लेवी के घराने के एक पुरूष ने एक लेवी वंश की स्त्री को ब्याह लिया।
Levi ke gharane ke ek puroosh ne ek levi vansh ki stri ko byaah liya.
Exodus 2 · 25 verses
लेवी के घराने के एक पुरूष ने एक लेवी वंश की स्त्री को ब्याह लिया।
Levi ke gharane ke ek puroosh ne ek levi vansh ki stri ko byaah liya.
और वह स्त्री गर्भवती हुई और उसके एक पुत्र उत्पन्न हुआ; और यह देखकर कि यह बालक सुन्दर है, उसे तीन महीने तक छिपा रखा।
Aur vah stri garbhavti hui aur uske ek putra utpann huaa; aur yah dekhkar ki yah balak sundar hai, use teen maheene tak chhipa rakha.
और जब वह उसे और छिपा न सकी तब उसके लिये सरकंड़ों की एक टोकरी ले कर, उस पर चिकनी मिट्टी और राल लगाकर, उस में बालक को रखकर नील नदी के तीर पर कांसों के बीच छोड़ आई।
Aur jab vah use aur chhipa na saki tab uske liye sarkandon ki ek tokri le kar, us par chikni mitti aur raal lagakar, us mein balak ko rakhkar neel nadi ke teer par kanson ke beech chhod aai.
उस बालक कि बहिन दूर खड़ी रही, कि देखे इसका क्या हाल होगा।
Us balak ki bahin door khadi rahi, ki dekhe iska kya haal hoga.
तब फिरौन की बेटी नहाने के लिये नदी के तीर आई; उसकी सखियां नदी के तीर तीर टहलने लगीं; तब उसने कांसों के बीच टोकरी को देखकर अपनी दासी को उसे ले आने के लिये भेजा।
Tab Firaun ki beti nahane ke liye nadi ke teer aai; uski sakhiyan nadi ke teer teer tahalne lagi; tab usne kanson ke beech tokri ko dekhkar apni dasi ko use le aane ke liye bheja.
तब उसने उसे खोल कर देखा, कि एक रोता हुआ बालक है; तब उसे तरस आया और उसने कहा, यह तो किसी इब्री का बालक होगा।
Tab usne use khol kar dekha, ki ek rota huaa balak hai; tab use taras aaya aur usne kaha, yah to kisi ibri ka balak hoga.
तब बालक की बहिन ने फिरौन की बेटी से कहा, क्या मैं जा कर इब्री स्त्रियों में से किसी धाई को तेरे पास बुला ले आऊं जो तेरे लिये बालक को दूध पिलाया करे?
Tab balak ki bahin ne Firaun ki beti se kaha, kya main ja kar ibri striyon mein se kisi dhai ko tere paas bula le aaun jo tere liye balak ko doodh pilaya kare?
फिरौन की बेटी ने कहा, जा। तब लड़की जा कर बालक की माता को बुला ले आई।
Firaun ki beti ne kaha, ja. Tab ladki ja kar balak ki mata ko bula le aai.
फिरौन की बेटी ने उससे कहा, तू इस बालक को ले जा कर मेरे लिये दूध पिलाया कर, और मैं तुझे मजदूरी दूंगी। तब वह स्त्री बालक को ले जा कर दूध पिलाने लगी।
Firaun ki beti ne usse kaha, tu is balak ko le ja kar mere liye doodh pilaya kar, aur main tujhe majdoori doongi. Tab vah stri balak ko le ja kar doodh pilane lagi.
जब बालक कुछ बड़ा हुआ तब वह उसे फिरौन की बेटी के पास ले गई, और वह उसका बेटा ठहरा; और उसने यह कहकर उसका नाम मूसा रखा, कि मैं ने इस को जल से निकाल लिया॥
Jab balak kuchh bada huaa tab vah use Firaun ki beti ke paas le gai, aur vah uska beta thahra; aur usne yah kahkar uska naam Musa rakha, ki main ne is ko jal se nikaal liya.
उन दिनों में ऐसा हुआ कि जब मूसा जवान हुआ, और बाहर अपने भाई बन्धुओं के पास जा कर उनके दु:खों पर दृष्टि करने लगा; तब उसने देखा, कि कोई मिस्री जन मेरे एक इब्री भाई को मार रहा है।
Un dinon mein aisa huaa ki jab Musa javaan huaa, aur bahar apne bhai bandhuon ke paas ja kar unke dukhon par drishti karne laga; tab usne dekha, ki koi misri jan mere ek ibri bhai ko maar raha hai.
जब उसने इधर उधर देखा कि कोई नहीं है, तब उस मिस्री को मार डाला और बालू में छिपा दिया॥
Jab usne idhar udhar dekha ki koi nahi hai, tab us misri ko maar dala aur balu mein chhipa diya.
फिर दूसरे दिन बाहर जा कर उसने देखा कि दो इब्री पुरूष आपस में मारपीट कर रहे हैं; उसने अपराधी से कहा, तू अपने भाई को क्यों मारता है?
