Esther 8 · 17 verses

एस्तेर 8 Esther 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ester 8.

1

उसी दिन राजा क्षयर्ष ने यहूदियों के विरोधी हामान का घरबार एस्तेर रानी को दे दिया। और मोर्दकै राजा के साम्हने आया, क्योंकि एस्तेर ने राजा को बताया था, कि उस से उसका क्या नाता था

Usi din raja kshayarsh ne Yahudiyon ke virodhi hamaan ka gharbaar ester rani ko de diya. Aur mordakai raja ke samhane aaya, kyonki ester ne raja ko bataya tha, ki us se uska kya nata tha

2

तब राजा ने अपनी वह अंगूठी जो उसने हामान से ले ली थी, उतार कर, मोर्दकै को दे दी। और एस्तेर ने मोर्दकै को हामान के घरबार पर अधिकारी नियुक्त कर दिया।

Tab raja ne apni vah angoothi jo usne hamaan se le li thi, utaar kar, mordakai ko de di. Aur ester ne mordakai ko hamaan ke gharbaar par adhikari niyukt kar diya.

3

फिर एस्तेर दूसरी बार राजा से बोली; और उसके पांव पर गिर, आंसू बहा बहाकर उस से गिड़गिड़ाकर बिन्ती की, कि अगागी हामान की बुराई और यहूदियों की हानि की उसकी युक्ति निष्फल की जाए।

Phir ester doosri baar raja se boli; aur uske paanv par gir, aansu baha bahakar us se gidgidakar binti ki, ki agagi hamaan ki burai aur Yahudiyon ki hani ki uski yukti nishphal ki jaye.

4

तब राजा ने एस्तेर की ओर सोने का राजदण्ड बढ़ाया।

Tab raja ne ester ki or sone ka rajdand badhaya.

5

तब एस्तेर उठ कर राजा के साम्हने खड़ी हुई; और कहने लगी कि यदि राजा को स्वीकार हो और वह मुझ से प्रसन्न है और यह बात उसको ठीक जान पड़े, और मैं भी उसको अच्छी लगती हूँ, तो जो चिट्ठियां हम्मदाता अगागी के पुत्र हामान ने राजा के सब प्रान्तों के यहूदियों को नाश करने की युक्ति कर के लिखाई थीं, उन को पलटने के लिये लिखा जाए।

Tab ester uth kar raja ke samhane khadi hui; aur kahne lagi ki yadi raja ko sweekaar ho aur vah mujh se prasann hai aur yah baat usko theek jaan pade, aur main bhi usko achchhi lagti hoon, to jo chitthiyan hammadata agagi ke putra hamaan ne raja ke sab pranton ke Yahudiyon ko naash karne ki yukti kar ke likhai thi, un ko palatne ke liye likha jaye.

6

क्योंकि मैं अपने जाति के लोगों पर पड़ने वाली उस विपत्ति को किस रीति से देख सकूंगी? और मैं अपने भाइयों के विनाश को क्योंकर देख सकूंगी?

Kyonki main apne jati ke logon par padne vali us vipatti ko kis reeti se dekh sakoongi? Aur main apne bhaiyon ke vinaash ko kyonkar dekh sakoongi?

7

तब राजा क्षयर्ष ने एस्तेर रानी से और मोर्दकै यहूदी से कहा, मैं हामान का घरबार तो एस्तेर को दे चुका हूँ, और वह फांसी के खम्भे पर लटका दिया गया है, इसलिये कि उसने यहूदियों पर हाथ बढ़ाया था।

Tab raja kshayarsh ne ester rani se aur mordakai Yahudi se kaha, main hamaan ka gharbaar to ester ko de chuka hoon, aur vah phansi ke khambhe par latka diya gaya hai, isliye ki usne Yahudiyon par haath badhaya tha.

8

सो तुम अपनी समझ के अनुसार राजा के नाम से यहूदियों के नाम पर लिखो, और राजा की अंगूठी की छाप भी लगाओ; क्योंकि जो चिट्ठी राजा के नाम से लिखी जाए, और उस पर उसकी अंगूठी की छाप लगाई जाए, उसको कोई भी पलट नहीं सकता।

So tum apni samajh ke anusaar raja ke naam se Yahudiyon ke naam par likho, aur raja ki angoothi ki chhaap bhi lagao; kyonki jo chitthi raja ke naam se likhi jaye, aur us par uski angoothi ki chhaap lagai jaye, usko koi bhi palat nahi sakta.

