Ezra 7 · 28 verses

एज्रा 7 Ezra 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ejra 7.

1

इन बातों के बाद अर्थात फारस के राजा अर्तक्षत्र के दिनों में, एज्रा बाबेल से यरूशलेम को गया। वह सरायाह का पुत्र था। और सरायाह अजर्याह का पुत्र था, अजर्याह हिल्किय्याह का,

In baton ke baad arthaat pharas ke raja artakshatra ke dinon mein, ejra babel se Yerushalem ko gaya. Vah sarayaah ka putra tha. Aur sarayaah ajaryaah ka putra tha, ajaryaah hilkiyyaah ka,

2

हिल्किय्याह शल्लूम का, शल्लूम सादोक का, शदोक अहीतूब का, अहीतूब अमर्याह का, अमर्याह अजर्याह का,

Hilkiyyaah shalloom ka, shalloom sadok ka, shadok aheetoob ka, aheetoob amaryaah ka, amaryaah ajaryaah ka,

3

अजर्याह मरायोत का,

Ajaryaah marayot ka,

4

मरायोत जरह्याह का, जरह्याह उज्जी का, उज्जी बुक्की का,

Marayot jarahyaah ka, jarahyaah ujji ka, ujji bukki ka,

5

बुक्की अबीशू का, अबीशू पीनहास का, पीनहास एलीआज़र का और एलीआज़र हारून महायाजक का पुत्र था।

Bukki abeeshu ka, abeeshu peenhaas ka, peenhaas eleeaazar ka aur eleeaazar haroon mahayajak ka putra tha.

6

यही एज्रा मूसा की व्यवस्था के विष्य जिसे इस्राएल के परमेश्वर यहोवा ने दी थी, निपुण शास्त्री था। और उसके परमेश्वर यहोवा की कृपादृष्टि जो उस पर रही, इसके कारण राजा ने उसका मुंह मांगा वर दे दिया।

Yahi ejra Musa ki vyavastha ke vishya jise Israel ke Parmeshwar Yahowa ne di thi, nipun shastri tha. Aur uske Parmeshwar Yahowa ki kripadrishti jo us par rahi, iske karan raja ne uska munh manga var de diya.

7

और कितने इस्राएली, और याजक लेवीय, गवैये, और द्वारपाल और नतीन के कुछ लोग अर्तक्षत्र राजा के सातवें वर्ष में यरूशलेम को ले गए।

Aur kitne Israeli, aur yajak leveeya, gavaiye, aur dwarpaal aur nateen ke kuchh log artakshatra raja ke satvein varsh mein Yerushalem ko le gaye.

8

और वह राजा के सातवें वर्ष के पांचवें महीने में यरूशलेम को पहुंचा।

Aur vah raja ke satvein varsh ke panchvein maheene mein Yerushalem ko pahuncha.

9

पहिले महीने के पहिले दिन को वह बाबेल से चल दिया, और उसके परमेश्वर की कृपादृष्टि उस पर रही, इस कारण पांचवें महीने के पहिले दिन वह यरूशलेम को पहुंचा।

Pahile maheene ke pahile din ko vah babel se chal diya, aur uske Parmeshwar ki kripadrishti us par rahi, is karan panchvein maheene ke pahile din vah Yerushalem ko pahuncha.

10

क्योंकि एज्रा ने यहोवा की व्यवस्था का अर्थ बूझ लेने, और उसके अनुसार चलने, और इस्राएल में विधि और नियम सिखाने के लिये अपना मन लगाया था।

Kyonki ejra ne Yahowa ki vyavastha ka arth boojh lene, aur uske anusaar chalne, aur Israel mein vidhi aur niyam sikhane ke liye apna man lagaya tha.

11

जो चिट्ठी राजा अर्तक्षत्र ने एज्रा याजक और शास्त्री को दी थी जो यहोवा की आज्ञाओं के वचनों का, और उसकी इस्राएलियों में चलाई हुई विधियों का शास्त्री था, उसकी नकल यह है;

Jo chitthi raja artakshatra ne ejra yajak aur shastri ko di thi jo Yahowa ki aagyaon ke vachnon ka, aur uski Israeliyon mein chalai hui vidhiyon ka shastri tha, uski nakal yah hai;

12

अर्थात, एज्रा याजक जो स्वर्ग के परमेश्वर की व्यवस्था का पूर्ण शास्त्री है, उसको अर्तक्षत्र महाराजाधिराज की ओर से, इत्यादि।

Arthaat, ejra yajak jo swarg ke Parmeshwar ki vyavastha ka poorn shastri hai, usko artakshatra maharajadhiraaj ki or se, ityadi.

