Deuteronomy 9 · 29 verses

व्यवस्थाविवरण 9 Deuteronomy 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 9.

1

हे इस्राएल, सुन, आज तू यरदन पार इसलिये जानेवाला है, कि ऐसी जातियों को जो तुझ से बड़ी और सामर्थी हैं, और ऐसे बड़े नगरों को जिनकी शहरपनाह आकाश से बातें करती हैं, अपने अधिकार में ले ले।

He Israel, sun, aaj tu yardan paar isliye janevala hai, ki aisi jatiyon ko jo tujh se badi aur samarthi hain, aur aise bade nagron ko jinki shahrapnaah aakaash se batein karti hain, apne adhikaar mein le le.

2

उन में बड़े बड़े और लम्बे लम्बे लोग, अर्थात अनाकवंशी रहते हैं, जिनका हाल तू जानता है, और उनके विषय में तू ने यह सुना है, कि अनाकवशियों के साम्हने कौन ठहर सकता है?

Un mein bade bade aur lambe lambe log, arthaat anakvanshi rahte hain, jinka haal tu janta hai, aur unke vishay mein tu ne yah suna hai, ki anakavshiyon ke samhane kaun thahar sakta hai?

3

इसलिये आज तू यह जान ले, कि जो तेरे आगे भस्म करने वाली आग की नाईं पार जाने वाला है वह तेरा परमेश्वर यहोवा है; और वह उनका सत्यानाश करेगा, और वह उन को तेरे साम्हने दबा देगा; और तू यहोवा के वचन के अनुसार उन को उस देश से निकाल कर शीघ्र ही नष्ट कर डालेगा।

Isliye aaj tu yah jaan le, ki jo tere aage bhasm karne vali aag ki nai paar jane vala hai vah tera Parmeshwar Yahowa hai; aur vah unka satyanaash karega, aur vah un ko tere samhane daba dega; aur tu Yahowa ke vachan ke anusaar un ko us desh se nikaal kar sheeghra hi nasht kar dalega.

4

जब तेरा परमेश्वर यहोवा उन्हें तेरे साम्हने से निकाल चुके तब यह न सोचना, कि यहोवा तेरे धर्म के कारण तुझे इस देश का अधिकारी होने को ले आया है, किन्तु उन जातियों की दुष्टता ही के कारण यहोवा उन को तेरे साम्हने से निकालता है।

Jab tera Parmeshwar Yahowa unhein tere samhane se nikaal chuke tab yah na sochna, ki Yahowa tere dharm ke karan tujhe is desh ka adhikari hone ko le aaya hai, kintu un jatiyon ki dushtata hi ke karan Yahowa un ko tere samhane se nikalta hai.

5

तू जो उनके देश का अधिकारी होने के लिये जा रहा है, इसका कारण तेरा धर्म वा मन की सीधाई नहीं है; तेरा परमेश्वर यहोवा जो उन जातियों को तेरे साम्हने से निकालता है, उसका कारण उनकी दुष्टता है, और यह भी कि जो वचन उसने इब्राहीम, इसहाक, और याकूब, तेरे पूर्वजों को शपथ खाकर दिया था, उसको वह पूरा करना चाहता है।

Tu jo unke desh ka adhikari hone ke liye ja raha hai, iska karan tera dharm va man ki seedhai nahi hai; tera Parmeshwar Yahowa jo un jatiyon ko tere samhane se nikalta hai, uska karan unki dushtata hai, aur yah bhi ki jo vachan usne Ibrahim, Ishaq, aur Yakub, tere poorvajon ko shapath khakar diya tha, usko vah poora karna chahta hai.

6

इसलिये यह जान ले कि तेरा परमेश्वर यहोवा, जो तुझे वह अच्छा देश देता है कि तू उसका अधिकारी हो, उसे वह तेरे धर्म के कारण नहीं दे रहा है; क्योंकि तू तो एक हठीली जाति है।

Isliye yah jaan le ki tera Parmeshwar Yahowa, jo tujhe vah achchha desh deta hai ki tu uska adhikari ho, use vah tere dharm ke karan nahi de raha hai; kyonki tu to ek hatheeli jati hai.

