Ecclesiastes 8 · 17 verses

सभोपदेशक 8 Ecclesiastes 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Sabhopdeshak 8.

1

बुद्धिमान के तुल्य कौन है? और किसी बात का अर्थ कौन लगा सकता है? मनुष्य की बुद्धि के कारण उसका मुख चमकता, और उसके मुख की कठोरता दूर हो जाती है।

Buddhimaan ke tulya kaun hai? Aur kisi baat ka arth kaun laga sakta hai? Manushya ki buddhi ke karan uska mukh chamakta, aur uske mukh ki kathorta door ho jati hai.

2

मैं तुझे सम्मति देता हूं कि परमेश्वर की शपथ के कारण राजा की आज्ञा मान।

Main tujhe sammati deta hoon ki Parmeshwar ki shapath ke karan raja ki aagya maan.

3

राजा के साम्हने से उतावली के साथ न लौटना और न बुरी बात पर हठ करना, क्योंकि वह जो कुछ चाहता है करता है।

Raja ke samhane se utavli ke saath na lautna aur na buri baat par hath karna, kyonki vah jo kuchh chahta hai karta hai.

4

क्योंकि राजा के वचन में तो सामर्थ्य रहती है, और कौन उस से कह सकता है कि तू क्या करता है?

Kyonki raja ke vachan mein to samarthya rahti hai, aur kaun us se kah sakta hai ki tu kya karta hai?

5

जो आज्ञा को मानता है, वह जोखिम से बचेगा, और बुद्धिमान का मन समय और न्याय का भेद जानता है।

Jo aagya ko manta hai, vah jokhim se bachega, aur buddhimaan ka man samay aur nyaay ka bhed janta hai.

6

क्योंकि हर एक विषय का समय और नियम होता है, यद्यिप मनुष्य का दु:ख उसके लिये बहुत भारी होता है।

Kyonki har ek vishay ka samay aur niyam hota hai, yadyip manushya ka dukh uske liye bahut bhari hota hai.

7

वह नहीं जानता कि क्या होने वाला है, और कब होगा? यह उसको कौन बता सकता है?

Vah nahi janta ki kya hone vala hai, aur kab hoga? Yah usko kaun bata sakta hai?

8

ऐसा कोई मनुष्य नहीं जिसका वश प्राण पर चले कि वह उसे निकलते समय रोक ले, और न कोई मृत्यु के दिन पर अधिकारी होता है; और न उसे लड़ाई से छृट्टी मिल सकती है, और न दुष्ट लोग अपनी दुष्टता के कारण बच सकते हैं।

Aisa koi manushya nahi jiska vash praan par chale ki vah use nikalte samay rok le, aur na koi mrityu ke din par adhikari hota hai; aur na use ladai se chhritti mil sakti hai, aur na dusht log apni dushtata ke karan bach sakte hain.

9

जितने काम धरती पर किए जाते हैं उन सब को ध्यानपूर्वक देखने में यह सब कुछ मैं ने देखा, और यह भी देखा कि एक मनुष्य दूसरे मनुष्य पर अधिकारी हो कर अपने ऊपर हानि लाता है॥

Jitne kaam dharti par kiye jate hain un sab ko dhyanpoorvak dekhne mein yah sab kuchh main ne dekha, aur yah bhi dekha ki ek manushya doosre manushya par adhikari ho kar apne oopar hani lata hai.

10

तब मैं ने दुष्टों को गाड़े जाते देखा; अर्थात उनकी तो कब्र बनी, परन्तु जिन्होंने ठीक काम किया था वे पवित्रस्थान से निकल गए और उनका स्मरण भी नगर में न रहा; यह भी व्यर्थ ही है।

Tab main ne dushton ko gade jate dekha; arthaat unki to kabra bani, parantu jinhonne theek kaam kiya tha ve pavitrasthaan se nikal gaye aur unka smaran bhi nagar mein na raha; yah bhi vyarth hi hai.

11

बुरे काम के दण्ड की आज्ञा फुर्ती से नहीं दी जाती; इस कारण मनुष्यों का मन बुरा काम करने की इच्छा से भरा रहता है।

Bure kaam ke dand ki aagya phurti se nahi di jati; is karan manushyon ka man bura kaam karne ki ichchha se bhara rahta hai.

12

चाहे पापी सौ बार पाप करे अपने दिन भी बढ़ाए, तौभी मुझे निश्चय है कि जो परमेश्वर से डरते हैं और अपने तईं उसको सम्मुख जानकर भय से चलते हैं, उनका भला ही होगा;

Chahe papi sau baar paap kare apne din bhi badhaye, taubhi mujhe nishchay hai ki jo Parmeshwar se darte hain aur apne tai usko sammukh jankar bhay se chalte hain, unka bhala hi hoga;

13

परन्तु दुष्ट का भला नहीं होने का, और न उसकी जीवनरूपी छाया लम्बी होने पाएगी, क्योंकि वह परमेश्वर का भय नहीं मानता॥

Parantu dusht ka bhala nahi hone ka, aur na uski jeevanroopi chhaya lambi hone payegi, kyonki vah Parmeshwar ka bhay nahi manta.

14

एक व्यर्थ बात पृथ्वी पर होती है, अर्थात ऐसे धर्मी हैं जिनकी वह दशा होती है जो दुष्टों की होनी चाहिये, और ऐसे दुष्ट हैं जिनकी वह दशा होती है हो धर्मियों की होनी चाहिये। मैं ने कह कि यह भी व्यर्थ ही है।

Ek vyarth baat prithvi par hoti hai, arthaat aise dharmi hain jinki vah dasha hoti hai jo dushton ki honi chahiye, aur aise dusht hain jinki vah dasha hoti hai ho dharmiyon ki honi chahiye. Main ne kah ki yah bhi vyarth hi hai.

15

तब मैं ने आनन्द को सराहा, क्योंकि सूर्य के नीचे मनुष्य के लिये खाने-पीने और आनन्द करने को छोड़ और कुछ भी अच्छा नहीं, क्योंकि यही उसके जीवन भर जो परमेश्वर उसके लिये धरती पर ठहराए, उसके परिश्रम में उसके संग बना रहेगा॥

Tab main ne aanand ko saraha, kyonki soorya ke neeche manushya ke liye khane-peene aur aanand karne ko chhod aur kuchh bhi achchha nahi, kyonki yahi uske jeevan bhar jo Parmeshwar uske liye dharti par thahraye, uske parishram mein uske sang bana rahega.

16

जब मैं ने बुद्धि प्राप्त करने और सब काम देखने के लिये जो पृथ्वी पर किए जाते हैं अपना मन लगाया, कि कैसे मनुष्य रात-दिन जागते रहते हैं;

Jab main ne buddhi praapt karne aur sab kaam dekhne ke liye jo prithvi par kiye jate hain apna man lagaya, ki kaise manushya raat-din jagte rahte hain;

17

तब मैं ने परमेश्वर का सारा काम देखा जो सूर्य के नीचे किया जाता है, उसकी थाह मनुष्य नहीं पा सकता। चाहे मनुष्य उसकी खोज में कितना भी परिश्रम करे, तौभी उसको न जान पाएगा; और यद्यिप बुद्धिमान कहे भी कि मैं उसे समझूंगा, तौभी वह उसे न पा सकेगा॥

Tab main ne Parmeshwar ka sara kaam dekha jo soorya ke neeche kiya jata hai, uski thaah manushya nahi pa sakta. Chahe manushya uski khoj mein kitna bhi parishram kare, taubhi usko na jaan payega; aur yadyip buddhimaan kahe bhi ki main use samjhoonga, taubhi vah use na pa sakega.