Exodus 3 · 22 verses

निर्गमन 3 Exodus 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nirgaman 3.

1

मूसा अपने ससुर यित्रो नाम मिद्यान के याजक की भेड़-बकरियों को चराता था; और वह उन्हें जंगल की परली ओर होरेब नाम परमेश्वर के पर्वत के पास ले गया।

Musa apne sasur yitro naam midyaan ke yajak ki bhed-bakriyon ko charata tha; aur vah unhein jangal ki parli or horeb naam Parmeshwar ke parvat ke paas le gaya.

2

और परमेश्वर के दूत ने एक कटीली झाड़ी के बीच आग की लौ में उसको दर्शन दिया; और उस ने दृष्टि उठाकर देखा कि झाड़ी जल रही है, पर भस्म नहीं होती।

Aur Parmeshwar ke doot ne ek kateeli jhadi ke beech aag ki lau mein usko darshan diya; aur us ne drishti uthakar dekha ki jhadi jal rahi hai, par bhasm nahi hoti.

3

तब मूसा ने सोचा, कि मैं उधर फिरके इस बड़े अचम्भे को देखूंगा, कि वह झाड़ी क्यों नहीं जल जाती।

Tab Musa ne socha, ki main udhar phirke is bade achambhe ko dekhoonga, ki vah jhadi kyon nahi jal jati.

4

जब यहोवा ने देखा कि मूसा देखने को मुड़ा चला आता है, तब परमेश्वर ने झाड़ी के बीच से उसको पुकारा, कि हे मूसा, हे मूसा। मूसा ने कहा, क्या आज्ञा।

Jab Yahowa ne dekha ki Musa dekhne ko muda chala aata hai, tab Parmeshwar ne jhadi ke beech se usko pukara, ki he Musa, he Musa. Musa ne kaha, kya aagya.

5

उस ने कहा इधर पास मत आ, और अपने पांवों से जूतियों को उतार दे, क्योंकि जिस स्थान पर तू खड़ा है वह पवित्र भूमि है।

Us ne kaha idhar paas mat aa, aur apne panvon se jootiyon ko utaar de, kyonki jis sthaan par tu khada hai vah pavitra bhoomi hai.

6

फिर उस ने कहा, मैं तेरे पिता का परमेश्वर, और इब्राहीम का परमेश्वर, इसहाक का परमेश्वर, और याकूब का परमेश्वर हूं। तब मूसा ने जो परमेश्वर की ओर निहारने से डरता था अपना मुंह ढांप लिया।

Phir us ne kaha, main tere pita ka Parmeshwar, aur Ibrahim ka Parmeshwar, Ishaq ka Parmeshwar, aur Yakub ka Parmeshwar hoon. Tab Musa ne jo Parmeshwar ki or niharne se darta tha apna munh dhaamp liya.

7

फिर यहोवा ने कहा, मैं ने अपनी प्रजा के लोग जो मिस्र में हैं उनके दु:ख को निश्चय देखा है, और उनकी जो चिल्लाहट परिश्रम करानेवालों के कारण होती है उसको भी मैं ने सुना है, और उनकी पीड़ा पर मैं ने चित्त लगाया है;

Phir Yahowa ne kaha, main ne apni praja ke log jo Misr mein hain unke dukh ko nishchay dekha hai, aur unki jo chillahat parishram karanevalon ke karan hoti hai usko bhi main ne suna hai, aur unki peeda par main ne chitt lagaya hai;

8

इसलिये अब मैं उतर आया हूं कि उन्हें मिस्रियों के वश से छुड़ाऊं, और उस देश से निकालकर एक अच्छे और बड़े देश में जिस में दूध और मधु की धारा बहती है, अर्थात् कनानी, हित्ती, एमोरी, परिज्जी, हिव्वी, और यबूसी लोगों के स्थान में पहुंचाऊं।

Isliye ab main utar aaya hoon ki unhein misriyon ke vash se chhudaun, aur us desh se nikalkar ek achchhe aur bade desh mein jis mein doodh aur madhu ki dhara bahti hai, arthaat kanani, hitti, emori, parijji, hivvi, aur yaboosi logon ke sthaan mein pahunchaun.