7

इस बात का स्मरण रख और कभी भी न भूलना, कि जंगल में तू ने किस किस रीति से अपने परमेश्वर यहोवा को क्रोधित किया; और जिस देश से तू मिस्र देश से निकला है जब तक तुम इस स्थान पर न पहुँचे तब तक तुम यहोवा से बलवा ही बलवा करते आए हो।

Is baat ka smaran rakh aur kabhi bhi na bhoolna, ki jangal mein tu ne kis kis reeti se apne Parmeshwar Yahowa ko krodhit kiya; aur jis desh se tu Misr desh se nikla hai jab tak tum is sthaan par na pahunche tab tak tum Yahowa se balva hi balva karte aaye ho.

8

फिर होरेब के पास भी तुम ने यहोवा को क्रोधित किया, और वह क्रोधित हो कर तुम्हें नष्ट करना चाहता था।

Phir horeb ke paas bhi tum ne Yahowa ko krodhit kiya, aur vah krodhit ho kar tumhein nasht karna chahta tha.

9

जब मैं उस वाचा के पत्थर की पटियाओं को जो यहोवा ने तुम से बान्धी थी लेने के लिये पर्वत के ऊपर चढ़ गया, तब चालीस दिन और चालीस रात पर्वत ही के ऊपर रहा; और मैं ने न तो रोटी खाई न पानी पिया।

Jab main us vacha ke patthar ki patiyaon ko jo Yahowa ne tum se bandhi thi lene ke liye parvat ke oopar chadh gaya, tab chalees din aur chalees raat parvat hi ke oopar raha; aur main ne na to roti khai na pani piya.

10

और यहोवा ने मुझे अपने ही हाथ की लिखी हुई पत्थर की दोनों पटियाओं को सौंप दिया, और वे ही वचन जिन्हें यहोवा ने पर्वत के ऊपर आग के मध्य में से सभा के दिन तुम से कहे थे वे सब उन पर लिखे हुए थे।

Aur Yahowa ne mujhe apne hi haath ki likhi hui patthar ki donon patiyaon ko saump diya, aur ve hi vachan jinhein Yahowa ne parvat ke oopar aag ke madhya mein se sabha ke din tum se kahe the ve sab un par likhe hue the.

11

और चालीस दिन और चालीस रात के बीत जाने पर यहोवा ने पत्थर की वे दो वाचा की पटियाएं मुझे दे दीं।

Aur chalees din aur chalees raat ke beet jane par Yahowa ne patthar ki ve do vacha ki patiyayen mujhe de di.

12

और यहोवा ने मुझ से कहा, उठ, यहां से झटपट नीचे जा; क्योकिं तेरी प्रजा के लोग जिन को तू मिस्र से निकाल कर ले आया है वे बिगड़ गए हैं; जिस मार्ग पर चलने की आज्ञा मैं ने उन्हें दी थी उसको उन्होंने झटपट छोड़ दिया है; अर्थात उन्होंने तुरन्त अपने लिये एक मूर्ति ढालकर बना ली है।

Aur Yahowa ne mujh se kaha, uth, yahan se jhatpat neeche ja; kyoki teri praja ke log jin ko tu Misr se nikaal kar le aaya hai ve bigad gaye hain; jis maarg par chalne ki aagya main ne unhein di thi usko unhonne jhatpat chhod diya hai; arthaat unhonne turant apne liye ek moorti dhalkar bana li hai.

