Exodus 14 · 31 verses

निर्गमन 14 Exodus 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nirgaman 14.

1

यहोवा ने मूसा से कहा,

Yahowa ne Musa se kaha,

2

इस्राएलियों को आज्ञा दे, कि वे लौटकर मिगदोल और समुद्र के बीच पीहहीरोत के सम्मुख, बालसपोन के साम्हने अपने डेरे खड़े करें, उसी के साम्हने समुद्र के तट पर डेरे खड़े करें।

Israeliyon ko aagya de, ki ve lautkar migdol aur samudra ke beech peehheerot ke sammukh, balaspon ke samhane apne dere khade karein, usi ke samhane samudra ke tat par dere khade karein.

3

तब फिरौन इस्राएलियों के विषय में सोचेगा, कि वे देश के उलझनों में बझे हैं और जंगल में घिर गए हैं।

Tab Firaun Israeliyon ke vishay mein sochega, ki ve desh ke ulajhnon mein bajhe hain aur jangal mein ghir gaye hain.

4

तब मैं फिरौन के मन को कठोर कर दूंगा, और वह उनका पीछा करेगा, तब फिरौन और उसकी सारी सेना के द्वारा मेरी महिमा होगी; और मिस्री जान लेंगे कि मैं यहोवा हूं। और उन्होंने वैसा ही किया।

Tab main Firaun ke man ko kathor kar doonga, aur vah unka peechha karega, tab Firaun aur uski sari sena ke dwara meri mahima hogi; aur misri jaan lenge ki main Yahowa hoon. Aur unhonne vaisa hi kiya.

5

जब मिस्र के राजा को यह समाचार मिला कि वे लोग भाग गए, तब फिरौन और उसके कर्मचारियों का मन उनके विरुद्ध पलट गया, और वे कहने लगे, हम ने यह क्या किया, कि इस्राएलियों को अपनी सेवकाई से छुटकारा देकर जाने दिया?

Jab Misr ke raja ko yah samachaar mila ki ve log bhaag gaye, tab Firaun aur uske karmachariyon ka man unke viruddh palat gaya, aur ve kahne lage, ham ne yah kya kiya, ki Israeliyon ko apni sevkai se chhutkara dekar jane diya?

6

तब उसने अपना रथ जुतवाया और अपनी सेना को संग लिया।

Tab usne apna rath jutvaya aur apni sena ko sang liya.

7

उसने छ: सौ अच्छे से अच्छे रथ वरन मिस्र के सब रथ लिए और उन सभों पर सरदार बैठाए।

Usne chha: sau achchhe se achchhe rath varan Misr ke sab rath liye aur un sabhon par sardaar baithaye.

8

और यहोवा ने मिस्र के राजा फिरौन के मन को कठोर कर दिया। सो उसने इस्राएलियों का पीछा किया; परन्तु इस्राएली तो बेखटके निकले चले जाते थे।

Aur Yahowa ne Misr ke raja Firaun ke man ko kathor kar diya. So usne Israeliyon ka peechha kiya; parantu Israeli to bekhatke nikle chale jate the.

9

पर फिरौन के सब घोड़ों, और रथों, और सवारों समेत मिस्री सेना ने उनका पीछा करके उन्हें, जो पीहहीरोत के पास, बालसपोन के साम्हने, समुद्र के तीर पर डेरे डाले पड़े थे, जा लिया॥

Par Firaun ke sab ghodon, aur rathon, aur savaron samet misri sena ne unka peechha karke unhein, jo peehheerot ke paas, balaspon ke samhane, samudra ke teer par dere dale pade the, ja liya.

10

जब फिरौन निकट आया, तब इस्राएलियों ने आंखे उठा कर क्या देखा, कि मिस्री हमारा पीछा किए चले आ रहे हैं; और इस्राएली अत्यन्त डर गए, और चिल्लाकर यहोवा की दोहाई दी।

Jab Firaun nikat aaya, tab Israeliyon ne aankhe utha kar kya dekha, ki misri hamara peechha kiye chale aa rahe hain; aur Israeli atyant dar gaye, aur chillakar Yahowa ki dohai di.

11

और वे मूसा से कहने लगे, क्या मिस्र में कबरें न थीं जो तू हम को वहां से मरने के लिये जंगल में ले आया है? तू ने हम से यह क्या किया, कि हम को मिस्र से निकाल लाया?

