Ezra 1 · 11 verses

एज्रा 1 Ezra 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ejra 1.

1

फारस के राजा कुस्रू के पहिले वर्ष में यहोवा ने फारस के राजा कुस्रू का मन उभारा कि यहोवा का जो वचन यिर्मयाह के मुंह से निकला था वह पूरा हो जाए, इसलिये उसने अपने समस्त राज्य में यह प्रचार करवाया और लिखवा भी दिया:

Pharas ke raja kusru ke pahile varsh mein Yahowa ne pharas ke raja kusru ka man ubhara ki Yahowa ka jo vachan yirmayaah ke munh se nikla tha vah poora ho jaye, isliye usne apne samast rajya mein yah prachaar karvaya aur likhva bhi diya:

2

कि फारस का राजा कुस्रू यों कहता है: कि स्वर्ग के परमेश्वर यहोवा ने पृथ्वी भर का राज्य मुझे दिया है, और उसने मुझे आज्ञा दी, कि यहूदा के यरूशलेम में मेरा एक भवन बनवा।

Ki pharas ka raja kusru yon kahta hai: ki swarg ke Parmeshwar Yahowa ne prithvi bhar ka rajya mujhe diya hai, aur usne mujhe aagya di, ki Yahuda ke Yerushalem mein mera ek bhavan banva.

3

उसकी समस्त प्रजा के लोगों में से तुम्हारे मध्य जो कोई हो, उसका परमेश्वर उसके साथ रहे, और वह यहूदा के यरूशलेम को जा कर इस्राएल के परमेश्वर यहोवा का भवन बनाए - जो यरूशलेम में है वही परमेश्वर है।

Uski samast praja ke logon mein se tumhare madhya jo koi ho, uska Parmeshwar uske saath rahe, aur vah Yahuda ke Yerushalem ko ja kar Israel ke Parmeshwar Yahowa ka bhavan banaye - jo Yerushalem mein hai vahi Parmeshwar hai.

4

और जो कोई किसी स्थान में रह गया हो, जहां वह रहता हो, उस स्थान के मनुष्य चान्दी, सोना, धन और पशु दे कर उसकी सहायता करें और इस से अधिक परमेश्वर के यरूशलेम के भवन के लिये अपनी अपनी इच्छा से भी भेंट चढ़ाएं॥

Aur jo koi kisi sthaan mein rah gaya ho, jahan vah rahta ho, us sthaan ke manushya chandi, sona, dhan aur pashu de kar uski sahayta karein aur is se adhik Parmeshwar ke Yerushalem ke bhavan ke liye apni apni ichchha se bhi bhent chadhayen.

5

तब यहूदा और बिन्यामीन के जितने पितरों के घरानों के मुख्य पुरूषों और याजकों और लेवियों का मन परमेश्वर ने उभारा था कि जा कर यरूशलेम में यहोवा के भवन को बनाएं, वे सब उठ खड़े हुए;

Tab Yahuda aur binyameen ke jitne pitron ke gharanon ke mukhya purooshon aur yajkon aur leviyon ka man Parmeshwar ne ubhara tha ki ja kar Yerushalem mein Yahowa ke bhavan ko banayen, ve sab uth khade hue;

6

और उनके आसपास सब रहने वालों ने चान्दी के पात्र, सोना, धन, पशु और अनमोल वस्तुएं देकर, उनकी सहायता की; यह उन सब से अधिक था, जो लोगों ने अपनी अपनी इच्छा से दिया।

Aur unke aaspaas sab rahne valon ne chandi ke patra, sona, dhan, pashu aur anmol vastuein dekar, unki sahayta ki; yah un sab se adhik tha, jo logon ne apni apni ichchha se diya.

7

फिर यहोवा ने भवन के जो पात्र नबूकदनेस्सर ने यरूशलेम से निकाल कर अपने देवता के भवन में रखे थे,

Phir Yahowa ne bhavan ke jo patra nabookadnessar ne Yerushalem se nikaal kar apne devta ke bhavan mein rakhe the,

8

उन को कुस्रू राजा ने, मिथूदात खजांची से निकलवा कर, यहूदियों के शेशबस्सर नाम प्रधान को गिन कर सौंप दिया।

Un ko kusru raja ne, mithoodaat khajanchi se nikalva kar, Yahudiyon ke sheshbassar naam pradhaan ko gin kar saump diya.

9

उनकी गिनती यह थी, अर्थात सोने के तीस और चान्दी के एक हजार परात और उनतीस छुरी,

Unki ginti yah thi, arthaat sone ke tees aur chandi ke ek hajaar paraat aur untees chhuri,

10

सोने के तीस और मघ्यम प्रकार के चान्दी के चार सौ दस कटोरे तथा और प्रकार के पात्र एक हजार।

Sone ke tees aur maghyam prakaar ke chandi ke chaar sau das katore tatha aur prakaar ke patra ek hajaar.

11

सोने चान्दी के पात्र सब मिल कर पांच हजार चार सौ थे। इन सभों को शेशबस्सर उस समय ले आया जब बन्धुए बाबेल से यरूशलेम को आए॥

Sone chandi ke patra sab mil kar paanch hajaar chaar sau the. In sabhon ko sheshbassar us samay le aaya jab bandhue babel se Yerushalem ko aaye.