Esther 3 · 15 verses

एस्तेर 3 Esther 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ester 3.

1

इन बातों के बाद राजा क्षयर्ष ने अगामी हम्मदाता के पुत्र हामान को उच्च पद दिया, और उसको महत्व देकर उसके लिये उसके साथी हाकिमों के सिंहासनों से ऊंचा सिंहासन ठहराया।

In baton ke baad raja kshayarsh ne agami hammadata ke putra hamaan ko uchch pad diya, aur usko mahatva dekar uske liye uske sathi hakimon ke sinhasnon se ooncha sinhasan thahraya.

2

और राजा के सब कर्मचारी जो राजभवन के फाटक में रहा करते थे, वे हामान के साम्हने झुककर दण्डवत किया करते थे क्योंकि राजा ने उसके विषय ऐसी ही आज्ञा दी थी; परन्तु मोर्दकै न तो झुकता था और न उसको दण्डवत करता था।

Aur raja ke sab karmachari jo rajabhvan ke phatak mein raha karte the, ve hamaan ke samhane jhukkar dandavat kiya karte the kyonki raja ne uske vishay aisi hi aagya di thi; parantu mordakai na to jhukta tha aur na usko dandavat karta tha.

3

तब राजा के कर्मचारी जो राजभवन के फाटक में रहा करते थे, उन्होंने मोर्दकै से पूछा,

Tab raja ke karmachari jo rajabhvan ke phatak mein raha karte the, unhonne mordakai se poochha,

4

तू राजा की आज्ञा क्यों उलंघन करता है? जब वे उस से प्रतिदिन ऐसा ही कहते रहे, और उसने उनकी एक न मानी, तब उन्होंने यह देखने की इच्छा से कि मोर्दकै की यह बात चलेगी कि नहीं, हामान को बता दिया; उसने तो उन को बता दिया था कि मैं यहूदी हूँ।

Tu raja ki aagya kyon ulanghan karta hai? Jab ve us se pratidin aisa hi kahte rahe, aur usne unki ek na mani, tab unhonne yah dekhne ki ichchha se ki mordakai ki yah baat chalegi ki nahi, hamaan ko bata diya; usne to un ko bata diya tha ki main Yahudi hoon.

5

जब हामान ने देखा, कि मोर्दकै नहीं झुकता, और न मुझ को दण्डवत करता है, तब हामान बहुत ही क्रोधित हुआ।

Jab hamaan ne dekha, ki mordakai nahi jhukta, aur na mujh ko dandavat karta hai, tab hamaan bahut hi krodhit huaa.

6

उसने केवल मोर्दकै पर हाथ चलाना अपनी मर्यादा के नीचे जाना। क्योंकि उन्होंने हामान को यह बता दिया था, कि मोर्दकै किस जाति का है, इसलिये हामान ने क्षयर्ष के साम्राज्य में रहने वाले सारे यहूदियों को भी मोर्दकै की जाति जानकर, विनाश कर डालने की युक्ति निकाली।

Usne keval mordakai par haath chalana apni maryada ke neeche jana. Kyonki unhonne hamaan ko yah bata diya tha, ki mordakai kis jati ka hai, isliye hamaan ne kshayarsh ke samrajya mein rahne vale sare Yahudiyon ko bhi mordakai ki jati jankar, vinaash kar dalne ki yukti nikali.

7

राजा क्षयर्ष के बारहवें वर्ष के नीसान नाम पहिले महीने में, हामान ने अदार नाम बारहवें महीने तक के एक एक दिन और एक एक महीने के लिये “पूर” अर्थात चिट्ठी अपने साम्हने डलवाई।

Raja kshayarsh ke barahvein varsh ke neesaan naam pahile maheene mein, hamaan ne adaar naam barahvein maheene tak ke ek ek din aur ek ek maheene ke liye “poor” arthaat chitthi apne samhane dalvai.