13

फिर यहोवा ने मुझ से यह भी कहा, कि मैं ने उन लोगो को देख लिया, वे हठीली जाति के लोग हैं;

Phir Yahowa ne mujh se yah bhi kaha, ki main ne un logo ko dekh liya, ve hatheeli jati ke log hain;

14

इसलिये अब मुझे तू मत रोक, ताकि मैं उन्हें नष्ट कर डालूं, और धरती के ऊपर से उनका नाम वा चिन्ह तक मिटा डालूं, और मैं उन से बढ़कर एक बड़ी और सामर्थी जाति तुझी से उत्पन्न करूंगा।

Isliye ab mujhe tu mat rok, taki main unhein nasht kar dalun, aur dharti ke oopar se unka naam va chinh tak mita dalun, aur main un se badhkar ek badi aur samarthi jati tujhi se utpann karoonga.

15

तब मैं उलटे पैर पर्वत से नीचे उतर चला, और पर्वत अग्नि से दहक रहा था; और मेरे दोनों हाथों में वाचा की दोनों पटियाएं थीं।

Tab main ulte pair parvat se neeche utar chala, aur parvat agni se dahak raha tha; aur mere donon hathon mein vacha ki donon patiyayen thi.

16

और मैं ने देखा कि तुम ने अपने परमेश्वर यहोवा के विरुद्ध महापाप किया; और अपने लिये एक बछड़ा ढालकर बना लिया है, और तुरन्त उस मार्ग से जिस पर चलने की आज्ञा यहोवा ने तुम को दी थी उसको तुम ने तज दिया।

Aur main ne dekha ki tum ne apne Parmeshwar Yahowa ke viruddh mahapaap kiya; aur apne liye ek bachhda dhalkar bana liya hai, aur turant us maarg se jis par chalne ki aagya Yahowa ne tum ko di thi usko tum ne taj diya.

17

तब मैं ने उन दोनों पटियाओं को अपने दोनों हाथों से ले कर फेंक दिया, और तुम्हारी आंखों के साम्हने उन को तोड़ डाला।

Tab main ne un donon patiyaon ko apne donon hathon se le kar phenk diya, aur tumhari aankhon ke samhane un ko tod dala.

18

तब तुम्हारे उस महापाप के कारण जिसे करके तुम ने यहोवा की दृष्टि में बुराई की, और उसे रीस दिलाई थी, मैं यहोवा के साम्हने मुंह के बल गिर पड़ा, और पहिले की नाईं, अर्थात चालीस दिन और चालीस रात तक, न तो रोटी खाई और न पानी पिया।

Tab tumhare us mahapaap ke karan jise karke tum ne Yahowa ki drishti mein burai ki, aur use rees dilai thi, main Yahowa ke samhane munh ke bal gir pada, aur pahile ki nai, arthaat chalees din aur chalees raat tak, na to roti khai aur na pani piya.

19

मैं तो यहोवा के उस कोप और जल-जलाहट से डर रहा था, क्योंकि वह तुम से अप्रसन्न हो कर तुम्हें सत्यानाश करने को था। परन्तु यहोवा ने उस बार भी मेरी सुन ली।

Main to Yahowa ke us kop aur jal-jalahat se dar raha tha, kyonki vah tum se aprasann ho kar tumhein satyanaash karne ko tha. Parantu Yahowa ne us baar bhi meri sun li.

20

और यहोवा हारून से इतना क्रोधित हुआ कि उसे भी सत्यानाश करना चाहा; परन्तु उसी समय मैं ने हारून के लिये भी प्रार्थना की।

Aur Yahowa haroon se itna krodhit huaa ki use bhi satyanaash karna chaha; parantu usi samay main ne haroon ke liye bhi prarthana ki.

21

और मैं ने वह बछड़ा जिसे बनाकर तुम पापी हो गए थे ले कर, आग में डालकर फूंक दिया; और फिर उसे पीस पीसकर ऐसा चूर चूरकर डाला कि वह धूल की नाईं जीर्ण हो गया; और उसकी उस राख को उस नदी में फेंक दिया जो पर्वत से निकलकर नीचे बहती थी।

Aur main ne vah bachhda jise banakar tum papi ho gaye the le kar, aag mein dalkar phoonk diya; aur phir use pees peeskar aisa choor choorkar dala ki vah dhool ki nai jeern ho gaya; aur uski us raakh ko us nadi mein phenk diya jo parvat se nikalkar neeche bahti thi.

