Deuteronomy 10 · 22 verses

व्यवस्थाविवरण 10 Deuteronomy 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 10.

1

उस समय यहोवा ने मुझ से कहा, पहिली पटियाओं के समान पत्थर की दो और पटियाएं गढ़ ले, और उन्हें ले कर मेरे पास पर्वत के ऊपर आ जा, और लकड़ी का एक सन्दूक भी बनवा ले।

Us samay Yahowa ne mujh se kaha, pahili patiyaon ke samaan patthar ki do aur patiyayen gadh le, aur unhein le kar mere paas parvat ke oopar aa ja, aur lakdi ka ek sandook bhi banva le.

2

और मैं उन पटियाओं पर वे ही वचन लिखूंगा, जो उन पहिली पटियाओं पर थे, जिन्हें तू ने तोड़ डाला, और तू उन्हें उस सन्दूक में रखना।

Aur main un patiyaon par ve hi vachan likhoonga, jo un pahili patiyaon par the, jinhein tu ne tod dala, aur tu unhein us sandook mein rakhna.

3

तब मैं ने बबूल की लकड़ी का एक सन्दूक बनवाया, और पहिली पटियाओं के समान पत्थर की दो और पटियाएं गढ़ीं, तब उन्हें हाथों में लिये हुए पर्वत पर चढ़ गया।

Tab main ne babool ki lakdi ka ek sandook banvaya, aur pahili patiyaon ke samaan patthar ki do aur patiyayen gadhi, tab unhein hathon mein liye hue parvat par chadh gaya.

4

और जो दस वचन यहोवा ने सभा के दिन पर्वत पर अग्नि के मध्य में से तुम से कहे थे, वे ही उसने पहिलों के समान उन पटियाओं पर लिखे; और उन को मुझे सौंप दिया।

Aur jo das vachan Yahowa ne sabha ke din parvat par agni ke madhya mein se tum se kahe the, ve hi usne pahilon ke samaan un patiyaon par likhe; aur un ko mujhe saump diya.

5

तब मैं पर्वत से नीचे उतर आया, और पटियाओं को अपने बनवाए हुए सन्दूक में धर दिया; और यहोवा की आज्ञा के अनुसार वे वहीं रखीं हुई हैं।

Tab main parvat se neeche utar aaya, aur patiyaon ko apne banvaye hue sandook mein dhar diya; aur Yahowa ki aagya ke anusaar ve vahi rakhi hui hain.

6

तब इस्राएली याकानियों के कुओं से कूच करके मोसेरा तक आए। वहां हारून मर गया, और उसको वहीं मिट्टी दी गई; और उसका पुत्र एलीआजर उसके स्थान पर याजक का काम करने लगा।

Tab Israeli yakaniyon ke kuon se kooch karke mosera tak aaye. Vahan haroon mar gaya, aur usko vahi mitti di gai; aur uska putra eleeaajar uske sthaan par yajak ka kaam karne laga.

7

वे वहां से कूच करके गुदगोदा को, और गुदगोदा से योतबाता को चले, इस देश में जल की नदियां हैं।

Ve vahan se kooch karke gudgoda ko, aur gudgoda se yotbata ko chale, is desh mein jal ki nadiyan hain.

8

उस समय यहोवा ने लेवी गोत्र को इसलिये अलग किया कि वे यहोवा की वाचा का सन्दूक उठाया करें, और यहोवा के सम्मुख खड़े हो कर उसकी सेवाटहल किया करें, और उसके नाम से आशीर्वाद दिया करें, जिस प्रकार कि आज के दिन तक होता आ रहा है।

Us samay Yahowa ne levi gotra ko isliye alag kiya ki ve Yahowa ki vacha ka sandook uthaya karein, aur Yahowa ke sammukh khade ho kar uski sevathal kiya karein, aur uske naam se aasheervaad diya karein, jis prakaar ki aaj ke din tak hota aa raha hai.

9

इस कारण लेवियों को अपने भाईयों के साथ कोई निज अंश वा भाग नहीं मिला; यहोवा ही उनका निज भाग है, जैसे कि तेरे परमेश्वर यहोवा ने उन से कहा था।

Is karan leviyon ko apne bhaiyon ke saath koi nij ansh va bhaag nahi mila; Yahowa hi unka nij bhaag hai, jaise ki tere Parmeshwar Yahowa ne un se kaha tha.

10

मैं तो पहिले की नाईं उस पर्वत पर चालीस दिन और चालीस रात ठहरा रहा, और उस बार भी यहोवा ने मेरी सुनी, और तुझे नाश करने की मनसा छोड़ दी।

Main to pahile ki nai us parvat par chalees din aur chalees raat thahra raha, aur us baar bhi Yahowa ne meri suni, aur tujhe naash karne ki mansa chhod di.

