Ecclesiastes 10 · 20 verses

सभोपदेशक 10 Ecclesiastes 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Sabhopdeshak 10.

1

मरी हुई मक्खियों के कारण गन्धी का तेल सड़ने और बसाने लगता है; और थोड़ी सी मूर्खता बुद्धि और प्रतिष्ठा को घटा देती है।

Mari hui makkhiyon ke karan gandhi ka tel sadne aur basane lagta hai; aur thodi si moorkhata buddhi aur pratishtha ko ghata deti hai.

2

बुद्धिमान का मन उचित बात की ओर रहता है परन्तु मूर्ख का मन उसके विपरीत रहता है।

Buddhimaan ka man uchit baat ki or rahta hai parantu moorkh ka man uske vipreet rahta hai.

3

वरन जब मूर्ख मार्ग पर चलता है, तब उसकी समझ काम नहीं देती, और वह सब से कहता है, मैं मूर्ख हूं॥

Varan jab moorkh maarg par chalta hai, tab uski samajh kaam nahi deti, aur vah sab se kahta hai, main moorkh hoon.

4

यदि हाकिम का क्रोध तुझ पर भड़के, तो अपना स्थान न छोड़ना, क्योंकि धीरज धरने से बड़े बड़े पाप रुकते हैं॥

Yadi hakim ka krodh tujh par bhadke, to apna sthaan na chhodna, kyonki dheeraj dharne se bade bade paap rukte hain.

5

एक बुराई है जो मैं ने सूर्य के नीचे देखी, वह हाकिम की भूल से होती है:

Ek burai hai jo main ne soorya ke neeche dekhi, vah hakim ki bhool se hoti hai:

6

अर्थात मूर्ख बड़ी प्रतिष्ठा के स्थानों में ठहराए जाते हैं, और धनवान लोग नीचे बैठते हैं।

Arthaat moorkh badi pratishtha ke sthanon mein thahraye jate hain, aur dhanvaan log neeche baithte hain.

7

मैं ने दासों को घोड़ों पर चढ़े, और रईसों को दासों की नाईं भूमि पर चलते हुए देखा है॥

Main ne dason ko ghodon par chadhe, aur raison ko dason ki nai bhoomi par chalte hue dekha hai.

8

जो गड़हा खोदे वह उस में गिरेगा और जो बाड़ा तोड़े उसको सर्प डसेगा।

Jo gadha khode vah us mein girega aur jo bada tode usko sarp dasega.

9

जो पत्थर फोड़े, वह उन से घायल होगा, और जो लकड़ी काटे, उसे उसी से डर होगा।

Jo patthar phode, vah un se ghayal hoga, aur jo lakdi kate, use usi se dar hoga.

10

यदि कुल्हाड़ा थोथा हो और मनुष्य उसकी धार को पैनी न करे, तो अधिक बल लगाना पड़ेगा; परन्तु सफल होने के लिये बुद्धि से लाभ होता है।

Yadi kulhada thotha ho aur manushya uski dhaar ko paini na kare, to adhik bal lagana padega; parantu saphal hone ke liye buddhi se laabh hota hai.

11

यदि मंत्र से पहिले सर्प डसे, तो मंत्र पढ़ने वाले को कुछ भी लाभ नहीं॥

Yadi mantra se pahile sarp dase, to mantra padhne vale ko kuchh bhi laabh nahi.

12

बुद्धिमान के वचनों के कारण अनुग्रह होता है, परन्तु मूर्ख अपने वचनों के द्वारा नाश होते हैं।

Buddhimaan ke vachnon ke karan anugrah hota hai, parantu moorkh apne vachnon ke dwara naash hote hain.

13

उसकी बात का आरम्भ मूर्खता का, और उनका अन्त दुखदाई बावलापन होता है।

Uski baat ka aarambh moorkhata ka, aur unka ant dukhdai bavlapan hota hai.

14

मूर्ख बहुत बातें बढ़ा कर बोलता है, तौभी कोई मनुष्य नहीं जानता कि क्या होगा, और कौन बता सकता है कि उसके बाद क्या होने वाला है?

Moorkh bahut batein badha kar bolta hai, taubhi koi manushya nahi janta ki kya hoga, aur kaun bata sakta hai ki uske baad kya hone vala hai?

15

मूर्ख को परिश्रम से थकावट ही होती है, यहां तक कि वह नहीं जानता कि नगर को कैसे जाए॥

Moorkh ko parishram se thakavat hi hoti hai, yahan tak ki vah nahi janta ki nagar ko kaise jaye.

16

हे देश, तुझ पर हाय जब तेरा राजा लड़का है और तेरे हाकिम प्रात:काल भोज करते हैं!

He desh, tujh par haay jab tera raja ladka hai aur tere hakim pratakaal bhoj karte hain!

17

हे देश, तू धन्य है जब तेरा राजा कुलीन है; और तेरे हाकिम समय पर भोज करते हैं, और वह भी मतवाले होने को नहीं, वरन्त बल बढ़ाने के लिये!

He desh, tu dhanya hai jab tera raja kuleen hai; aur tere hakim samay par bhoj karte hain, aur vah bhi matvale hone ko nahi, varant bal badhane ke liye!

18

आलस्य के कारण छत की कड़ियां दब जाती हैं, और हाथों की सुस्ती से घर चूता है।

Aalasya ke karan chhat ki kadiyan dab jati hain, aur hathon ki susti se ghar choota hai.

19

भोज हंसी खुशी के लिये किया जाता है, और दाखमधु से जीवन को आनन्द मिलता है; और रूपयों से सब कुछ प्राप्त होता है।

Bhoj hansi khushi ke liye kiya jata hai, aur dakhamdhu se jeevan ko aanand milta hai; aur roopyon se sab kuchh praapt hota hai.

20

राजा को मन में भी शाप न देना, न धनवान को अपने शयन की कोठरी में शाप देना; क्योंकि कोई आकाश का पक्षी तेरी वाणी को ले जाएगा, और कोई उड़ाने वाला जन्तु उस बात को प्रगट कर देगा॥

Raja ko man mein bhi shaap na dena, na dhanvaan ko apne shayan ki kothri mein shaap dena; kyonki koi aakaash ka pakshi teri vani ko le jayega, aur koi udane vala jantu us baat ko pragat kar dega.