2 Chronicles 36 · 23 verses

2 इतिहास 36 2 Chronicles 36 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 itihaas 36.

1

तब देश के लोगों ने योशिय्याह के पुत्र यहोआहाज को ले कर उसके पिता के स्थान पर यरूशलेम में राजा बनाया।

Tab desh ke logon ne yoshiyyaah ke putra yahoaahaaj ko le kar uske pita ke sthaan par Yerushalem mein raja banaya.

2

जब यहोआहाज राज्य करने लगा, तब वह तेईस वर्ष का था, और तीन महीने तक यरूशलेम में राज्य करता रहा।

Jab yahoaahaaj rajya karne laga, tab vah teis varsh ka tha, aur teen maheene tak Yerushalem mein rajya karta raha.

3

तब मिस्र के राजा ने उसको यरूशलेम में राजगद्दी से उतार दिया, और देश पर सौ किक्कार चान्दी और किक्कार भर सोना जुरमाने में दण्ड लगाया।

Tab Misr ke raja ne usko Yerushalem mein rajgaddi se utaar diya, aur desh par sau kikkaar chandi aur kikkaar bhar sona jurmane mein dand lagaya.

4

तब मिस्र के राजा ने उसके भाई एल्याकीम को यहूदा और यरूशलेम का राजा बनाया और उसका नाम बदल कर यहोयाकीम रखा। और नको उसके भाई यहोआहाज को मिस्र में ले गया।

Tab Misr ke raja ne uske bhai elyakeem ko Yahuda aur Yerushalem ka raja banaya aur uska naam badal kar yahoyakeem rakha. Aur nako uske bhai yahoaahaaj ko Misr mein le gaya.

5

जब यहोयाकीम राज्य करने लगा, तब वह पच्चीस वर्ष का था, और ग्यारह वर्ष तक यरूशलेम में राज्य करता रहा। और उसने वह काम किया, जो उसके परमेश्वर यहोवा की दृष्टि में बुरा है।

Jab yahoyakeem rajya karne laga, tab vah pachchees varsh ka tha, aur gyarah varsh tak Yerushalem mein rajya karta raha. Aur usne vah kaam kiya, jo uske Parmeshwar Yahowa ki drishti mein bura hai.

6

उस पर बाबेल के राजा नबूकदनेस्सर ने चढ़ाई की, और बाबेल ले जाने के लिये उसको बेड़ियां पहना दीं।

Us par babel ke raja nabookadnessar ne chadhai ki, aur babel le jane ke liye usko bediyan pahna di.

7

फिर नबूकदनेस्सर ने यहोवा के भवन के कुछ पात्र बाबेल ले जा कर, अपने मन्दिर में जो बाबेल में था, रख दिए।

Phir nabookadnessar ne Yahowa ke bhavan ke kuchh patra babel le ja kar, apne mandir mein jo babel mein tha, rakh diye.

8

यहोयाकीम के और काम और उसने जो जो घिनौने काम किए, और उस में जो जो बुराइयां पाई गई, वह इस्राएल और यहूदा के राजाओं के इतिहास की पुस्तक में लिखी हैं। और उसका पुत्र यहोयाकीन उसके स्थान पर राज्य करने लगा।

Yahoyakeem ke aur kaam aur usne jo jo ghinaune kaam kiye, aur us mein jo jo buraiyan pai gai, vah Israel aur Yahuda ke rajaon ke itihaas ki pustak mein likhi hain. Aur uska putra yahoyakeen uske sthaan par rajya karne laga.

9

जब यहोयाकीन राज्य करने लगा, तब वह आठ वर्ष का था, और तीन महीने और दस दिन तक यरूशलेम में राज्य करता रहा। और उसने वह किया, जो परमेश्वर यहोवा की दृष्टि में बुरा है।

Jab yahoyakeen rajya karne laga, tab vah aath varsh ka tha, aur teen maheene aur das din tak Yerushalem mein rajya karta raha. Aur usne vah kiya, jo Parmeshwar Yahowa ki drishti mein bura hai.

