Exodus 32 · 35 verses

निर्गमन 32 Exodus 32 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nirgaman 32.

1

जब लोगों ने देखा कि मूसा को पर्वत से उतरने में विलम्ब हो रहा है, तब वे हारून के पास इकट्ठे हो कर कहने लगे, अब हमारे लिये देवता बना, जो हमारे आगे आगे चले; क्योंकि उस पुरूष मूसा को जो हमें मिस्र देश से निकाल ले आया है, हम नहीं जानते कि उसे क्या हुआ?

Jab logon ne dekha ki Musa ko parvat se utarne mein vilamb ho raha hai, tab ve haroon ke paas ikatthe ho kar kahne lage, ab hamare liye devta bana, jo hamare aage aage chale; kyonki us puroosh Musa ko jo hamein Misr desh se nikaal le aaya hai, ham nahi jante ki use kya huaa?

2

हारून ने उन से कहा, तुम्हारी स्त्रियों और बेटे बेटियों के कानों में सोने की जो बालियां है उन्हें तोड़कर उतारो, और मेरे पास ले आओ।

Haroon ne un se kaha, tumhari striyon aur bete betiyon ke kanon mein sone ki jo baliyan hai unhein todkar utaro, aur mere paas le aao.

3

तब सब लोगों ने उनके कानों से सोने की बालियों को तोड़कर उतारा, और हारून के पास ले आए।

Tab sab logon ne unke kanon se sone ki baliyon ko todkar utara, aur haroon ke paas le aaye.

4

और हारून ने उन्हें उनके हाथ से लिया, और एक बछड़ा ढालकर बनाया, और टांकी से गढ़ा; तब वे कहने लगे, कि हे इस्त्राएल तेरा परमेश्वर जो तुझे मिस्र देश से छुड़ा लाया है वह यही है।

Aur haroon ne unhein unke haath se liya, aur ek bachhda dhalkar banaya, aur tanki se gadha; tab ve kahne lage, ki he istrayel tera Parmeshwar jo tujhe Misr desh se chhuda laya hai vah yahi hai.

5

यह देखके हारून ने उसके आगे एक वेदी बनवाई; और यह प्रचार किया, कि कल यहोवा के लिये पर्ब्ब होगा।

Yah dekhke haroon ne uske aage ek vedi banvai; aur yah prachaar kiya, ki kal Yahowa ke liye parbb hoga.

6

और दूसरे दिन लोगों ने तड़के उठ कर होमबलि चढ़ाए, और मेलबलि ले आए; फिर बैठकर खाया पिया, और उठ कर खेलने लगे॥

Aur doosre din logon ne tadke uth kar homabli chadhaye, aur melabli le aaye; phir baithkar khaya piya, aur uth kar khelne lage.

7

तब यहोवा ने मूसा से कहा, नीचे उतर जा, क्योंकि तेरी प्रजा के लोग, जिन्हें तू मिस्र देश से निकाल ले आया है, सो बिगड़ गए हैं;

Tab Yahowa ne Musa se kaha, neeche utar ja, kyonki teri praja ke log, jinhein tu Misr desh se nikaal le aaya hai, so bigad gaye hain;

8

और जिस मार्ग पर चलने की आज्ञा मैं ने उन को दी थी उसको झटपट छोड़कर उन्होंने एक बछड़ा ढालकर बना लिया, फिर उसको दण्डवत किया, और उसके लिये बलिदान भी चढ़ाया, और यह कहा है, कि हे इस्त्राएलियों तुम्हारा परमेश्वर जो तुम्हें मिस्र देश से छुड़ा ले आया है वह यही है।

Aur jis maarg par chalne ki aagya main ne un ko di thi usko jhatpat chhodkar unhonne ek bachhda dhalkar bana liya, phir usko dandavat kiya, aur uske liye balidaan bhi chadhaya, aur yah kaha hai, ki he istrayeliyon tumhara Parmeshwar jo tumhein Misr desh se chhuda le aaya hai vah yahi hai.

9

फिर यहोवा ने मूसा से कहा, मैं ने इन लोगों को देखा, और सुन, वे हठीले हैं।

Phir Yahowa ne Musa se kaha, main ne in logon ko dekha, aur sun, ve hatheele hain.

10

अब मुझे मत रोक, मेरा कोप उन पर भड़क उठा है जिस से मैं उन्हें भस्म करूं; परन्तु तुझ से एक बड़ी जाति उपजाऊंगा।

Ab mujhe mat rok, mera kop un par bhadak utha hai jis se main unhein bhasm karun; parantu tujh se ek badi jati upjaoonga.

11

तब मूसा अपने परमेश्वर यहोवा को यह कहके मनाने लगा, कि हे यहोवा, तेरा कोप अपनी प्रजा पर क्यों भड़का है, जिसे तू बड़े सामर्थ्य और बलवन्त हाथ के द्वारा मिस्र देश से निकाल लाया है?

Tab Musa apne Parmeshwar Yahowa ko yah kahke manane laga, ki he Yahowa, tera kop apni praja par kyon bhadka hai, jise tu bade samarthya aur balvant haath ke dwara Misr desh se nikaal laya hai?

