Ezra 8 · 36 verses

एज्रा 8 Ezra 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ejra 8.

1

उनके पूर्वजों के घरानों के मुख्य मुख्य पुरुष ये हैं, और जो लोग राजा अर्तक्षत्र के राज्य में बाबेल से मेरे संग यरूशलेम को गए उनकी वंशावली यह है:

Unke poorvajon ke gharanon ke mukhya mukhya purush ye hain, aur jo log raja artakshatra ke rajya mein babel se mere sang Yerushalem ko gaye unki vanshavli yah hai:

2

अर्थात पीनहास के वंश में से गेर्शोम, ईतामार के वंश में से दानिय्येल, दाऊद के वंश में से हत्तूस।

Arthaat peenhaas ke vansh mein se gershom, itamaar ke vansh mein se daniyyel, Daud ke vansh mein se hattoos.

3

शकन्याह के वंश के परोश के गोत्र में से जकर्याह, जिसके संग डेढ़ सौ पुरुषों की वंशावली हुई।

Shakanyaah ke vansh ke parosh ke gotra mein se jakaryaah, jiske sang dedh sau purushon ki vanshavli hui.

4

पहत्मोआब के वंश में से जरह्याह का पुत्र एल्यहोएनै, जिसके संग दो सौ पुरुष थे।

Pahatmoaab ke vansh mein se jarahyaah ka putra elyahoyenai, jiske sang do sau purush the.

5

शकन्याह के वंश में से यहजीएल का पुत्र, जिसके संग तीन सौ पुरुष थे।

Shakanyaah ke vansh mein se yahjeeyel ka putra, jiske sang teen sau purush the.

6

आदीन के वंश में से योनातान का पुत्र एबेद, जिसके संग पचास पुरुष थे।

Aadeen ke vansh mein se yonataan ka putra ebed, jiske sang pachaas purush the.

7

एलाम के वंश में से अतल्याह का पुत्र यशायाह, जिसके संग सत्तर पुरुष थे।

Elaam ke vansh mein se atalyaah ka putra yashayaah, jiske sang sattar purush the.

8

शपत्याह के वंश में से मीकाएल का पुत्र जबद्याह, जिसके संग अस्सी पुरुष थे।

Shapatyaah ke vansh mein se meekayel ka putra jabadyaah, jiske sang assi purush the.

9

योआब के वंश में से यहीएल का पुत्र ओबद्याह, जिसके संग दो सौ अठारह पुरुष थे।

Yoaab ke vansh mein se yaheeyel ka putra obadyaah, jiske sang do sau atharah purush the.

10

शलोमीत के वंश में से योसिय्याह का पुत्र, जिसके संग एक सौ साठ पुरुष थे।

Shalomeet ke vansh mein se yosiyyaah ka putra, jiske sang ek sau saath purush the.

11

बेबै के वंश में से बेबै का पुत्र जकर्याह, जिसके संग अट्ठाईस पुरुष थे।

Bebai ke vansh mein se bebai ka putra jakaryaah, jiske sang atthais purush the.

12

अजगाद के वंश में से हक्कातान का पुत्र योहानान, जिसके संग एक सौ दस पुरुष थे।

Ajgaad ke vansh mein se hakkataan ka putra yohanaan, jiske sang ek sau das purush the.

13

अदोनीकाम के वंश में से जो पीछे गए उनके ये नाम हैं: अर्थात एलीपेलेत, यीएल, और समायाह, और उनके संग साठ पुरुष थे।

Adoneekaam ke vansh mein se jo peechhe gaye unke ye naam hain: arthaat eleepelet, yeeyel, aur samayaah, aur unke sang saath purush the.

14

और बिगवै के वंश में से ऊतै और जब्बूद थे, और उनके संग सत्तर पुरुष थे।

Aur bigvai ke vansh mein se ootai aur jabbood the, aur unke sang sattar purush the.

15

इन को मैं ने उस नदी के पास जो अहवा की ओर बहती है इकट्ठा कर लिया, और वहां हम लोग तीन दिन डेरे डाले रहे, और मैं ने वहां लोगों और याजकों को देख लिया परन्तु किसी लेवीय को न पाया।

In ko main ne us nadi ke paas jo ahva ki or bahti hai ikattha kar liya, aur vahan ham log teen din dere dale rahe, aur main ne vahan logon aur yajkon ko dekh liya parantu kisi leveeya ko na paya.