Aur ve Musa se kahne lage, kya Misr mein kabrein na thi jo tu ham ko vahan se marne ke liye jangal mein le aaya hai? Tu ne ham se yah kya kiya, ki ham ko Misr se nikaal laya?

12

क्या हम तुझ से मिस्र में यही बात न कहते रहे, कि हमें रहने दे कि हम मिस्रियों की सेवा करें? हमारे लिये जंगल में मरने से मिस्रियों की सेवा करनी अच्छी थी।

Kya ham tujh se Misr mein yahi baat na kahte rahe, ki hamein rahne de ki ham misriyon ki seva karein? Hamare liye jangal mein marne se misriyon ki seva karni achchhi thi.

13

मूसा ने लोगों से कहा, डरो मत, खड़े खड़े वह उद्धार का काम देखो, जो यहोवा आज तुम्हारे लिये करेगा; क्योंकि जिन मिस्रियों को तुम आज देखते हो, उन को फिर कभी न देखोगे।

Musa ne logon se kaha, daro mat, khade khade vah uddhaar ka kaam dekho, jo Yahowa aaj tumhare liye karega; kyonki jin misriyon ko tum aaj dekhte ho, un ko phir kabhi na dekhoge.

14

यहोवा आप ही तुम्हारे लिये लड़ेगा, इसलिये तुम चुपचाप रहो॥

Yahowa aap hi tumhare liye ladega, isliye tum chupchaap raho.

15

तब यहोवा ने मूसा से कहा, तू क्यों मेरी दोहाई दे रहा है? इस्राएलियों को आज्ञा दे कि यहां से कूच करें।

Tab Yahowa ne Musa se kaha, tu kyon meri dohai de raha hai? Israeliyon ko aagya de ki yahan se kooch karein.

16

और तू अपनी लाठी उठा कर अपना हाथ समुद्र के ऊपर बढ़ा, और वह दो भाग हो जाएगा; तब इस्राएली समुद्र के बीच हो कर स्थल ही स्थल पर चले जाएंगे।

Aur tu apni lathi utha kar apna haath samudra ke oopar badha, aur vah do bhaag ho jayega; tab Israeli samudra ke beech ho kar sthal hi sthal par chale jayenge.

17

और सुन, मैं आप मिस्रियों के मन को कठोर करता हूं, और वे उनका पीछा करके समुद्र में घुस पड़ेंगे, तब फिरौन और उसकी सेना, और रथों, और सवारों के द्वारा मेरी महिमा होगी, तब मिस्री जान लेंगे कि मैं यहोवा हूं।

Aur sun, main aap misriyon ke man ko kathor karta hoon, aur ve unka peechha karke samudra mein ghus padenge, tab Firaun aur uski sena, aur rathon, aur savaron ke dwara meri mahima hogi, tab misri jaan lenge ki main Yahowa hoon.

18

और जब फिरौन, और उसके रथों, और सवारों के द्वारा मेरी महिमा होगी, तब मिस्री जान लेंगे कि मैं यहोवा हूं।

Aur jab Firaun, aur uske rathon, aur savaron ke dwara meri mahima hogi, tab misri jaan lenge ki main Yahowa hoon.

19

तब परमेश्वर का दूत जो इस्राएली सेना के आगे आगे चला करता था जा कर उनके पीछे हो गया; और बादल का खम्भा उनके आगे से हटकर उनके पीछे जा ठहरा।

Tab Parmeshwar ka doot jo Israeli sena ke aage aage chala karta tha ja kar unke peechhe ho gaya; aur badal ka khambha unke aage se hatkar unke peechhe ja thahra.

20

इस प्रकार वह मिस्रियों की सेना और इस्राएलियों की सेना के बीच में आ गया; और बादल और अन्धकार तो हुआ, तौभी उससे रात को उन्हें प्रकाश मिलता रहा; और वे रात भर एक दूसरे के पास न आए।

Is prakaar vah misriyon ki sena aur Israeliyon ki sena ke beech mein aa gaya; aur badal aur andhakaar to huaa, taubhi usse raat ko unhein prakaash milta raha; aur ve raat bhar ek doosre ke paas na aaye.

21

और मूसा ने अपना हाथ समुद्र के ऊपर बढ़ाया; और यहोवा ने रात भर प्रचण्ड पुरवाई चलाई, और समुद्र को दो भाग करके जल ऐसा हटा दिया, जिससे कि उसके बीच सूखी भूमि हो गई।

Aur Musa ne apna haath samudra ke oopar badhaya; aur Yahowa ne raat bhar prachand purvai chalai, aur samudra ko do bhaag karke jal aisa hata diya, jisse ki uske beech sookhi bhoomi ho gai.

