यरूशलेम के राजा, दाऊद के पुत्र और उपदेशक के वचन।
Yerushalem ke raja, Daud ke putra aur updeshak ke vachan.
Ecclesiastes 1 · 18 verses
यरूशलेम के राजा, दाऊद के पुत्र और उपदेशक के वचन।
Yerushalem ke raja, Daud ke putra aur updeshak ke vachan.
उपदेशक का यह वचन है, कि व्यर्थ ही व्यर्थ, व्यर्थ ही व्यर्थ! सब कुछ व्यर्थ है।
Updeshak ka yah vachan hai, ki vyarth hi vyarth, vyarth hi vyarth! Sab kuchh vyarth hai.
उस सब परिश्रम से जिसे मनुष्य धरती पर करता है, उसको क्या लाभ प्राप्त होता है?
Us sab parishram se jise manushya dharti par karta hai, usko kya laabh praapt hota hai?
एक पीढ़ी जाती है, और दूसरी पीढ़ी आती है, परन्तु पृथ्वी सर्वदा बनी रहती है।
Ek peedhi jati hai, aur doosri peedhi aati hai, parantu prithvi sarvada bani rahti hai.
सूर्य उदय हो कर अस्त भी होता है, और अपने उदय की दिशा को वेग से चला जाता है।
Soorya uday ho kar ast bhi hota hai, aur apne uday ki disha ko veg se chala jata hai.
वायु दक्खिन की ओर बहती है, और उत्तर की ओर घूमती जाती है; वह घूमती और बहती रहती है, और अपने चक्करों में लौट आती है।
Vayu dakkhin ki or bahti hai, aur uttar ki or ghoomti jati hai; vah ghoomti aur bahti rahti hai, aur apne chakkaron mein laut aati hai.
सब नदियां समुद्र में जा मिलती हैं, तौभी समुद्र भर नहीं जाता; जिस स्थान से नदियां निकलती हैं; उधर ही को वे फिर जाती हैं।
Sab nadiyan samudra mein ja milti hain, taubhi samudra bhar nahi jata; jis sthaan se nadiyan nikalti hain; udhar hi ko ve phir jati hain.
सब बातें परिश्रम से भरी हैं; मनुष्य इसका वर्णन नहीं कर सकता; न तो आंखें देखने से तृप्त होती हैं, और न कान सुनने से भरते हैं।
Sab batein parishram se bhari hain; manushya iska varnan nahi kar sakta; na to aankhein dekhne se tript hoti hain, aur na kaan sunne se bharte hain.
जो कुछ हुआ था, वही फिर होगा, और जो कुछ बन चुका है वही फिर बनाया जाएगा; और सूर्य के नीचे कोई बात नई नहीं है।
Jo kuchh huaa tha, vahi phir hoga, aur jo kuchh ban chuka hai vahi phir banaya jayega; aur soorya ke neeche koi baat nai nahi hai.
क्या ऐसी कोई बात है जिसके विषय में लोग कह सकें कि देख यह नई है? यह तो प्राचीन युगों में वर्तमान थी।
Kya aisi koi baat hai jiske vishay mein log kah sakein ki dekh yah nai hai? Yah to pracheen yugon mein vartamaan thi.
प्राचीन बातों का कुछ स्मरण नहीं रहा, और होने वाली बातों का भी स्मरण उनके बाद होने वालों को न रहेगा॥
Pracheen baton ka kuchh smaran nahi raha, aur hone vali baton ka bhi smaran unke baad hone valon ko na rahega.
मैं उपदेशक यरूशलेम में इस्राएल का राजा था।
Main updeshak Yerushalem mein Israel ka raja tha.
और मैं ने अपना मन लगाया कि जो कुछ सूर्य के नीचे किया जाता है, उसका भेद बुद्धि से सोच सोचकर मालूम करूं; यह बड़े दु:ख का काम है जो परमेश्वर ने मनुष्यों के लिये ठहराया है कि वे उस में लगें।
Aur main ne apna man lagaya ki jo kuchh soorya ke neeche kiya jata hai, uska bhed buddhi se soch sochkar maloom karun; yah bade dukh ka kaam hai jo Parmeshwar ne manushyon ke liye thahraya hai ki ve us mein lagein.
मैं ने उन सब कामों को देखा जो सूर्य के नीचे किए जाते हैं; देखो वे सब व्यर्थ और मानो वायु को पकड़ना है।
Main ne un sab kamon ko dekha jo soorya ke neeche kiye jate hain; dekho ve sab vyarth aur mano vayu ko pakadna hai.
जो टेढ़ा है, वह सीधा नहीं हो सकता, और जितनी वस्तुओं में घटी है, वे गिनी नहीं जातीं॥
Jo tedha hai, vah seedha nahi ho sakta, aur jitni vastuon mein ghati hai, ve gini nahi jati.
मैं ने मन में कहा, देख, जितने यरूशलेम में मुझ से पहिले थे, उन सभों से मैं ने बहुत अधिक बुद्धि प्राप्त की है; और मुझ को बहुत बुद्धि और ज्ञान मिल गया है।
Main ne man mein kaha, dekh, jitne Yerushalem mein mujh se pahile the, un sabhon se main ne bahut adhik buddhi praapt ki hai; aur mujh ko bahut buddhi aur gyaan mil gaya hai.
और मैं ने अपना मन लगाया कि बुद्धि का भेद लूं और बावलेपन और मूर्खता को भी जान लूं। मुझे जान पड़ा कि यह भी वायु को पकड़ना है॥
Aur main ne apna man lagaya ki buddhi ka bhed lun aur bavlepan aur moorkhata ko bhi jaan lun. Mujhe jaan pada ki yah bhi vayu ko pakadna hai.
क्योंकि बहुत बुद्धि के साथ बहुत खेद भी होता है, और जो अपना ज्ञान बढ़ाता है वह अपना दु:ख भी बढ़ाता है॥
Kyonki bahut buddhi ke saath bahut khed bhi hota hai, aur jo apna gyaan badhata hai vah apna dukh bhi badhata hai.