11

फिर यहोवा ने मुझ से कहा, उठ, और तू इन लोगों की अगुवाई कर, ताकि जिस देश के देने को मैं ने उनके पूर्वजों से शपथ खाकर कहा था उस में वे जा कर उसको अपने अधिकार में कर लें॥

Phir Yahowa ne mujh se kaha, uth, aur tu in logon ki aguvai kar, taki jis desh ke dene ko main ne unke poorvajon se shapath khakar kaha tha us mein ve ja kar usko apne adhikaar mein kar lein.

12

और अब, हे इस्राएल, तेरा परमेश्वर यहोवा तुझ से इसके सिवाय और क्या चाहता है, कि तू अपने परमेश्वर यहोवा का भय मानें, और उसके सारे मार्गों पर चले, उस से प्रेम रखे, और अपने पूरे मन और अपने सारे प्राण से उसकी सेवा करे,

Aur ab, he Israel, tera Parmeshwar Yahowa tujh se iske sivaay aur kya chahta hai, ki tu apne Parmeshwar Yahowa ka bhay manein, aur uske sare margon par chale, us se prem rakhe, aur apne poore man aur apne sare praan se uski seva kare,

13

और यहोवा की जो जो आज्ञा और विधि मैं आज तुझे सुनाता हूं उन को ग्रहण करे, जिस से तेरा भला हो?

Aur Yahowa ki jo jo aagya aur vidhi main aaj tujhe sunata hoon un ko grahan kare, jis se tera bhala ho?

14

सुन, स्वर्ग और सब से ऊंचा स्वर्ग भी, और पृथ्वी और उस में जो कुछ है, वह सब तेरे परमेश्वर यहोवा ही का है;

Sun, swarg aur sab se ooncha swarg bhi, aur prithvi aur us mein jo kuchh hai, vah sab tere Parmeshwar Yahowa hi ka hai;

15

तौभी यहोवा ने तेरे पूर्वजों से स्नेह और प्रेम रखा, और उनके बाद तुम लोगों को जो उनकी सन्तान हो सर्व देशों के लोगों के मध्य में से चुन लिया, जैसा कि आज के दिन प्रगट है।

Taubhi Yahowa ne tere poorvajon se sneh aur prem rakha, aur unke baad tum logon ko jo unki santaan ho sarva deshon ke logon ke madhya mein se chun liya, jaisa ki aaj ke din pragat hai.

16

इसलिये अपने अपने हृदय का खतना करो, और आगे को हठीले न रहो।

Isliye apne apne hriday ka khatna karo, aur aage ko hatheele na raho.

17

क्योंकि तुम्हारा परमेश्वर यहोवा वही ईश्वरों का परमेश्वर और प्रभुओं का प्रभु है, वह महान् पराक्रमी और भय योग्य ईश्वर है, जो किसी का पक्ष नहीं करता और न घूस लेता है।

Kyonki tumhara Parmeshwar Yahowa vahi ishwaron ka Parmeshwar aur prabhuon ka Prabhu hai, vah mahaan parakrami aur bhay yogya ishwar hai, jo kisi ka paksh nahi karta aur na ghoos leta hai.

18

वह अनाथों और विधवा का न्याय चुकाता, और परदेशियों से ऐसा प्रेम करता है कि उन्हें भोजन और वस्त्र देता है।

Vah anathon aur vidhva ka nyaay chukata, aur pardeshiyon se aisa prem karta hai ki unhein bhojan aur vastra deta hai.

19

इसलिये तुम भी परदेशियों से प्रेम भाव रखना; क्योंकि तुम भी मिस्र देश में परदेशी थे।

Isliye tum bhi pardeshiyon se prem bhaav rakhna; kyonki tum bhi Misr desh mein pardeshi the.

20

अपने परमेश्वर यहोवा का भय मानना; उसी की सेवा करना और उसी से लिपटे रहना, और उसी के नाम की शपथ खाना।

Apne Parmeshwar Yahowa ka bhay manna; usi ki seva karna aur usi se lipte rahna, aur usi ke naam ki shapath khana.

21

वही तुम्हारी स्तुति के योग्य है; और वही तेरा परमेश्वर है, जिसने तेरे साथ वे बड़े महत्व के और भयानक काम किए हैं, जिन्हें तू ने अपनी आंखों से देखा है।

Vahi tumhari stuti ke yogya hai; aur vahi tera Parmeshwar hai, jisne tere saath ve bade mahatva ke aur bhayanak kaam kiye hain, jinhein tu ne apni aankhon se dekha hai.

22

तेरे पुरखा जब मिस्र में गए तब सत्तर ही मनुष्य थे; परन्तु अब तेरे परमेश्वर यहोवा ने तेरी गिनती आकाश के तारों के समान बहुत कर दिया है॥

Tere purkha jab Misr mein gaye tab sattar hi manushya the; parantu ab tere Parmeshwar Yahowa ne teri ginti aakaash ke taron ke samaan bahut kar diya hai.