जब सातवां महीना आया, और इस्राएली अपने अपने नगर में बस गए, तो लोग यरूशलेम में एक मन हो कर इकट्ठे हुए।
Jab satvan maheena aaya, aur Israeli apne apne nagar mein bas gaye, to log Yerushalem mein ek man ho kar ikatthe hue.
Ezra 3 · 13 verses
जब सातवां महीना आया, और इस्राएली अपने अपने नगर में बस गए, तो लोग यरूशलेम में एक मन हो कर इकट्ठे हुए।
Jab satvan maheena aaya, aur Israeli apne apne nagar mein bas gaye, to log Yerushalem mein ek man ho kar ikatthe hue.
तब योसादाक के पुत्र येशू ने अपने भाई याजकों समेत और शालतीएल के पुत्र जरूब्बाबेल ने अपने भाइयों समेत कमर बान्ध कर इस्राएल के परमेश्वर की वेदी को बनाया कि उस पर होमबलि चढ़ाएं, जैसे कि परमेश्वर के भक्त मूसा की व्यवस्था में लिखा है।
Tab yosadaak ke putra yeshu ne apne bhai yajkon samet aur shalteeyel ke putra jaroobbabel ne apne bhaiyon samet kamar baandh kar Israel ke Parmeshwar ki vedi ko banaya ki us par homabli chadhayen, jaise ki Parmeshwar ke bhakt Musa ki vyavastha mein likha hai.
तब उन्होंने वेदी को उसके स्थान पर खड़ा किया क्योंकि उन्हें उस ओर के देशों के लोगों का भय रहा, और वे उस पर यहोवा के लिये होमबलि अर्थात प्रतिदिन सबेरे और सांझ के होमबलि चढ़ाने लगे।
Tab unhonne vedi ko uske sthaan par khada kiya kyonki unhein us or ke deshon ke logon ka bhay raha, aur ve us par Yahowa ke liye homabli arthaat pratidin sabere aur saanjh ke homabli chadhane lage.
और उन्होंने झोंपड़ियों के पर्व को माना, जैसे कि लिखा है, और प्रतिदिन के होमबलि एक एक दिन की गिनती और नियम के अनुसार चढ़ाए।
Aur unhonne jhompdiyon ke parva ko mana, jaise ki likha hai, aur pratidin ke homabli ek ek din ki ginti aur niyam ke anusaar chadhaye.
और उसके बाद नित्य होमबलि और नये नये चान्द और यहोवा के पवित्र किए हुए सब नियत पर्वों के बलि और अपनी अपनी इच्छा से यहोवा के लिये सब स्वेच्छाबलि हर एक के लिये बलि चढ़ाए।
Aur uske baad nitya homabli aur naye naye chaand aur Yahowa ke pavitra kiye hue sab niyat parvon ke bali aur apni apni ichchha se Yahowa ke liye sab swechchhabli har ek ke liye bali chadhaye.
सातवें महीने के पहिले दिन से वे यहोवा को होमबलि चढ़ाने लगे। परन्तु यहोवा के मन्दिर की नेव तब तक न डाली गई थी।
Satvein maheene ke pahile din se ve Yahowa ko homabli chadhane lage. Parantu Yahowa ke mandir ki nev tab tak na dali gai thi.
तब उन्होंने पत्थर गढ़ने वालों और कारीगरों को रुपया, और सीदोनी और सोरी लोगों को खाने-पीने की वस्तुएं और तेल दिया, कि वे फारस के राजा कुस्रू के पत्र के अनुसार देवदार की लकड़ी लबानोन से जापा के पास के समुद्र में पहुंचाएं।
Tab unhonne patthar gadhne valon aur kareegron ko rupya, aur seedoni aur sori logon ko khane-peene ki vastuein aur tel diya, ki ve pharas ke raja kusru ke patra ke anusaar devdaar ki lakdi labanon se japa ke paas ke samudra mein pahunchayen.
