फिर धूप जलाने के लिये बबूल की लकड़ी की वेदी बनाना।
Phir dhoop jalane ke liye babool ki lakdi ki vedi banana.
Exodus 30 · 38 verses
फिर धूप जलाने के लिये बबूल की लकड़ी की वेदी बनाना।
Phir dhoop jalane ke liye babool ki lakdi ki vedi banana.
उसकी लम्बाई एक हाथ और चौड़ाई एक हाथ की हो, वह चौकोर हो, और उसकी ऊंचाई दो हाथ की हो, और उसके सींग उसी टुकड़े से बनाए जाएं।
Uski lambai ek haath aur chaudai ek haath ki ho, vah chaukor ho, aur uski oonchai do haath ki ho, aur uske seeng usi tukde se banaye jayen.
और वेदी के ऊपर वाले पल्ले और चारों ओर की अलंगों और सींगों को चोखे सोने से मढ़ना, और इसकी चारों ओर सोने की एक बाड़ बनाना।
Aur vedi ke oopar vale palle aur charon or ki alangon aur seengon ko chokhe sone se madhna, aur iski charon or sone ki ek baad banana.
और इसकी बाड़ के नीचे इसके दानों पल्ले पर सोने के दो दो कड़े बनाकर इसके दोनों ओर लगाना, वे इसके उठाने के डण्डों के खानों का काम देंगे।
Aur iski baad ke neeche iske danon palle par sone ke do do kade banakar iske donon or lagana, ve iske uthane ke dandon ke khanon ka kaam denge.
और डण्डों को बबूल की लकड़ी के बनाकर उन को सोने से मढ़ना।
Aur dandon ko babool ki lakdi ke banakar un ko sone se madhna.
और तू उसको उस पर्दे के आगे रखना जो साक्षीपत्र के सन्दूक के साम्हने है, अर्थात प्रायश्चित्त वाले ढकने के आगे जो साक्षीपत्र के ऊपर है, वहीं मैं तुझ से मिला करूंगा।
Aur tu usko us parde ke aage rakhna jo saksheepatra ke sandook ke samhane hai, arthaat prayashchitt vale dhakne ke aage jo saksheepatra ke oopar hai, vahi main tujh se mila karoonga.
और उसी वेदी पर हारून सुगन्धित धूप जलाया करे; प्रतिदिन भोर को जब वह दीपक को ठीक करे तब वह धूप को जलाए,
Aur usi vedi par haroon sugandhit dhoop jalaya kare; pratidin bhor ko jab vah deepak ko theek kare tab vah dhoop ko jalaye,
तब गोधूलि के समय जब हारून दीपकों को जलाए तब धूप जलाया करे, यह धूप यहोवा के साम्हने तुम्हारी पीढ़ी पीढ़ी में नित्य जलाया जाए।
Tab godhooli ke samay jab haroon deepkon ko jalaye tab dhoop jalaya kare, yah dhoop Yahowa ke samhane tumhari peedhi peedhi mein nitya jalaya jaye.
और उस वेदी पर तुम और प्रकार का धूप न जलाना, और न उस पर होमबलि और न अन्नबलि चढ़ाना; और न इस पर अर्घ देना।
Aur us vedi par tum aur prakaar ka dhoop na jalana, aur na us par homabli aur na annabli chadhana; aur na is par argh dena.
और हारून वर्ष में एक बार इसके सींगों पर प्रायश्चित्त करे; और तुम्हारी पीढ़ी पीढ़ी में वर्ष में एक बार प्रायश्चित्त लिया जाए; यह यहोवा के लिये परमपवित्र है॥
Aur haroon varsh mein ek baar iske seengon par prayashchitt kare; aur tumhari peedhi peedhi mein varsh mein ek baar prayashchitt liya jaye; yah Yahowa ke liye parmapvitra hai.
और तब यहोवा ने मूसा से कहा,
Aur tab Yahowa ne Musa se kaha,
जब तू इस्त्राएलियों की गिनती लेने लगे, तब वे गिनने के समय जिनकी गिनती हुई हो अपने अपने प्राणों के लिये यहोवा को प्रायश्चित्त दें, जिस से जब तू उनकी गिनती कर रहा हो उस समय कोई विपत्ति उन पर न आ पड़े।
Jab tu istrayeliyon ki ginti lene lage, tab ve ginne ke samay jinki ginti hui ho apne apne pranon ke liye Yahowa ko prayashchitt dein, jis se jab tu unki ginti kar raha ho us samay koi vipatti un par na aa pade.
