Exodus 15 · 27 verses

निर्गमन 15 Exodus 15 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nirgaman 15.

1

तब मूसा और इस्राएलियों ने यहोवा के लिये यह गीत गाया। उन्होंने कहा, मैं यहोवा का गीत गाऊंगा, क्योंकि वह महाप्रतापी ठहरा है; घोड़ों समेत सवारों को उसने समुद्र में डाल दिया है॥

Tab Musa aur Israeliyon ne Yahowa ke liye yah geet gaya. Unhonne kaha, main Yahowa ka geet gaoonga, kyonki vah mahapratapi thahra hai; ghodon samet savaron ko usne samudra mein daal diya hai.

2

यहोवा मेरा बल और भजन का विषय है, और वही मेरा उद्धार भी ठहरा है; मेरा ईश्वर वही है, मैं उसी की स्तुति करूंगा, (मैं उसके लिये निवासस्थान बनाऊंगा ), मेरे पूर्वजों का परमेश्वर वही है, मैं उसको सराहूंगा॥

Yahowa mera bal aur bhajan ka vishay hai, aur vahi mera uddhaar bhi thahra hai; mera ishwar vahi hai, main usi ki stuti karoonga, (main uske liye nivasasthaan banaoonga ), mere poorvajon ka Parmeshwar vahi hai, main usko sarahoonga.

3

यहोवा योद्धा है; उसका नाम यहोवा है॥

Yahowa yoddha hai; uska naam Yahowa hai.

4

फिरौन के रथों और सेना को उसने समुद्र में डाल दिया; और उसके उत्तम से उत्तम रथी लाल समुद्र में डूब गए॥

Firaun ke rathon aur sena ko usne samudra mein daal diya; aur uske uttam se uttam rathi laal samudra mein doob gaye.

5

गहिरे जल ने उन्हें ढांप लिया; वे पत्थर की नाईं गहिरे स्थानों में डूब गए॥

Gahire jal ne unhein dhaamp liya; ve patthar ki nai gahire sthanon mein doob gaye.

6

हे यहोवा, तेरा दहिना हाथ शक्ति में महाप्रतापी हुआ हे यहोवा, तेरा दहिना हाथ शत्रु को चकनाचूर कर देता है॥

He Yahowa, tera dahina haath shakti mein mahapratapi huaa he Yahowa, tera dahina haath shatru ko chaknachoor kar deta hai.

7

और तू अपने विरोधियों को अपने महाप्रताप से गिरा देता है; तू अपना कोप भड़काता, और वे भूसे की नाईं भस्म हो जाते हैं॥

Aur tu apne virodhiyon ko apne mahaprataap se gira deta hai; tu apna kop bhadkata, aur ve bhoose ki nai bhasm ho jate hain.

8

और तेरे नयनों की सांस से जल एकत्र हो गया, धाराएं ढेर की नाईं थम गईं; समुद्र के मध्य में गहिरा जल जम गया॥

Aur tere naynon ki saans se jal ekatra ho gaya, dharayen dher ki nai tham gai; samudra ke madhya mein gahira jal jam gaya.

9

शत्रु ने कहा था, मैं पीछा करूंगा, मैं जा पकडूंगा, मैं लूट के माल को बांट लूंगा, उन से मेरा जी भर जाएगा। मैं अपनी तलवार खींचते ही अपने हाथ से उन को नाश कर डालूंगा॥

Shatru ne kaha tha, main peechha karoonga, main ja pakdoonga, main loot ke maal ko baant loonga, un se mera ji bhar jayega. Main apni talvaar kheenchte hi apne haath se un ko naash kar daloonga.

10

तू ने अपने श्वास का पवन चलाया, तब समुद्र ने उन को ढांप लिया; वे महाजलराशि में सीसे की नाईं डूब गए॥

Tu ne apne shwaas ka pavan chalaya, tab samudra ne un ko dhaamp liya; ve mahajalrashi mein seese ki nai doob gaye.

11

हे यहोवा, देवताओं में तेरे तुल्य कौन है? तू तो पवित्रता के कारण महाप्रतापी, और अपनी स्तुति करने वालों के भय के योग्य, और आश्चर्य कर्म का कर्त्ता है॥

He Yahowa, devtaon mein tere tulya kaun hai? Tu to pavitrata ke karan mahapratapi, aur apni stuti karne valon ke bhay ke yogya, aur aashcharya karm ka kartta hai.

12

तू ने अपना दहिना हाथ बढ़ाया, और पृथ्वी ने उन को निगल लिया है॥

Tu ne apna dahina haath badhaya, aur prithvi ne un ko nigal liya hai.

13

अपनी करूणा से तू ने अपनी छुड़ाई हुई प्रजा की अगुवाई की है, अपने बल से तू उसे अपने पवित्र निवासस्थान को ले चला है॥

Apni karoona se tu ne apni chhudai hui praja ki aguvai ki hai, apne bal se tu use apne pavitra nivasasthaan ko le chala hai.

14

देश देश के लोग सुनकर कांप उठेंगे; पलिश्तियों के प्राण के लाले पड़ जाएंगे॥

Desh desh ke log sunkar kaamp uthenge; palishtiyon ke praan ke lale pad jayenge.

15

एदोम के अधिपति व्याकुल होंगे; मोआब के पहलवान थरथरा उठेंगे; सब कनान निवासियों के मन पिघल जाएंगे॥

Edom ke adhipti vyakul honge; moaab ke pahalvaan tharathra uthenge; sab kanaan nivasiyon ke man pighal jayenge.