10

नये वर्ष के लगते ही नबूकदनेस्सर ने लोगों को भेज कर, उसे और यहोवा के भवन के मनभावने पात्रों को बाबेल में मंगवा लिया, और उसके भाई सिदकिय्याह को यहूदा और यरूशलेम पर राजा नियुक्त किया।

Naye varsh ke lagte hi nabookadnessar ne logon ko bhej kar, use aur Yahowa ke bhavan ke manbhavne patron ko babel mein mangva liya, aur uske bhai sidkiyyaah ko Yahuda aur Yerushalem par raja niyukt kiya.

11

जब सिदकिय्याह राज्य करने लगा, तब वह इक्कीस वर्ष का था, और यरूशलेम में ग्यारह वर्ष तक राज्य करता रहा।

Jab sidkiyyaah rajya karne laga, tab vah ikkees varsh ka tha, aur Yerushalem mein gyarah varsh tak rajya karta raha.

12

और उसने वही किया, जो उसके परमेश्वर यहोवा की दृष्टि में बुरा है। यद्यपि यिर्मयाह नबी यहोवा की ओर से बातें कहता था, तौभी वह उसके साम्हने दीन न हुआ।

Aur usne vahi kiya, jo uske Parmeshwar Yahowa ki drishti mein bura hai. Yadyapi yirmayaah nabi Yahowa ki or se batein kahta tha, taubhi vah uske samhane deen na huaa.

13

फिर नबूकदनेस्सर जिसने उसे परमेश्वर की शपथ खिलाई थी, उस से उस ने बलवा किया, और उस ने हठ किया और अपना मन कठोर किया, कि वह इस्राएल के परमेश्वर यहोवा की ओर न फिरे।

Phir nabookadnessar jisne use Parmeshwar ki shapath khilai thi, us se us ne balva kiya, aur us ne hath kiya aur apna man kathor kiya, ki vah Israel ke Parmeshwar Yahowa ki or na phire.

14

वरन सब प्रधान याजकों ने और लोगों ने भी अन्य जातियों के से घिनौने काम कर के बहुत बड़ा विश्वासघात किया, और यहोवा के भवन को जो उसने यरूशलेम में पवित्र किया था, अशुद्ध कर डाला।

Varan sab pradhaan yajkon ne aur logon ne bhi anya jatiyon ke se ghinaune kaam kar ke bahut bada vishwasghaat kiya, aur Yahowa ke bhavan ko jo usne Yerushalem mein pavitra kiya tha, ashuddh kar dala.

15

और उनके पूर्वजों के परमेश्वर यहोवा ने बड़ा यत्न कर के अपने दूतों से उन के पास कहला भेजा, क्योंकि वह अपनी प्रजा और अपने धाम पर तरस खाता था;

Aur unke poorvajon ke Parmeshwar Yahowa ne bada yatn kar ke apne dooton se un ke paas kahla bheja, kyonki vah apni praja aur apne dhaam par taras khata tha;

16

परन्तु वे परमेश्वर के दूतों को ठट्ठों में उड़ाते, उस के वचनों को तुच्छ जानते, और उसके नबियों की हंसी करते थे। निदान यहोवा अपनी प्रजा पर ऐसा झुंझला उठा, कि बचने का कोई उपाय न रहा।

Parantu ve Parmeshwar ke dooton ko thatthon mein udate, us ke vachnon ko tuchchh jante, aur uske nabiyon ki hansi karte the. Nidaan Yahowa apni praja par aisa jhunjhla utha, ki bachne ka koi upaay na raha.

17

तब उसने उन पर कसदियों के राजा से चढ़ाई करवाई, और इस ने उनके जवानों को उनके पवित्र भवन ही में तलवार से मार डाला। और क्या जवान, क्या कुंवारी, क्या बूढ़े, क्या पक्के बाल वाले, किसी पर भी कोमलता न की; यहोवा ने सभों को उसके हाथ में कर दिया।

Tab usne un par kasdiyon ke raja se chadhai karvai, aur is ne unke javanon ko unke pavitra bhavan hi mein talvaar se maar dala. Aur kya javaan, kya kunvari, kya boodhe, kya pakke baal vale, kisi par bhi komalta na ki; Yahowa ne sabhon ko uske haath mein kar diya.