जितने लोग गिने जाएं वे पवित्रस्थान के शेकेल के लिये आधा शेकेल दें, यह शेकेल बीस गेरा का होता है, यहोवा की भेंट आधा शेकेल हो।
Jitne log gine jayen ve pavitrasthaan ke shekel ke liye aadha shekel dein, yah shekel bees gera ka hota hai, Yahowa ki bhent aadha shekel ho.
बीस वर्ष के वा उससे अधिक अवस्था के जितने गिने जाएं उन में से एक एक जन यहोवा की भेंट दे।
Bees varsh ke va usse adhik avastha ke jitne gine jayen un mein se ek ek jan Yahowa ki bhent de.
जब तुम्हारे प्राणों के प्रायश्चित्त के निमित्त यहोवा की भेंट दी जाए, तब न तो धनी लोग आधे शेकेल से अधिक दें, और न कंगाल लोग उससे कम दें।
Jab tumhare pranon ke prayashchitt ke nimitt Yahowa ki bhent di jaye, tab na to dhani log aadhe shekel se adhik dein, aur na kangaal log usse kam dein.
और तू इस्त्राएलियों से प्रायश्चित्त का रूपया ले कर मिलाप वाले तम्बू के काम में लगाना; जिस से वह यहोवा के सम्मुख इस्त्राएलियों के स्मरणार्थ चिन्ह ठहरे, और उनके प्राणों का प्रायश्चित्त भी हो॥
Aur tu istrayeliyon se prayashchitt ka roopya le kar milaap vale tambu ke kaam mein lagana; jis se vah Yahowa ke sammukh istrayeliyon ke smarnaarth chinh thahre, aur unke pranon ka prayashchitt bhi ho.
और यहोवा ने मूसा से कहा,
Aur Yahowa ne Musa se kaha,
धोने के लिये पीतल की एक हौदी और उसका पाया पीतल का बनाना। और उसे मिलाप वाले तम्बू और वेदी के बीच में रखकर उस में जल भर देना;
Dhone ke liye peetal ki ek haudi aur uska paya peetal ka banana. Aur use milaap vale tambu aur vedi ke beech mein rakhkar us mein jal bhar dena;
और उस में हारून और उसके पुत्र अपने अपने हाथ पांव धोया करें।
Aur us mein haroon aur uske putra apne apne haath paanv dhoya karein.
जब जब वे मिलाप वाले तम्बू में प्रवेश करें तब तब वे हाथ पांव जल से धोएं, नहीं तो मर जाएंगे; और जब जब वे वेदी के पास सेवा टहल करने, अर्थात यहोवा के लिये हव्य जलाने को आएं तब तब वे हाथ पांव धोएं, न हो कि मर जाएं।
Jab jab ve milaap vale tambu mein pravesh karein tab tab ve haath paanv jal se dhoyen, nahi to mar jayenge; aur jab jab ve vedi ke paas seva tahal karne, arthaat Yahowa ke liye havya jalane ko aayen tab tab ve haath paanv dhoyen, na ho ki mar jayen.
यह हारून और उसके पीढ़ी पीढ़ी के वंश के लिये सदा की विधि ठहरे॥
Yah haroon aur uske peedhi peedhi ke vansh ke liye sada ki vidhi thahre.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा,
Phir Yahowa ne Musa se kaha,
तू मुख्य मुख्य सुगन्ध द्रव्य, अर्थात पवित्रस्थान के शेकेल के अनुसार पांच सौ शेकेल अपने आप निकला हुआ गन्धरस, और उसका आधा, अर्थात अढ़ाई सौ शेकेल सुगन्धित अगर,
Tu mukhya mukhya sugandh dravya, arthaat pavitrasthaan ke shekel ke anusaar paanch sau shekel apne aap nikla huaa gandharas, aur uska aadha, arthaat adhai sau shekel sugandhit agar,
और पांच सौ शेकेल तज, और एक हीन जलपाई का तेल ले कर
Aur paanch sau shekel taj, aur ek heen jalpai ka tel le kar
उन से अभिषेक का पवित्र तेल, अर्थात गन्धी की रीति से तैयार किया हुआ सुगन्धित तेल बनवाना; यह अभिषेक का पवित्र तेल ठहरे।
Un se abhishek ka pavitra tel, arthaat gandhi ki reeti se taiyaar kiya huaa sugandhit tel banvana; yah abhishek ka pavitra tel thahre.
