiyon mein prachaar karta hoon, us ko main ne unhein bata diya, par ekaant mein unhi ko jo bade samjhe jate the, taki aisa na ho, ki meri is samay ki, ya agli daud dhoop vyarth thahre.

3

परन्तु तितुस भी जो मेरे साथ था और जो यूनानी है; खतना कराने के लिये विवश नहीं किया गया।

Parantu titus bhi jo mere saath tha aur jo yoonani hai; khatna karane ke liye vivash nahi kiya gaya.

4

और यह उन झूठे भाइयों के कारण हुआ, जो चोरी से घुस आए थे, कि उस स्वतंत्रता का जो मसीह यीशु में हमें मिली है, भेद लेकर हमें दास बनाएं।

Aur yah un jhoothe bhaiyon ke karan huaa, jo chori se ghus aaye the, ki us swatantrata ka jo Masih Yeshu mein hamein mili hai, bhed lekar hamein daas banayen.

5

उन के आधीन होना हम ने एक घड़ी भर न माना, इसलिये कि सुसमाचार की सच्चाई तुम में बनी रहे।

Un ke aadheen hona ham ne ek ghadi bhar na mana, isliye ki susmachaar ki sachchai tum mein bani rahe.

6

फिर जो लोग कुछ समझे जाते थे (वे चाहे कैसे ही थे, मुझे इस से कुछ काम नहीं, परमेश्वर किसी का पक्षपात नहीं करता) उन से जो कुछ भी समझे जाते थे, मुझे कुछ भी नहीं प्राप्त हुआ।

Phir jo log kuchh samjhe jate the (ve chahe kaise hi the, mujhe is se kuchh kaam nahi, Parmeshwar kisi ka pakshapaat nahi karta) un se jo kuchh bhi samjhe jate the, mujhe kuchh bhi nahi praapt huaa.

7

परन्तु इसके विपरीत जब उन्होंने देखा, कि जैसा खतना किए हुए लोगों के लिये सुसमाचार का काम पतरस को सौंपा गया वैसा ही खतना रहितों के लिये मुझे सुसमाचार सुनाना सौंपा गया।

Parantu iske vipreet jab unhonne dekha, ki jaisa khatna kiye hue logon ke liye susmachaar ka kaam Patras ko saumpa gaya vaisa hi khatna rahiton ke liye mujhe susmachaar sunana saumpa gaya.

8

(क्योंकि जिस ने पतरस से खतना किए हुओं में प्रेरिताई का कार्य बड़े प्रभाव सहित करवाया, उसी ने मुझ से भी अन्यजातियों में प्रभावशाली कार्य करवाया)

(kyonki jis ne Patras se khatna kiye huon mein preritai ka karya bade prabhaav sahit karvaya, usi ne mujh se bhi anyajatiyon mein prabhavshali karya karvaya)

9

और जब उन्होंने उस अनुग्रह को जो मुझे मिला था जान लिया, तो याकूब, और कैफा, और यूहन्ना ने जो कलीसिया के खम्भे समझे जाते थे, मुझ को और बरनबास को दाहिना हाथ देकर संग कर लिया, कि हम अन्यजातियों के पास जाएं, और वे खतना किए हुओं के पास।

Aur jab unhonne us anugrah ko jo mujhe mila tha jaan liya, to Yakub, aur kaipha, aur Yuhanna ne jo kaleesiya ke khambhe samjhe jate the, mujh ko aur baranbaas ko dahina haath dekar sang kar liya, ki ham anyajatiyon ke paas jayen, aur ve khatna kiye huon ke paas.

10

केवल यह कहा, कि हम कंगालों की सुधि लें, और इसी काम के करने का मैं आप भी यत्न कर रहा था।

Keval yah kaha, ki ham kangalon ki sudhi lein, aur isi kaam ke karne ka main aap bhi yatn kar raha tha.

11

पर जब कैफा अन्ताकिया में आया तो मैं ने उसके मुंह पर उसका साम्हना किया, क्योंकि वह दोषी ठहरा था।

Par jab kaipha antakiya mein aaya to main ne uske munh par uska samhana kiya, kyonki vah doshi thahra tha.

12

इसलिये कि याकूब की ओर से कितने लोगों के आने से पहिले वह अन्यजातियों के साथ खाया करता था, परन्तु जब वे आए, तो खतना किए हुए लोगों के डर के मारे उन से हट गया और किनारा करने लगा।

Isliye ki Yakub ki or se kitne logon ke aane se pahile vah anyajatiyon ke saath khaya karta tha, parantu jab ve aaye, to khatna kiye hue logon ke dar ke mare un se hat gaya aur kinara karne laga.

