इस्त्राएलियों को मिस्र देश से निकले हुए जिस दिन तीन महीने बीत चुके, उसी दिन वे सीनै के जंगल में आए।
Istrayeliyon ko Misr desh se nikle hue jis din teen maheene beet chuke, usi din ve seenai ke jangal mein aaye.
Exodus 19 · 25 verses
इस्त्राएलियों को मिस्र देश से निकले हुए जिस दिन तीन महीने बीत चुके, उसी दिन वे सीनै के जंगल में आए।
Istrayeliyon ko Misr desh se nikle hue jis din teen maheene beet chuke, usi din ve seenai ke jangal mein aaye.
और जब वे रपीदीम से कूच करके सीनै के जंगल में आए, तब उन्होंने जंगल में डेरे खड़े किए; और वहीं पर्वत के आगे इस्त्राएलियों ने छावनी डाली।
Aur jab ve rapeedeem se kooch karke seenai ke jangal mein aaye, tab unhonne jangal mein dere khade kiye; aur vahi parvat ke aage istrayeliyon ne chhavni dali.
तब मूसा पर्वत पर परमेश्वर के पास चढ़ गया, और यहोवा ने पर्वत पर से उसको पुकार कर कहा, याकूब के घराने से ऐसा कह, और इस्त्राएलियों को मेरा यह वचन सुना,
Tab Musa parvat par Parmeshwar ke paas chadh gaya, aur Yahowa ne parvat par se usko pukaar kar kaha, Yakub ke gharane se aisa kah, aur istrayeliyon ko mera yah vachan suna,
कि तुम ने देखा है कि मैं ने मिस्रियों से क्या क्या किया; तुम को मानो उकाब पक्षी के पंखों पर चढ़ाकर अपने पास ले आया हूं।
Ki tum ne dekha hai ki main ne misriyon se kya kya kiya; tum ko mano ukaab pakshi ke pankhon par chadhakar apne paas le aaya hoon.
इसलिये अब यदि तुम निश्चय मेरी मानोगे, और मेरी वाचा का पालन करोगे, तो सब लोगों में से तुम ही मेरा निज धन ठहरोगे; समस्त पृथ्वी तो मेरी है।
Isliye ab yadi tum nishchay meri manoge, aur meri vacha ka palan karoge, to sab logon mein se tum hi mera nij dhan thahroge; samast prithvi to meri hai.
और तुम मेरी दृष्टि में याजकों का राज्य और पवित्र जाति ठहरोगे। जो बातें तुझे इस्त्राएलियों से कहनी हैं वे ये ही हैं।
Aur tum meri drishti mein yajkon ka rajya aur pavitra jati thahroge. Jo batein tujhe istrayeliyon se kahni hain ve ye hi hain.
तब मूसा ने आकर लोगों के पुरनियों को बुलवाया, और ये सब बातें, जिनके कहने की आज्ञा यहोवा ने उसे दी थी, उन को समझा दीं।
Tab Musa ne aakar logon ke purniyon ko bulvaya, aur ye sab batein, jinke kahne ki aagya Yahowa ne use di thi, un ko samjha di.
और सब लोग मिलकर बोल उठे, जो कुछ यहोवा ने कहा है वह सब हम नित करेंगे। लोगों की यह बातें मूसा ने यहोवा को सुनाईं।
Aur sab log milkar bol uthe, jo kuchh Yahowa ne kaha hai vah sab ham nit karenge. Logon ki yah batein Musa ne Yahowa ko sunai.
तब यहोवा ने मूसा से कहा, सुन, मैं बादल के अंधियारे में हो कर तेरे पास आता हूं, इसलिये कि जब मैं तुझ से बातें करूं तब वे लोग सुनें, और सदा तेरी प्रतीति करें। और मूसा ने यहोवा से लोगों की बातों का वर्णन किया।
Tab Yahowa ne Musa se kaha, sun, main badal ke andhiyare mein ho kar tere paas aata hoon, isliye ki jab main tujh se batein karun tab ve log sunein, aur sada teri prateeti karein. Aur Musa ne Yahowa se logon ki baton ka varnan kiya.
तब यहोवा ने मूसा से कहा, लोगों के पास जा और उन्हें आज और कल पवित्र करना, और वे अपने वस्त्र धो लें,
Tab Yahowa ne Musa se kaha, logon ke paas ja aur unhein aaj aur kal pavitra karna, aur ve apne vastra dho lein,
और वे तीसरे दिन तक तैयार हो रहें; क्योंकि तीसरे दिन यहोवा सब लोगों के देखते सीनै पर्वत पर उतर आएगा।
Aur ve teesre din tak taiyaar ho rahein; kyonki teesre din Yahowa sab logon ke dekhte seenai parvat par utar aayega.
और तू लोगों के लिये चारों ओर बाड़ा बान्ध देना, और उन से कहना, कि तुम सचेत रहो कि पर्वत पर न चढ़ो और उसके सिवाने को भी न छूओ; और जो कोई पहाड़ को छूए वह निश्चय मार डाला जाए।
Aur tu logon ke liye charon or bada baandh dena, aur un se kahna, ki tum sachet raho ki parvat par na chadho aur uske sivane ko bhi na chhooo; aur jo koi pahaad ko chhooye vah nishchay maar dala jaye.