8

और हामान ने राजा क्षयर्ष से कहा, तेरे राज्य के सब प्रान्तों में रहने वाले देश देश के लोगों के मध्य में तितर बितर और छिटकी हुई एक जाति है, जिसके नियम और सब लोगों के नियमों से भिन्न हैं; और वे राजा के कानून पर नहीं चलते, इसलिये उन्हें रहने देना राजा को लाभदायक नहीं है।

Aur hamaan ne raja kshayarsh se kaha, tere rajya ke sab pranton mein rahne vale desh desh ke logon ke madhya mein titar bitar aur chhitki hui ek jati hai, jiske niyam aur sab logon ke niymon se bhinn hain; aur ve raja ke kanoon par nahi chalte, isliye unhein rahne dena raja ko labhdayak nahi hai.

9

यदि राजा को स्वीकार हो तो उन्हें नष्ट करने की आज्ञा लिखी जाए, और मैं राज के भणडारियों के हाथ में राजभणडार में पहुंचाने के लिये, दस हजार किक्कार चान्दी दूंगा।

Yadi raja ko sweekaar ho to unhein nasht karne ki aagya likhi jaye, aur main raaj ke bhandariyon ke haath mein rajbhandaar mein pahunchane ke liye, das hajaar kikkaar chandi doonga.

10

तब राजा ने अपनी अंगूठी अपने हाथ से उतार कर अगागी हम्मदाता के पुत्र हामान को, जो यहूदियों का वैरी था दे दी।

Tab raja ne apni angoothi apne haath se utaar kar agagi hammadata ke putra hamaan ko, jo Yahudiyon ka vairi tha de di.

11

और राजा ने हामान से कहा, वह चान्दी तुझे दी गई है, और वे लोग भी, ताकि तू उन से जैसा तेरा जी चाहे वैसा ही व्यवहार करे।

Aur raja ne hamaan se kaha, vah chandi tujhe di gai hai, aur ve log bhi, taki tu un se jaisa tera ji chahe vaisa hi vyavhaar kare.

12

यों उसी पहिले महीने के तेरहवें दिन को राजा के लेखक बुलाए गए, और हामान की आज्ञा के अनुसार राजा के सब अधिपतियों, और सब प्रान्तों के प्रधानों, और देश देश के लोगों के हाकिमों के लिये चिट्ठियां, एक एक प्रान्त के अक्षरों में, और एक एक देश के लोगों की भाषा में राजा क्षयर्ष के नाम से लिखी गई; और उन में राजा की अंगूठी की छाप लगाई गई।

Yon usi pahile maheene ke terahvein din ko raja ke lekhak bulaye gaye, aur hamaan ki aagya ke anusaar raja ke sab adhiptiyon, aur sab pranton ke pradhanon, aur desh desh ke logon ke hakimon ke liye chitthiyan, ek ek praant ke aksharon mein, aur ek ek desh ke logon ki bhasha mein raja kshayarsh ke naam se likhi gai; aur un mein raja ki angoothi ki chhaap lagai gai.

13

और राज्य के सब प्रान्तों में इस आशय की चिट्ठियां हर डाकियों के द्वारा भेजी गई कि एक ही दिन में, अर्थात अदार नाम बारहवें महीने के तेरहवें दिन को, क्या जवान, क्या बूढ़ा, क्या स्त्री, क्या बालक, सब यहूदी विध्वंसघात और नाश किए जाएं; और उनकी धन सम्मत्ति लूट ली जाए।

Aur rajya ke sab pranton mein is aashay ki chitthiyan har dakiyon ke dwara bheji gai ki ek hi din mein, arthaat adaar naam barahvein maheene ke terahvein din ko, kya javaan, kya boodha, kya stri, kya balak, sab Yahudi vidhvansghaat aur naash kiye jayen; aur unki dhan sammatti loot li jaye.

14

उस आज्ञा के लेख की नकलें सब प्रान्तों में खुली हुई भेजी गई कि सब देशों के लोग उस दिन के लिये तैयार हो जाएं।

Us aagya ke lekh ki naklein sab pranton mein khuli hui bheji gai ki sab deshon ke log us din ke liye taiyaar ho jayen.

15

यह आज्ञा शूशन गढ़ में दी गई, और डाकिए राजा की आज्ञा से तुरन्त निकल गए। और राजा और हामान तो जेवनार में बैठ गए; परन्तु शूशन नगर में घबराहट फैल गई।

Yah aagya shooshan gadh mein di gai, aur dakiye raja ki aagya se turant nikal gaye. Aur raja aur hamaan to jevnaar mein baith gaye; parantu shooshan nagar mein ghabrahat phail gai.