Ecclesiastes 9 · 18 verses

सभोपदेशक 9 Ecclesiastes 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Sabhopdeshak 9.

1

यह सब कुछ मैं ने मन लगाकर विचारा कि इन सब बातों का भेद पाऊं, कि किस प्रकार धर्मी और बुद्धिमान लोग और उनके काम परमेश्वर के हाथ में हैं; मनुष्य के आगे सब प्रकार की बातें हैं परन्तु वह नहीं जानता कि वह प्रेम है व बैर।

Yah sab kuchh main ne man lagakar vichara ki in sab baton ka bhed paun, ki kis prakaar dharmi aur buddhimaan log aur unke kaam Parmeshwar ke haath mein hain; manushya ke aage sab prakaar ki batein hain parantu vah nahi janta ki vah prem hai va bair.

2

सब बातें सभों को एक समान होती है, धर्मी हो या दुष्ट, भले, शुद्ध या अशुद्ध, यज्ञ करने और न करने वाले, सभों की दशा एक ही सी होती है। जैसी भले मनुष्य की दशा, वैसी ही पापी की दशा; जैसी शपथ खाने वाले की दशा, वैसी ही उसकी जो शपथ खाने से डरता है।

Sab batein sabhon ko ek samaan hoti hai, dharmi ho ya dusht, bhale, shuddh ya ashuddh, yagy karne aur na karne vale, sabhon ki dasha ek hi si hoti hai. Jaisi bhale manushya ki dasha, vaisi hi papi ki dasha; jaisi shapath khane vale ki dasha, vaisi hi uski jo shapath khane se darta hai.

3

जो कुछ सूर्य के नीचे किया जाता है उस में यह एक दोष है कि सब लोगों की एक सी दशा होती है; और मनुष्यों के मनों में बुराई भरी हुई है, और जब तक वे जीवित रहते हैं उनके मन में बावलापन रहता है, और उसके बाद वे मरे हुओं में जा मिलते हैं।

Jo kuchh soorya ke neeche kiya jata hai us mein yah ek dosh hai ki sab logon ki ek si dasha hoti hai; aur manushyon ke manon mein burai bhari hui hai, aur jab tak ve jeevit rahte hain unke man mein bavlapan rahta hai, aur uske baad ve mare huon mein ja milte hain.

4

उसको परन्तु जो सब जीवतों में है, उसे आशा है, क्योंकि जीवता कुत्ता मरे हुए सिंह से बढ़कर है।

Usko parantu jo sab jeevton mein hai, use aasha hai, kyonki jeevta kutta mare hue sinh se badhkar hai.

5

क्योंकि जीवते तो इतना जानते हैं कि वे मरेंगे, परन्तु मरे हुए कुछ भी नहीं जानते, और न उन को कुछ और बदला मिल सकता है, क्योंकि उनका स्मरण मिट गया है।

Kyonki jeevte to itna jante hain ki ve marenge, parantu mare hue kuchh bhi nahi jante, aur na un ko kuchh aur badla mil sakta hai, kyonki unka smaran mit gaya hai.

6

उनका प्रेम और उनका बैर और उनकी डाह नाश हो चुकी, और अब जो कुछ सूर्य के नीचे किया जाता है उस में सदा के लिये उनका और कोई भाग न होगा॥

Unka prem aur unka bair aur unki daah naash ho chuki, aur ab jo kuchh soorya ke neeche kiya jata hai us mein sada ke liye unka aur koi bhaag na hoga.

7

अपने मार्ग पर चला जा, अपनी रोटी आनन्द से खाया कर, और मन में सुख मान कर अपना दाखमधु पिया कर; क्योंकि परमेश्वर तेरे कामों से प्रसन्न हो चुका है॥

Apne maarg par chala ja, apni roti aanand se khaya kar, aur man mein sukh maan kar apna dakhamdhu piya kar; kyonki Parmeshwar tere kamon se prasann ho chuka hai.

8

तेरे वस्त्र सदा उजले रहें, और तेरे सिर पर तेल की घटी न हो॥

Tere vastra sada ujle rahein, aur tere sir par tel ki ghati na ho.

