Ezra 4 · 24 verses

एज्रा 4 Ezra 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ejra 4.

1

जब यहूदा और बिन्यामीन के शत्रुओं ने यह सुना कि बन्धुआई से छूटे हुए लोग इस्राएल के परमेश्वर यहोवा के लिये मन्दिर बना रहे हैं,

Jab Yahuda aur binyameen ke shatruon ne yah suna ki bandhuaai se chhoote hue log Israel ke Parmeshwar Yahowa ke liye mandir bana rahe hain,

2

तब वे जरुब्बाबेल और पूर्वजों के घरानों के मुख्य मुख्य पुरुषों के पास आकर उन से कहने लगे, हमें भी अपने संग बनाने दो; क्योंकि तुम्हारी नाईं हम भी तुम्हारे परमेश्वर की खोज में लगे हुए हैं, और अश्शूर का राजा एसर्हद्दोन जिसने हमें यहां पहुंचाया, उसके दिनों से हम उसी को बलि चढ़ाते भी हैं।

Tab ve jarubbabel aur poorvajon ke gharanon ke mukhya mukhya purushon ke paas aakar un se kahne lage, hamein bhi apne sang banane do; kyonki tumhari nai ham bhi tumhare Parmeshwar ki khoj mein lage hue hain, aur ashshoor ka raja esarhaddon jisne hamein yahan pahunchaya, uske dinon se ham usi ko bali chadhate bhi hain.

3

जरुब्बाबेल, येशू और इस्राएल के पितरों के घरानों के मुख्य पुरुषों ने उन से कहा, हमारे परमेश्वर के लिये भवन बनाने में तुम को हम से कुछ काम नहीं; हम ही लोग एक संग मिल कर फारस के राजा कुस्रू की आज्ञा के अनुसार इस्राएल के परमेश्वर यहोवा के लिये उसे बनाएंगे।

Jarubbabel, yeshu aur Israel ke pitron ke gharanon ke mukhya purushon ne un se kaha, hamare Parmeshwar ke liye bhavan banane mein tum ko ham se kuchh kaam nahi; ham hi log ek sang mil kar pharas ke raja kusru ki aagya ke anusaar Israel ke Parmeshwar Yahowa ke liye use banayenge.

4

तब उस देश के लोग यहूदियों के हाथ ढीला करने और उन्हें डरा कर मन्दिर बनाने में रुकावट डालने लगे।

Tab us desh ke log Yahudiyon ke haath dheela karne aur unhein dara kar mandir banane mein rukavat dalne lage.

5

और फारस के राजा कुस्रू के जीवन भर वरन फारस के राजा द्वारा के राज्य के समय तक उनके मनोरथ को निष्फल करने के लिये वकीलों को रुपया देते रहे।

Aur pharas ke raja kusru ke jeevan bhar varan pharas ke raja dwara ke rajya ke samay tak unke manorath ko nishphal karne ke liye vakeelon ko rupya dete rahe.

6

क्षयर्ष के राज्य के पहिले दिनों में उन्होंने यहूदा और यरूशलेम के निवासियों का दोषपत्र उसे लिख भेजा।

Kshayarsh ke rajya ke pahile dinon mein unhonne Yahuda aur Yerushalem ke nivasiyon ka doshpatra use likh bheja.

7

फिर अर्तक्षत्र के दिनों में बिशलाम, मियदात और ताबेल ने और उसके सहचरियों ने फारस के राजा अर्तक्षत्र को चिट्ठी लिखी, और चिट्ठी अरामी अक्षरों और अरामी भाषा में लिखी गई।

Phir artakshatra ke dinon mein bishlaam, miydaat aur tabel ne aur uske sahachriyon ne pharas ke raja artakshatra ko chitthi likhi, aur chitthi arami aksharon aur arami bhasha mein likhi gai.

8

अर्थात रहूम राजमंत्री और शिलशै मंत्री ने यरूशलेम के विरुद्ध राजा अर्तक्षत्र को इस आशय की चिट्ठी लिखी।

Arthaat rahoom rajmantri aur shilshai mantri ne Yerushalem ke viruddh raja artakshatra ko is aashay ki chitthi likhi.

9

उस समय रहूम राजमंत्री और शिमशै मंत्री और उनके और सहचरियों ने, अर्थात दीनी, अपर्सतकी, तर्पक्की, अफ़ारसी, एरेकी, बाबेली, शूशनी, देहवी, एलामी,

Us samay rahoom rajmantri aur shimshai mantri aur unke aur sahachriyon ne, arthaat deeni, aparsatki, tarpakki, afarsi, ereki, babeli, shooshni, dehvi, elami,

10

आदि जातियों ने जिन्हें महान और प्रधान ओस्नप्पर ने पार ले आकर शोमरोन नगर में और महानद के इस पार के शेष देश में बसाया था, एक चिट्ठी लिखी।

Aadi jatiyon ne jinhein mahaan aur pradhaan osnappar ne paar le aakar shomron nagar mein aur mahanad ke is paar ke shesh desh mein basaya tha, ek chitthi likhi.

11

जो चिट्ठी उन्होंने अर्तक्षत्र राजा को लिखी, उसकी यह नकल है---तेरे दास जो महानद के पार के मनुष्य हैं, इत्यादि।

Jo chitthi unhonne artakshatra raja ko likhi, uski yah nakal hai---tere daas jo mahanad ke paar ke manushya hain, ityadi.

