हर एक बात का एक अवसर और प्रत्येक काम का, जो आकाश के नीचे होता है, एक समय है।
Har ek baat ka ek avsar aur pratyek kaam ka, jo aakaash ke neeche hota hai, ek samay hai.
Ecclesiastes 3 · 22 verses
हर एक बात का एक अवसर और प्रत्येक काम का, जो आकाश के नीचे होता है, एक समय है।
Har ek baat ka ek avsar aur pratyek kaam ka, jo aakaash ke neeche hota hai, ek samay hai.
जन्म का समय, और मरन का भी समय; बोने का समय; और बोए हुए को उखाड़ने का भी समय है;
Janm ka samay, aur maran ka bhi samay; bone ka samay; aur boye hue ko ukhadne ka bhi samay hai;
घात करने का समय, और चंगा करने का भी समय; ढा देने का समय, और बनाने का भी समय है;
Ghaat karne ka samay, aur changa karne ka bhi samay; dha dene ka samay, aur banane ka bhi samay hai;
रोने का समय, और हंसने का भी समय; छाती पीटने का समय, और नाचने का भी समय है;
Rone ka samay, aur hansne ka bhi samay; chhati peetne ka samay, aur nachne ka bhi samay hai;
पत्थर फेंकने का समय, और पत्थर बटोरने का भी समय; गल लगाने का समय, और गल लगाने से रूकने का भी समय है;
Patthar phenkne ka samay, aur patthar batorne ka bhi samay; gal lagane ka samay, aur gal lagane se rookne ka bhi samay hai;
ढूंढ़ने का समय, और खो देने का भी समय; बचा रखने का समय, और फेंक देने का भी समय है;
Dhoondhne ka samay, aur kho dene ka bhi samay; bacha rakhne ka samay, aur phenk dene ka bhi samay hai;
फाड़ने का समय, और सीने का भी समय; चुप रहने का समय, और बोलने का भी समय है;
Phadne ka samay, aur seene ka bhi samay; chup rahne ka samay, aur bolne ka bhi samay hai;
प्रेम का समय, और बैर करने का भी समय; लड़ाई का समय, और मेल का भी समय है।
Prem ka samay, aur bair karne ka bhi samay; ladai ka samay, aur mel ka bhi samay hai.
काम करने वाले को अधिक परिश्रम से क्या लाभ होता है?
Kaam karne vale ko adhik parishram se kya laabh hota hai?
मैं ने उस दु:खभरे काम को देखा है जो परमेश्वर ने मनुष्यों के लिये ठहराया है कि वे उस में लगे रहें।
Main ne us dukhabhre kaam ko dekha hai jo Parmeshwar ne manushyon ke liye thahraya hai ki ve us mein lage rahein.
उसने सब कुछ ऐसा बनाया कि अपने अपने समय पर वे सुन्दर होते है; फिर उसने मनुष्यों के मन में अनादि-अनन्त काल का ज्ञान उत्पन्न किया है, तौभी काल का ज्ञान उत्पन्न किया है, वह आदि से अन्त तक मनुष्य बूझ नहीं सकता।
Usne sab kuchh aisa banaya ki apne apne samay par ve sundar hote hai; phir usne manushyon ke man mein anadi-anant kaal ka gyaan utpann kiya hai, taubhi kaal ka gyaan utpann kiya hai, vah aadi se ant tak manushya boojh nahi sakta.
मैं ने जान लिया है कि मनुष्यों के लिये आनन्द करने और जीवन भर भलाई करने के सिवाय, और कुछ भी अच्छा नहीं;
Main ne jaan liya hai ki manushyon ke liye aanand karne aur jeevan bhar bhalai karne ke sivaay, aur kuchh bhi achchha nahi;
और यह भी परमेश्वर का दान है कि मनुष्य खाए-पीए और अपने सब परिश्रम में सुखी रहे।
Aur yah bhi Parmeshwar ka daan hai ki manushya khaye-peeye aur apne sab parishram mein sukhi rahe.