16

उन में डर और घबराहट समा जाएगा; तेरी बांह के प्रताप से वे पत्थर की नाईं अबोल होंगे, जब तक, हे यहोवा, तेरी प्रजा के लोग निकल न जाएं, जब तक तेरी प्रजा के लोग जिन को तू ने मोल लिया है पार न निकल जाएं॥

Un mein dar aur ghabrahat sama jayega; teri baanh ke prataap se ve patthar ki nai abol honge, jab tak, he Yahowa, teri praja ke log nikal na jayen, jab tak teri praja ke log jin ko tu ne mol liya hai paar na nikal jayen.

17

तू उन्हें पहुचाकर अपने निज भाग वाले पहाड़ पर बसाएगा, यह वही स्थान है, हे यहोवा जिसे तू ने अपने निवास के लिये बनाया, और वही पवित्रस्थान है जिसे, हे प्रभु, तू ने आप स्थिर किया है॥

Tu unhein pahuchakar apne nij bhaag vale pahaad par basayega, yah vahi sthaan hai, he Yahowa jise tu ne apne nivaas ke liye banaya, aur vahi pavitrasthaan hai jise, he Prabhu, tu ne aap sthir kiya hai.

18

यहोवा सदा सर्वदा राज्य करता रहेगा॥

Yahowa sada sarvada rajya karta rahega.

19

यह गीत गाने का कारण यह है, कि फिरौन के घोड़े रथों और सवारों समेत समुद्र के बीच में चले गए, और यहोवा उनके ऊपर समुद्र का जल लौटा ले आया; परन्तु इस्राएली समुद्र के बीच स्थल ही स्थल पर हो कर चले गए।

Yah geet gane ka karan yah hai, ki Firaun ke ghode rathon aur savaron samet samudra ke beech mein chale gaye, aur Yahowa unke oopar samudra ka jal lauta le aaya; parantu Israeli samudra ke beech sthal hi sthal par ho kar chale gaye.

20

और हारून की बहिन मरियम नाम नबिया ने हाथ में डफ लिया; और सब स्त्रियां डफ लिए नाचती हुई उसके पीछे हो लीं।

Aur haroon ki bahin Mariyam naam nabiya ne haath mein daph liya; aur sab striyan daph liye nachti hui uske peechhe ho li.

21

और मरियम उनके साथ यह टेक गाती गई कि:- यहोवा का गीत गाओ, क्योंकि वह महाप्रतापी ठहरा है; घोड़ों समेत सवारों को उसने समुद्र में डाल दिया है॥

Aur Mariyam unke saath yah tek gati gai ki:- Yahowa ka geet gao, kyonki vah mahapratapi thahra hai; ghodon samet savaron ko usne samudra mein daal diya hai.

22

तब मूसा इस्राएलियों को लाल समुद्र से आगे ले गया, और वे शूर नाम जंगल में आए; और जंगल में जाते हुए तीन दिन तक पानी का सोता न मिला।

Tab Musa Israeliyon ko laal samudra se aage le gaya, aur ve shoor naam jangal mein aaye; aur jangal mein jate hue teen din tak pani ka sota na mila.

23

फिर मारा नाम एक स्थान पर पहुंचे, वहां का पानी खारा था, उसे वे न पी सके; इस कारण उस स्थान का नाम मारा पड़ा।

Phir mara naam ek sthaan par pahunche, vahan ka pani khara tha, use ve na pi sake; is karan us sthaan ka naam mara pada.

24

तब वे यह कहकर मूसा के विरुद्ध बकझक करने लगे, कि हम क्या पीएं?

Tab ve yah kahkar Musa ke viruddh bakjhak karne lage, ki ham kya peeyen?

25

तब मूसा ने यहोवा की दोहाई दी, और यहोवा ने उसे एक पौधा बतला दिया, जिसे जब उसने पानी में डाला, तब वह पानी मीठा हो गया। वहीं यहोवा ने उनके लिये एक विधि और नियम बनाया, और वहीं उसने यह कहकर उनकी परीक्षा की,

Tab Musa ne Yahowa ki dohai di, aur Yahowa ne use ek paudha batla diya, jise jab usne pani mein dala, tab vah pani meetha ho gaya. Vahi Yahowa ne unke liye ek vidhi aur niyam banaya, aur vahi usne yah kahkar unki pareeksha ki,

26

कि यदि तू अपने परमेश्वर यहोवा का वचन तन मन से सुने, और जो उसकी दृष्टि में ठीक है वही करे, और उसकी आज्ञाओं पर कान लगाए, और उसकी सब विधियों को माने, तो जितने रोग मैं ने मिस्रियों पर भेजा है उन में से एक भी तुझ पर न भेजूंगा; क्योंकि मैं तुम्हारा चंगा करने वाला यहोवा हूं॥

Ki yadi tu apne Parmeshwar Yahowa ka vachan tan man se sune, aur jo uski drishti mein theek hai vahi kare, aur uski aagyaon par kaan lagaye, aur uski sab vidhiyon ko mane, to jitne rog main ne misriyon par bheja hai un mein se ek bhi tujh par na bhejoonga; kyonki main tumhara changa karne vala Yahowa hoon.

27

तब वे एलीम को आए, जहां पानी के बारह सोते और सत्तर खजूर के पेड़ थे; और वहां उन्होंने जल के पास डेरे खड़े किए॥

Tab ve eleem ko aaye, jahan pani ke barah sote aur sattar khajoor ke ped the; aur vahan unhonne jal ke paas dere khade kiye.