Ephesians 5 · 33 verses

इफिसियों 5 Ephesians 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Iphisiyon 5.

1

इसलिये प्रिय, बालकों की नाईं परमेश्वर के सदृश बनो।

Isliye priya, balkon ki nai Parmeshwar ke sadrish bano.

2

और प्रेम में चलो; जैसे मसीह ने भी तुम से प्रेम किया; और हमारे लिये अपने आप को सुखदायक सुगन्ध के लिये परमेश्वर के आगे भेंट करके बलिदान कर दिया।

Aur prem mein chalo; jaise Masih ne bhi tum se prem kiya; aur hamare liye apne aap ko sukhdayak sugandh ke liye Parmeshwar ke aage bhent karke balidaan kar diya.

3

और जैसा पवित्र लोगों के योग्य है, वैसा तुम में व्यभिचार, और किसी प्रकार अशुद्ध काम, या लोभ की चर्चा तक न हो।

Aur jaisa pavitra logon ke yogya hai, vaisa tum mein vyabhichaar, aur kisi prakaar ashuddh kaam, ya lobh ki charcha tak na ho.

4

और न निर्लज्ज़ता, न मूढ़ता की बातचीत की, न ठट्ठे की, क्योंकि ये बातें सोहती नहीं, वरन धन्यवाद ही सुना जाएं।

Aur na nirlajzata, na moodhta ki batcheet ki, na thatthe ki, kyonki ye batein sohti nahi, varan dhanyavaad hi suna jayen.

5

क्योंकि तुम यह जानते हो, कि किसी व्यभिचारी, या अशुद्ध जन, या लोभी मनुष्य की, जो मूरत पूजने वाले के बराबर है, मसीह और परमेश्वर के राज्य में मीरास नहीं।

Kyonki tum yah jante ho, ki kisi vyabhichari, ya ashuddh jan, ya lobhi manushya ki, jo moorat poojne vale ke barabar hai, Masih aur Parmeshwar ke rajya mein meeraas nahi.

6

कोई तुम्हें व्यर्थ बातों से धोखा न दे; क्योंकि इन ही कामों के कारण परमेश्वर का क्रोध आज्ञा ने मानने वालों पर भड़कता है।

Koi tumhein vyarth baton se dhokha na de; kyonki in hi kamon ke karan Parmeshwar ka krodh aagya ne manne valon par bhadakta hai.

7

इसलिये तुम उन के सहभागी न हो।

Isliye tum un ke sahbhagi na ho.

8

क्योंकि तुम तो पहले अन्धकार थे परन्तु अब प्रभु में ज्योति हो, सो ज्योति की सन्तान की नाईं चलो।

Kyonki tum to pahle andhakaar the parantu ab Prabhu mein jyoti ho, so jyoti ki santaan ki nai chalo.

9

(क्योंकि ज्योति का फल सब प्रकार की भलाई, और धार्मिकता, और सत्य है)।

(kyonki jyoti ka phal sab prakaar ki bhalai, aur dharmikta, aur satya hai).

10

और यह परखो, कि प्रभु को क्या भाता है

Aur yah parkho, ki Prabhu ko kya bhata hai

11

और अन्धकार के निष्फल कामों में सहभागी न हो, वरन उन पर उलाहना दो।

Aur andhakaar ke nishphal kamon mein sahbhagi na ho, varan un par ulahna do.

12

क्योंकि उन के गुप्त कामों की चर्चा भी लाज की बात है।

Kyonki un ke gupt kamon ki charcha bhi laaj ki baat hai.

13

पर जितने कामों पर उलाहना दिया जाता है वे सब ज्योति से प्रगट होते हैं, क्योंकि जो सब कुछ को प्रगट करता है, वह ज्योति है।

Par jitne kamon par ulahna diya jata hai ve sab jyoti se pragat hote hain, kyonki jo sab kuchh ko pragat karta hai, vah jyoti hai.

14

इस कारण वह कहता है, हे सोने वाले जाग और मुर्दों में से जी उठ; तो मसीह की ज्योति तुझ पर चमकेगी॥

Is karan vah kahta hai, he sone vale jaag aur murdon mein se ji uth; to Masih ki jyoti tujh par chamkegi.

15

इसलिये ध्यान से देखो, कि कैसी चाल चलते हो; निर्बुद्धियों की नाईं नहीं पर बुद्धिमानों की नाईं चलो।

Isliye dhyaan se dekho, ki kaisi chaal chalte ho; nirbuddhiyon ki nai nahi par buddhimanon ki nai chalo.

16

और अवसर को बहुमोल समझो, क्योंकि दिन बुरे हैं।

Aur avsar ko bahumol samjho, kyonki din bure hain.

