Esther 2 · 23 verses

एस्तेर 2 Esther 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ester 2.

1

इन बातों के बाद जब राजा क्षयर्ष की जलजलाहट ठंडी हो गई, तब उसने रानी वशती की, और जो काम उसने किया था, और जो उसके विषय में आज्ञा निकली थी उसकी भी सुधि ली।

In baton ke baad jab raja kshayarsh ki jalajlahat thandi ho gai, tab usne rani vashti ki, aur jo kaam usne kiya tha, aur jo uske vishay mein aagya nikli thi uski bhi sudhi li.

2

तब राजा के सेवक जो उसके टहलुए थे, कहने लगे, राजा के लिये सुन्दर तथा युवती कुंवारियां ढूंढी जाएं।

Tab raja ke sevak jo uske tahlue the, kahne lage, raja ke liye sundar tatha yuvti kunvariyan dhoondhi jayen.

3

और राजा ने अपने राज्य के सब प्रान्तों में लोगों को इसलिये नियुक्त किया कि वे सब सुन्दर युवती कुंवारियों को शूशन गढ़ के रनवास में इकट्ठा करें और स्त्रियों के रखवाले हेगे को जो राजा का खोजा था सौप दें; और शुद्ध करने के योग्य वस्तुएं उन्हें दी जाएं।

Aur raja ne apne rajya ke sab pranton mein logon ko isliye niyukt kiya ki ve sab sundar yuvti kunvariyon ko shooshan gadh ke ranvaas mein ikattha karein aur striyon ke rakhvale hege ko jo raja ka khoja tha saup dein; aur shuddh karne ke yogya vastuein unhein di jayen.

4

तब उन में से जो कुंवारी राजा की दृष्टि में उत्तम ठहरे, वह रानी वशती के स्थान पर पटरानी बनाई जाए। यह बात राजा को पसन्द आई और उसने ऐसा ही किया।

Tab un mein se jo kunvari raja ki drishti mein uttam thahre, vah rani vashti ke sthaan par patrani banai jaye. Yah baat raja ko pasand aai aur usne aisa hi kiya.

5

शूशन गढ़ में मोर्दकै नाम एक यहूदी रहता था, जो कीश नाम के एक बिन्यामीनी का परपोता, शिमी का पोता, और याईर का पुत्र था।

Shooshan gadh mein mordakai naam ek Yahudi rahta tha, jo keesh naam ke ek binyameeni ka parpota, shimi ka pota, aur yair ka putra tha.

6

वह उन बन्धुओं के साथ यरूशलेम से बन्धुआई में गया था, जिन्हें बाबेल का राजा नबूकदनेस्सर, यहूदा के राजा यकोन्याह के संग बन्धुआ कर के ले गया था।

Vah un bandhuon ke saath Yerushalem se bandhuaai mein gaya tha, jinhein babel ka raja nabookadnessar, Yahuda ke raja yakonyaah ke sang bandhuaa kar ke le gaya tha.

7

उसने हदस्सा नाम अपनी चचेरी बहिन को, जो एस्तेर भी कहलाती थी, पाला-पोसा था; क्योंकि उसके माता-पिता कोई न थे, और वह लड़की सुन्दर और रूपवती थी, और जब उसके माता-पिता मर गए, तब मोर्दकै ने उसको अपनी बेटी कर के पाला।

Usne hadassa naam apni chacheri bahin ko, jo ester bhi kahlati thi, pala-posa tha; kyonki uske mata-pita koi na the, aur vah ladki sundar aur roopavti thi, aur jab uske mata-pita mar gaye, tab mordakai ne usko apni beti kar ke pala.

8

जब राजा की आज्ञा और नियम सुनाए गए, और बहुत सी युवती स्त्रियां, शूशन गढ़ में हेगे के अधिकार में इकट्ठी की गई, तब एस्तेर भी राजभवन में स्त्रियों के रखवाले हेगे के अधिकार में सौंपी गई।

Jab raja ki aagya aur niyam sunaye gaye, aur bahut si yuvti striyan, shooshan gadh mein hege ke adhikaar mein ikatthi ki gai, tab ester bhi rajabhvan mein striyon ke rakhvale hege ke adhikaar mein saumpi gai.

