Esther 9 · 32 verses

एस्तेर 9 Esther 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ester 9.

1

अदार नाम बारहवें महीने के तेरहवें दिन को, जिस दिन राजा की आज्ञा और नियम पूरे होने को थे, और यहूदियों के शत्रु उन पर प्रबल होने की आशा रखते थे, परन्तु इसके उलटे यहूदी अपने बैरियों पर प्रबल हुए, उस दिन,

Adaar naam barahvein maheene ke terahvein din ko, jis din raja ki aagya aur niyam poore hone ko the, aur Yahudiyon ke shatru un par prabal hone ki aasha rakhte the, parantu iske ulte Yahudi apne bairiyon par prabal hue, us din,

2

यहूदी लोग राजा क्षयर्ष के सब प्रान्तों में अपने अपने नगर में इकट्ठे हुए, कि जो उनकी हानि करने का यत्न करे, उन पर हाथ चलाए। और कोई उनका साम्हना न कर सका, क्योंकि उनका भय देश देश के सब लोगों के मन में समा गया था।

Yahudi log raja kshayarsh ke sab pranton mein apne apne nagar mein ikatthe hue, ki jo unki hani karne ka yatn kare, un par haath chalaye. Aur koi unka samhana na kar saka, kyonki unka bhay desh desh ke sab logon ke man mein sama gaya tha.

3

वरन प्रान्तों के सब हाकिमों और अधिपतियों और प्रधानों और राजा के कर्मचारियों ने यहूदियों की सहायता की, क्योंकि उनके मन में मोर्दकै का भय समा गया था।

Varan pranton ke sab hakimon aur adhiptiyon aur pradhanon aur raja ke karmachariyon ne Yahudiyon ki sahayta ki, kyonki unke man mein mordakai ka bhay sama gaya tha.

4

मोर्दकै तो राजा के यहां बहुत प्रतिष्ठित था, और उसकी कीर्ति सब प्रान्तों में फैल गई; वरन उस पुरुष मोर्दकै की महिमा बढ़ती चली गई।

Mordakai to raja ke yahan bahut pratishthit tha, aur uski keerti sab pranton mein phail gai; varan us purush mordakai ki mahima badhti chali gai.

5

और यहूदियों ने अपने सब शत्रुओं को तलवार से मार कर और घात कर के नाश कर डाला, और अपने बैरियों से अपनी इच्छा के अनुसार बर्ताव किया।

Aur Yahudiyon ne apne sab shatruon ko talvaar se maar kar aur ghaat kar ke naash kar dala, aur apne bairiyon se apni ichchha ke anusaar bartaav kiya.

6

और शूशन राजगढ़ में यहूदियों ने पांच सौ मनुष्यों को घात कर के नाश किया।

Aur shooshan rajgadh mein Yahudiyon ne paanch sau manushyon ko ghaat kar ke naash kiya.

7

और उन्होंने पर्शन्दाता, दल्पोन, अस्पाता,

Aur unhonne parshandata, dalpon, aspata,

8

पोराता, अदल्या, अरीदाता,

Porata, adalya, areedata,

9

पर्मशता, अरीसै, अरीदै और वैजाता,

Parmashta, areesai, areedai aur vaijata,

10

अर्थात हम्मदाता के पुत्र यहूदियों के विरोधी हामान के दसों पुत्रों को भी घात किया; परन्तु उनके धन को न लूटा।

Arthaat hammadata ke putra Yahudiyon ke virodhi hamaan ke dason putron ko bhi ghaat kiya; parantu unke dhan ko na loota.

11

उसी दिन शूशन राजगढ़ में घात किए हुओं की गिनती राजा को सुनाई गई।

Usi din shooshan rajgadh mein ghaat kiye huon ki ginti raja ko sunai gai.

12

तब राजा ने एस्तेर रानी से कहा, यहूदियों ने शूशन राजगढ़ ही में पांच सौ मनुष्य और हामान के दसों पुत्रों को भी घात कर के नाश किया है; फिर राज्य के और और प्रान्तों में उन्होंने न जाने क्या क्या किया होगा! अब इस से अधिक तेरा निवेदन क्या है? वह भी पूरा किया जाएगा। और तू क्या मांगती है? वह भी तुझे दिया जाएगा।

Tab raja ne ester rani se kaha, Yahudiyon ne shooshan rajgadh hi mein paanch sau manushya aur hamaan ke dason putron ko bhi ghaat kar ke naash kiya hai; phir rajya ke aur aur pranton mein unhonne na jane kya kya kiya hoga! Ab is se adhik tera nivedan kya hai? Vah bhi poora kiya jayega. Aur tu kya mangti hai? Vah bhi tujhe diya jayega.

