Ezra 9 · 15 verses

एज्रा 9 Ezra 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ejra 9.

1

जब ये काम हो चुके, तब हाकिम मेरे पास आकर कहने लगे, न तो इस्राएली लोग, न याजक, न लेवीय इस ओर के देशों के लोगों से अलग हुए; वरन उनके से, अर्थात कनानियों, हित्तियों, परिज्जियों, यबूसियों, अम्मोनियों, मोआबियों, मिस्रियों और एमोरियों के से घिनौने काम करते हैं।

Jab ye kaam ho chuke, tab hakim mere paas aakar kahne lage, na to Israeli log, na yajak, na leveeya is or ke deshon ke logon se alag hue; varan unke se, arthaat kananiyon, hittiyon, parijjiyon, yaboosiyon, ammoniyon, moaabiyon, misriyon aur emoriyon ke se ghinaune kaam karte hain.

2

क्योंकि उन्होंने उनकी बेटियों में से अपने और अपने बेटों के लिये स्त्रियां कर ली हैं; और पवित्र वंश इस ओर के देशों के लोगों में मिल गया है। वरन हाकिम और सरदार इस विश्वासघात में मुख्य हुए हैं।

Kyonki unhonne unki betiyon mein se apne aur apne beton ke liye striyan kar li hain; aur pavitra vansh is or ke deshon ke logon mein mil gaya hai. Varan hakim aur sardaar is vishwasghaat mein mukhya hue hain.

3

यह बात सुन कर मैं ने अपने वस्त्र और बागे को फाड़ा, और अपने सिर और दाढ़ी के बाल नोचे, और विस्मित हो कर बैठा रहा।

Yah baat sun kar main ne apne vastra aur bage ko phada, aur apne sir aur dadhi ke baal noche, aur vismit ho kar baitha raha.

4

तब जितने लोग इस्राएल के परमेश्वर के वचन सुनकर बन्धुआई से आए हुए लोगों के विश्वासघात के कारण थरथराते थे, सब मेरे पास इकट्ठे हुए, और मैं सांझ की भेंट के समय तक विस्मित हो कर बैठा रहा।

Tab jitne log Israel ke Parmeshwar ke vachan sunkar bandhuaai se aaye hue logon ke vishwasghaat ke karan tharathrate the, sab mere paas ikatthe hue, aur main saanjh ki bhent ke samay tak vismit ho kar baitha raha.

5

परन्तु सांझ की भेंट के समय मैं वस्त्र और बागा फाड़े हुए उपवास की दशा में उठा, फिर घुटनों के बल झुका, और अपने हाथ अपने परमेश्वर यहोवा की ओर फैला कर कहा,

Parantu saanjh ki bhent ke samay main vastra aur baga phade hue upvaas ki dasha mein utha, phir ghutnon ke bal jhuka, aur apne haath apne Parmeshwar Yahowa ki or phaila kar kaha,

6

हे मेरे परमेश्वर! मुझे तेरी ओर अपना मुंह उठाते लाज आती है, और हे मेरे परमेश्वर! मेरा मुंह काला है; क्योंकि हम लोगों के अधर्म के काम हमारे सिर पर बढ़ गए हैं, और हमारा दोष बढ़ते बढ़ते आकाश तक पहुंचा है

He mere Parmeshwar! Mujhe teri or apna munh uthate laaj aati hai, aur he mere Parmeshwar! Mera munh kala hai; kyonki ham logon ke adharm ke kaam hamare sir par badh gaye hain, aur hamara dosh badhte badhte aakaash tak pahuncha hai

7

अपने पुरखाओं के दिनों से ले कर आज के दिन तक हम बड़े दोषी हैं, और अपने अधर्म के कामों के कारण हम अपने राजाओं और याजकों समेत देश देश के राजाओं के हाथ में किए गए कि तलवार, बन्धुआई, लूटे जाने, और मुंह काला हो जाने की विपत्तियों में पड़ें जैसे कि आज हमारी दशा है।

Apne purkhaon ke dinon se le kar aaj ke din tak ham bade doshi hain, aur apne adharm ke kamon ke karan ham apne rajaon aur yajkon samet desh desh ke rajaon ke haath mein kiye gaye ki talvaar, bandhuaai, loote jane, aur munh kala ho jane ki vipattiyon mein padein jaise ki aaj hamari dasha hai.

8

और अब थोड़े दिन से हमारे परमेश्वर यहोवा का अनुग्रह हम पर हुआ है, कि हम में से कोई कोई बच निकले, और हम को उसके पवित्र स्थान में एक खूंटी मिले, और हमारा परमेश्वर हमारी आंखों में ज्योति आने दे, और दासत्व में हम को कुछ विश्रान्ति मिले।

Aur ab thode din se hamare Parmeshwar Yahowa ka anugrah ham par huaa hai, ki ham mein se koi koi bach nikle, aur ham ko uske pavitra sthaan mein ek khoonti mile, aur hamara Parmeshwar hamari aankhon mein jyoti aane de, aur dasatva mein ham ko kuchh vishranti mile.