9

सो उसी समय अर्थात सीवान नाम तीसरे महीने के तेईसवें दिन को राजा के लेखक बुलवाए गए और जिस जिस बात की आज्ञा मोर्दकै ने उन्हें दी थी उसे यहूदियों और अधिपतियों और हिन्दुस्तान से ले कर कूश तक, जो एक सौ सत्ताईस प्रान्त हैं, उन सभों के अधिपतियों और हाकिमों को एक एक प्रान्त के अक्षरों में और एक एक देश के लोगों की भाषा में, और यहूदियों को उनके अक्षरों और भाषा में लिखी गई।

So usi samay arthaat seevaan naam teesre maheene ke teisvein din ko raja ke lekhak bulvaye gaye aur jis jis baat ki aagya mordakai ne unhein di thi use Yahudiyon aur adhiptiyon aur hindustaan se le kar koosh tak, jo ek sau sattais praant hain, un sabhon ke adhiptiyon aur hakimon ko ek ek praant ke aksharon mein aur ek ek desh ke logon ki bhasha mein, aur Yahudiyon ko unke aksharon aur bhasha mein likhi gai.

10

मोर्दकै ने राजा क्षयर्ष के नाम से चिट्ठियां लिखा कर, और उन पर राजा की अंगूठी की छाप लगाकर, वेग चलने वाले सरकारी घोड़ों, खच्चरों और सांड़नियों की डाक लगा कर, हरकारों के हाथ भेज दीं।

Mordakai ne raja kshayarsh ke naam se chitthiyan likha kar, aur un par raja ki angoothi ki chhaap lagakar, veg chalne vale sarkari ghodon, khachcharon aur sandniyon ki daak laga kar, harkaron ke haath bhej di.

11

इन चिट्ठियों में सब नगरों के यहूदियों को राजा की ओर से अनुमति दी गई, कि वे इकट्ठे हों और अपना अपना प्राण बचाने के लिये तैयार हो कर, जिस जाति वा प्रान्त से लोग अन्याय कर के उन को वा उनकी स्त्रियों और बाल-बच्चों को दु:ख देना चाहें, उन को विध्वंसघात और नाश करें, और उनकी धन सम्मत्ति लूट लें।

In chitthiyon mein sab nagron ke Yahudiyon ko raja ki or se anumti di gai, ki ve ikatthe hon aur apna apna praan bachane ke liye taiyaar ho kar, jis jati va praant se log anyaay kar ke un ko va unki striyon aur baal-bachchon ko dukh dena chahein, un ko vidhvansghaat aur naash karein, aur unki dhan sammatti loot lein.

12

और यह राजा क्षयर्ष के सब प्रान्तों में एक ही दिन में किया जाए, अर्थात अदार नाम बारहवें महीने के तेरहवें दिन को।

Aur yah raja kshayarsh ke sab pranton mein ek hi din mein kiya jaye, arthaat adaar naam barahvein maheene ke terahvein din ko.

13

इस आज्ञा के लेख की नकलें, समस्त प्रान्तों में सब देशें के लोगों के पास खुली हुई भेजी गईं; ताकि यहूदी उस दिन अपने शत्रुओं से पलटा लेने को तैयार रहें।

Is aagya ke lekh ki naklein, samast pranton mein sab deshein ke logon ke paas khuli hui bheji gai; taki Yahudi us din apne shatruon se palta lene ko taiyaar rahein.

14

सो हरकारे वेग चलने वाले सरकारी घोड़ों पर सवार हो कर, राजा की आज्ञा से फुर्ती कर के जल्दी चले गए, और यह आज्ञा शूशन राजगढ़ में दी गई थी।

So harkare veg chalne vale sarkari ghodon par savaar ho kar, raja ki aagya se phurti kar ke jaldi chale gaye, aur yah aagya shooshan rajgadh mein di gai thi.

15

तब मोर्दकै नीले और श्वेत रंग के राजकीय वस्त्र पहिने और सिर पर सोने का बड़ा मुकुट धरे हुए और सूक्ष्मसन और बैंजनी रंग का बागा पहिने हुए, राजा के सम्मुख से निकला, और शूशन नगर के लोग आनन्द के मारे ललकार उठे।

Tab mordakai neele aur shwet rang ke rajkeeya vastra pahine aur sir par sone ka bada mukut dhare hue aur sookshmasan aur bainjni rang ka baga pahine hue, raja ke sammukh se nikla, aur shooshan nagar ke log aanand ke mare lalkaar uthe.

16

और यहूदियों को आनन्द और हर्ष हुआ और उनकी बड़ी प्रतिष्ठा हुई।

Aur Yahudiyon ko aanand aur harsh huaa aur unki badi pratishtha hui.

17

और जिस जिस प्रान्त, और जिस जिस नगर में, जहां कहीं राजा की आज्ञा और नियम पहुंचे, वहां वहां यहूदियों को आनन्द और हर्ष हुआ, और उन्होंने जेवनार कर के उस दिन को खुशी का दिन माना। और उस देश के लोगों में से बहुत लोग यहूदी बन गए, क्योंकि उनके मन में यहूदियों का डर समा गया था।

Aur jis jis praant, aur jis jis nagar mein, jahan kahi raja ki aagya aur niyam pahunche, vahan vahan Yahudiyon ko aanand aur harsh huaa, aur unhonne jevnaar kar ke us din ko khushi ka din mana. Aur us desh ke logon mein se bahut log Yahudi ban gaye, kyonki unke man mein Yahudiyon ka dar sama gaya tha.