16

मैं ने एलीएजेर, अरीएल, शमायाह, एलनातान, यारीब, एलनातान, नातान, जकर्याह और मशुल्लाम को जो मुख्य पुरुष थे, और योयारीब और एलनातान को जो बुद्धिमान थे

Main ne eleeyejer, areeyel, shamayaah, elnataan, yareeb, elnataan, nataan, jakaryaah aur mashullaam ko jo mukhya purush the, aur yoyareeb aur elnataan ko jo buddhimaan the

17

बुलवाकर, इद्दो के पास जो कासिप्या नाम स्थान का प्रधान था, भेज दिया; और उन को समझा दिया, कि कासिप्या स्थान में इद्दो और उसके भाई नतीन लोगों से क्या क्या कहना, कि वे हमारे पास हमारे परमेश्वर के भवन के लिये सेवा टहल करने वालों को ले आएं।

Bulvakar, iddo ke paas jo kasipya naam sthaan ka pradhaan tha, bhej diya; aur un ko samjha diya, ki kasipya sthaan mein iddo aur uske bhai nateen logon se kya kya kahna, ki ve hamare paas hamare Parmeshwar ke bhavan ke liye seva tahal karne valon ko le aayen.

18

और हमारे परमेश्वर की कृपादृष्टि जो हम पर हुई इसके अनुसार वे हमारे पास ईश्शेकेल के जो इस्राएल के परपोता और लेवी के पोता महली के वंश में से था, और शेरेब्याह को, और उसके पुत्रों और भाइयों को, अर्थात अठारह जनों को;

Aur hamare Parmeshwar ki kripadrishti jo ham par hui iske anusaar ve hamare paas ishshekel ke jo Israel ke parpota aur levi ke pota mahli ke vansh mein se tha, aur sherebyaah ko, aur uske putron aur bhaiyon ko, arthaat atharah janon ko;

19

और हशब्याह को, और उसके संग मरारी के वंश में से यशायाह को, और उसके पुत्रों और भाइयों को, अर्थात बीस जनों को;

Aur hashabyaah ko, aur uske sang marari ke vansh mein se yashayaah ko, aur uske putron aur bhaiyon ko, arthaat bees janon ko;

20

और नतीन लोगों में से जिन्हें दाऊद और हाकिमों ने लेवियों की सेवा करने को ठहराया था दो सौ बीस नतिनों को ले आए। इन सभों के नाम लिखे हुए थे।

Aur nateen logon mein se jinhein Daud aur hakimon ne leviyon ki seva karne ko thahraya tha do sau bees natinon ko le aaye. In sabhon ke naam likhe hue the.

21

तब मैं ने वहां अर्थात अहवा नदी के तीर पर उपवास का प्रचार इस आशय से किया, कि हम परमेश्वर के साम्हने दीन हों; और उस से अपने और अपने बाल-बच्चों और अपनी समस्त सम्पत्ति के लिये सरल यात्रा मांगें।

Tab main ne vahan arthaat ahva nadi ke teer par upvaas ka prachaar is aashay se kiya, ki ham Parmeshwar ke samhane deen hon; aur us se apne aur apne baal-bachchon aur apni samast sampatti ke liye saral yatra mangein.

22

क्योंकि मैं मार्ग के शत्रुओं से बचने के लिये सिपाहियों का दल और सवार राजा से मांगने से लजाता था, क्योंकि हम राजा से यह कह चुके थे कि हमारा परमेश्वर अपने सब खोजियों पर, भलाई के लिये कृपादृष्टि रखता है और जो उसे त्याग देते हैं, उसका बल और कोप उनके विरुद्ध है।

Kyonki main maarg ke shatruon se bachne ke liye sipahiyon ka dal aur savaar raja se mangne se lajata tha, kyonki ham raja se yah kah chuke the ki hamara Parmeshwar apne sab khojiyon par, bhalai ke liye kripadrishti rakhta hai aur jo use tyaag dete hain, uska bal aur kop unke viruddh hai.

23

इसी विषय पर हम ने उपवास कर के अपने परमेश्वर से प्रार्थना की, और उसने हमारी सुनी।

Isi vishay par ham ne upvaas kar ke apne Parmeshwar se prarthana ki, aur usne hamari suni.

24

तब मैं ने मुख्य याजकों में से बारह पुरुषों को, अर्थात शेरेब्याह, हशब्याह और इनके दस भाइयों को अलग कर के, जो चान्दी, सोना और पात्र,

Tab main ne mukhya yajkon mein se barah purushon ko, arthaat sherebyaah, hashabyaah aur inke das bhaiyon ko alag kar ke, jo chandi, sona aur patra,

25

राजा और उसके मंत्रियों और उसके हाकिमों और जितने इस्राएली उपस्थित थे उन्होंने हमारे परमेश्वर के भवन के लिये भेंट दिए थे, उन्हें तौल कर उन को दिया।

Raja aur uske mantriyon aur uske hakimon aur jitne Israeli upasthit the unhonne hamare Parmeshwar ke bhavan ke liye bhent diye the, unhein taul kar un ko diya.

