Exodus 29 · 46 verses

निर्गमन 29 Exodus 29 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nirgaman 29.

1

और उन्हें पवित्र करने को जो काम तुझे उन से करना है, कि वे मेरे लिये याजक का काम करें वह यह है। एक निर्दोष बछड़ा और दो निर्दोष मेंढ़े लेना,

Aur unhein pavitra karne ko jo kaam tujhe un se karna hai, ki ve mere liye yajak ka kaam karein vah yah hai. Ek nirdosh bachhda aur do nirdosh mendhe lena,

2

और अखमीरी रोटी, और तेल से सने हुए मैदे के अखमीरी फुलके, और तेल से चुपड़ी हुई अखमीरी पपड़ियां भी लेना। ये सब गेहूं के मैदे के बनवाना।

Aur akhmeeri roti, aur tel se sane hue maide ke akhmeeri phulke, aur tel se chupdi hui akhmeeri papdiyan bhi lena. Ye sab gehun ke maide ke banvana.

3

इन को एक टोकरी में रखकर उस टोकरी को उस बछड़े और उन दोनों मेंढ़ो समेत समीप ले आना।

In ko ek tokri mein rakhkar us tokri ko us bachhde aur un donon mendho samet sameep le aana.

4

फिर हारून और उसके पुत्रों को मिलाप वाले तम्बू के द्वार के समीप ले आकर जल से नहलाना।

Phir haroon aur uske putron ko milaap vale tambu ke dwaar ke sameep le aakar jal se nahlana.

5

तब उन वस्त्रों को ले कर हारून को अंगरखा ओर एपोद का बागा पहिनाना, और एपोद और चपरास बान्धना, और एपोद का काढ़ा हुआ पटुका भी बान्धना;

Tab un vastron ko le kar haroon ko angarkha or epod ka baga pahinana, aur epod aur chapraas bandhana, aur epod ka kadha huaa patuka bhi bandhana;

6

और उसके सिर पर पगड़ी को रखना, और पगड़ी पर पवित्र मुकुट को रखना।

Aur uske sir par pagdi ko rakhna, aur pagdi par pavitra mukut ko rakhna.

7

तब अभिषेक का तेल ले उसके सिर पर डालकर उसका अभिषेक करना।

Tab abhishek ka tel le uske sir par dalkar uska abhishek karna.

8

फिर उसके पुत्रों को समीप ले आकर उन को अंगरखे पहिनाना,

Phir uske putron ko sameep le aakar un ko angarkhe pahinana,

9

और उसके अर्थात हारून और उसके पुत्रों के कमर बान्धना और उनके सिर पर टोपियां रखना; जिस से याजक के पद पर सदा उनका हक रहे। इसी प्रकार हारून और उसके पुत्रों का संस्कार करना।

Aur uske arthaat haroon aur uske putron ke kamar bandhana aur unke sir par topiyan rakhna; jis se yajak ke pad par sada unka hak rahe. Isi prakaar haroon aur uske putron ka sanskaar karna.

10

और बछड़े को मिलाप वाले तम्बू के साम्हने समीप ले आना। और हारून और उसके पुत्र बछड़े के सिर पर अपने अपने हाथ रखें,

Aur bachhde ko milaap vale tambu ke samhane sameep le aana. Aur haroon aur uske putra bachhde ke sir par apne apne haath rakhein,

11

तब उस बछड़े को यहोवा के सम्मुख मिलाप वाले तम्बू के द्वार पर बलिदान करना,

Tab us bachhde ko Yahowa ke sammukh milaap vale tambu ke dwaar par balidaan karna,

12

और बछड़े के लोहू में से कुछ ले कर अपनी उंगली से वेदी के सींगों पर लगाना, और शेष सब लोहू को वेदी के पाए पर उंडेल देना

Aur bachhde ke lohu mein se kuchh le kar apni ungli se vedi ke seengon par lagana, aur shesh sab lohu ko vedi ke paye par undel dena

13

और जिस चरबी से अंतड़ियां ढपी रहती हैं, और जो झिल्ली कलेजे के ऊपर होती है, उन को और दोनो गुर्दों को उनके ऊपर की चरबी समेत ले कर सब को वेदी पर जलाना।

Aur jis charbi se antdiyan dhapi rahti hain, aur jo jhilli kaleje ke oopar hoti hai, un ko aur dono gurdon ko unke oopar ki charbi samet le kar sab ko vedi par jalana.