Phir doosre din bahar ja kar usne dekha ki do ibri puroosh aapas mein marpeet kar rahe hain; usne apradhi se kaha, tu apne bhai ko kyon marta hai?
उसने कहा, किस ने तुझे हम लोगों पर हाकिम और न्यायी ठहराया? जिस भांति तू ने मिस्री को घात किया क्या उसी भांति तू मुझे भी घात करना चाहता है? तब मूसा यह सोचकर डर गया, कि निश्चय वह बात खुल गई है।
Usne kaha, kis ne tujhe ham logon par hakim aur nyayi thahraya? Jis bhanti tu ne misri ko ghaat kiya kya usi bhanti tu mujhe bhi ghaat karna chahta hai? Tab Musa yah sochkar dar gaya, ki nishchay vah baat khul gai hai.
जब फिरौन ने यह बात सुनी तब मूसा को घात करने की युक्ति की। तब मूसा फिरौन के साम्हने से भागा, और मिद्यान देश में जा कर रहने लगा; और वह वहां एक कुएं के पास बैठ गया।
Jab Firaun ne yah baat suni tab Musa ko ghaat karne ki yukti ki. Tab Musa Firaun ke samhane se bhaga, aur midyaan desh mein ja kar rahne laga; aur vah vahan ek kuein ke paas baith gaya.
मिद्यान के याजक की सात बेटियां थी; और वे वहां आकर जल भरने लगीं, कि कठौतों में भरके अपने पिता की भेड़बकरियों को पिलाएं।
Midyaan ke yajak ki saat betiyan thi; aur ve vahan aakar jal bharne lagi, ki kathauton mein bharke apne pita ki bhedbakriyon ko pilayen.
तब चरवाहे आकर उन को हटाने लगे; इस पर मूसा ने खड़ा हो कर उनकी सहायता की, और भेड़-बकरियों को पानी पिलाया।
Tab charvahe aakar un ko hatane lage; is par Musa ne khada ho kar unki sahayta ki, aur bhed-bakriyon ko pani pilaya.
जब वे अपने पिता रूएल के पास फिर आई, तब उसने उन से पूछा, क्या कारण है कि आज तुम ऐसी फुर्ती से आई हो?
Jab ve apne pita rooyel ke paas phir aai, tab usne un se poochha, kya karan hai ki aaj tum aisi phurti se aai ho?
उन्होंने कहा, एक मिस्री पुरूष ने हम को चरवाहों के हाथ से छुड़ाया, और हमारे लिये बहुत जल भरके भेड़-बकरियों को पिलाया।
Unhonne kaha, ek misri puroosh ne ham ko charvahon ke haath se chhudaya, aur hamare liye bahut jal bharke bhed-bakriyon ko pilaya.
तब उसने अपनी बेटियों से कहा, वह पुरूष कहां है? तुम उसको क्यों छोड़ आई हो? उसको बुला ले आओ कि वह भोजन करे।
Tab usne apni betiyon se kaha, vah puroosh kahan hai? Tum usko kyon chhod aai ho? Usko bula le aao ki vah bhojan kare.
और मूसा उस पुरूष के साथ रहने को प्रसन्न हुआ; उसने उसे अपनी बेटी सिप्पोरा को ब्याह दिया।
Aur Musa us puroosh ke saath rahne ko prasann huaa; usne use apni beti sippora ko byaah diya.
और उसके एक पुत्र उत्पन्न हुआ, तब मूसा ने यह कहकर, कि मैं अन्य देश में परदेशी हूं, उसका नाम गेर्शोम रखा॥
Aur uske ek putra utpann huaa, tab Musa ne yah kahkar, ki main anya desh mein pardeshi hoon, uska naam gershom rakha.
बहुत दिनों के बीतने पर मिस्र का राजा मर गया। और इस्राएली कठिन सेवा के कारण लम्बी लम्बी सांस ले कर आहें भरने लगे, और पुकार उठे, और उनकी दोहाई जो कठिन सेवा के कारण हुई वह परमेश्वर तक पहुंची।
Bahut dinon ke beetne par Misr ka raja mar gaya. Aur Israeli kathin seva ke karan lambi lambi saans le kar aahein bharne lage, aur pukaar uthe, aur unki dohai jo kathin seva ke karan hui vah Parmeshwar tak pahunchi.
और परमेश्वर ने उनका कराहना सुनकर अपनी वाचा को, जो उसने इब्राहीम, और इसहाक, और याकूब के साथ बान्धी थी, स्मरण किया।
Aur Parmeshwar ne unka karahna sunkar apni vacha ko, jo usne Ibrahim, aur Ishaq, aur Yakub ke saath bandhi thi, smaran kiya.
और परमेश्वर ने इस्राएलियों पर दृष्टि करके उन पर चित्त लगाया॥
Aur Parmeshwar ne Israeliyon par drishti karke un par chitt lagaya.