12

राजा को यह विदित हो, कि जो यहूदी तेरे पास से चले आए, वे हमारे पास यरूशलेम को पहुंचे हैं। वे उस दंगैत और घिनौने नगर को बसा रहे हैं; वरन उसकी शहरपनाह को खड़ा कर चुके हैं और उसकी नेव को जोड़ चुके हैं।

Raja ko yah vidit ho, ki jo Yahudi tere paas se chale aaye, ve hamare paas Yerushalem ko pahunche hain. Ve us dangait aur ghinaune nagar ko basa rahe hain; varan uski shahrapnaah ko khada kar chuke hain aur uski nev ko jod chuke hain.

13

अब राजा को विदित हो कि यदि वह नगर बस गया और उसकी शहरपनाह बन चुकी, तब तो वे लोग कर, चुंगी और राहदारी फिर न देंगे, और अन्त में राजाओं की हानि होगी।

Ab raja ko vidit ho ki yadi vah nagar bas gaya aur uski shahrapnaah ban chuki, tab to ve log kar, chungi aur rahdari phir na denge, aur ant mein rajaon ki hani hogi.

14

हम लोग तो राजमन्दिर का नमक खाते हैं और उचित नहीं कि राजा का अनादर हमारे देखते हो, इस कारण हम यह चिट्ठी भेज कर राजा को चिता देते हैं।

Ham log to rajmandir ka namak khate hain aur uchit nahi ki raja ka anadar hamare dekhte ho, is karan ham yah chitthi bhej kar raja ko chita dete hain.

15

तेरे पुरखाओं के इतिहास की पुस्तक में खोज की जाए; तब इतिहास की पुस्तक में तू यह पाकर जान लेगा कि वह नगर बलवा करने वाला और राजाओं और प्रान्तों की हानि करने वाला है, और प्राचीन काल से उस में बलवा मचता आया है। और इसी कारण वह नगर नष्ट भी किया गया था।

Tere purkhaon ke itihaas ki pustak mein khoj ki jaye; tab itihaas ki pustak mein tu yah pakar jaan lega ki vah nagar balva karne vala aur rajaon aur pranton ki hani karne vala hai, aur pracheen kaal se us mein balva machta aaya hai. Aur isi karan vah nagar nasht bhi kiya gaya tha.

16

हम राजा को निश्चय करा देते हैं कि यदि वह नगर बसाया जाए और उसकी शहरपनाह बन चुके, तब इसके कारण महानद के इस पार तेरा कोई भाग न रह जाएगा।

Ham raja ko nishchay kara dete hain ki yadi vah nagar basaya jaye aur uski shahrapnaah ban chuke, tab iske karan mahanad ke is paar tera koi bhaag na rah jayega.

17

तब राजा ने रहूम राजमंत्री और शिमशै मंत्री और शोमरोन और महानद के इस पार रहने वाले उनके और सहचरियों के पास यह उत्तर भेजा, कुशल, इत्यादि।

Tab raja ne rahoom rajmantri aur shimshai mantri aur shomron aur mahanad ke is paar rahne vale unke aur sahachriyon ke paas yah uttar bheja, kushal, ityadi.

18

जो चिट्ठी तुम लोगों ने हमारे पास भेजी वह मेरे साम्हने पढ़ कर साफ साफ सुनाई गई।

Jo chitthi tum logon ne hamare paas bheji vah mere samhane padh kar saaph saaph sunai gai.

19

और मेरी आज्ञा से खोज किये जाने पर जान पड़ा है, कि वह नगर प्राचीनकाल से राजाओं के विरुद्ध सिर उठाता आया है और उसमें दंगा और बलवा होता आया है।

Aur meri aagya se khoj kiye jane par jaan pada hai, ki vah nagar pracheenkaal se rajaon ke viruddh sir uthata aaya hai aur usmein danga aur balva hota aaya hai.

20

यरूशलेम के सामर्थी राजा भी हुए जो महानद के पार से समस्त देश पर राज्य करते थे, और कर, चुंगी और राहदारी उन को दी जाती थी।

Yerushalem ke samarthi raja bhi hue jo mahanad ke paar se samast desh par rajya karte the, aur kar, chungi aur rahdari un ko di jati thi.

21

इसलिये अब इस आज्ञा का प्रचार कर कि वे मनुष्य रोके जाएं और जब तक मेरी ओर से आज्ञा न मिले, तब तक वह नगर बनाया न जाए।

Isliye ab is aagya ka prachaar kar ki ve manushya roke jayen aur jab tak meri or se aagya na mile, tab tak vah nagar banaya na jaye.

22

और चौकस रहो, कि इस बात में ढीले न होना; राजाओं की हानि करने वाली वह बुराई क्यों बढ़ने पाए?

Aur chaukas raho, ki is baat mein dheele na hona; rajaon ki hani karne vali vah burai kyon badhne paye?

23

जब राजा अर्तक्षत्र की यह चिट्ठी रहूम और शिमशै मंत्री और उनके सहचरियों को पढ़ कर सुनाई गई, तब वे उतावली कर के यरूशलेम को यहूदियों के पास गए और भुजबल और बरियाई से उन को रोक दिया।

Jab raja artakshatra ki yah chitthi rahoom aur shimshai mantri aur unke sahachriyon ko padh kar sunai gai, tab ve utavli kar ke Yerushalem ko Yahudiyon ke paas gaye aur bhujbal aur bariyai se un ko rok diya.

24

तब परमेश्वर के भवन का काम जो यरूशलेम में है, रुक गया; और फारस के राजा दारा के राज्य के दूसरे वर्ष तक रुका रहा।

Tab Parmeshwar ke bhavan ka kaam jo Yerushalem mein hai, ruk gaya; aur pharas ke raja dara ke rajya ke doosre varsh tak ruka raha.