14

और बछड़े का मांस, और खाल, और गोबर, छावनी से बाहर आग में जला देना; क्योंकि यह पापबलि होगा।

Aur bachhde ka maans, aur khaal, aur gobar, chhavni se bahar aag mein jala dena; kyonki yah papabli hoga.

15

फिर एक मेढ़ा लेना, और हारून और उसके पुत्र उसके सिर पर अपने अपने हाथ रखें,

Phir ek medha lena, aur haroon aur uske putra uske sir par apne apne haath rakhein,

16

तब उस मेढ़े को बलि करना, और उसका लोहू ले कर वेदी पर चारों ओर छिड़कना।

Tab us medhe ko bali karna, aur uska lohu le kar vedi par charon or chhidakna.

17

और उस मेढ़े को टुकड़े टुकड़े काटना, और उसकी अंतड़ियों और पैरों को धोकर उसके टुकड़ों और सिर के ऊपर रखना,

Aur us medhe ko tukde tukde katna, aur uski antdiyon aur pairon ko dhokar uske tukdon aur sir ke oopar rakhna,

18

तब उस पूरे मेढ़े को वेदी पर जलाना; वह तो यहोवा के लिये होमबलि होगा; वह सुखदायक सुगन्ध और यहोवा के लिये हवन होगा।

Tab us poore medhe ko vedi par jalana; vah to Yahowa ke liye homabli hoga; vah sukhdayak sugandh aur Yahowa ke liye havan hoga.

19

फिर दूसरे मेढ़े को लेना; और हारून और उसके पुत्र उसके सिर पर अपने अपने हाथ रखें,

Phir doosre medhe ko lena; aur haroon aur uske putra uske sir par apne apne haath rakhein,

20

तब उस मेढ़े को बलि करना, और उसके लोहू में से कुछ ले कर हारून और उसके पुत्रों के दाहिने कान के सिरे पर, और उनके दाहिने हाथ और दाहिने पांव के अंगूठों पर लगाना, और लोहू को वेदी पर चारों ओर छिड़क देना।

Tab us medhe ko bali karna, aur uske lohu mein se kuchh le kar haroon aur uske putron ke dahine kaan ke sire par, aur unke dahine haath aur dahine paanv ke angoothon par lagana, aur lohu ko vedi par charon or chhidak dena.

21

फिर वेदी पर के लोहू, और अभिषेक के तेल, इन दोनो में से कुछ कुछ ले कर हारून और उसके वस्त्रों पर, और उसके पुत्रों और उनके वस्त्रों पर भी छिड़क देना; तब वह अपने वस्त्रों समेत और उसके पुत्र भी अपने अपने वस्त्रों समेत पवित्र हो जाएंगे।

Phir vedi par ke lohu, aur abhishek ke tel, in dono mein se kuchh kuchh le kar haroon aur uske vastron par, aur uske putron aur unke vastron par bhi chhidak dena; tab vah apne vastron samet aur uske putra bhi apne apne vastron samet pavitra ho jayenge.

22

तब मेढ़े को संस्कारवाला जानकर उस में से चरबी और मोटी पूंछ को, और जिस चरबी से अंतड़ियां ढपी रहती हैं उसको, और कलेजे पर की झिल्ली को, और चरबी समेत दोनों गुर्दों को, और दाहिने पुट्ठे को लेना,

Tab medhe ko sanskarvala jankar us mein se charbi aur moti poonchh ko, aur jis charbi se antdiyan dhapi rahti hain usko, aur kaleje par ki jhilli ko, aur charbi samet donon gurdon ko, aur dahine putthe ko lena,

23

और अखमीरी रोटी की टोकरी जो यहोवा के आगे धरी होगी उस में से भी एक रोटी, और तेल से सने हुए मैदे का एक फुलका, और एक पपड़ी ले कर,

Aur akhmeeri roti ki tokri jo Yahowa ke aage dhari hogi us mein se bhi ek roti, aur tel se sane hue maide ka ek phulka, aur ek papdi le kar,

24

इन सब को हारून और उसके पुत्रों के हाथों में रखकर हिलाए जाने की भेंट ठहराके यहोवा के आगे हिलाया जाए।

In sab ko haroon aur uske putron ke hathon mein rakhkar hilaye jane ki bhent thahrake Yahowa ke aage hilaya jaye.

25

तब उन वस्तुओं को उनके हाथों से ले कर होमबलि की वेदी पर जला देना, जिस से वह यहोवा के साम्हने सुखदायक सुगन्ध ठहरे; वह तो यहोवा के लिये हवन होगा।

Tab un vastuon ko unke hathon se le kar homabli ki vedi par jala dena, jis se vah Yahowa ke samhane sukhdayak sugandh thahre; vah to Yahowa ke liye havan hoga.

