Ecclesiastes 2 · 26 verses

सभोपदेशक 2 Ecclesiastes 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Sabhopdeshak 2.

1

मैं ने अपने मन से कहा, चल, मैं तुझ को आनन्द के द्वारा जांचूंगा; इसलिये आनन्दित और मगन हो। परन्तु देखो, यह भी व्यर्थ है।

Main ne apne man se kaha, chal, main tujh ko aanand ke dwara janchoonga; isliye aanandit aur magan ho. Parantu dekho, yah bhi vyarth hai.

2

मैं ने हंसी के विषय में कहा, यह तो बावलापन है, और आनन्द के विषय में, उस से क्या प्राप्त होता है?

Main ne hansi ke vishay mein kaha, yah to bavlapan hai, aur aanand ke vishay mein, us se kya praapt hota hai?

3

मैं ने मन में सोचा कि किस प्रकार से मेरी बुद्धि बनी रहे और मैं अपने प्राण को दाखमधु पीने से क्योंकर बहलाऊं और क्योंकर मूर्खता को थामे रहूं, जब तक मालूम न करूं कि वह अच्छा काम कौन सा है जिसे मनुष्य जीवन भर करता रहे।

Main ne man mein socha ki kis prakaar se meri buddhi bani rahe aur main apne praan ko dakhamdhu peene se kyonkar bahlaun aur kyonkar moorkhata ko thame rahun, jab tak maloom na karun ki vah achchha kaam kaun sa hai jise manushya jeevan bhar karta rahe.

4

मैं ने बड़े बड़े काम किए; मैं ने अपने लिये घर बनवा लिए और अपने लिये दाख की बारियां लगवाईं;

Main ne bade bade kaam kiye; main ne apne liye ghar banva liye aur apne liye daakh ki bariyan lagvai;

5

मैं ने अपने लिये बारियां और बाग लगवा लिए, और उन में भांति भांति के फलदाई वृक्ष लगाए।

Main ne apne liye bariyan aur baag lagva liye, aur un mein bhanti bhanti ke phaldai vriksh lagaye.

6

मैं ने अपने लिये कुण्ड खुदवा लिए कि उन से वह वन सींचा जाए जिस में पौधे लगाए जाते थे।

Main ne apne liye kund khudva liye ki un se vah van seencha jaye jis mein paudhe lagaye jate the.

7

मैं ने दास और दासियां मोल लीं, और मेरे घर में दास भी उत्पन्न हुए; और जितने मुझ से पहिले यरूशलेम में थे उन से कहीं अधिक गाय-बैल और भेड़-बकरियों का मैं स्वामी था।

Main ne daas aur dasiyan mol li, aur mere ghar mein daas bhi utpann hue; aur jitne mujh se pahile Yerushalem mein the un se kahi adhik gaay-bail aur bhed-bakriyon ka main swami tha.

8

मैं ने चान्दी और सोना और राजाओं और प्रान्तों के बहुमूल्य पदार्थों का भी संग्रह किया; मैं ने अपने लिये गवैयों और गानेवालियों को रखा, और बहुत सी कामिनियां भी, जिन से मनुष्य सुख पाते हैं, अपनी कर लीं॥

Main ne chandi aur sona aur rajaon aur pranton ke bahumoolya padarthon ka bhi sangrah kiya; main ne apne liye gavaiyon aur ganevaliyon ko rakha, aur bahut si kaminiyan bhi, jin se manushya sukh pate hain, apni kar li.

9

इस प्रकार मैं अपने से पहिले के सब यरूशलेमवासियों अधिक महान और धनाढय हो गया; तौभी मेरी बुद्धि ठिकाने रही।

Is prakaar main apne se pahile ke sab yarooshlemvasiyon adhik mahaan aur dhanadhay ho gaya; taubhi meri buddhi thikane rahi.

