Ephesians 1 · 23 verses

इफिसियों 1 Ephesians 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Iphisiyon 1.

1

पौलुस की ओर से जो परमेश्वर की इच्छा से यीशु मसीह का प्रेरित है, उन पवित्र और मसीह यीशु में विश्वासी लोगों के नाम जो इफिसुस में हैं॥

Paulus ki or se jo Parmeshwar ki ichchha se Yeshu Masih ka prerit hai, un pavitra aur Masih Yeshu mein vishwasi logon ke naam jo iphisus mein hain.

2

हमारे पिता परमेश्वर और प्रभु यीशु मसीह की ओर से तुम्हें अनुग्रह और शान्ति मिलती रहे॥

Hamare pita Parmeshwar aur Prabhu Yeshu Masih ki or se tumhein anugrah aur shanti milti rahe.

3

हमारे प्रभु यीशु मसीह के परमेश्वर और पिता का धन्यवाद हो, कि उस ने हमें मसीह में स्वर्गीय स्थानों में सब प्रकार की आशीष दी है।

Hamare Prabhu Yeshu Masih ke Parmeshwar aur pita ka dhanyavaad ho, ki us ne hamein Masih mein swargeeya sthanon mein sab prakaar ki aasheesh di hai.

4

जैसा उस ने हमें जगत की उत्पति से पहिले उस में चुन लिया, कि हम उसके निकट प्रेम में पवित्र और निर्दोष हों।

Jaisa us ne hamein jagat ki utpati se pahile us mein chun liya, ki ham uske nikat prem mein pavitra aur nirdosh hon.

5

और अपनी इच्छा की सुमति के अनुसार हमें अपने लिये पहिले से ठहराया, कि यीशु मसीह के द्वारा हम उसके लेपालक पुत्र हों,

Aur apni ichchha ki sumti ke anusaar hamein apne liye pahile se thahraya, ki Yeshu Masih ke dwara ham uske lepalak putra hon,

6

कि उसके उस अनुग्रह की महिमा की स्तुति हो, जिसे उस ने हमें उस प्यारे में सेंत मेंत दिया।

Ki uske us anugrah ki mahima ki stuti ho, jise us ne hamein us pyare mein sent ment diya.

7

हम को उस में उसके लोहू के द्वारा छुटकारा, अर्थात अपराधों की क्षमा, उसके उस अनुग्रह के धन के अनुसार मिला है।

Ham ko us mein uske lohu ke dwara chhutkara, arthaat apradhon ki kshama, uske us anugrah ke dhan ke anusaar mila hai.

8

जिसे उस ने सारे ज्ञान और समझ सहित हम पर बहुतायत से किया।

Jise us ne sare gyaan aur samajh sahit ham par bahutayat se kiya.

9

कि उस ने अपनी इच्छा का भेद उस सुमति के अनुसार हमें बताया जिसे उस ने अपने आप में ठान लिया था।

Ki us ne apni ichchha ka bhed us sumti ke anusaar hamein bataya jise us ne apne aap mein thaan liya tha.

10

कि समयों के पूरे होने का ऐसा प्रबन्ध हो कि जो कुछ स्वर्ग में है, और जो कुछ पृथ्वी पर है, सब कुछ वह मसीह में एकत्र करे।

Ki samyon ke poore hone ka aisa prabandh ho ki jo kuchh swarg mein hai, aur jo kuchh prithvi par hai, sab kuchh vah Masih mein ekatra kare.

11

उसी में जिस में हम भी उसी की मनसा से जो अपनी इच्छा के मत के अनुसार सब कुछ करता है, पहिले से ठहराए जाकर मीरास बने।

Usi mein jis mein ham bhi usi ki mansa se jo apni ichchha ke mat ke anusaar sab kuchh karta hai, pahile se thahraye jakar meeraas bane.

12

कि हम जिन्हों ने पहिले से मसीह पर आशा रखी थी, उस की महिमा की स्तुति के कारण हों।

Ki ham jinhon ne pahile se Masih par aasha rakhi thi, us ki mahima ki stuti ke karan hon.