13

एस्तेर ने कहा, यदि राजा को स्वीकार हो तो शूशन के यहूदियों को आज की नाईं कल भी करने की आज्ञा दी जाए, और हामान के दसों पुत्र फांसी के खम्भे पर लटकाए जाएं।

Ester ne kaha, yadi raja ko sweekaar ho to shooshan ke Yahudiyon ko aaj ki nai kal bhi karne ki aagya di jaye, aur hamaan ke dason putra phansi ke khambhe par latkaye jayen.

14

राजा ने कहा, ऐसा किया जाए; यह आज्ञा शूशन में दी गई, और हामान के दसों पुत्र लटकाए गए।

Raja ne kaha, aisa kiya jaye; yah aagya shooshan mein di gai, aur hamaan ke dason putra latkaye gaye.

15

और शूशन के यहूदियों ने अदार महीने के चौदहवें दिन को भी इकट्ठे हो कर शूशन में तीन सौ पुरुषों को घात किया, परन्तु धन को न लूटा।

Aur shooshan ke Yahudiyon ne adaar maheene ke chaudahvein din ko bhi ikatthe ho kar shooshan mein teen sau purushon ko ghaat kiya, parantu dhan ko na loota.

16

राज्य के और और प्रान्तों के यहूदी इकट्ठे हो कर अपना अपना प्राण बचाने के लिये खड़े हुए, और अपने बैरियों में से पचहत्तर हजार मनुष्यों को घात कर के अपने शत्रुओं से विश्राम पाया; परन्तु धन को न लूटा।

Rajya ke aur aur pranton ke Yahudi ikatthe ho kar apna apna praan bachane ke liye khade hue, aur apne bairiyon mein se pachhattar hajaar manushyon ko ghaat kar ke apne shatruon se vishraam paya; parantu dhan ko na loota.

17

यह अदार महीने के तेरहवें दिन को किया गया, और चौदहवें दिन को उन्होंने विश्राम कर के जेवनार की और आनन्द का दिन ठहराया।

Yah adaar maheene ke terahvein din ko kiya gaya, aur chaudahvein din ko unhonne vishraam kar ke jevnaar ki aur aanand ka din thahraya.

18

परन्तु शूशन के यहूदी अदार महीने के तेरहवें दिन को, और उसी महीने के चौदहवें दिन को इकट्ठे हुए, और उसी महीने के पन्द्रहवें दिन को उन्होंने विश्राम कर के जेवनार का और आनन्द का दिन ठहराया।

Parantu shooshan ke Yahudi adaar maheene ke terahvein din ko, aur usi maheene ke chaudahvein din ko ikatthe hue, aur usi maheene ke pandrahvein din ko unhonne vishraam kar ke jevnaar ka aur aanand ka din thahraya.

19

इस कारण देहाती यहूदी जो बिना शहरपनाह की बस्तियों में रहते हैं, वे अदार महीने के चौदहवें दिन को आनन्द ओर जेवनार और खुशी और आपस में बैना भेजने का दिन नियुक्त कर के मानते हैं।

Is karan dehati Yahudi jo bina shahrapnaah ki bastiyon mein rahte hain, ve adaar maheene ke chaudahvein din ko aanand or jevnaar aur khushi aur aapas mein baina bhejne ka din niyukt kar ke mante hain.

20

इन बातों का वृत्तान्त लिखकर, मोर्दकै ने राजा क्षयर्ष के सब प्रान्तों में, क्या निकट क्या दूर रहने वाले सारे यहूदियों के पास चिट्ठियां भेजीं,

In baton ka vrittaant likhkar, mordakai ne raja kshayarsh ke sab pranton mein, kya nikat kya door rahne vale sare Yahudiyon ke paas chitthiyan bheji,

21

और यह आज्ञा दी, कि अदार महीने के चौदहवें और उसी महीने के पन्द्रहवें दिन को प्रति वर्ष माना करें।

Aur yah aagya di, ki adaar maheene ke chaudahvein aur usi maheene ke pandrahvein din ko prati varsh mana karein.

22

जिन में यहूदियों ने अपने शत्रुओं से विश्राम पाया, और यह महीना जिस में शोक आनन्द से, और विलाप खुशी से बदला गया; (माना करें) और उन को जेवनार और आनन्द और एक दूसरे के पास बैना भेजने ओर कंगालों को दान देने के दिन मानें।

Jin mein Yahudiyon ne apne shatruon se vishraam paya, aur yah maheena jis mein shok aanand se, aur vilaap khushi se badla gaya; (mana karein) aur un ko jevnaar aur aanand aur ek doosre ke paas baina bhejne or kangalon ko daan dene ke din manein.