उसको कोई हाथ से तो न छूए, परन्तु वह निश्चय पत्थरवाह किया जाए, वा तीर से छेदा जाए; चाहे पशु हो चाहे मनुष्य, वह जीवित न बचे। जब महाशब्द वाले नरसिंगे का शब्द देर तक सुनाई दे, तब लोग पर्वत के पास आएं।
Usko koi haath se to na chhooye, parantu vah nishchay pattharvaah kiya jaye, va teer se chheda jaye; chahe pashu ho chahe manushya, vah jeevit na bache. Jab mahashabd vale narsinge ka shabd der tak sunai de, tab log parvat ke paas aayen.
तब मूसा ने पर्वत पर से उतर कर लोगों के पास आकर उन को पवित्र कराया; और उन्होंने अपने वस्त्र धो लिए।
Tab Musa ne parvat par se utar kar logon ke paas aakar un ko pavitra karaya; aur unhonne apne vastra dho liye.
और उसने लोगों से कहा, तीसरे दिन तक तैयार हो रहो; स्त्री के पास न जाना।
Aur usne logon se kaha, teesre din tak taiyaar ho raho; stri ke paas na jana.
जब तीसरा दिन आया तब भोर होते बादल गरजने और बिजली चमकने लगी, और पर्वत पर काली घटा छा गई, फिर नरसिंगे का शब्द बड़ा भरी हुआ, और छावनी में जितने लोग थे सब कांप उठे।
Jab teesra din aaya tab bhor hote badal garajne aur bijli chamakne lagi, aur parvat par kali ghata chha gai, phir narsinge ka shabd bada bhari huaa, aur chhavni mein jitne log the sab kaamp uthe.
तब मूसा लोगों को परमेश्वर से भेंट करने के लिये छावनी से निकाल ले गया; और वे पर्वत के नीचे खड़े हुए।
Tab Musa logon ko Parmeshwar se bhent karne ke liye chhavni se nikaal le gaya; aur ve parvat ke neeche khade hue.
और यहोवा जो आग में हो कर सीनै पर्वत पर उतरा था, इस कारण समस्त पर्वत धुएं से भर गया; और उसका धुआं भट्टे का सा उठ रहा था, और समस्त पर्वत बहुत कांप रहा था
Aur Yahowa jo aag mein ho kar seenai parvat par utra tha, is karan samast parvat dhuein se bhar gaya; aur uska dhuaan bhatte ka sa uth raha tha, aur samast parvat bahut kaamp raha tha
फिर जब नरसिंगे का शब्द बढ़ता और बहुत भारी होता गया, तब मूसा बोला, और परमेश्वर ने वाणी सुनाकर उसको उत्तर दिया।
Phir jab narsinge ka shabd badhta aur bahut bhari hota gaya, tab Musa bola, aur Parmeshwar ne vani sunakar usko uttar diya.
और यहोवा सीनै पर्वत की चोटी पर उतरा; और मूसा को पर्वत की चोटी पर बुलाया और मूसा ऊपर चढ़ गया।
Aur Yahowa seenai parvat ki choti par utra; aur Musa ko parvat ki choti par bulaya aur Musa oopar chadh gaya.
तब यहोवा ने मूसा से कहा, नीचे उतर के लोगों को चितावनी दे, कहीं ऐसा न हो कि वे बाड़ा तोड़ के यहोवा के पास देखने को घुसें, और उन में से बहुत नाश हो जाएं।
Tab Yahowa ne Musa se kaha, neeche utar ke logon ko chitavni de, kahi aisa na ho ki ve bada tod ke Yahowa ke paas dekhne ko ghusein, aur un mein se bahut naash ho jayen.
और याजक जो यहोवा के समीप आया करते हैं वे भी अपने को पवित्र करें, कहीं ऐसा न हो कि यहोवा उन पर टूट पड़े।
Aur yajak jo Yahowa ke sameep aaya karte hain ve bhi apne ko pavitra karein, kahi aisa na ho ki Yahowa un par toot pade.
मूसा ने यहोवा से कहा, वे लोग सीनै पर्वत पर नहीं चढ़ सकते; तू ने तो आप हम को यह कहकर चिताया, कि पर्वत के चारों और बाड़ा बान्धकर उसे पवित्र रखो।
Musa ne Yahowa se kaha, ve log seenai parvat par nahi chadh sakte; tu ne to aap ham ko yah kahkar chitaya, ki parvat ke charon aur bada bandhakar use pavitra rakho.
यहोवा ने उससे कहा, उतर तो जा, और हारून समेत ऊपर आ; परन्तु याजक और साधारण लोग कहीं यहोवा के पास बाड़ा तोड़ के न चढ़ आएं, कहीं ऐसा न हो कि वह उन पर टूट पड़े।
Yahowa ne usse kaha, utar to ja, aur haroon samet oopar aa; parantu yajak aur sadharan log kahi Yahowa ke paas bada tod ke na chadh aayen, kahi aisa na ho ki vah un par toot pade.
थे ही बातें मूसा ने लोगों के पास उतर के उन को सुनाईं॥
The hi batein Musa ne logon ke paas utar ke un ko sunai.