9

और वह युवती स्त्री उसकी दृष्टि में अच्छी लगी; और वह उस से प्रसन्न हुआ, तब उसने बिना विलम्ब उसे राजभवन में से शुद्ध करने की वस्तुएं, और उसका भोजन, और उसके लिये चुनी हुई सात सहेलियां भी दीं, और उसको और उसकी सहेलियों को रनवास में सब से अच्छा रहने का स्थान दिया।

Aur vah yuvti stri uski drishti mein achchhi lagi; aur vah us se prasann huaa, tab usne bina vilamb use rajabhvan mein se shuddh karne ki vastuein, aur uska bhojan, aur uske liye chuni hui saat saheliyan bhi di, aur usko aur uski saheliyon ko ranvaas mein sab se achchha rahne ka sthaan diya.

10

एस्तेर ने न अपनी जाति बताई थी, न अपना कुल; क्योंकि मोर्दकै ने उसको आज्ञा दी थी, कि उसे न बताना।

Ester ne na apni jati batai thi, na apna kul; kyonki mordakai ne usko aagya di thi, ki use na batana.

11

मोर्दकै तो प्रतिदिन रनवास के आंगन के साम्हने टहलता था ताकि जाने की एस्तेर कैसी है और उसके साथ क्या होगा?

Mordakai to pratidin ranvaas ke aangan ke samhane tahalta tha taki jane ki ester kaisi hai aur uske saath kya hoga?

12

जब एक एक कन्या की बारी हुई, कि वह क्षयर्ष राजा के पास जाए, (और यह उस समय हुआ जब उसके साथ स्त्रियों के लिये ठहराए हुए नियम के अनुसार बारह माह तक व्यवहार किया गया था; अर्थात उनके शुद्ध करने के दिन इस रीति से बीत गए, कि छ: माह तक गन्धरस का तेल लगाया जाता था, और छ: माह तक सुगन्धदव्य, और स्त्रियों के शुद्ध करने का और और सामान लगाया जाता था )।

Jab ek ek kanya ki bari hui, ki vah kshayarsh raja ke paas jaye, (aur yah us samay huaa jab uske saath striyon ke liye thahraye hue niyam ke anusaar barah maah tak vyavhaar kiya gaya tha; arthaat unke shuddh karne ke din is reeti se beet gaye, ki chha: maah tak gandharas ka tel lagaya jata tha, aur chha: maah tak sugandhadavya, aur striyon ke shuddh karne ka aur aur samaan lagaya jata tha ).

13

इस प्रकार से वह कन्या जब राजा के पास जाती थी, तब जो कुछ वह चाहती कि रनवास से राजभवन में ले जाए, वह उसको दिया जाता था।

Is prakaar se vah kanya jab raja ke paas jati thi, tab jo kuchh vah chahti ki ranvaas se rajabhvan mein le jaye, vah usko diya jata tha.

14

सांझ को तो वह जाती थी और बिहान को वह लौट कर रनवास के दूसरे घर में जा कर रखेलियों के रखवाले राजा के खोजे शाशगज के अधिकार में हो जाती थी, और राजा के पास फिर नहीं जाती थी। और यदि राजा उस से प्रसन्न हो जाता था, तब वह नाम ले कर बुलाई जाती थी।

Saanjh ko to vah jati thi aur bihaan ko vah laut kar ranvaas ke doosre ghar mein ja kar rakheliyon ke rakhvale raja ke khoje shashgaj ke adhikaar mein ho jati thi, aur raja ke paas phir nahi jati thi. Aur yadi raja us se prasann ho jata tha, tab vah naam le kar bulai jati thi.

15

जब मोर्दकै के चाचा अबीहैल की बेटी एस्तेर, जिस को मोर्दकै ने बेटी मान कर रखा था, उसकी बारी आई कि राजा के पास जाए, तब जो कुछ स्त्रियों के रखवाले राजा के खोजे हेगे ने उसके लिये ठहराया था, उस से अधिक उसने और कुछ न मांगा। और जितनों ने एस्तेर को देखा, वे सब उस से प्रसन्न हुए।

Jab mordakai ke chacha abeehail ki beti ester, jis ko mordakai ne beti maan kar rakha tha, uski bari aai ki raja ke paas jaye, tab jo kuchh striyon ke rakhvale raja ke khoje hege ne uske liye thahraya tha, us se adhik usne aur kuchh na manga. Aur jitnon ne ester ko dekha, ve sab us se prasann hue.