उनके परमेश्वर के भवन में, जो यरूशलेम में है, आने के दूसरे वर्ष के दूसरे महीने में, शालतीएल के पुत्र जरुब्बाबेल ने और योसादाक के पुत्र येशू ने और उनके और भाइयों ने जो याजक और लेवीय थे, और जितने बन्धुआई से यरूशलेम में आए थे उन्होंने भी काम को आरम्भ किया, और बीस वर्ष अथवा उस से अधिक अवस्था के लेवियों को यहोवा के भवन का काम चलाने के लिये नियुक्त किया।
Unke Parmeshwar ke bhavan mein, jo Yerushalem mein hai, aane ke doosre varsh ke doosre maheene mein, shalteeyel ke putra jarubbabel ne aur yosadaak ke putra yeshu ne aur unke aur bhaiyon ne jo yajak aur leveeya the, aur jitne bandhuaai se Yerushalem mein aaye the unhonne bhi kaam ko aarambh kiya, aur bees varsh athva us se adhik avastha ke leviyon ko Yahowa ke bhavan ka kaam chalane ke liye niyukt kiya.
तो येशू और उसके बेटे और भाई और कदमीएल और उसके बेटे, जो यहूदा की सन्तान थे, और हेनादाद की सन्तान और उनके बेटे परमेश्वर के भवन में कारीगरों का काम चलाने को खड़े हुए।
To yeshu aur uske bete aur bhai aur kadmeeyel aur uske bete, jo Yahuda ki santaan the, aur henadaad ki santaan aur unke bete Parmeshwar ke bhavan mein kareegron ka kaam chalane ko khade hue.
और जब राजों ने यहोवा के मन्दिर की नेव डाली तब अपने वस्त्र पहिने हुए, और तुरहियां लिये हुए याजक, और झांझ लिये हुए आसाप के वंश के लेवीय इसलिये नियुक्त किए गए कि इस्राएलियों के राजा दाऊद की चलाई हुई रीति के अनुसार यहोवा की स्तुति करें।
Aur jab rajon ne Yahowa ke mandir ki nev dali tab apne vastra pahine hue, aur turhiyan liye hue yajak, aur jhaanjh liye hue aasaap ke vansh ke leveeya isliye niyukt kiye gaye ki Israeliyon ke raja Daud ki chalai hui reeti ke anusaar Yahowa ki stuti karein.
सो वे यह गा गाकर यहोवा की स्तुति और धन्यवाद करने लगे, कि वह भला है, और उसकी करुणा इस्राएल पर सदैव बनी है। और जब वे यहोवा की स्तुति करने लगे तब सब लोगों ने यह जान कर कि यहोवा के भवन की नेव अब पड़ रही है, ऊंचे शब्द से जयजयकार किया।
So ve yah ga gakar Yahowa ki stuti aur dhanyavaad karne lage, ki vah bhala hai, aur uski karuna Israel par sadaiv bani hai. Aur jab ve Yahowa ki stuti karne lage tab sab logon ne yah jaan kar ki Yahowa ke bhavan ki nev ab pad rahi hai, oonche shabd se jayjaykaar kiya.
परन्तु बहुतेरे याजक और लेवीय और पूर्वजों के घरानों के मुख्य पुरुष, अर्थात वे बूढ़े जिन्होंने पहिला भवन देखा था, जब इस भवन की नेव उनकी आंखों के साम्हने पड़ी तब फूट फूटकर रोने लगे, और बहुतेरे आनन्द के मारे ऊंचे शब्द से जयजयकार कर रहे थे।
Parantu bahutere yajak aur leveeya aur poorvajon ke gharanon ke mukhya purush, arthaat ve boodhe jinhonne pahila bhavan dekha tha, jab is bhavan ki nev unki aankhon ke samhane padi tab phoot phootkar rone lage, aur bahutere aanand ke mare oonche shabd se jayjaykaar kar rahe the.
इसलिये लोग, आनन्द के जयजयकार का शब्द, लोगों के रोने के शब्द से अलग पहिचान न सके, क्योंकि लोग ऊंचे शब्द से जयजयकार कर रहे थे, और वह शब्द दूर तक सुनाई देता था।
Isliye log, aanand ke jayjaykaar ka shabd, logon ke rone ke shabd se alag pahichaan na sake, kyonki log oonche shabd se jayjaykaar kar rahe the, aur vah shabd door tak sunai deta tha.