9

सो अब सुन, इस्राएलियों की चिल्लाहट मुझे सुनाई पड़ी है, और मिस्रियों का उन पर अन्धेर करना भी मुझे दिखाई पड़ा है,

So ab sun, Israeliyon ki chillahat mujhe sunai padi hai, aur misriyon ka un par andher karna bhi mujhe dikhai pada hai,

10

इसलिये आ, मैं तुझे फिरौन के पास भेजता हूं कि तू मेरी इस्राएली प्रजा को मिस्र से निकाल ले आए।

Isliye aa, main tujhe Firaun ke paas bhejta hoon ki tu meri Israeli praja ko Misr se nikaal le aaye.

11

तब मूसा ने परमेश्वर से कहा, मैं कौन हूं जो फिरौन के पास जाऊं, और इस्राएलियों को मिस्र से निकाल ले आऊं?

Tab Musa ne Parmeshwar se kaha, main kaun hoon jo Firaun ke paas jaun, aur Israeliyon ko Misr se nikaal le aaun?

12

उस ने कहा, निश्चय मैं तेरे संग रहूंगा; और इस बात का कि तेरा भेजनेवाला मैं हूं, तेरे लिये यह चिन्ह होगा कि जब तू उन लोगों को मिस्र से निकाल चुके तब तुम इसी पहाड़ पर परमेश्वर की उपासना करोगे।

Us ne kaha, nishchay main tere sang rahoonga; aur is baat ka ki tera bhejnevala main hoon, tere liye yah chinh hoga ki jab tu un logon ko Misr se nikaal chuke tab tum isi pahaad par Parmeshwar ki upasna karoge.

13

मूसा ने परमेश्वर से कहा, जब मैं इस्राएलियों के पास जाकर उन से यह कहूं, कि तुम्हारे पितरों के परमेश्वर ने मुझे तुम्हारे पास भेजा है, तब यदि वे मुझ से पूछें, कि उसका क्या नाम है? तब मैं उनको क्या बताऊं?

Musa ne Parmeshwar se kaha, jab main Israeliyon ke paas jakar un se yah kahun, ki tumhare pitron ke Parmeshwar ne mujhe tumhare paas bheja hai, tab yadi ve mujh se poochhein, ki uska kya naam hai? Tab main unko kya bataun?

14

परमेश्वर ने मूसा से कहा, मैं जो हूं सो हूं। फिर उस ने कहा, तू इस्राएलियों से यह कहना, कि जिसका नाम मैं हूं है उसी ने मुझे तुम्हारे पास भेजा है।

Parmeshwar ne Musa se kaha, main jo hoon so hoon. Phir us ne kaha, tu Israeliyon se yah kahna, ki jiska naam main hoon hai usi ne mujhe tumhare paas bheja hai.

15

फिर परमेश्वर ने मूसा से यह भी कहा, कि तू इस्राएलियों से यह कहना, कि तुम्हारे पितरों का परमेश्वर, अर्थात् इब्राहीम का परमेश्वर, इसहाक का परमेश्वर और याकूब का परमेश्वर, यहोवा उसी ने मुझ को तुम्हारे पास भेजा है। देख सदा तक मेरा नाम यही रहेगा, और पीढ़ी पीढ़ी में मेरा स्मरण इसी से हुआ करेगा।

Phir Parmeshwar ne Musa se yah bhi kaha, ki tu Israeliyon se yah kahna, ki tumhare pitron ka Parmeshwar, arthaat Ibrahim ka Parmeshwar, Ishaq ka Parmeshwar aur Yakub ka Parmeshwar, Yahowa usi ne mujh ko tumhare paas bheja hai. Dekh sada tak mera naam yahi rahega, aur peedhi peedhi mein mera smaran isi se huaa karega.

