मूसा ने इस्त्राएलियों की सारी मण्डली इकट्ठी करके उन से कहा, जिन कामों के करने की आज्ञा यहोवा ने दी है वे ये हैं।
Musa ne istrayeliyon ki sari mandali ikatthi karke un se kaha, jin kamon ke karne ki aagya Yahowa ne di hai ve ye hain.
Exodus 35 · 35 verses
मूसा ने इस्त्राएलियों की सारी मण्डली इकट्ठी करके उन से कहा, जिन कामों के करने की आज्ञा यहोवा ने दी है वे ये हैं।
Musa ne istrayeliyon ki sari mandali ikatthi karke un se kaha, jin kamon ke karne ki aagya Yahowa ne di hai ve ye hain.
छ: दिन तो काम काज किया जाए, परन्तु सातवां दिन तुम्हारे लिये पवित्र और यहोवा के लिये परमविश्राम का दिन ठहरे; उस में जो कोई काम काज करे वह मार डाला जाए;
Chha: din to kaam kaaj kiya jaye, parantu satvan din tumhare liye pavitra aur Yahowa ke liye paramvishraam ka din thahre; us mein jo koi kaam kaaj kare vah maar dala jaye;
वरन विश्राम के दिन तुम अपने अपने घरों में आग तक न जलाना॥
Varan vishraam ke din tum apne apne gharon mein aag tak na jalana.
फिर मूसा ने इस्त्राएलियों की सारी मण्डली से कहा, जिस बात की आज्ञा यहोवा ने दी है वह यह है।
Phir Musa ne istrayeliyon ki sari mandali se kaha, jis baat ki aagya Yahowa ne di hai vah yah hai.
तुम्हारे पास से यहोवा के लिये भेंट ली जाए, अर्थात जितने अपनी इच्छा से देना चाहें वे यहोवा की भेंट करके ये वस्तुएं ले आएं; अर्थात सोना, रूपा, पीतल;
Tumhare paas se Yahowa ke liye bhent li jaye, arthaat jitne apni ichchha se dena chahein ve Yahowa ki bhent karke ye vastuein le aayen; arthaat sona, roopa, peetal;
नीले, बैंजनी और लाल रंग का कपड़ा, सूक्ष्म सनी का कपड़ा; बकरी का बाल,
Neele, bainjni aur laal rang ka kapda, sookshm sani ka kapda; bakri ka baal,
लाल रंग से रंगी हुई मेढ़ों की खालें, सुइसों की खालें; बबूल की लकड़ी,
Laal rang se rangi hui medhon ki khalein, suison ki khalein; babool ki lakdi,
उजियाला देने के लिये तेल, अभिषेक का तेल, और धूप के लिये सुगन्धद्रव्य,
Ujiyala dene ke liye tel, abhishek ka tel, aur dhoop ke liye sugandhadravya,
फिर एपोद और चपरास के लिये सुलैमानी मणि और जड़ने के लिये मणि।
Phir epod aur chapraas ke liye sulaimani mani aur jadne ke liye mani.
और तुम में से जितनों के हृदय में बुद्धि का प्रकाश है वे सब आकर जिस जिस वस्तु की आज्ञा यहोवा ने दी है वे सब बनाएं।
Aur tum mein se jitnon ke hriday mein buddhi ka prakaash hai ve sab aakar jis jis vastu ki aagya Yahowa ne di hai ve sab banayen.