17

इस कारण निर्बुद्धि न हो, पर ध्यान से समझो, कि प्रभु की इच्छा क्या है?

Is karan nirbuddhi na ho, par dhyaan se samjho, ki Prabhu ki ichchha kya hai?

18

और दाखरस से मतवाले न बनो, क्योंकि इस से लुचपन होता है, पर आत्मा से परिपूर्ण होते जाओ।

Aur dakhras se matvale na bano, kyonki is se luchpan hota hai, par aatma se paripoorn hote jao.

19

और आपस में भजन और स्तुतिगान और आत्मिक गीत गाया करो, और अपने अपने मन में प्रभु के साम्हने गाते और कीर्तन करते रहो।

Aur aapas mein bhajan aur stutigaan aur aatmik geet gaya karo, aur apne apne man mein Prabhu ke samhane gate aur keertan karte raho.

20

और सदा सब बातों के लिये हमारे प्रभु यीशु मसीह के नाम से परमेश्वर पिता का धन्यवाद करते रहो।

Aur sada sab baton ke liye hamare Prabhu Yeshu Masih ke naam se Parmeshwar pita ka dhanyavaad karte raho.

21

और मसीह के भय से एक दूसरे के आधीन रहो॥

Aur Masih ke bhay se ek doosre ke aadheen raho.

22

हे पत्नियों, अपने अपने पति के ऐसे आधीन रहो, जैसे प्रभु के।

He patniyon, apne apne pati ke aise aadheen raho, jaise Prabhu ke.

23

क्योंकि पति पत्नी का सिर है जैसे कि मसीह कलीसिया का सिर है; और आप ही देह का उद्धारकर्ता है।

Kyonki pati patni ka sir hai jaise ki Masih kaleesiya ka sir hai; aur aap hi deh ka uddharkarta hai.

24

पर जैसे कलीसिया मसीह के आधीन है, वैसे ही पत्नियां भी हर बात में अपने अपने पति के आधीन रहें।

Par jaise kaleesiya Masih ke aadheen hai, vaise hi patniyan bhi har baat mein apne apne pati ke aadheen rahein.

25

हे पतियों, अपनी अपनी पत्नी से प्रेम रखो, जैसा मसीह ने भी कलीसिया से प्रेम करके अपने आप को उसके लिये दे दिया।

He patiyon, apni apni patni se prem rakho, jaisa Masih ne bhi kaleesiya se prem karke apne aap ko uske liye de diya.

26

कि उस को वचन के द्वारा जल के स्नान से शुद्ध करके पवित्र बनाए।

Ki us ko vachan ke dwara jal ke snaan se shuddh karke pavitra banaye.

27

और उसे एक ऐसी तेजस्वी कलीसिया बना कर अपने पास खड़ी करे, जिस में न कलंक, न झुर्री, न कोई ऐसी वस्तु हो, वरन पवित्र और निर्दोष हो।

Aur use ek aisi tejaswi kaleesiya bana kar apne paas khadi kare, jis mein na kalank, na jhurri, na koi aisi vastu ho, varan pavitra aur nirdosh ho.

28

इसी प्रकार उचित है, कि पति अपनी अपनी पत्नी से अपनी देह के समान प्रेम रखें। जो अपनी पत्नी से प्रेम रखता है, वह अपने आप से प्रेम रखता है।

Isi prakaar uchit hai, ki pati apni apni patni se apni deh ke samaan prem rakhein. Jo apni patni se prem rakhta hai, vah apne aap se prem rakhta hai.

29

क्योंकि किसी ने कभी अपने शरीर से बैर नहीं रखा वरन उसका पालन-पोषण करता है, जैसा मसीह भी कलीसिया के साथ करता है

Kyonki kisi ne kabhi apne shareer se bair nahi rakha varan uska palan-poshan karta hai, jaisa Masih bhi kaleesiya ke saath karta hai

30

इसलिये कि हम उस की देह के अंग हैं।

Isliye ki ham us ki deh ke ang hain.

31

इस कारण मनुष्य माता पिता को छोड़कर अपनी पत्नी से मिला रहेगा, और वे दोनों एक तन होंगे।

Is karan manushya mata pita ko chhodkar apni patni se mila rahega, aur ve donon ek tan honge.

32

यह भेद तो बड़ा है; पर मैं मसीह और कलीसिया के विषय में कहता हूं।

Yah bhed to bada hai; par main Masih aur kaleesiya ke vishay mein kahta hoon.

33

पर तुम में से हर एक अपनी पत्नी से अपने समान प्रेम रखे, और पत्नी भी अपने पति का भय माने॥

Par tum mein se har ek apni patni se apne samaan prem rakhe, aur patni bhi apne pati ka bhay mane.