13

मैं यह आज्ञा देता हूँ, कि मेरे राज्य में जितने इस्राएली और उनके याजक और लेवीय अपनी इच्छा से यरूशलेम जाना चाहें, वे तेरे साथ जाने पाएं।

Main yah aagya deta hoon, ki mere rajya mein jitne Israeli aur unke yajak aur leveeya apni ichchha se Yerushalem jana chahein, ve tere saath jane payen.

14

तू तो राजा और उसके सातों मंत्रियों की ओर से इसलिये भेजा जाता है, कि अपने परमेश्वर की व्यवस्था के विषय जो तेरे पास है, यहूदा और यरूशलेम की दशा बूझ ले,

Tu to raja aur uske saton mantriyon ki or se isliye bheja jata hai, ki apne Parmeshwar ki vyavastha ke vishay jo tere paas hai, Yahuda aur Yerushalem ki dasha boojh le,

15

और जो चान्दी-सोना, राजा और उसके मत्रियों ने इस्राएल के परमेश्वर को जिसका निवास यरूशलेम में है, अपनी इच्छा से दिया है,

Aur jo chandi-sona, raja aur uske matriyon ne Israel ke Parmeshwar ko jiska nivaas Yerushalem mein hai, apni ichchha se diya hai,

16

और जितना चान्दी-सोना कुल बाबेल प्रान्त में तुझे मिलेगा, और जो कुछ लोग और याजक अपनी इच्छा से अपने परमेश्वर के भवन के लिये जो यरूशलेम में हैं देंगे, उसको ले जाए।

Aur jitna chandi-sona kul babel praant mein tujhe milega, aur jo kuchh log aur yajak apni ichchha se apne Parmeshwar ke bhavan ke liye jo Yerushalem mein hain denge, usko le jaye.

17

इस कारण तू उस रुपये से फुर्ती के साथ बैल, मेढ़े और मेम्ने उनके योग्य अन्नबलि और अर्घ की वस्तुओं समेत मोल लेना और उस वेदी पर चढ़ाना, जो तुम्हारे परमेश्वर के यरूशलेम वाले भवन में है।

Is karan tu us rupye se phurti ke saath bail, medhe aur memne unke yogya annabli aur argh ki vastuon samet mol lena aur us vedi par chadhana, jo tumhare Parmeshwar ke Yerushalem vale bhavan mein hai.

18

और जो चान्दी-सोना बचा रहे, उस से जो कुछ तुझे और तेरे भाइयों को उचित जान पड़े, वही अपने परमेश्वर की इच्छा के अनुसार करना।

Aur jo chandi-sona bacha rahe, us se jo kuchh tujhe aur tere bhaiyon ko uchit jaan pade, vahi apne Parmeshwar ki ichchha ke anusaar karna.

19

और तेरे परमेश्वर के भवन की उपासना के लिये जो पात्र तुझे सौपे जाते हैं, उन्हें यरूशलेम के परमेश्वर के साम्हने दे देना।

Aur tere Parmeshwar ke bhavan ki upasna ke liye jo patra tujhe saupe jate hain, unhein Yerushalem ke Parmeshwar ke samhane de dena.

20

और इन से अधिक जो कुछ तुझे अपने परमेश्वर के भवन के लिये आवश्यक जान कर देना पड़े, वह राजखजाने में से दे देना।

Aur in se adhik jo kuchh tujhe apne Parmeshwar ke bhavan ke liye aavashyak jaan kar dena pade, vah rajakhjane mein se de dena.

21

मैं अर्तक्षत्र राजा यह आज्ञा देता हूँ, कि तुम महानद के पार के सब खजांचियों से जो कुछ एज्रा याजक, जो स्वर्ग के परमेश्वर की व्यवस्था का शास्त्री है, तुम लोगों से चाहे, वह फुर्ती के साथ किया जाए।

Main artakshatra raja yah aagya deta hoon, ki tum mahanad ke paar ke sab khajanchiyon se jo kuchh ejra yajak, jo swarg ke Parmeshwar ki vyavastha ka shastri hai, tum logon se chahe, vah phurti ke saath kiya jaye.