9

हम दास तो हैं ही, परन्तु हमारे दासत्व में हमारे परमेश्वर ने हम को नहीं छोड़ दिया, वरन फारस के राजाओं को हम पर ऐसे कृपालु किया, कि हम नया जीवन पाकर अपने परमेश्वर के भवन को उठाने, और इसके खंडहरों को सुधारने पाए, और हमें यहूदा और यरूशलेम में आड़ मिली।

Ham daas to hain hi, parantu hamare dasatva mein hamare Parmeshwar ne ham ko nahi chhod diya, varan pharas ke rajaon ko ham par aise kripalu kiya, ki ham naya jeevan pakar apne Parmeshwar ke bhavan ko uthane, aur iske khandahron ko sudharne paye, aur hamein Yahuda aur Yerushalem mein aad mili.

10

और अब हे हमारे परमेश्वर इसके बाद हम क्या कहें, यही कि हम ने तेरी उन आज्ञाओं को तोड़ दिया है,

Aur ab he hamare Parmeshwar iske baad ham kya kahein, yahi ki ham ne teri un aagyaon ko tod diya hai,

11

जो तू ने यह कह कर अपने दास नबियों के द्वारा दीं, कि जिस देश के अधिकारी होने को तुम जाने पर हो, वह तो देश देश के लोगों की अशुद्धता के कारण और उनके घिनौने कामों के कारण अशुद्ध देश है, उन्होंने उसे एक सिवाने से दूसरे सिवाने तक अपनी अशुद्धता से भर दिया है।

Jo tu ne yah kah kar apne daas nabiyon ke dwara di, ki jis desh ke adhikari hone ko tum jane par ho, vah to desh desh ke logon ki ashuddhata ke karan aur unke ghinaune kamon ke karan ashuddh desh hai, unhonne use ek sivane se doosre sivane tak apni ashuddhata se bhar diya hai.

12

इसलिये अब तू न तो अपनी बेटियां उनके बेटों को ब्याह देना और न उनकी बेटियों से अपने बेटों का ब्याह करना, और न कभी उनका कुशल क्षेम चाहना, इसलिये कि तुम बलवान बनो और उस देश के अच्छे अच्छे पदार्थ खाने पाओ, और उसे ऐसा छोड़ जाओ, कि वह तुम्हारे वंश के अधिकार में सदैव बना रहे।

Isliye ab tu na to apni betiyan unke beton ko byaah dena aur na unki betiyon se apne beton ka byaah karna, aur na kabhi unka kushal kshem chahna, isliye ki tum balvaan bano aur us desh ke achchhe achchhe padaarth khane pao, aur use aisa chhod jao, ki vah tumhare vansh ke adhikaar mein sadaiv bana rahe.

13

और उस सब के बाद जो हमारे बुरे कामों और बड़े दोष के कारण हम पर बीता है, जब कि हे हमारे परमेश्वर तू ने हमारे अधर्म के बराबर हमें दण्ड नहीं दिया, वरन हम में से कितनों को बचा रखा है,

Aur us sab ke baad jo hamare bure kamon aur bade dosh ke karan ham par beeta hai, jab ki he hamare Parmeshwar tu ne hamare adharm ke barabar hamein dand nahi diya, varan ham mein se kitnon ko bacha rakha hai,

14

तो क्या हम तेरी आज्ञाओं को फिर से उल्लंघन कर के इन घिनौने काम करने वाले लोगों से समधियाना का सम्बन्ध करें? क्या तू हम पर यहां तक कोप न करेगा जिस से हम मिट जाएं और न तो कोई बचे और न कोई रह जाए?

To kya ham teri aagyaon ko phir se ullanghan kar ke in ghinaune kaam karne vale logon se samdhiyana ka sambandh karein? Kya tu ham par yahan tak kop na karega jis se ham mit jayen aur na to koi bache aur na koi rah jaye?

15

हे इस्राएल के परमेश्वर यहोवा! तू तो धर्मी है, हम बचकर मुक्त हुए हैं जैसे कि आज वर्तमान हैं। देख, हम तेरे साम्हने दोषी हैं, इस कारण कोई तेरे साम्हने खड़ा नहीं रह सकता।

He Israel ke Parmeshwar Yahowa! Tu to dharmi hai, ham bachkar mukt hue hain jaise ki aaj vartamaan hain. Dekh, ham tere samhane doshi hain, is karan koi tere samhane khada nahi rah sakta.