16

यों एस्तेर राजभवन में राजा क्षयर्ष के पास उसके राज्य के सातवें वर्ष के तेबेत नाम दसवें महीने में पहुंचाई गई।

Yon ester rajabhvan mein raja kshayarsh ke paas uske rajya ke satvein varsh ke tebet naam dasvein maheene mein pahunchai gai.

17

और राजा ने एस्तेर को और सब स्त्रियों से अधिक प्यार किया, और और सब कुंवारियों से अधिक उसके अनुग्रह और कृपा की दृष्टि उसी पर हुई, इस कारण उसने उसके सिर पर राजमुकुट रखा और उसको वशती के स्थान पर रानी बनाया।

Aur raja ne ester ko aur sab striyon se adhik pyaar kiya, aur aur sab kunvariyon se adhik uske anugrah aur kripa ki drishti usi par hui, is karan usne uske sir par rajmukut rakha aur usko vashti ke sthaan par rani banaya.

18

तब राजा ने अपने सब हाकिमों और कर्मचारियों की बड़ी जेवनार कर के, उसे एस्तेर की जेवनार कहा; और प्रान्तों में छुट्टी दिलाई, और अपनी उदारता के योग्य इनाम भी बांटे।

Tab raja ne apne sab hakimon aur karmachariyon ki badi jevnaar kar ke, use ester ki jevnaar kaha; aur pranton mein chhutti dilai, aur apni udarta ke yogya inaam bhi bante.

19

जब कुंवारियां दूसरी बार इकट्ठी की गई, तब मोर्दकै राजभवन के फाटक में बैठा था।

Jab kunvariyan doosri baar ikatthi ki gai, tab mordakai rajabhvan ke phatak mein baitha tha.

20

और एस्तेर ने अपनी जाति और कुल का पता नहीं दिया था, क्योंकि मोर्दकै ने उसको ऐसी आज्ञा दी थी कि न बताए; और एस्तेर मोर्दकै की बात ऐसी मानती थी जैसे कि उसके यहां अपने पालन पोषण के समय मानती थी।

Aur ester ne apni jati aur kul ka pata nahi diya tha, kyonki mordakai ne usko aisi aagya di thi ki na bataye; aur ester mordakai ki baat aisi manti thi jaise ki uske yahan apne palan poshan ke samay manti thi.

21

उन्हीं दिनों में जब मोर्दकै राजा के राजभवन के फाटक में बैठा करता था, तब राजा के खोजे जो द्वारपाल भी थे, उन में से बिकतान और तेरेश नाम दो जनों ने राजा क्षयर्ष से रूठकर उस पर हाथ चलाने की युक्ति की।

Unhi dinon mein jab mordakai raja ke rajabhvan ke phatak mein baitha karta tha, tab raja ke khoje jo dwarpaal bhi the, un mein se biktaan aur teresh naam do janon ne raja kshayarsh se roothkar us par haath chalane ki yukti ki.

22

यह बात मोर्दकै को मालूम हुई, और उसने एस्तेर रानी को यह बात बताई, और एस्तेर ने मोर्दकै का नाम ले कर राजा को चितौनी दी।

Yah baat mordakai ko maloom hui, aur usne ester rani ko yah baat batai, aur ester ne mordakai ka naam le kar raja ko chitauni di.

23

तब जांच पड़ताल होने पर यह बात सच निकली और वे दोनों वृक्ष पर लटका दिए गए, और यह वृत्तान्त राजा के साम्हने इतिहास की पुस्तक में लिख लिया गया।

Tab jaanch padtaal hone par yah baat sach nikli aur ve donon vriksh par latka diye gaye, aur yah vrittaant raja ke samhane itihaas ki pustak mein likh liya gaya.