26

अर्थात मैं ने उनके हाथ में साढ़े छ: सौ किक्कार चान्दी, सौ किक्कार चान्दी के पात्र,

Arthaat main ne unke haath mein sadhe chha: sau kikkaar chandi, sau kikkaar chandi ke patra,

27

सौ किक्कार सोना, हजार दर्कमोन के सोने के बीस कटोरे, और सोने सरीखे अनमोल चोखे चमकने वाले पीतल के दो पात्र तौल कर दे दिये।

Sau kikkaar sona, hajaar darkamon ke sone ke bees katore, aur sone sareekhe anmol chokhe chamakne vale peetal ke do patra taul kar de diye.

28

और मैं ने उन से कहा, तुम तो यहोवा के लिये पवित्र हो, और ये पात्र भी पवित्र हैं; और यह चान्दी और सोना भेंट का है, जो तुम्हारे पितरों के परमेश्वर यहोवा के लिये प्रसन्नता से दी गई।

Aur main ne un se kaha, tum to Yahowa ke liye pavitra ho, aur ye patra bhi pavitra hain; aur yah chandi aur sona bhent ka hai, jo tumhare pitron ke Parmeshwar Yahowa ke liye prasannata se di gai.

29

इसलिये जागते रहो, और जब तक तुम इन्हें यरूशलेम में प्रधान याजकों और लेवियों और इस्राएल के पितरों के घरानों के प्रधानों के साम्हने यहोवा के भवन की कोठरियों में तौल कर न दो, तब तक इनकी रक्षा करते रहो।

Isliye jagte raho, aur jab tak tum inhein Yerushalem mein pradhaan yajkon aur leviyon aur Israel ke pitron ke gharanon ke pradhanon ke samhane Yahowa ke bhavan ki kothriyon mein taul kar na do, tab tak inki raksha karte raho.

30

तब याजकों और लेवियों ने चान्दी, सोने और पात्रों को तौल कर ले लिया कि उन्हें यरूशलेम को हमारे परमेश्वर के भवन में पहुंचाएं।

Tab yajkon aur leviyon ne chandi, sone aur patron ko taul kar le liya ki unhein Yerushalem ko hamare Parmeshwar ke bhavan mein pahunchayen.

31

पहिले महीने के बारहवें दिन को हम ने अहवा नदी से कूच कर के यरूशलेम का मार्ग लिया, और हमारे परमेश्वर की कृपादृष्टि हम पर रही; और उसने हम को शत्रुओं और मार्ग पर घात लगाने वालों के हाथ से बचाया।

Pahile maheene ke barahvein din ko ham ne ahva nadi se kooch kar ke Yerushalem ka maarg liya, aur hamare Parmeshwar ki kripadrishti ham par rahi; aur usne ham ko shatruon aur maarg par ghaat lagane valon ke haath se bachaya.

32

निदान हम यरूशलेम को पहुंचे और वहां तीन दिन रहे।

Nidaan ham Yerushalem ko pahunche aur vahan teen din rahe.

33

फिर चौथे दिन वह चान्दी-सोना और पात्र हमारे परमेश्वर के भवन में ऊरीयाह के पुत्र मरेमोत याजक के हाथ में तौल कर दिए गए। और उसके संग पीनहास का पुत्र एलीआजर था, और उनके साथ येशू का पुत्र योजाबाद लेवीय और बिल्नूई का पुत्र नोअद्याह लेवीय थे।

Phir chauthe din vah chandi-sona aur patra hamare Parmeshwar ke bhavan mein ooreeyaah ke putra maremot yajak ke haath mein taul kar diye gaye. Aur uske sang peenhaas ka putra eleeaajar tha, aur unke saath yeshu ka putra yojabaad leveeya aur bilnooi ka putra noadyaah leveeya the.

34

वे सब वस्तुएं गिनी और तौली गई, और उनका तौल उसी समय लिखा गया।

Ve sab vastuein gini aur tauli gai, aur unka taul usi samay likha gaya.

35

जो बन्धुआई से आए थे, उन्होंने इस्राएल के परमेश्वर के लिये होमबलि चढ़ाए; अर्थात समस्त इस्राएल के निमित्त बारह बछड़े, छियानवे मेढ़े और सतहत्तर मेम्ने और पापबलि के लिये बारह बकरे; यह सब यहोवा के लिये होमबलि था।

Jo bandhuaai se aaye the, unhonne Israel ke Parmeshwar ke liye homabli chadhaye; arthaat samast Israel ke nimitt barah bachhde, chhiyanve medhe aur sathattar memne aur papabli ke liye barah bakre; yah sab Yahowa ke liye homabli tha.

36

तब उन्होंने राजा की आज्ञाएं महानद के इस पार के अधिकारियों और अधिपतियों को दी; और उन्होंने इस्राएली लोगों और परमेश्वर के भवन के काम में सहायता की।

Tab unhonne raja ki aagyayen mahanad ke is paar ke adhikariyon aur adhiptiyon ko di; aur unhonne Israeli logon aur Parmeshwar ke bhavan ke kaam mein sahayta ki.