18

और क्या छोटे, क्या बड़े, परमेश्वर के भवन के सब पात्र और यहोवा के भवन, और राजा, और उसके हाकिमों के खजाने, इन सभों को वह बाबेल में ले गया।

Aur kya chhote, kya bade, Parmeshwar ke bhavan ke sab patra aur Yahowa ke bhavan, aur raja, aur uske hakimon ke khajane, in sabhon ko vah babel mein le gaya.

19

और कसदियों ने परमेश्वर का भवन फूंक दिया, और यरूशलेम की शहरपनाह को तोड़ डाला, और आग लगा कर उसके सब भवनों को जलाया, और उस में का सारा बहुमूल्य सामान नष्ट कर दिया।

Aur kasdiyon ne Parmeshwar ka bhavan phoonk diya, aur Yerushalem ki shahrapnaah ko tod dala, aur aag laga kar uske sab bhavnon ko jalaya, aur us mein ka sara bahumoolya samaan nasht kar diya.

20

और जो तलवार से बच गए, उन्हें वह बाबेल को ले गया, और फारस के राज्य के प्रबल होने तक वे उसके और उसके बेटों-पोतों के आधीन रहे।

Aur jo talvaar se bach gaye, unhein vah babel ko le gaya, aur pharas ke rajya ke prabal hone tak ve uske aur uske beton-poton ke aadheen rahe.

21

यह सब इसलिये हुआ कि यहोवा का जो वचन यिर्मयाह के मुंह से निकला था, वह पूरा हो, कि देश अपने विश्राम कालों में सुख भोगता रहे। इसलिये जब तक वह सूना पड़ा रहा तब तक अर्थात सत्तर वर्ष के पूरे होने तक उसको विश्राम मिला।

Yah sab isliye huaa ki Yahowa ka jo vachan yirmayaah ke munh se nikla tha, vah poora ho, ki desh apne vishraam kalon mein sukh bhogta rahe. Isliye jab tak vah soona pada raha tab tak arthaat sattar varsh ke poore hone tak usko vishraam mila.

22

फारस के राजा कुस्रू के पहिले वर्ष में यहोवा ने उसके मन को उभारा कि जो वचन यिर्मयाह के मुंह से निकला था, वह पूरा हो। इसलिये उसने अपने समस्त राज्य में यह प्रचार करवाया, और इस आशय की चिट्ठियां लिखवाईं,

Pharas ke raja kusru ke pahile varsh mein Yahowa ne uske man ko ubhara ki jo vachan yirmayaah ke munh se nikla tha, vah poora ho. Isliye usne apne samast rajya mein yah prachaar karvaya, aur is aashay ki chitthiyan likhvai,

23

कि फारस का राजा कू्स्रू कहता है, कि स्वर्ग के परमेश्वर यहोवा ने पृथ्वी भर का राज्य मुझे दिया है, और उसी ने मुझे आज्ञा दी है कि यरूशलेम जो यहूदा में है उस में मेरा एक भवन बनवा; इसलिये हे उसकी प्रजा के सब लोगो, तुम में से जो कोई चाहे कि उसका परमेश्वर यहोवा उसके साथ रहे, तो वह वहां रवाना हो जाए।

Ki pharas ka raja ksru kahta hai, ki swarg ke Parmeshwar Yahowa ne prithvi bhar ka rajya mujhe diya hai, aur usi ne mujhe aagya di hai ki Yerushalem jo Yahuda mein hai us mein mera ek bhavan banva; isliye he uski praja ke sab logo, tum mein se jo koi chahe ki uska Parmeshwar Yahowa uske saath rahe, to vah vahan ravana ho jaye.