22

तब इस्राएली समुद्र के बीच स्थल ही स्थल पर हो कर चले, और जल उनकी दाहिनी और बाईं ओर दीवार का काम देता था।

Tab Israeli samudra ke beech sthal hi sthal par ho kar chale, aur jal unki dahini aur bai or deevaar ka kaam deta tha.

23

तब मिस्री, अर्थात फिरौन के सब घोड़े, रथ, और सवार उनका पीछा किए हुए समुद्र के बीच में चले गए।

Tab misri, arthaat Firaun ke sab ghode, rath, aur savaar unka peechha kiye hue samudra ke beech mein chale gaye.

24

और रात के पिछले पहर में यहोवा ने बादल और आग के खम्भे में से मिस्रियों की सेना पर दृष्टि करके उन्हें घबरा दिया।

Aur raat ke pichhle pahar mein Yahowa ne badal aur aag ke khambhe mein se misriyon ki sena par drishti karke unhein ghabra diya.

25

और उसने उनके रथों के पहियों को निकाल डाला, जिससे उनका चलना कठिन हो गया; तब मिस्री आपस में कहने लगे, आओ, हम इस्राएलियों के साम्हने से भागें; क्योंकि यहोवा उनकी ओर से मिस्रियों के विरुद्ध युद्ध कर रहा है॥

Aur usne unke rathon ke pahiyon ko nikaal dala, jisse unka chalna kathin ho gaya; tab misri aapas mein kahne lage, aao, ham Israeliyon ke samhane se bhagein; kyonki Yahowa unki or se misriyon ke viruddh yuddh kar raha hai.

26

फिर यहोवा ने मूसा से कहा, अपना हाथ समुद्र के ऊपर बढ़ा, कि जल मिस्रियों, और उनके रथों, और सवारों पर फिर बहने लगे।

Phir Yahowa ne Musa se kaha, apna haath samudra ke oopar badha, ki jal misriyon, aur unke rathon, aur savaron par phir bahne lage.

27

तब मूसा ने अपना हाथ समुद्र के ऊपर बढ़ाया, और भोर होते होते क्या हुआ, कि समुद्र फिर ज्यों का त्यों अपने बल पर आ गया; और मिस्री उलटे भागने लगे, परन्तु यहोवा ने उन को समुद्र के बीच ही में झटक दिया।

Tab Musa ne apna haath samudra ke oopar badhaya, aur bhor hote hote kya huaa, ki samudra phir jyon ka tyon apne bal par aa gaya; aur misri ulte bhagne lage, parantu Yahowa ne un ko samudra ke beech hi mein jhatak diya.

28

और जल के पलटने से, जितने रथ और सवार इस्राएलियों के पीछे समुद्र में आए थे, सो सब वरन फिरौन की सारी सेना उस में डूब गई, और उस में से एक भी न बचा।

Aur jal ke palatne se, jitne rath aur savaar Israeliyon ke peechhe samudra mein aaye the, so sab varan Firaun ki sari sena us mein doob gai, aur us mein se ek bhi na bacha.

29

परन्तु इस्राएली समुद्र के बीच स्थल ही स्थल पर हो कर चले गए, और जल उनकी दाहिनी और बाईं दोनों ओर दीवार का काम देता था।

Parantu Israeli samudra ke beech sthal hi sthal par ho kar chale gaye, aur jal unki dahini aur bai donon or deevaar ka kaam deta tha.

30

और यहोवा ने उस दिन इस्राएलियों को मिस्रियों के वश से इस प्रकार छुड़ाया; और इस्राएलियों ने मिस्रियों को समुद्र के तट पर मरे पड़े हुए देखा।

Aur Yahowa ne us din Israeliyon ko misriyon ke vash se is prakaar chhudaya; aur Israeliyon ne misriyon ko samudra ke tat par mare pade hue dekha.

31

और यहोवा ने मिस्रियों पर जो अपना पराक्रम दिखलाता था, उसको देखकर इस्राएलियों ने यहोवा का भय माना और यहोवा की और उसके दास मूसा की भी प्रतीति की॥

Aur Yahowa ne misriyon par jo apna parakram dikhlata tha, usko dekhkar Israeliyon ne Yahowa ka bhay mana aur Yahowa ki aur uske daas Musa ki bhi prateeti ki.