23

और यहूदियों ने जैसा आरम्भ किया था, और जैसा मोर्दकै ने उन्हें लिखा, वैसा ही करने का निश्चय कर लिया।

Aur Yahudiyon ne jaisa aarambh kiya tha, aur jaisa mordakai ne unhein likha, vaisa hi karne ka nishchay kar liya.

24

क्योंकि हम्मदाता अगागी का पुत्र हामान जो सब यहूदियों का विरोधी था, उसने यहूदियों के नाश करने की युक्ति की, और उन्हें मिटा डालने और नाश करने के लिये पूर अर्थात चिट्ठी डाली थी।

Kyonki hammadata agagi ka putra hamaan jo sab Yahudiyon ka virodhi tha, usne Yahudiyon ke naash karne ki yukti ki, aur unhein mita dalne aur naash karne ke liye poor arthaat chitthi dali thi.

25

परन्तु जब राजा ने यह जान लिया, तब उसने आज्ञा दी और लिखवाई कि जो दुष्ट युक्ति हामान ने यहूदियों के विरुद्ध की थी वह उसी के सिर पर पलट आए, तब वह और उसके पुत्र फांसी के खम्भों पर लटकाए गए।

Parantu jab raja ne yah jaan liya, tab usne aagya di aur likhvai ki jo dusht yukti hamaan ne Yahudiyon ke viruddh ki thi vah usi ke sir par palat aaye, tab vah aur uske putra phansi ke khambhon par latkaye gaye.

26

इस कारण उन दिनों का नाम पूर शब्द से पूरीम रखा गया। इस चिट्ठी की सब बातों के कारण, और जो कुछ उन्होंने इस विषय में देखा और जो कुछ उन पर बीता था, उसके कारण भी

Is karan un dinon ka naam poor shabd se pooreem rakha gaya. Is chitthi ki sab baton ke karan, aur jo kuchh unhonne is vishay mein dekha aur jo kuchh un par beeta tha, uske karan bhi

27

यहूदियों ने अपने अपने लिये और अपनी सन्तान के लिये, और उन सभों के लिये भी जो उन में मिल गए थे यह अटल प्रण किया, कि उस लेख के अनुसार प्रति वर्ष उसके ठहराए हुए समय में वे ये दो दिन मानें।

Yahudiyon ne apne apne liye aur apni santaan ke liye, aur un sabhon ke liye bhi jo un mein mil gaye the yah atal pran kiya, ki us lekh ke anusaar prati varsh uske thahraye hue samay mein ve ye do din manein.

28

और पीढ़ी पीढ़ी, कुल कुल, प्रान्त प्रान्त, नगर नगर में ये दिन स्मरण किए और माने जाएंगे। और पूरीम नाम के दिन यहूदियों में कभी न मिटेंगे और उनका स्मरण उनके वंश से जाता न रहेगा।

Aur peedhi peedhi, kul kul, praant praant, nagar nagar mein ye din smaran kiye aur mane jayenge. Aur pooreem naam ke din Yahudiyon mein kabhi na mitenge aur unka smaran unke vansh se jata na rahega.

29

फिर अबीहैल की बेटी एस्तेर रानी, और मोर्दकै यहूदी ने, पूरीम के विषय यह दूसरी चिट्ठी बड़े अधिकार के साथ लिखी।

Phir abeehail ki beti ester rani, aur mordakai Yahudi ne, pooreem ke vishay yah doosri chitthi bade adhikaar ke saath likhi.

30

इसकी नकलें मोर्दकै ने क्षयर्ष के राज्य के, एक सौ सत्ताईसों प्रान्तों के सब यहूदियों के पास शान्ति देने वाली और सच्ची बातों के साथ इस आशय से भेजीं,

Iski naklein mordakai ne kshayarsh ke rajya ke, ek sau sattaison pranton ke sab Yahudiyon ke paas shanti dene vali aur sachchi baton ke saath is aashay se bheji,

31

कि पूरीम के उन दिनों के विशेष ठहराए हुए समयों में मोर्दकै यहूदी और एस्तेर रानी की आज्ञा के अनुसार, और जो यहूदियों ने अपने और अपनी सन्तान के लिये ठान लिया था, उसके अनुसार भी उपवास और विलाप किए जाएं।

Ki pooreem ke un dinon ke vishesh thahraye hue samyon mein mordakai Yahudi aur ester rani ki aagya ke anusaar, aur jo Yahudiyon ne apne aur apni santaan ke liye thaan liya tha, uske anusaar bhi upvaas aur vilaap kiye jayen.

32

और पूरीम के विष्य का यह नियम एस्तेर की आज्ञा से भी स्थिर किया गया, और उनकी चर्चा पुस्तक में लिखी गई।

Aur pooreem ke vishya ka yah niyam ester ki aagya se bhi sthir kiya gaya, aur unki charcha pustak mein likhi gai.