Exodus 31 · 18 verses

निर्गमन 31 Exodus 31 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nirgaman 31.

1

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

2

सुन, मैं ऊरी के पुत्र बसलेल को, जो हूर का पोता और यहूदा के गोत्र का है, नाम ले कर बुलाता हूं।

Sun, main oori ke putra baslel ko, jo hoor ka pota aur Yahuda ke gotra ka hai, naam le kar bulata hoon.

3

और मैं उसको परमेश्वर की आत्मा से जो बुद्धि, प्रवीणता, ज्ञान, और सब प्रकार के कार्यों की समझ देनेवाली आत्मा है परिपूर्ण करता हूं,

Aur main usko Parmeshwar ki aatma se jo buddhi, praveenta, gyaan, aur sab prakaar ke karyon ki samajh denevali aatma hai paripoorn karta hoon,

4

जिस से वह कारीगरी के कार्य बुद्धि से निकाल निकाल कर सब भांति की बनावट में, अर्थात सोने, चांदी, और पीतल में,

Jis se vah kareegri ke karya buddhi se nikaal nikaal kar sab bhanti ki banavat mein, arthaat sone, chandi, aur peetal mein,

5

और जड़ने के लिये मणि काटने में, और लकड़ी के खोदने में काम करे।

Aur jadne ke liye mani katne mein, aur lakdi ke khodne mein kaam kare.

6

और सुन, मैं दान के गोत्र वाले अहीसामाक के पुत्र ओहोलीआब को उसके संग कर देता हूं; वरन जितने बुद्धिमान है उन सभों के हृदय में मैं बुद्धि देता हूं, जिस से जितनी वस्तुओं की आज्ञा मैं ने तुझे दी है उन सभों को वे बनाएं;

Aur sun, main daan ke gotra vale aheesamaak ke putra oholeeaab ko uske sang kar deta hoon; varan jitne buddhimaan hai un sabhon ke hriday mein main buddhi deta hoon, jis se jitni vastuon ki aagya main ne tujhe di hai un sabhon ko ve banayen;

7

अर्थात मिलापवाला तम्बू, और साक्षीपत्र का सन्दूक, और उस पर का प्रायश्चित्तवाला ढकना, और तम्बू का सारा सामान,

Arthaat milapvala tambu, aur saksheepatra ka sandook, aur us par ka prayashchittavala dhakna, aur tambu ka sara samaan,

8

और सामान सहित मेज़, और सारे सामान समेत चोखे सोने की दीवट, और धूपवेदी,

Aur samaan sahit mez, aur sare samaan samet chokhe sone ki deevat, aur dhoopvedi,

9

और सारे सामान सहित होमवेदी, और पाए समेत हौदी,

Aur sare samaan sahit homvedi, aur paye samet haudi,

10

और काढ़े हुए वस्त्र, और हारून याजक के याजक वाले काम के पवित्र वस्त्र, और उसके पुत्रों के वस्त्र,

Aur kadhe hue vastra, aur haroon yajak ke yajak vale kaam ke pavitra vastra, aur uske putron ke vastra,

11

और अभिषेक का तेल, और पवित्र स्थान के लिये सुगन्धित धूप, इन सभों को वे उन सब आज्ञाओं के अनुसार बनाएं जो मैं ने तुझे दी हैं॥

Aur abhishek ka tel, aur pavitra sthaan ke liye sugandhit dhoop, in sabhon ko ve un sab aagyaon ke anusaar banayen jo main ne tujhe di hain.

12

फिर यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir Yahowa ne Musa se kaha,

13

तू इस्त्राएलियों से यह भी कहना, कि निश्चय तुम मेरे विश्रामदिनों को मानना, क्योंकि तुम्हारी पीढ़ी पीढ़ी में मेरे और तुम लोगों के बीच यह एक चिन्ह ठहरा है, जिस से तुम यह बात जान रखो कि यहोवा हमारा पवित्र करनेहारा है।

Tu istrayeliyon se yah bhi kahna, ki nishchay tum mere vishramdinon ko manna, kyonki tumhari peedhi peedhi mein mere aur tum logon ke beech yah ek chinh thahra hai, jis se tum yah baat jaan rakho ki Yahowa hamara pavitra karnehara hai.

14

इस कारण तुम विश्रामदिन को मानना, क्योंकि वह तुम्हारे लिये पवित्र ठहरा है; जो उसको अपवित्र करे वह निश्चय मार डाला जाए; जो कोई उस दिन में से कुछ कामकाज करे वह प्राणी अपने लोगों के बीच से नाश किया जाए।

Is karan tum vishramdin ko manna, kyonki vah tumhare liye pavitra thahra hai; jo usko apvitra kare vah nishchay maar dala jaye; jo koi us din mein se kuchh kamkaaj kare vah prani apne logon ke beech se naash kiya jaye.

15

छ: दिन तो काम काज किया जाए, पर सातवां दिन परमविश्राम का दिन और यहोवा के लिये पवित्र है; इसलिये जो कोई विश्राम के दिन में कुछ काम काज करे वह निश्चय मार डाला जाए।

Chha: din to kaam kaaj kiya jaye, par satvan din paramvishraam ka din aur Yahowa ke liye pavitra hai; isliye jo koi vishraam ke din mein kuchh kaam kaaj kare vah nishchay maar dala jaye.

16

सो इस्त्राएली विश्रामदिन को माना करें, वरन पीढ़ी पीढ़ी में उसको सदा की वाचा का विषय जानकर माना करें।

So istrayeli vishramdin ko mana karein, varan peedhi peedhi mein usko sada ki vacha ka vishay jankar mana karein.

17

वह मेरे और इस्त्राएलियों के बीच सदा एक चिन्ह रहेगा, क्योंकि छ: दिन में यहोवा ने आकाश और पृथ्वी को बनाया, और सातवें दिन विश्राम करके अपना जी ठण्डा किया॥

Vah mere aur istrayeliyon ke beech sada ek chinh rahega, kyonki chha: din mein Yahowa ne aakaash aur prithvi ko banaya, aur satvein din vishraam karke apna ji thanda kiya.

18

जब परमेश्वर मूसा से सीनै पर्वत पर ऐसी बातें कर चुका, तब उसने उसको अपनी उंगली से लिखी हुई साक्षी देनेवाली पत्थर की दोनों तख्तियां दी॥

Jab Parmeshwar Musa se seenai parvat par aisi batein kar chuka, tab usne usko apni ungli se likhi hui sakshi denevali patthar ki donon takhtiyan di.