10

और जितनी वस्तुओं के देखने की मैं ने लालसा की, उन सभों को देखने से मैं न रूका; मैं ने अपना मन किसी प्रकार का आनन्द भोगने से न रोका क्योंकि मेरा मन मेरे सब परिश्रम के कारण आनन्दित हुआ; और मेरे सब परिश्रम से मुझे यही भाग मिला।

Aur jitni vastuon ke dekhne ki main ne lalsa ki, un sabhon ko dekhne se main na rooka; main ne apna man kisi prakaar ka aanand bhogne se na roka kyonki mera man mere sab parishram ke karan aanandit huaa; aur mere sab parishram se mujhe yahi bhaag mila.

11

तब मैं ने फिर से अपने हाथों के सब कामों को, और अपने सब परिश्रम को देखा, तो क्या देखा कि सब कुछ व्यर्थ और वायु को पकड़ना है, और संसार में कोई लाभ नहीं॥

Tab main ne phir se apne hathon ke sab kamon ko, aur apne sab parishram ko dekha, to kya dekha ki sab kuchh vyarth aur vayu ko pakadna hai, aur sansaar mein koi laabh nahi.

12

फिर मैं ने अपने मन को फेरा कि बुद्धि और बावलेपन और मूर्खता के कार्यों को देखूं; क्योंकि जो मनुष्य राजा के पीछे आएगा, वह क्या करेगा? केवल वही जो होता चला आया है।

Phir main ne apne man ko phera ki buddhi aur bavlepan aur moorkhata ke karyon ko dekhun; kyonki jo manushya raja ke peechhe aayega, vah kya karega? Keval vahi jo hota chala aaya hai.

13

तब मैं ने देखा कि उजियाला अंधियारे से जितना उत्तम है, उतना बुद्धि भी मूर्खता से उत्तम है।

Tab main ne dekha ki ujiyala andhiyare se jitna uttam hai, utna buddhi bhi moorkhata se uttam hai.

14

जो बुद्धिमान है, उसके सिर में आंखें रहती हैं, परन्तु मूर्ख अंधियारे में चलता है; तौभी मैं ने जान लिया कि दोनों की दशा एक सी होती है।

Jo buddhimaan hai, uske sir mein aankhein rahti hain, parantu moorkh andhiyare mein chalta hai; taubhi main ne jaan liya ki donon ki dasha ek si hoti hai.

15

तब मैं ने मन में कहा, जैसी मूर्ख की दशा होगी, वैसी ही मेरी भी होगी; फिर मैं क्यों अधिक बुद्धिमान हुआ? और मैं ने मन में कहा, यह भी व्यर्थ ही है।

Tab main ne man mein kaha, jaisi moorkh ki dasha hogi, vaisi hi meri bhi hogi; phir main kyon adhik buddhimaan huaa? Aur main ne man mein kaha, yah bhi vyarth hi hai.

16

क्योंकि न तो बुद्धिमान का और न मूर्ख का स्मरण सर्वदा बना रहेगा, परन्तु भविष्य में सब कुछ बिसर जाएगा।

Kyonki na to buddhimaan ka aur na moorkh ka smaran sarvada bana rahega, parantu bhavishya mein sab kuchh bisar jayega.

17

बुद्धिमान क्योंकर मूर्ख के समान मरता है! इसलिये मैं ने अपने जीवन से घृणा की, क्योंकि जो काम संसार में किया जाता है मुझे बुरा मालूम हुआ; क्योंकि सब कुछ व्यर्थ और वायु को पकड़ना है।

Buddhimaan kyonkar moorkh ke samaan marta hai! Isliye main ne apne jeevan se ghrina ki, kyonki jo kaam sansaar mein kiya jata hai mujhe bura maloom huaa; kyonki sab kuchh vyarth aur vayu ko pakadna hai.