मैं जानता हूं कि जो कुछ परमेश्वर करता है वह सदा स्थिर रहेगा; न तो उस में कुछ बढ़ाया जा सकता है और न कुछ घटाया जा सकता है; परमेश्वर ऐसा इसलिये करता है कि लोग उसका भय मानें।
Main janta hoon ki jo kuchh Parmeshwar karta hai vah sada sthir rahega; na to us mein kuchh badhaya ja sakta hai aur na kuchh ghataya ja sakta hai; Parmeshwar aisa isliye karta hai ki log uska bhay manein.
जो कुछ हुआ वह इस से पहिले भी हो चुका; जो होने वाला है, वह हो भी चुका है; और परमेश्वर बीती हुई बात को फिर पूछता है।
Jo kuchh huaa vah is se pahile bhi ho chuka; jo hone vala hai, vah ho bhi chuka hai; aur Parmeshwar beeti hui baat ko phir poochhta hai.
फिर मैं ने संसार में क्या देखा कि न्याय के स्थान में दुष्टता होती है, और धर्म के स्थान में भी दुष्टता होती है।
Phir main ne sansaar mein kya dekha ki nyaay ke sthaan mein dushtata hoti hai, aur dharm ke sthaan mein bhi dushtata hoti hai.
मैं ने मन में कहा, परमेश्वर धर्मी और दुष्ट दोनों का न्याय करेगा, क्योंकि उसके यहां एक एक विषय और एक एक काम का समय है।
Main ne man mein kaha, Parmeshwar dharmi aur dusht donon ka nyaay karega, kyonki uske yahan ek ek vishay aur ek ek kaam ka samay hai.
मैं ने मन में कहा कि यह इसलिये होता है कि परमेश्वर मनुष्यों को जांचे और कि वे देख सकें कि वे पशु-समान हैं।
Main ne man mein kaha ki yah isliye hota hai ki Parmeshwar manushyon ko janche aur ki ve dekh sakein ki ve pashu-samaan hain.
क्योंकि जैसी मनुष्यों की वैसी ही पशुओं की भी दशा होती है; दोनों की वही दशा होती है, जैसे एक मरता वैसे ही दूसरा भी मरता है। सभों की स्वांस एक सी है, और मनुष्य पशु से कुछ बढ़कर नहीं; सब कुछ व्यर्थ ही है।
Kyonki jaisi manushyon ki vaisi hi pashuon ki bhi dasha hoti hai; donon ki vahi dasha hoti hai, jaise ek marta vaise hi doosra bhi marta hai. Sabhon ki swaans ek si hai, aur manushya pashu se kuchh badhkar nahi; sab kuchh vyarth hi hai.
सब एक स्थान मे जाते हैं; सब मिट्टी से बने हैं, और सब मिट्टी में फिर मिल जाते हैं।
Sab ek sthaan me jate hain; sab mitti se bane hain, aur sab mitti mein phir mil jate hain.
क्या मनुष्य का प्राण ऊपर की ओर चढ़ता है और पशुओं का प्राण नीचे की ओर जा कर मिट्टी में मिल जाता है? कौन जानता है?
Kya manushya ka praan oopar ki or chadhta hai aur pashuon ka praan neeche ki or ja kar mitti mein mil jata hai? Kaun janta hai?
सो मैं ने यह देखा कि इस से अधिक कुछ अच्छा नहीं कि मनुष्य अपने कामों में आनन्दित रहे, क्योंकि उसका भाग्य यही है; कौन उसके पीछे होने वाली बातों को देखने के लिये उसको लौटा लाएगा?
So main ne yah dekha ki is se adhik kuchh achchha nahi ki manushya apne kamon mein aanandit rahe, kyonki uska bhagya yahi hai; kaun uske peechhe hone vali baton ko dekhne ke liye usko lauta layega?