अर्थात तम्बू, और ओहार समेत निवास, और उसकी घुंडी, तख्ते, बेंड़े, खम्भे और कुर्सियां;
Arthaat tambu, aur ohaar samet nivaas, aur uski ghundi, takhte, bende, khambhe aur kursiyan;
फिर डण्डों समेत सन्दूक, और प्रायश्चित्त का ढकना, और बीचवाला पर्दा;
Phir dandon samet sandook, aur prayashchitt ka dhakna, aur beechvala parda;
डण्डों और सब सामान समेत मेज़, और भेंट की रोटियां;
Dandon aur sab samaan samet mez, aur bhent ki rotiyan;
सामान और दीपकों समेत उजियाला देनेवाला दीवट, और उजियाला देने के लिये तेल;
Samaan aur deepkon samet ujiyala denevala deevat, aur ujiyala dene ke liye tel;
डण्डों समेत धूपवेदी, अभिषेक का तेल, सुगन्धित धूप, और निवास के द्वार का पर्दा;
Dandon samet dhoopvedi, abhishek ka tel, sugandhit dhoop, aur nivaas ke dwaar ka parda;
पीतल की झंझरी, डण्डों आदि सारे सामान समेत होमवेदी, पाए समेत हौदी;
Peetal ki jhanjhri, dandon aadi sare samaan samet homvedi, paye samet haudi;
खम्भों और उनकी कुर्सियों समेत आंगन के पर्दे, और आंगन के द्वार के पर्दे;
Khambhon aur unki kursiyon samet aangan ke parde, aur aangan ke dwaar ke parde;
निवास और आंगन दोनों के खूंटे, और डोरियां;
Nivaas aur aangan donon ke khoonte, aur doriyan;
पवित्रस्थान में सेवा टहल करने के लिये काढ़े हुए वस्त्र, और याजक का काम करने के लिये हारून याजक के पवित्र वस्त्र, और उसके पुत्रों के वस्त्र भी॥
Pavitrasthaan mein seva tahal karne ke liye kadhe hue vastra, aur yajak ka kaam karne ke liye haroon yajak ke pavitra vastra, aur uske putron ke vastra bhi.
तब इस्त्राएलियों की सारी मण्डली मूसा के साम्हने से लौट गई।
Tab istrayeliyon ki sari mandali Musa ke samhane se laut gai.
और जितनों को उत्साह हुआ, और जितनों के मन में ऐसी इच्छा उत्पन्न हुई थी, वे मिलाप वाले तम्बू के काम करने और उसकी सारी सेवकाई और पवित्र वस्त्रों के बनाने के लिये यहोवा की भेंट ले आने लगे।
Aur jitnon ko utsaah huaa, aur jitnon ke man mein aisi ichchha utpann hui thi, ve milaap vale tambu ke kaam karne aur uski sari sevkai aur pavitra vastron ke banane ke liye Yahowa ki bhent le aane lage.
क्या स्त्री, क्या पुरूष, जितनों के मन में ऐसी इच्छा उत्पन्न हुई भी वे सब जुगनू, नथुनी, मुंदरी, और कंगन आदि सोने के गहने ले आने लगे, इस भांति जितने मनुष्य यहोवा के लिये सोने की भेंट के देने वाले थे वे सब उन को ले आए।
Kya stri, kya puroosh, jitnon ke man mein aisi ichchha utpann hui bhi ve sab jugnu, nathuni, mundri, aur kangan aadi sone ke gahne le aane lage, is bhanti jitne manushya Yahowa ke liye sone ki bhent ke dene vale the ve sab un ko le aaye.
और जिस जिस पुरूष के पास नीले, बैंजनी वा लाल रंग का कपड़ा वा सूक्ष्म सनी का कपड़ा, वा बकरी का बाल, वा लाल रंग से रंगी हुई मेढ़ों की खालें, वा सूइसों की खालें थी वे उन्हें ले आए।
Aur jis jis puroosh ke paas neele, bainjni va laal rang ka kapda va sookshm sani ka kapda, va bakri ka baal, va laal rang se rangi hui medhon ki khalein, va sooison ki khalein thi ve unhein le aaye.
फिर जितने चांदी, वा पीतल की भेंट के देने वाले थे वे यहोवा के लिये वैसी भेंट ले आए; और जिस जिसके पास सेवकाई के किसी काम के लिये बबूल की लकड़ी थी वे उसे ले आए।
Phir jitne chandi, va peetal ki bhent ke dene vale the ve Yahowa ke liye vaisi bhent le aaye; aur jis jiske paas sevkai ke kisi kaam ke liye babool ki lakdi thi ve use le aaye.
और जितनी स्त्रियों के हृदय में बुद्धि का प्रकाश था वे अपने हाथों से सूत कात कातकर नीले, बैंजनी और लाल रंग के, और सूक्ष्म सनी के काते हुए सूत को ले आईं।
Aur jitni striyon ke hriday mein buddhi ka prakaash tha ve apne hathon se soot kaat katkar neele, bainjni aur laal rang ke, aur sookshm sani ke kate hue soot ko le aai.