18

मैं ने अपने सारे परिश्रम के प्रतिफल से जिसे मैं ने धरती पर किया था घृणा की, क्योंकि अवश्य है कि मैं उसका फल उस मनुष्य के लिये छोड़ जाऊं जो मेरे बाद आएगा।

Main ne apne sare parishram ke pratiphal se jise main ne dharti par kiya tha ghrina ki, kyonki avashya hai ki main uska phal us manushya ke liye chhod jaun jo mere baad aayega.

19

यह कौन जानता है कि वह मनुष्य बुद्धिमान होगा वा मूर्ख? तौभी धरती पर जितना परिश्रम मैं ने किया, और उसके लिये बुद्धि प्रयोग की उस सब का वही अधिकारी होगा। यह भी व्यर्थ ही है।

Yah kaun janta hai ki vah manushya buddhimaan hoga va moorkh? Taubhi dharti par jitna parishram main ne kiya, aur uske liye buddhi prayog ki us sab ka vahi adhikari hoga. Yah bhi vyarth hi hai.

20

तब मैं अपने मन में उस सारे परिश्रम के विषय जो मैं ने धरती पर किया था निराश हुआ,

Tab main apne man mein us sare parishram ke vishay jo main ne dharti par kiya tha niraash huaa,

21

क्योंकि ऐसा मनुष्य भी है, जिसका कार्य परिश्रम और बुद्धि और ज्ञान से होता है और सफल भी होता है, तौभी उसको ऐसे मनुष्य के लिये छोड़ जाना पड़ता है, जिसने उस में कुछ भी परिश्रम न किया हो। यह भी व्यर्थ और बहुत ही बुरा है।

Kyonki aisa manushya bhi hai, jiska karya parishram aur buddhi aur gyaan se hota hai aur saphal bhi hota hai, taubhi usko aise manushya ke liye chhod jana padta hai, jisne us mein kuchh bhi parishram na kiya ho. Yah bhi vyarth aur bahut hi bura hai.

22

मनुष्य जो धरती पर मन लगा लगाकर परिश्रम करता है उस से उसको क्या लाभ होता है?

Manushya jo dharti par man laga lagakar parishram karta hai us se usko kya laabh hota hai?

23

उसके सब दिन तो दु:खों से भरे रहते हैं, और उसका काम खेद के साथ होता है; रात को भी उसका मन चैन नहीं पाता। यह भी व्यर्थ ही है।

Uske sab din to dukhon se bhare rahte hain, aur uska kaam khed ke saath hota hai; raat ko bhi uska man chain nahi pata. Yah bhi vyarth hi hai.

24

मनुष्य के लिये खाने-पीने और परिश्रम करते हुए अपने जीव को सुखी रखने के सिवाय और कुछ भी अच्छा नहीं। मैं ने देखा कि यह भी परमेश्वर की ओर से मिलता है।

Manushya ke liye khane-peene aur parishram karte hue apne jeev ko sukhi rakhne ke sivaay aur kuchh bhi achchha nahi. Main ne dekha ki yah bhi Parmeshwar ki or se milta hai.

25

क्योंकि खाने-पीने और सुख भोगने में मुझ से अधिक समर्थ कौन है?

Kyonki khane-peene aur sukh bhogne mein mujh se adhik samarth kaun hai?

26

जो मनुष्य परमेश्वर की दृष्टि में अच्छा है, उसको वह बुद्धि और ज्ञान और आनन्द देता है; परन्तु पापी को वह दु:खभरा काम ही देता है कि वह उसका देने के लिये संचय कर के ढेर लगाए जो परमेश्वर की दृष्टि में अच्छा हो। यह भी व्यर्थ और वायु को पकड़ना है॥

Jo manushya Parmeshwar ki drishti mein achchha hai, usko vah buddhi aur gyaan aur aanand deta hai; parantu papi ko vah dukhabhra kaam hi deta hai ki vah uska dene ke liye sanchay kar ke dher lagaye jo Parmeshwar ki drishti mein achchha ho. Yah bhi vyarth aur vayu ko pakadna hai.