9

अपने व्यर्थ जीवन के सारे दिन जो उसने सूर्य के नीचे तेरे लिये ठहराए हैं अपनी प्यारी पत्नी के संग में बिताना, क्योंकि तेरे जीवन और तेरे परिश्रम में जो तू सूर्य के नीचे करता है तेरा यही भाग है।

Apne vyarth jeevan ke sare din jo usne soorya ke neeche tere liye thahraye hain apni pyari patni ke sang mein bitana, kyonki tere jeevan aur tere parishram mein jo tu soorya ke neeche karta hai tera yahi bhaag hai.

10

जो काम तुझे मिले उसे अपनी शक्ति भर करना, क्योंकि अधोलोक में जहां तू जाने वाला है, न काम न युक्ति न ज्ञान और न बुद्धि है॥

Jo kaam tujhe mile use apni shakti bhar karna, kyonki adholok mein jahan tu jane vala hai, na kaam na yukti na gyaan aur na buddhi hai.

11

फिर मैं ने धरती पर देखा कि न तो दौड़ में वेग दौड़ने वाले और न युद्ध में शूरवीर जीतते; न बुद्धिमान लोग रोटी पाते न समझ वाले धन, और न प्रवीणों पर अनुग्रह होता है, वे सब समय और संयोग के वश में है।

Phir main ne dharti par dekha ki na to daud mein veg daudne vale aur na yuddh mein shoorveer jeette; na buddhimaan log roti pate na samajh vale dhan, aur na praveenon par anugrah hota hai, ve sab samay aur sanyog ke vash mein hai.

12

क्योंकि मनुष्य अपना समय नहीं जानता। जैसे मछलियां दुखदाई जाल में बझतीं और चिड़िये फन्दे में फंसती हैं, वैसे ही मनुष्य दुखदाई समय में जो उन पर अचानक आ पड़ता है, फंस जाते हैं॥

Kyonki manushya apna samay nahi janta. Jaise machhliyan dukhdai jaal mein bajhti aur chidiye phande mein phansti hain, vaise hi manushya dukhdai samay mein jo un par achanak aa padta hai, phans jate hain.

13

मैं ने सूर्य के नीचे इस प्रकार की बुद्धि की बात भी देखी है, जो मुझे बड़ी जान पड़ी।

Main ne soorya ke neeche is prakaar ki buddhi ki baat bhi dekhi hai, jo mujhe badi jaan padi.

14

एक छोटा सा नगर था, जिस में थोड़े ही लोग थे; और किसी बड़े राजा ने उस पर चढ़ाई कर के उसे घेर लिया, और उसके विरुद्ध बड़े बड़े धुस बनवाए।

Ek chhota sa nagar tha, jis mein thode hi log the; aur kisi bade raja ne us par chadhai kar ke use gher liya, aur uske viruddh bade bade dhus banvaye.

15

परन्तु उस में एक दरिद्र बुद्धिमान पुरूष पाया गया, और उसने उस नगर को अपनी बुद्धि के द्वारा बचाया। तौभी किसी ने उस दरिद्र का स्मरण न रखा।

Parantu us mein ek daridra buddhimaan puroosh paya gaya, aur usne us nagar ko apni buddhi ke dwara bachaya. Taubhi kisi ne us daridra ka smaran na rakha.

16

तब मैं ने कहा, यद्यपि दरिद्र की बुद्धि तुच्छ समझी जाती है और उसका वचन कोई नहीं सुनता तौभी पराक्रम से बुद्धि उत्तम है।

Tab main ne kaha, yadyapi daridra ki buddhi tuchchh samjhi jati hai aur uska vachan koi nahi sunta taubhi parakram se buddhi uttam hai.

17

बुद्धिमानों के वचन जो धीमे धीमे कहे जाते हैं वे मूर्खों के बीच प्रभुता करने वाले के चिल्ला चिल्लाकर कहने से अधिक सुने जाते हैं।

Buddhimanon ke vachan jo dheeme dheeme kahe jate hain ve moorkhon ke beech prabhuta karne vale ke chilla chillakar kahne se adhik sune jate hain.

18

लड़ाई के हथियारों से बुद्धि उत्तम है, परन्तु एक पापी बहुत भलाई नाश करता है॥

Ladai ke hathiyaron se buddhi uttam hai, parantu ek papi bahut bhalai naash karta hai.