22

अर्थात सौ किक्कार तक चान्दी, सौ कोर तक गेहूं, सौ बत तक दाखमधु, सौ बत तक तेल और नमक जितना चाहिये उतना दिया जाए।

Arthaat sau kikkaar tak chandi, sau kor tak gehun, sau bat tak dakhamdhu, sau bat tak tel aur namak jitna chahiye utna diya jaye.

23

जो जो आज्ञा स्वर्ग के परमेश्वर की ओर से मिले, ठीक उसी के अनुसार स्वर्ग के परमेश्वर के भवन के लिये किया जाय, राजा और राजकुमारों के राज्य पर परमेश्वर का क्रोध क्यों भड़कने पाए।

Jo jo aagya swarg ke Parmeshwar ki or se mile, theek usi ke anusaar swarg ke Parmeshwar ke bhavan ke liye kiya jaay, raja aur rajkumaron ke rajya par Parmeshwar ka krodh kyon bhadakne paye.

24

फिर हम तुम को चिता देते हैं, कि परमेश्वर के उस भवन के किसी याजक, लेवीय, गवैये, द्वारपाल, नतीन था और किसी सेवक से कर, चुंगी, अथवा राहदारी लेने की आज्ञा नहीं है।

Phir ham tum ko chita dete hain, ki Parmeshwar ke us bhavan ke kisi yajak, leveeya, gavaiye, dwarpaal, nateen tha aur kisi sevak se kar, chungi, athva rahdari lene ki aagya nahi hai.

25

फिर हे एज्रा! तेरे परमेश्वर से मिली हुई बुद्धि के अनुसार जो तुझ में है, न्यायियों और विचार करने वालों को नियुक्त कर जो महानद के पार रहने वाले उन सब लोगों में जो तेरे परमेश्वर की व्यवस्था जानते हों न्याय किया करें; और जो जो उन्हें न जानते हों, उन को तुम सिखाया करो।

Phir he ejra! Tere Parmeshwar se mili hui buddhi ke anusaar jo tujh mein hai, nyayiyon aur vichaar karne valon ko niyukt kar jo mahanad ke paar rahne vale un sab logon mein jo tere Parmeshwar ki vyavastha jante hon nyaay kiya karein; aur jo jo unhein na jante hon, un ko tum sikhaya karo.

26

और जो कोई तेरे परमेश्वर की व्यवस्था और राजा की व्यवस्था न माने, उसको फुर्ती से दण्ड दिया जाए, चाहे प्राणदण्ड, चाहे देश निकाला, चाहे माल जप्त किया जाना, चाहे कैद करना।

Aur jo koi tere Parmeshwar ki vyavastha aur raja ki vyavastha na mane, usko phurti se dand diya jaye, chahe prandand, chahe desh nikala, chahe maal japt kiya jana, chahe kaid karna.

27

धन्य है हमारे पितरों का परमेश्वर यहोवा, जिसने ऐसी मनसा राजा के मन में उत्पन्न की है, कि यहोवा के यरूशलेम के भवन को संवारे,

Dhanya hai hamare pitron ka Parmeshwar Yahowa, jisne aisi mansa raja ke man mein utpann ki hai, ki Yahowa ke Yerushalem ke bhavan ko sanvare,

28

और मुझ पर राजा और उसके मंत्रियों और राजा के सब बड़े हाकिमों को दयालु किया। मेरे परमेश्वर यहोवा की कृपादृष्टि जो मुझ पर हुई, इसके अनुसार मैं ने हियाव बान्धा, और इस्राएल में से मुख्य पुरुषों को इकट्ठा किया, कि वे मेरे संग चलें।

Aur mujh par raja aur uske mantriyon aur raja ke sab bade hakimon ko dayalu kiya. Mere Parmeshwar Yahowa ki kripadrishti jo mujh par hui, iske anusaar main ne hiyaav bandha, aur Israel mein se mukhya purushon ko ikattha kiya, ki ve mere sang chalein.