और जितनी स्त्रियों के मन में ऐसी बुद्धि का प्रकाश था उन्हो ने बकरी के बाल भी काते।
Aur jitni striyon ke man mein aisi buddhi ka prakaash tha unho ne bakri ke baal bhi kate.
और प्रधान लोग एपोद और चपरास के लिये सुलैमानी मणि, और जड़ने के लिये मणि,
Aur pradhaan log epod aur chapraas ke liye sulaimani mani, aur jadne ke liye mani,
और उजियाला देने और अभिषेक और धूप के सुगन्धद्रव्य और तेल ले आये।
Aur ujiyala dene aur abhishek aur dhoop ke sugandhadravya aur tel le aaye.
जिस जिस वस्तु के बनाने की आज्ञा यहोवा ने मूसा के द्वारा दी थी उसके लिये जो कुछ आवश्यक था, उसे वे सब पुरूष और स्त्रियां ले आई, जिनके हृदय में ऐसी इच्छा उत्पन्न हुई थी। इस प्रकार इस्त्राएली यहोवा के लिये अपनी ही इच्छा से भेंट ले आए॥
Jis jis vastu ke banane ki aagya Yahowa ne Musa ke dwara di thi uske liye jo kuchh aavashyak tha, use ve sab puroosh aur striyan le aai, jinke hriday mein aisi ichchha utpann hui thi. Is prakaar istrayeli Yahowa ke liye apni hi ichchha se bhent le aaye.
तब मूसा ने इस्त्राएलियों से कहा सुनो, यहोवा ने यहूदा के गोत्र वाले बसलेल को, जो ऊरी का पुत्र और हूर का पोता है, नाम ले कर बुलाया है।
Tab Musa ne istrayeliyon se kaha suno, Yahowa ne Yahuda ke gotra vale baslel ko, jo oori ka putra aur hoor ka pota hai, naam le kar bulaya hai.
और उसने उसको परमेश्वर के आत्मा से ऐसा परिपूर्ण किया हे कि सब प्रकार की बनावट के लिये उसको ऐसी बुद्धि, समझ, और ज्ञान मिला है,
Aur usne usko Parmeshwar ke aatma se aisa paripoorn kiya he ki sab prakaar ki banavat ke liye usko aisi buddhi, samajh, aur gyaan mila hai,
कि वह कारीगरी की युक्तियां निकाल कर सोने, चांदी, और पीतल में,
Ki vah kareegri ki yuktiyan nikaal kar sone, chandi, aur peetal mein,
और जड़ने के लिये मणि काटने में और लकड़ी के खोदने में, वरन बुद्धि से सब भांति की निकाली हुई बनावट में काम कर सके।
Aur jadne ke liye mani katne mein aur lakdi ke khodne mein, varan buddhi se sab bhanti ki nikali hui banavat mein kaam kar sake.
फिर यहोवा ने उसके मन में और दान के गोत्र वाले अहीसामाक के पुत्र ओहोलीआब के मन में भी शिक्षा देने की शक्ति दी है।
Phir Yahowa ne uske man mein aur daan ke gotra vale aheesamaak ke putra oholeeaab ke man mein bhi shiksha dene ki shakti di hai.
इन दोनों के हृदय को यहोवा ने ऐसी बुद्धि से परिपूर्ण किया है, कि वे खोदने और गढ़ने और नीले, बैजनी और लाल रंग के कपड़े, और सूक्ष्म सनी के कपड़े में काढ़ने और बुनने, वरन सब प्रकार की बनावट में, और बुद्धि से काम निकालने में सब भांति के काम करें॥
In donon ke hriday ko Yahowa ne aisi buddhi se paripoorn kiya hai, ki ve khodne aur gadhne aur neele, baijni aur laal rang ke kapde, aur sookshm sani ke kapde mein kadhne aur bunne, varan sab prakaar ki banavat mein, aur buddhi se kaam nikalne mein sab bhanti ke kaam karein.