12

मिस्री लोग यह क्यों कहने पाए, कि वह उन को बुरे अभिप्राय से, अर्थात पहाड़ों में घात करके धरती पर से मिटा डालने की मनसा से निकाल ले गया? तू अपने भड़के हुए कोप को शांत कर, और अपनी प्रजा को ऐसी हानि पहुचाने से फिर जा।

Misri log yah kyon kahne paye, ki vah un ko bure abhipraay se, arthaat pahadon mein ghaat karke dharti par se mita dalne ki mansa se nikaal le gaya? Tu apne bhadke hue kop ko shaant kar, aur apni praja ko aisi hani pahuchane se phir ja.

13

अपने दास इब्राहीम, इसहाक, और याकूब को स्मरण कर, जिन से तू ने अपनी ही किरिया खाकर यह कहा था, कि मैं तुम्हारे वंश को आकाश के तारों के तुल्य बहुत करूंगा, और यह सारा देश जिसकी मैं ने चर्चा की है तुम्हारे वंश को दूंगा, कि वह उसके अधिकारी सदैव बने रहें।

Apne daas Ibrahim, Ishaq, aur Yakub ko smaran kar, jin se tu ne apni hi kiriya khakar yah kaha tha, ki main tumhare vansh ko aakaash ke taron ke tulya bahut karoonga, aur yah sara desh jiski main ne charcha ki hai tumhare vansh ko doonga, ki vah uske adhikari sadaiv bane rahein.

14

तब यहोवा अपनी प्रजा की हानि करने से जो उस ने कहा था पछताया॥

Tab Yahowa apni praja ki hani karne se jo us ne kaha tha pachhtaya.

15

तब मूसा फिरकर साक्षी की दानों तख्तियों को हाथ में लिये हुए पहाड़ से उतर गया, उन तख्तियों के तो इधर और उधर दोनों अलंगों पर कुछ लिखा हुआ था।

Tab Musa phirkar sakshi ki danon takhtiyon ko haath mein liye hue pahaad se utar gaya, un takhtiyon ke to idhar aur udhar donon alangon par kuchh likha huaa tha.

16

और वे तख्तियां परमेश्वर की बनाईं हुई थीं, और उन पर जो खोदकर लिखा हुआ था वह परमेश्वर का लिखा हुआ था॥

Aur ve takhtiyan Parmeshwar ki banai hui thi, aur un par jo khodkar likha huaa tha vah Parmeshwar ka likha huaa tha.

17

जब यहोशू को लोगों के कोलाहल का शब्द सुनाईं पड़ा, तब उसने मूसा से कहा, छावनी से लड़ाई का सा शब्द सुनाईं देता है।

Jab yahoshu ko logon ke kolahal ka shabd sunai pada, tab usne Musa se kaha, chhavni se ladai ka sa shabd sunai deta hai.

18

उसने कहा, वह जो शब्द है वह न तो जीतने वालों का है, और न हारने वालों का, मुझे तो गाने का शब्द सुन पड़ता है।

Usne kaha, vah jo shabd hai vah na to jeetne valon ka hai, aur na harne valon ka, mujhe to gane ka shabd sun padta hai.

19

छावनी के पास आते ही मूसा को वह बछड़ा और नाचना देख पड़ा, तब मूसा का कोप भड़क उठा, और उसने तख्तियों को अपने हाथों से पर्वत के नीचे पटककर तोड़ डाला।

Chhavni ke paas aate hi Musa ko vah bachhda aur nachna dekh pada, tab Musa ka kop bhadak utha, aur usne takhtiyon ko apne hathon se parvat ke neeche patakkar tod dala.

20

तब उसने उनके बनाए हुए बछड़े को ले कर आग में डालके फूंक दिया। और पीसकर चूर चूर कर डाला, और जल के ऊपर फेंक दिया, और इस्त्राएलियों को उसे पिलवा दिया।

Tab usne unke banaye hue bachhde ko le kar aag mein dalke phoonk diya. Aur peeskar choor choor kar dala, aur jal ke oopar phenk diya, aur istrayeliyon ko use pilva diya.

21

तब मूसा हारून से कहने लगा, उन लोगों ने तुझ से क्या किया कि तू ने उन को इतने बड़े पाप में फंसाया?

Tab Musa haroon se kahne laga, un logon ne tujh se kya kiya ki tu ne un ko itne bade paap mein phansaya?

22

हारून ने उत्तर दिया, मेरे प्रभु का कोप न भड़के; तू तो उन लोगों को जानता ही है कि वे बुराई में मन लगाए रहते हैं।

Haroon ne uttar diya, mere Prabhu ka kop na bhadke; tu to un logon ko janta hi hai ki ve burai mein man lagaye rahte hain.

23

और उन्होंने मुझ से कहा, कि हमारे लिये देवता बनवा जो हमारे आगे आगे चले; क्योंकि उस पुरूष मूसा को, जो हमें मिस्र देश से छुड़ा लाया है, हम नहीं जानते कि उसे क्या हुआ?