13

और उसी में तुम पर भी जब तुम ने सत्य का वचन सुना, जो तुम्हारे उद्धार का सुसमाचार है, और जिस पर तुम ने विश्वास किया, प्रतिज्ञा किए हुए पवित्र आत्मा की छाप लगी।

Aur usi mein tum par bhi jab tum ne satya ka vachan suna, jo tumhare uddhaar ka susmachaar hai, aur jis par tum ne vishwaas kiya, pratigya kiye hue pavitra aatma ki chhaap lagi.

14

वह उसके मोल लिए हुओं के छुटकारे के लिये हमारी मीरास का बयाना है, कि उस की महिमा की स्तुति हो॥

Vah uske mol liye huon ke chhutkare ke liye hamari meeraas ka bayana hai, ki us ki mahima ki stuti ho.

15

इस कारण, मैं भी उस विश्वास का समाचार सुनकर जो तुम लोगों में प्रभु यीशु पर है और सब पवित्र लोगों पर प्रगट है।

Is karan, main bhi us vishwaas ka samachaar sunkar jo tum logon mein Prabhu Yeshu par hai aur sab pavitra logon par pragat hai.

16

तुम्हारे लिये धन्यवाद करना नहीं छोड़ता, और अपनी प्रार्थनाओं में तुम्हें स्मरण किया करता हूं।

Tumhare liye dhanyavaad karna nahi chhodta, aur apni prarthanaon mein tumhein smaran kiya karta hoon.

17

कि हमारे प्रभु यीशु मसीह का परमेश्वर जो महिमा का पिता है, तुम्हें अपनी पहचान में, ज्ञान और प्रकाश का आत्मा दे।

Ki hamare Prabhu Yeshu Masih ka Parmeshwar jo mahima ka pita hai, tumhein apni pahchaan mein, gyaan aur prakaash ka aatma de.

18

और तुम्हारे मन की आंखें ज्योतिर्मय हों कि तुम जान लो कि उसके बुलाने से कैसी आशा होती है, और पवित्र लोगों में उस की मीरास की महिमा का धन कैसा है।

Aur tumhare man ki aankhein jyotirmay hon ki tum jaan lo ki uske bulane se kaisi aasha hoti hai, aur pavitra logon mein us ki meeraas ki mahima ka dhan kaisa hai.

19

और उस की सामर्थ हमारी ओर जो विश्वास करते हैं, कितनी महान है, उस की शक्ति के प्रभाव के उस कार्य के अनुसार।

Aur us ki samarth hamari or jo vishwaas karte hain, kitni mahaan hai, us ki shakti ke prabhaav ke us karya ke anusaar.

20

जो उस ने मसीह के विषय में किया, कि उस को मरे हुओं में से जिलाकर स्वर्गीय स्थानों में अपनी दाहिनी ओर।

Jo us ne Masih ke vishay mein kiya, ki us ko mare huon mein se jilakar swargeeya sthanon mein apni dahini or.

21

सब प्रकार की प्रधानता, और अधिकार, और सामर्थ, और प्रभुता के, और हर एक नाम के ऊपर, जो न केवल इस लोक में, पर आने वाले लोक में भी लिया जाएगा, बैठाया।

Sab prakaar ki pradhanta, aur adhikaar, aur samarth, aur prabhuta ke, aur har ek naam ke oopar, jo na keval is lok mein, par aane vale lok mein bhi liya jayega, baithaya.

22

और सब कुछ उसके पांवों तले कर दिया: और उसे सब वस्तुओं पर शिरोमणि ठहराकर कलीसिया को दे दिया।

Aur sab kuchh uske panvon tale kar diya: aur use sab vastuon par shiromni thahrakar kaleesiya ko de diya.

23

यह उसकी देह है, और उसी की परिपूर्णता है, जो सब में सब कुछ पूर्ण करता है॥

Yah uski deh hai, aur usi ki paripoornata hai, jo sab mein sab kuchh poorn karta hai.