Ephesians 2 · 22 verses

इफिसियों 2 Ephesians 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Iphisiyon 2.

1

और उस ने तुम्हें भी जिलाया, जो अपने अपराधों और पापों के कारण मरे हुए थे।

Aur us ne tumhein bhi jilaya, jo apne apradhon aur papon ke karan mare hue the.

2

जिन में तुम पहिले इस संसार की रीति पर, और आकाश के अधिकार के हाकिम अर्थात उस आत्मा के अनुसार चलते थे, जो अब भी आज्ञा न मानने वालों में कार्य करता है।

Jin mein tum pahile is sansaar ki reeti par, aur aakaash ke adhikaar ke hakim arthaat us aatma ke anusaar chalte the, jo ab bhi aagya na manne valon mein karya karta hai.

3

इन में हम भी सब के सब पहिले अपने शरीर की लालसाओं में दिन बिताते थे, और शरीर, और मन की मनसाएं पूरी करते थे, और और लोगों के समान स्वभाव ही से क्रोध की सन्तान थे।

In mein ham bhi sab ke sab pahile apne shareer ki lalsaon mein din bitate the, aur shareer, aur man ki mansayen poori karte the, aur aur logon ke samaan swabhaav hi se krodh ki santaan the.

4

परन्तु परमेश्वर ने जो दया का धनी है; अपने उस बड़े प्रेम के कारण, जिस से उस ने हम से प्रेम किया।

Parantu Parmeshwar ne jo daya ka dhani hai; apne us bade prem ke karan, jis se us ne ham se prem kiya.

5

जब हम अपराधों के कारण मरे हुए थे, तो हमें मसीह के साथ जिलाया; (अनुग्रह ही से तुम्हारा उद्धार हुआ है।)

Jab ham apradhon ke karan mare hue the, to hamein Masih ke saath jilaya; (anugrah hi se tumhara uddhaar huaa hai.)

6

और मसीह यीशु में उसके साथ उठाया, और स्वर्गीय स्थानों में उसके साथ बैठाया।

Aur Masih Yeshu mein uske saath uthaya, aur swargeeya sthanon mein uske saath baithaya.

7

कि वह अपनी उस कृपा से जो मसीह यीशु में हम पर है, आने वाले समयों में अपने अनुग्रह का असीम धन दिखाए।

Ki vah apni us kripa se jo Masih Yeshu mein ham par hai, aane vale samyon mein apne anugrah ka aseem dhan dikhaye.

8

क्योंकि विश्वास के द्वारा अनुग्रह ही से तुम्हारा उद्धार हुआ है, और यह तुम्हारी ओर से नहीं, वरन परमेश्वर का दान है।

Kyonki vishwaas ke dwara anugrah hi se tumhara uddhaar huaa hai, aur yah tumhari or se nahi, varan Parmeshwar ka daan hai.

9

और न कर्मों के कारण, ऐसा न हो कि कोई घमण्ड करे।

Aur na karmon ke karan, aisa na ho ki koi ghamand kare.

10

क्योंकि हम उसके बनाए हुए हैं; और मसीह यीशु में उन भले कामों के लिये सृजे गए जिन्हें परमेश्वर ने पहिले से हमारे करने के लिये तैयार किया॥

Kyonki ham uske banaye hue hain; aur Masih Yeshu mein un bhale kamon ke liye srije gaye jinhein Parmeshwar ne pahile se hamare karne ke liye taiyaar kiya.

11

इस कारण स्मरण करो, कि तुम जो शारीरिक रीति से अन्यजाति हो, (और जो लोग शरीर में हाथ के किए हुए खतने से खतना वाले कहलाते हैं, वे तुम को खतना रहित कहते हैं)।

Is karan smaran karo, ki tum jo shareerik reeti se anyajati ho, (aur jo log shareer mein haath ke kiye hue khatne se khatna vale kahlate hain, ve tum ko khatna rahit kahte hain).

12

तुम लोग उस समय मसीह से अलग और इस्त्राएल की प्रजा के पद से अलग किए हुए, और प्रतिज्ञा की वाचाओं के भागी न थे, और आशाहीन और जगत में ईश्वर रहित थे।

Tum log us samay Masih se alag aur istrayel ki praja ke pad se alag kiye hue, aur pratigya ki vachaon ke bhagi na the, aur aashaheen aur jagat mein ishwar rahit the.

13

पर अब तो मसीह यीशु में तुम जो पहिले दूर थे, मसीह के लोहू के द्वारा निकट हो गए हो।

Par ab to Masih Yeshu mein tum jo pahile door the, Masih ke lohu ke dwara nikat ho gaye ho.

14

क्योंकि वही हमारा मेल है, जिस ने दोनों को एक कर लिया: और अलग करने वाली दीवार को जो बीच में थी, ढा दिया।

Kyonki vahi hamara mel hai, jis ne donon ko ek kar liya: aur alag karne vali deevaar ko jo beech mein thi, dha diya.

15

और अपने शरीर में बैर अर्थात वह व्यवस्था जिस की आज्ञाएं विधियों की रीति पर थीं, मिटा दिया, कि दोनों से अपने में एक नया मनुष्य उत्पन्न करके मेल करा दे।

Aur apne shareer mein bair arthaat vah vyavastha jis ki aagyayen vidhiyon ki reeti par thi, mita diya, ki donon se apne mein ek naya manushya utpann karke mel kara de.

16

और क्रूस पर बैर को नाश करके इस के द्वारा दानों को एक देह बनाकर परमेश्वर से मिलाए।

Aur kroos par bair ko naash karke is ke dwara danon ko ek deh banakar Parmeshwar se milaye.

17

और उस ने आकर तुम्हें जो दूर थे, और उन्हें जो निकट थे, दानों को मेल-मिलाप का सुसमाचार सुनाया।

Aur us ne aakar tumhein jo door the, aur unhein jo nikat the, danon ko mel-milaap ka susmachaar sunaya.

18

क्योंकि उस ही के द्वारा हम दोनों की एक आत्मा में पिता के पास पंहुच होती है।

Kyonki us hi ke dwara ham donon ki ek aatma mein pita ke paas panhuch hoti hai.

19

इसलिये तुम अब विदेशी और मुसाफिर नहीं रहे, परन्तु पवित्र लोगों के संगी स्वदेशी और परमेश्वर के घराने के हो गए।

Isliye tum ab videshi aur musaphir nahi rahe, parantu pavitra logon ke sangi swadeshi aur Parmeshwar ke gharane ke ho gaye.

20

और प्रेरितों और भविष्यद्वक्ताओं की नेव पर जिसके कोने का पत्थर मसीह यीशु आप ही है, बनाए गए हो।

Aur preriton aur bhavishyadwaktaon ki nev par jiske kone ka patthar Masih Yeshu aap hi hai, banaye gaye ho.

21

जिस में सारी रचना एक साथ मिलकर प्रभु में एक पवित्र मन्दिर बनती जाती है।

Jis mein sari rachna ek saath milkar Prabhu mein ek pavitra mandir banti jati hai.

22

जिस में तुम भी आत्मा के द्वारा परमेश्वर का निवास स्थान होने के लिये एक साथ बनाए जाते हो॥

Jis mein tum bhi aatma ke dwara Parmeshwar ka nivaas sthaan hone ke liye ek saath banaye jate ho.