26

फिर हारून के संस्कार का जो मेढ़ा होगा उसकी छाती को ले कर हिलाए जाने की भेंट के लिये यहोवा के आगे हिलाना; और वह तेरा भाग ठहरेगा।

Phir haroon ke sanskaar ka jo medha hoga uski chhati ko le kar hilaye jane ki bhent ke liye Yahowa ke aage hilana; aur vah tera bhaag thahrega.

27

और हारून और उसके पुत्रों के संस्कार का जो मेढ़ा होगा, उस में से हिलाए जाने की भेंटवाली छाती जो हिलाई जाएगी, और उठाए जाने का भेंटवाला पुट्ठा जो उठाया जाएगा, इन दोनों को पवित्र ठहराना।

Aur haroon aur uske putron ke sanskaar ka jo medha hoga, us mein se hilaye jane ki bhentvali chhati jo hilai jayegi, aur uthaye jane ka bhentvala puttha jo uthaya jayega, in donon ko pavitra thahrana.

28

और ये सदा की विधि की रीति पर इस्त्राएलियों की ओर से उसका और उसके पुत्रों का भाग ठहरे, क्योंकि ये उठाए जाने की भेंटें ठहरी हैं; और यह इस्त्राएलियों की ओर से उनके मेलबलियों में से यहोवा के लिये उठाए जाने की भेंट होगी।

Aur ye sada ki vidhi ki reeti par istrayeliyon ki or se uska aur uske putron ka bhaag thahre, kyonki ye uthaye jane ki bhentein thahri hain; aur yah istrayeliyon ki or se unke melabliyon mein se Yahowa ke liye uthaye jane ki bhent hogi.

29

और हारून के जो पवित्र वस्त्र होंगे वह उसके बाद उसके बेटे पोते आदि को मिलते रहें, जिस से उन्हीं को पहिने हुए उनका अभिषेक और संस्कार किया जाए।

Aur haroon ke jo pavitra vastra honge vah uske baad uske bete pote aadi ko milte rahein, jis se unhi ko pahine hue unka abhishek aur sanskaar kiya jaye.

30

उसके पुत्रों के जो उसके स्थान पर याजक होगा, वह जब पवित्रस्थान में सेवा टहल करने को मिलाप वाले तम्बू में पहिले आए, तब उन वस्त्रों को सात दिन तक पहिने रहें।

Uske putron ke jo uske sthaan par yajak hoga, vah jab pavitrasthaan mein seva tahal karne ko milaap vale tambu mein pahile aaye, tab un vastron ko saat din tak pahine rahein.

31

फिर याजक के संस्कार का जो मेढ़ा होगा उसे ले कर उसका मांस किसी पवित्र स्थान में पकाना;

Phir yajak ke sanskaar ka jo medha hoga use le kar uska maans kisi pavitra sthaan mein pakana;

32

तब हारून अपने पुत्रों समेत उस मेढ़े का मांस और टोकरी की रोटी, दोनों को मिलाप वाले तम्बू के द्वार पर खाए।

Tab haroon apne putron samet us medhe ka maans aur tokri ki roti, donon ko milaap vale tambu ke dwaar par khaye.

33

और जिन पदार्थों से उनका संस्कार और उन्हें पवित्र करने के लिये प्रायश्चित्त किया जाएगा उन को तो वे खाएं, परन्तु पराए कुल का कोई उन्हें न खाने पाए, क्योंकि वे पवित्र होंगे।

Aur jin padarthon se unka sanskaar aur unhein pavitra karne ke liye prayashchitt kiya jayega un ko to ve khayen, parantu paraye kul ka koi unhein na khane paye, kyonki ve pavitra honge.

34

और यदि संस्कार वाले मांस वा रोटी में से कुछ बिहान तक बचा रहे, तो उस बचे हुए को आग में जलाना, वह खाया न जाए; क्योंकि वह पवित्र होगा।

Aur yadi sanskaar vale maans va roti mein se kuchh bihaan tak bacha rahe, to us bache hue ko aag mein jalana, vah khaya na jaye; kyonki vah pavitra hoga.