13

और उसके साथ शेष यहूदियों ने भी कपट किया, यहां तक कि बरनबास भी उन के कपट में पड़ गया।

Aur uske saath shesh Yahudiyon ne bhi kapat kiya, yahan tak ki baranbaas bhi un ke kapat mein pad gaya.

14

पर जब मैं ने देखा, कि वे सुसमाचार की सच्चाई पर सीधी चाल नहीं चलते, तो मैं ने सब के साम्हने कैफा से कहा; कि जब तू यहूदी होकर अन्यजातियों की नाईं चलता है, और यहूदियों की नाईं नहीं तो तू अन्यजातियों को यहूदियों की नाईं चलने को क्यों कहता है?

Par jab main ne dekha, ki ve susmachaar ki sachchai par seedhi chaal nahi chalte, to main ne sab ke samhane kaipha se kaha; ki jab tu Yahudi hokar anyajatiyon ki nai chalta hai, aur Yahudiyon ki nai nahi to tu anyajatiyon ko Yahudiyon ki nai chalne ko kyon kahta hai?

15

हम जो जन्म के यहूदी हैं, और पापी अन्यजातियों में से नहीं।

Ham jo janm ke Yahudi hain, aur papi anyajatiyon mein se nahi.

16

तौभी यह जानकर कि मनुष्य व्यवस्था के कामों से नहीं, पर केवल यीशु मसीह पर विश्वास करने के द्वारा धर्मी ठहरता है, हम ने आप भी मसीह यीशु पर विश्वास किया, कि हम व्यवस्था के कामों से नहीं पर मसीह पर विश्वास करने से धर्मी ठहरें; इसलिये कि व्यवस्था के कामों से कोई प्राणी धर्मी न ठहरेगा।

Taubhi yah jankar ki manushya vyavastha ke kamon se nahi, par keval Yeshu Masih par vishwaas karne ke dwara dharmi thaharta hai, ham ne aap bhi Masih Yeshu par vishwaas kiya, ki ham vyavastha ke kamon se nahi par Masih par vishwaas karne se dharmi thahrein; isliye ki vyavastha ke kamon se koi prani dharmi na thahrega.

17

हम जो मसीह में धर्मी ठहरना चाहते हैं, यदि आप ही पापी निकलें, तो क्या मसीह पाप का सेवक है? कदापि नहीं।

Ham jo Masih mein dharmi thaharna chahte hain, yadi aap hi papi niklein, to kya Masih paap ka sevak hai? Kadapi nahi.

18

क्योंकि जो कुछ मैं ने गिरा दिया, यदि उसी को फिर बनाता हूं, तो अपने आप को अपराधी ठहराता हूं।

Kyonki jo kuchh main ne gira diya, yadi usi ko phir banata hoon, to apne aap ko apradhi thahrata hoon.

19

मैं तो व्यवस्था के द्वारा व्यवस्था के लिये मर गया, कि परमेश्वर के लिये जीऊं।

Main to vyavastha ke dwara vyavastha ke liye mar gaya, ki Parmeshwar ke liye jeeun.

20

मैं मसीह के साथ क्रूस पर चढ़ाया गया हूं, और अब मैं जीवित न रहा, पर मसीह मुझ में जीवित है: और मैं शरीर में अब जो जीवित हूं तो केवल उस विश्वास से जीवित हूं, जो परमेश्वर के पुत्र पर है, जिस ने मुझ से प्रेम किया, और मेरे लिये अपने आप को दे दिया।

Main Masih ke saath kroos par chadhaya gaya hoon, aur ab main jeevit na raha, par Masih mujh mein jeevit hai: aur main shareer mein ab jo jeevit hoon to keval us vishwaas se jeevit hoon, jo Parmeshwar ke putra par hai, jis ne mujh se prem kiya, aur mere liye apne aap ko de diya.

21

मैं परमेश्वर के अनुग्रह को व्यर्थ नहीं ठहराता, क्योंकि यदि व्यवस्था के द्वारा धार्मिकता होती, तो मसीह का मरना व्यर्थ होता॥

Main Parmeshwar ke anugrah ko vyarth nahi thahrata, kyonki yadi vyavastha ke dwara dharmikta hoti, to Masih ka marna vyarth hota.