16

इसलिये अब जाकर इस्राएली पुरनियों को इकट्ठा कर, और उन से कह, कि तुम्हारे पितर इब्राहीम, इसहाक, और याकूब के परमेश्वर, यहोवा ने मुझे दर्शन देकर यह कहा है, कि मैं ने तुम पर और तुम से जो बर्ताव मिस्र में किया जाता है उस पर भी चित्त लगाया है;

Isliye ab jakar Israeli purniyon ko ikattha kar, aur un se kah, ki tumhare pitar Ibrahim, Ishaq, aur Yakub ke Parmeshwar, Yahowa ne mujhe darshan dekar yah kaha hai, ki main ne tum par aur tum se jo bartaav Misr mein kiya jata hai us par bhi chitt lagaya hai;

17

और मैं ने ठान लिया है कि तुम को मिस्र के दुखों में से निकालकर कनानी, हित्ती, एमोरी, परिज्जी हिव्वी, और यबूसी लोगों के देश में ले चलूंगा, जो ऐसा देश है कि जिस में दूध और मधु की धारा बहती है।

Aur main ne thaan liya hai ki tum ko Misr ke dukhon mein se nikalkar kanani, hitti, emori, parijji hivvi, aur yaboosi logon ke desh mein le chaloonga, jo aisa desh hai ki jis mein doodh aur madhu ki dhara bahti hai.

18

तब वे तेरी मानेंगे; और तू इस्राएली पुरनियों को संग लेकर मिस्र के राजा के पास जाकर उस से यों कहना, कि इब्रियों के परमेश्वर, यहोवा से हम लोगों की भेंट हुई है; इसलिये अब हम को तीन दिन के मार्ग पर जंगल में जाने दे, कि अपने परमेश्वर यहोवा को बलिदान चढ़ाएं।

Tab ve teri manenge; aur tu Israeli purniyon ko sang lekar Misr ke raja ke paas jakar us se yon kahna, ki ibriyon ke Parmeshwar, Yahowa se ham logon ki bhent hui hai; isliye ab ham ko teen din ke maarg par jangal mein jane de, ki apne Parmeshwar Yahowa ko balidaan chadhayen.

19

मैं जानता हूं कि मिस्र का राजा तुम को जाने न देगा वरन बड़े बल से दबाए जाने पर भी जाने न देगा।

Main janta hoon ki Misr ka raja tum ko jane na dega varan bade bal se dabaye jane par bhi jane na dega.

20

इसलिये मैं हाथ बढ़ाकर उन सब आश्चर्यकर्मों से जो मिस्र के बीच करूंगा उस देश को मारूंगा; और उसके पश्चात् वह तुम को जाने देगा।

Isliye main haath badhakar un sab aashcharyakarmon se jo Misr ke beech karoonga us desh ko maroonga; aur uske pashchaat vah tum ko jane dega.

21

तब मैं मिस्रियों से अपनी इस प्रजा पर अनुग्रह करवाऊंगा; और जब तुम निकलोगे तब छूछे हाथ न निकलोगे।

Tab main misriyon se apni is praja par anugrah karvaoonga; aur jab tum nikloge tab chhoochhe haath na nikloge.

22

वरन तुम्हारी एक एक स्त्री अपनी अपनी पड़ोसिन, और अपने अपने घर की पाहुनी से सोने चांदी के गहने, और वस्त्र मांग लेगी, और तुम उन्हें अपने बेटों और बेटियों को पहिराना; इस प्रकार तुम मिस्रियों को लूटोगे॥

Varan tumhari ek ek stri apni apni padosin, aur apne apne ghar ki pahuni se sone chandi ke gahne, aur vastra maang legi, aur tum unhein apne beton aur betiyon ko pahirana; is prakaar tum misriyon ko lootoge.