35

और मैं ने तुझे जो जो आज्ञा दी हैं, उन सभों के अनुसार तू हारून और उसके पुत्रों से करना; और सात दिन तक उनका संस्कार करते रहना,

Aur main ne tujhe jo jo aagya di hain, un sabhon ke anusaar tu haroon aur uske putron se karna; aur saat din tak unka sanskaar karte rahna,

36

अर्थात पापबलि का एक बछड़ा प्रायश्चित्त के लिये प्रतिदिन चढ़ाना। और वेदी को भी प्रायश्चित्त करने के समय शुद्ध करना, और उसे पवित्र करने के लिये उसका अभिषेक करना।

Arthaat papabli ka ek bachhda prayashchitt ke liye pratidin chadhana. Aur vedi ko bhi prayashchitt karne ke samay shuddh karna, aur use pavitra karne ke liye uska abhishek karna.

37

सात दिन तक वेदी के लिये प्रायश्चित्त करके उसे पवित्र करना, और वेदी परमपवित्र ठहरेगी; और जो कुछ उससे छू जाएगा वह भी पवित्र हो जाएगा॥

Saat din tak vedi ke liye prayashchitt karke use pavitra karna, aur vedi parmapvitra thahregi; aur jo kuchh usse chhu jayega vah bhi pavitra ho jayega.

38

जो तुझे वेदी पर नित्य चढ़ाना होगा वह यह है; अर्थात प्रतिदिन एक एक वर्ष के दो भेड़ी के बच्चे।

Jo tujhe vedi par nitya chadhana hoga vah yah hai; arthaat pratidin ek ek varsh ke do bhedi ke bachche.

39

एक भेड़ के बच्चे को तो भोर के समय, और दूसरे भेड़ के बच्चे को गोधूलि के समय चढ़ाना।

Ek bhed ke bachche ko to bhor ke samay, aur doosre bhed ke bachche ko godhooli ke samay chadhana.

40

और एक भेड़ के बच्चे के संग हीन की चौथाई कूटके निकाले हुए तेल से सना हुआ एपा का दसवां भाग मैदा, और अर्घ के लिये ही की चौथाई दाखमधु देना।

Aur ek bhed ke bachche ke sang heen ki chauthai kootke nikale hue tel se sana huaa epa ka dasvan bhaag maida, aur argh ke liye hi ki chauthai dakhamdhu dena.

41

और दूसरे भेड़ के बच्चे को गोधूलि के समय चढ़ाना, और उसके साथ भोर की रीति अनुसार अन्नबलि और अर्घ दोनों देना, जिस से वह सुखदायक सुगन्ध और यहोवा के लिये हवन ठहरे।

Aur doosre bhed ke bachche ko godhooli ke samay chadhana, aur uske saath bhor ki reeti anusaar annabli aur argh donon dena, jis se vah sukhdayak sugandh aur Yahowa ke liye havan thahre.

42

तुम्हारी पीढ़ी पीढ़ी में यहोवा के आगे मिलाप वाले तम्बू के द्वार पर नित्य ऐसा ही होमबलि हुआ करे; यह वह स्थान है जिस में मैं तुम लोगों से इसलिये मिला करूंगा, कि तुझ से बातें करूं।

Tumhari peedhi peedhi mein Yahowa ke aage milaap vale tambu ke dwaar par nitya aisa hi homabli huaa kare; yah vah sthaan hai jis mein main tum logon se isliye mila karoonga, ki tujh se batein karun.

43

और मैं इस्त्राएलियों से वहीं मिला करूंगा, और वह तम्बू मेरे तेज से पवित्र किया जाएगा।

Aur main istrayeliyon se vahi mila karoonga, aur vah tambu mere tej se pavitra kiya jayega.

44

और मैं मिलाप वाले तम्बू और वेदी को पवित्र करूंगा, और हारून और उसके पुत्रों को भी पवित्र करूंगा, कि वे मेरे लिये याजक का काम करें।

Aur main milaap vale tambu aur vedi ko pavitra karoonga, aur haroon aur uske putron ko bhi pavitra karoonga, ki ve mere liye yajak ka kaam karein.

45

और मैं इस्त्राएलियों के मध्य निवास करूंगा, और उनका परमेश्वर ठहरूंगा।

Aur main istrayeliyon ke madhya nivaas karoonga, aur unka Parmeshwar thahroonga.

46

तब वे जान लेंगे कि मैं यहोवा उनका परमेश्वर हूं, जो उन को मिस्र देश से इसलिये निकाल ले आया, कि उनके मध्य निवास करूं; मैं ही उनका परमेश्वर यहोवा हूं॥

Tab ve jaan lenge ki main Yahowa unka Parmeshwar hoon, jo un ko Misr desh se isliye nikaal le aaya, ki unke madhya nivaas karun; main hi unka Parmeshwar Yahowa hoon.