Aur unhonne mujh se kaha, ki hamare liye devta banva jo hamare aage aage chale; kyonki us puroosh Musa ko, jo hamein Misr desh se chhuda laya hai, ham nahi jante ki use kya huaa?

24

तब मैं ने उन से कहा, जिस जिसके पास सोने के गहने हों, वे उन को तोड़कर उतार लाएं; और जब उन्होंने मुझ को दिया, मैं ने उन्हें आग में डाल दिया, तब यह बछड़ा निकल पड़ा

Tab main ne un se kaha, jis jiske paas sone ke gahne hon, ve un ko todkar utaar layen; aur jab unhonne mujh ko diya, main ne unhein aag mein daal diya, tab yah bachhda nikal pada

25

हारून ने उन लोगों को ऐसा निरंकुश कर दिया था कि वे अपने विरोधियों के बीच उपहास के योग्य हुए,

Haroon ne un logon ko aisa nirankush kar diya tha ki ve apne virodhiyon ke beech uphaas ke yogya hue,

26

उन को निरंकुश देखकर मूसा ने छावनी के निकास पर खड़े हो कर कहा, जो कोई यहोवा की ओर का हो वह मेरे पास आए; तब सारे लेवीय उस के पास इकट्ठे हुए।

Un ko nirankush dekhkar Musa ne chhavni ke nikaas par khade ho kar kaha, jo koi Yahowa ki or ka ho vah mere paas aaye; tab sare leveeya us ke paas ikatthe hue.

27

उसने उन से कहा, इस्त्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, कि अपनी अपनी जांघ पर तलवार लटका कर छावनी से एक निकास से दूसरे निकास तक घूम घूमकर अपने अपने भाइयों, संगियों, और पड़ोसियों घात करो।

Usne un se kaha, istrayel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ki apni apni jaangh par talvaar latka kar chhavni se ek nikaas se doosre nikaas tak ghoom ghoomkar apne apne bhaiyon, sangiyon, aur padosiyon ghaat karo.

28

मूसा के इस वचन के अनुसार लेवियों ने किया और उस दिन तीन हजार के अटकल लोग मारे गए।

Musa ke is vachan ke anusaar leviyon ne kiya aur us din teen hajaar ke atkal log mare gaye.

29

फिर मूसा ने कहा, आज के दिन यहोवा के लिये अपना याजकपद का संस्कार करो, वरन अपने अपने बेटों और भाइयों के भी विरुद्ध हो कर ऐसा करो जिस से वह आज तुम को आशीष दे।

Phir Musa ne kaha, aaj ke din Yahowa ke liye apna yajakpad ka sanskaar karo, varan apne apne beton aur bhaiyon ke bhi viruddh ho kar aisa karo jis se vah aaj tum ko aasheesh de.

30

दूसरे दिन मूसा ने लोगों से कहा, तुम ने बड़ा ही पाप किया है। अब मैं यहोवा के पास चढ़ जाऊंगा; सम्भव है कि मैं तुम्हारे पाप का प्रायश्चित्त कर सकूं।

Doosre din Musa ne logon se kaha, tum ne bada hi paap kiya hai. Ab main Yahowa ke paas chadh jaoonga; sambhav hai ki main tumhare paap ka prayashchitt kar sakun.

31

तब मूसा यहोवा के पास जा कर कहने लगा, कि हाय, हाय, उन लोगों ने सोने का देवता बनवाकर बड़ा ही पाप किया है।

Tab Musa Yahowa ke paas ja kar kahne laga, ki haay, haay, un logon ne sone ka devta banvakar bada hi paap kiya hai.

32

तौभी अब तू उनका पाप क्षमा कर नहीं तो अपनी लिखी हुई पुस्तक में से मेरे नाम को काट दे।

Taubhi ab tu unka paap kshama kar nahi to apni likhi hui pustak mein se mere naam ko kaat de.

33

यहोवा ने मूसा से कहा, जिसने मेरे विरुद्ध पाप किया है उसी का नाम मैं अपनी पुस्तक में से काट दूंगा।

Yahowa ne Musa se kaha, jisne mere viruddh paap kiya hai usi ka naam main apni pustak mein se kaat doonga.

34

अब तो तू जा कर उन लोगों को उस स्थान में ले चल जिसकी चर्चा मैं ने तुझ से की थी; देख मेरा दूत तेरे आगे आगे चलेगा। परन्तु जिस दिन मैं दण्ड देने लगूंगा उस दिन उन को इस पाप का भी दण्ड दूंगा।

Ab to tu ja kar un logon ko us sthaan mein le chal jiski charcha main ne tujh se ki thi; dekh mera doot tere aage aage chalega. Parantu jis din main dand dene lagoonga us din un ko is paap ka bhi dand doonga.

35

और यहोवा ने उन लोगों पर विपत्ति डाली, क्योंकि हारून के बनाए हुए बछड़े को उन्हीं ने बनवाया था।

Aur Yahowa ne un logon par vipatti dali, kyonki haroon ke banaye hue bachhde ko unhi ne banvaya tha.