22

फिर तबेरा, और मस्सा, और किब्रोतहत्तावा में भी तुम ने यहोवा को रीस दिलाई थी।

Phir tabera, aur massa, aur kibrothattava mein bhi tum ne Yahowa ko rees dilai thi.

23

फिर जब यहोवा ने तुम को कादेशबर्ने से यह कहकर भेजा, कि जा कर उस देश के जिसे मैं ने तुम्हें दिया है अधिकारी हो जाओ, तब भी तुम ने अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञा के विरुद्ध बलवा किया, और न तो उसका विश्वास किया, और न उसकी बात मानी।

Phir jab Yahowa ne tum ko kadeshbarne se yah kahkar bheja, ki ja kar us desh ke jise main ne tumhein diya hai adhikari ho jao, tab bhi tum ne apne Parmeshwar Yahowa ki aagya ke viruddh balva kiya, aur na to uska vishwaas kiya, aur na uski baat mani.

24

जिस दिन से मैं तुम्हें जानता हूं उस दिन से तुम यहोवा से बलवा ही करते आए हो।

Jis din se main tumhein janta hoon us din se tum Yahowa se balva hi karte aaye ho.

25

मैं यहोवा के साम्हने चालीस दिन और चालीस रात मुंह के बल पड़ा रहा, क्योंकि यहोवा ने कह दिया था, कि वह तुम को सत्यानाश करेगा।

Main Yahowa ke samhane chalees din aur chalees raat munh ke bal pada raha, kyonki Yahowa ne kah diya tha, ki vah tum ko satyanaash karega.

26

और मैं ने यहोवा से यह प्रार्थना की, कि हे प्रभु यहोवा, अपना प्रजारूपी निज भाग, जिन को तू ने अपने महान् प्रताप से छुड़ा लिया है, और जिन को तू ने अपने बलवन्त हाथ से मिस्र से निकाल लिया है, उन्हें नष्ट न कर।

Aur main ne Yahowa se yah prarthana ki, ki he Prabhu Yahowa, apna prajaroopi nij bhaag, jin ko tu ne apne mahaan prataap se chhuda liya hai, aur jin ko tu ne apne balvant haath se Misr se nikaal liya hai, unhein nasht na kar.

27

अपने दास इब्राहीम, इसहाक, और याकूब को स्मरण कर; और इन लोगों की कठोरता, और दुष्टता, और पाप पर दृष्टि न कर,

Apne daas Ibrahim, Ishaq, aur Yakub ko smaran kar; aur in logon ki kathorta, aur dushtata, aur paap par drishti na kar,

28

जिस से ऐसा न हो कि जिस देश से तू हम को निकाल कर ले आया है, वहां से लोग कहने लगें, कि यहोवा उन्हें उस देश में जिसके देश का वचन उन को दिया था नहीं पहुंचा सका, और उन से बैर भी रखता था, इसी कारण उसने उन्हें जंगल में निकाल कर मार डाला है।

Jis se aisa na ho ki jis desh se tu ham ko nikaal kar le aaya hai, vahan se log kahne lagein, ki Yahowa unhein us desh mein jiske desh ka vachan un ko diya tha nahi pahuncha saka, aur un se bair bhi rakhta tha, isi karan usne unhein jangal mein nikaal kar maar dala hai.

29

ये लोग तेरी प्रजा और निज भाग हैं, जिन को तू ने अपने बड़े सामर्थ्य और बलवन्त भुजा के द्वारा निकाल ले आया है॥

Ye log teri praja aur nij bhaag hain, jin ko tu ne apne bade samarthya aur balvant bhuja ke dwara nikaal le aaya hai.