और उससे मिलाप वाले तम्बू का, और साक्षीपत्र के सन्दूक का,
Aur usse milaap vale tambu ka, aur saksheepatra ke sandook ka,
और सारे सामान समेत मेज़ का, और सामान समेत दीवट का, और धूपवेदी का,
Aur sare samaan samet mez ka, aur samaan samet deevat ka, aur dhoopvedi ka,
और सारे सामान समेत होमवेदी का, और पाए समेत हौदी का अभिषेक करना।
Aur sare samaan samet homvedi ka, aur paye samet haudi ka abhishek karna.
और उन को पवित्र करना, जिस से वे परमपवित्र ठहरें; और जो कुछ उन से छू जाएगा वह पवित्र हो जाएगा।
Aur un ko pavitra karna, jis se ve parmapvitra thahrein; aur jo kuchh un se chhu jayega vah pavitra ho jayega.
फिर हारून का उसके पुत्रों के साथ अभिषेक करना, और इस प्रकार उन्हें मेरे लिये याजक का काम करने के लिये पवित्र करना।
Phir haroon ka uske putron ke saath abhishek karna, aur is prakaar unhein mere liye yajak ka kaam karne ke liye pavitra karna.
और इस्त्राएलियों को मेरी यह आज्ञा सुनाना, कि वह तेल तुम्हारी पीढ़ी पीढ़ी में मेरे लिये पवित्र अभिषेक का तेल होगा।
Aur istrayeliyon ko meri yah aagya sunana, ki vah tel tumhari peedhi peedhi mein mere liye pavitra abhishek ka tel hoga.
वह किसी मनुष्य की देह पर न डाला जाए, और मिलावट में उसके समान और कुछ न बनाना; वह तो पवित्र होगा, वह तुम्हारे लिये पवित्र होगा।
Vah kisi manushya ki deh par na dala jaye, aur milavat mein uske samaan aur kuchh na banana; vah to pavitra hoga, vah tumhare liye pavitra hoga.
जो कोई उसके समान कुछ बनाए, वा जो कोई उस में से कुछ पराए कुल वाले पर लगाए, वह अपने लोगों में से नाश किया जाए॥
Jo koi uske samaan kuchh banaye, va jo koi us mein se kuchh paraye kul vale par lagaye, vah apne logon mein se naash kiya jaye.
फिर यहोवा ने मूसा से कहा, बोल, नखी और कुन्दरू, ये सुगन्ध द्रव्य निर्मल लोबान समेत ले लेना, ये सब एक तौल के हों,
Phir Yahowa ne Musa se kaha, bol, nakhi aur kundaru, ye sugandh dravya nirmal lobaan samet le lena, ye sab ek taul ke hon,
और इनका धूप अर्थात लोन मिलाकर गन्धी की रीति के अनुसार चोखा और पवित्र सुगन्ध द्रव्य बनवाना;
Aur inka dhoop arthaat lon milakar gandhi ki reeti ke anusaar chokha aur pavitra sugandh dravya banvana;
फिर उस में से कुछ पीसकर बुकनी कर डालना, तब उस में से कुछ मिलाप वाले तम्बू में साक्षीपत्र के आगे, जहां पर मैं तुझ से मिला करूंगा वहां रखना; वह तुम्हारे लिये परमपवित्र होगा।
Phir us mein se kuchh peeskar bukni kar dalna, tab us mein se kuchh milaap vale tambu mein saksheepatra ke aage, jahan par main tujh se mila karoonga vahan rakhna; vah tumhare liye parmapvitra hoga.
और जो धूप तू बनवाएगा, मिलावट में उसके समान तुम लोग अपने लिये और कुछ न बनवाना; वह तुम्हारे आगे यहोवा के लिये पवित्र होगा।
Aur jo dhoop tu banvayega, milavat mein uske samaan tum log apne liye aur kuchh na banvana; vah tumhare aage Yahowa ke liye pavitra hoga.
जो कोई सूंघने के लिये उसके समान कुछ बनाए वह अपने लोगों में से नाश किया जाए॥
Jo koi soonghne ke liye uske samaan kuchh banaye vah apne logon mein se naash kiya jaye.