इसी कारण मैं पौलुस जो तुम अन्यजातियों के लिये मसीह यीशु का बन्धुआ हूं
Isi karan main Paulus jo tum anyajatiyon ke liye Masih Yeshu ka bandhuaa hoon
Ephesians 3 · 21 verses
इसी कारण मैं पौलुस जो तुम अन्यजातियों के लिये मसीह यीशु का बन्धुआ हूं
Isi karan main Paulus jo tum anyajatiyon ke liye Masih Yeshu ka bandhuaa hoon
यदि तुम ने परमेश्वर के उस अनुग्रह के प्रबन्ध का समाचार सुना हो, जो तुम्हारे लिये मुझे दिया गया।
Yadi tum ne Parmeshwar ke us anugrah ke prabandh ka samachaar suna ho, jo tumhare liye mujhe diya gaya.
अर्थात यह, कि वह भेद मुझ पर प्रकाश के द्वारा प्रगट हुआ, जैसा मैं पहिले संक्षेप में लिख चुका हूं।
Arthaat yah, ki vah bhed mujh par prakaash ke dwara pragat huaa, jaisa main pahile sankshep mein likh chuka hoon.
जिस से तुम पढ़ कर जान सकते हो, कि मैं मसीह का वह भेद कहां तक समझता हूं।
Jis se tum padh kar jaan sakte ho, ki main Masih ka vah bhed kahan tak samajhta hoon.
जो और और समयों में मनुष्यों की सन्तानों को ऐसा नहीं बताया गया था, जैसा कि आत्मा के द्वारा अब उसके पवित्र प्रेरितों और भविष्यद्वक्ताओं पर प्रगट किया गया है।
Jo aur aur samyon mein manushyon ki santanon ko aisa nahi bataya gaya tha, jaisa ki aatma ke dwara ab uske pavitra preriton aur bhavishyadwaktaon par pragat kiya gaya hai.
अर्थात यह, कि मसीह यीशु में सुसमाचार के द्वारा अन्यजातीय लाग मीरास में साझी, और एक ही देह के और प्रतिज्ञा के भागी हैं।
Arthaat yah, ki Masih Yeshu mein susmachaar ke dwara anyajateeya laag meeraas mein sajhi, aur ek hi deh ke aur pratigya ke bhagi hain.
और मैं परमेश्वर के अनुग्रह के उस दान के अनुसार, जो उसकी सामर्थ के प्रभाव के अनुसार मुझे दिया गया, उस सुसमाचार का सेवक बना।
Aur main Parmeshwar ke anugrah ke us daan ke anusaar, jo uski samarth ke prabhaav ke anusaar mujhe diya gaya, us susmachaar ka sevak bana.
मुझ पर जो सब पवित्र लोगों में से छोटे से भी छोटा हूं, यह अनुग्रह हुआ, कि मैं अन्यजातियों को मसीह के अगम्य धन का सुसमाचार सुनाऊं।
Mujh par jo sab pavitra logon mein se chhote se bhi chhota hoon, yah anugrah huaa, ki main anyajatiyon ko Masih ke agamya dhan ka susmachaar sunaun.
और सब पर यह बात प्रकाशित करूं, कि उस भेद का प्रबन्ध क्या है, जो सब के सृजनहार परमेश्वर में आदि से गुप्त था।
Aur sab par yah baat prakashit karun, ki us bhed ka prabandh kya hai, jo sab ke srijanhaar Parmeshwar mein aadi se gupt tha.
ताकि अब कलीसिया के द्वारा, परमेश्वर का नाना प्रकार का ज्ञान, उन प्रधानों और अधिकारियों पर, जो स्वर्गीय स्थानों में हैं प्रगट किया जाए।
Taki ab kaleesiya ke dwara, Parmeshwar ka nana prakaar ka gyaan, un pradhanon aur adhikariyon par, jo swargeeya sthanon mein hain pragat kiya jaye.
उस सनातन मनसा के अनुसार, जो उस ने हमारे प्रभु मसीह यीशु में की थी।
Us sanatan mansa ke anusaar, jo us ne hamare Prabhu Masih Yeshu mein ki thi.
जिस में हम को उस पर विश्वास रखने से हियाव और भरोसे से निकट आने का अधिकार है।
Jis mein ham ko us par vishwaas rakhne se hiyaav aur bharose se nikat aane ka adhikaar hai.
इसलिये मैं बिनती करता हूं कि जो क्लेश तुम्हारे लिये मुझे हो रहे हैं, उनके कारण हियाव न छोड़ो, क्योंकि उन में तुम्हारी महिमा है॥
Isliye main binti karta hoon ki jo klesh tumhare liye mujhe ho rahe hain, unke karan hiyaav na chhodo, kyonki un mein tumhari mahima hai.
मैं इसी कारण उस पिता के साम्हने घुटने टेकता हूं,
Main isi karan us pita ke samhane ghutne tekta hoon,
जिस से स्वर्ग और पृथ्वी पर, हर एक घराने का नाम रखा जाता है।
Jis se swarg aur prithvi par, har ek gharane ka naam rakha jata hai.
कि वह अपनी महिमा के धन के अनुसार तुम्हें यह दान दे, कि तुम उसके आत्मा से अपने भीतरी मनुष्यत्व में सामर्थ पाकर बलवन्त होते जाओ।
Ki vah apni mahima ke dhan ke anusaar tumhein yah daan de, ki tum uske aatma se apne bheetri manushyatva mein samarth pakar balvant hote jao.
और विश्वास के द्वारा मसीह तुम्हारे हृदय में बसे कि तुम प्रेम में जड़ पकड़ कर और नेव डाल कर।
Aur vishwaas ke dwara Masih tumhare hriday mein base ki tum prem mein jad pakad kar aur nev daal kar.
सब पवित्र लोगों के साथ भली भांति समझने की शक्ति पाओ; कि उसकी चौड़ाई, और लम्बाई, और ऊंचाई, और गहराई कितनी है।
Sab pavitra logon ke saath bhali bhanti samajhne ki shakti pao; ki uski chaudai, aur lambai, aur oonchai, aur gahrai kitni hai.
और मसीह के उस प्रेम को जान सको जो ज्ञान से परे है, कि तुम परमेश्वर की सारी भरपूरी तक परिपूर्ण हो जाओ॥
Aur Masih ke us prem ko jaan sako jo gyaan se pare hai, ki tum Parmeshwar ki sari bharpoori tak paripoorn ho jao.
अब जो ऐसा सामर्थी है, कि हमारी बिनती और समझ से कहीं अधिक काम कर सकता है, उस सामर्थ के अनुसार जो हम में कार्य करता है,
Ab jo aisa samarthi hai, ki hamari binti aur samajh se kahi adhik kaam kar sakta hai, us samarth ke anusaar jo ham mein karya karta hai,
कलीसिया में, और मसीह यीशु में, उस की महिमा पीढ़ी से पीढ़ी तक युगानुयुग होती रहे। आमीन॥
Kaleesiya mein, aur Masih Yeshu mein, us ki mahima peedhi se peedhi tak yuganuyug hoti rahe. Aamin.