Deuteronomy 8 · 20 verses

व्यवस्थाविवरण 8 Deuteronomy 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 8.

1

जो जो आज्ञा मैं आज तुझे सुनाता हूं उन सभों पर चलने की चौकसी करना, इसलिये कि तुम जीवित रहो और बढ़ते रहो, और जिस देश के विषय में यहोवा ने तुम्हारे पूर्वजों से शपथ खाई है उस में जा कर उसके अधिकारी हो जाओ।

Jo jo aagya main aaj tujhe sunata hoon un sabhon par chalne ki chauksi karna, isliye ki tum jeevit raho aur badhte raho, aur jis desh ke vishay mein Yahowa ne tumhare poorvajon se shapath khai hai us mein ja kar uske adhikari ho jao.

2

और स्मरण रख कि तेरा परमेश्वर यहोवा उन चालीस वर्षों में तुझे सारे जंगल के मार्ग में से इसलिये ले आया है, कि वह तुझे नम्र बनाए, और तेरी परीक्षा करके यह जान ले कि तेरे मन में क्या क्या है, और कि तू उसकी आज्ञाओं का पालन करेगा वा नहीं।

Aur smaran rakh ki tera Parmeshwar Yahowa un chalees varshon mein tujhe sare jangal ke maarg mein se isliye le aaya hai, ki vah tujhe namra banaye, aur teri pareeksha karke yah jaan le ki tere man mein kya kya hai, aur ki tu uski aagyaon ka palan karega va nahi.

3

उसने तुझ को नम्र बनाया, और भूखा भी होने दिया, फिर वह मन्ना, जिसे न तू और न तेरे पुरखा ही जानते थे, वही तुझ को खिलाया; इसलिये कि वह तुझ को सिखाए कि मनुष्य केवल रोटी ही से नहीं जीवित रहता, परन्तु जो जो वचन यहोवा के मुंह से निकलते हैं उन ही से वह जीवित रहता है।

Usne tujh ko namra banaya, aur bhookha bhi hone diya, phir vah manna, jise na tu aur na tere purkha hi jante the, vahi tujh ko khilaya; isliye ki vah tujh ko sikhaye ki manushya keval roti hi se nahi jeevit rahta, parantu jo jo vachan Yahowa ke munh se nikalte hain un hi se vah jeevit rahta hai.

4

इन चालीस वर्षों में तेरे वस्त्र पुराने न हुए, और तेरे तन से भी नहीं गिरे, और न तेरे पांव फूले।

In chalees varshon mein tere vastra purane na hue, aur tere tan se bhi nahi gire, aur na tere paanv phoole.

5

फिर अपने मन में यह तो विचार कर, कि जैसा कोई अपने बेटे को ताड़ना देता है वैसे ही तेरा परमेश्वर यहोवा तुझ को ताड़ना देता है।

Phir apne man mein yah to vichaar kar, ki jaisa koi apne bete ko tadna deta hai vaise hi tera Parmeshwar Yahowa tujh ko tadna deta hai.

6

इसलिये अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञाओं का पालन करते हुए उसके मार्गों पर चलना, और उसका भय मानते रहना।

Isliye apne Parmeshwar Yahowa ki aagyaon ka palan karte hue uske margon par chalna, aur uska bhay mante rahna.

7

क्योंकि तेरा परमेश्वर यहोवा तुझे एक उत्तम देश में लिये जा रहा है, जो जल की नदियों का, और तराइयों और पहाड़ों से निकले हुए गहिरे गहिरे सोतों का देश है।

Kyonki tera Parmeshwar Yahowa tujhe ek uttam desh mein liye ja raha hai, jo jal ki nadiyon ka, aur taraiyon aur pahadon se nikle hue gahire gahire soton ka desh hai.

8

फिर वह गेहूं, जौ, दाखलताओं, अंजीरों, और अनरों का देश है; और तेलवाली जलपाई और मधु का भी देश है।

Phir vah gehun, jau, dakhaltaon, anjeeron, aur anron ka desh hai; aur telvali jalpai aur madhu ka bhi desh hai.

9

उस देश में अन्न की महंगी न होगी, और न उस में तुझे किसी पदार्थ की घटी होगी; वहां के पत्थर लोहे के हैं, और वहां के पहाड़ों में से तू तांबा खोदकर निकाल सकेगा।

Us desh mein ann ki mahangi na hogi, aur na us mein tujhe kisi padaarth ki ghati hogi; vahan ke patthar lohe ke hain, aur vahan ke pahadon mein se tu tamba khodkar nikaal sakega.

10

और तू पेट भर खाएगा, और उस उत्तम देश के कारण जो तेरा परमेश्वर यहोवा तुझे देगा उसका धन्य मानेगा।

Aur tu pet bhar khayega, aur us uttam desh ke karan jo tera Parmeshwar Yahowa tujhe dega uska dhanya manega.

11

इसलिये सावधान रहना, कहीं ऐसा न हो कि अपने परमेश्वर यहोवा को भूलकर उसकी जो जो आज्ञा, नियम, और विधि, मैं आज तुझे सुनाता हूं उनका मानना छोड़ दे;

Isliye savdhaan rahna, kahi aisa na ho ki apne Parmeshwar Yahowa ko bhoolkar uski jo jo aagya, niyam, aur vidhi, main aaj tujhe sunata hoon unka manna chhod de;

12

ऐसा न हो कि जब तू खाकर तृप्त हो, और अच्छे अच्छे घर बनाकर उन में रहने लगे,

Aisa na ho ki jab tu khakar tript ho, aur achchhe achchhe ghar banakar un mein rahne lage,

13

और तेरी गाय-बैलों और भेड़-बकरियों की बढ़ती हो, और तेरा सोना, चांदी, और तेरा सब प्रकार का धन बढ़ जाए,

Aur teri gaay-bailon aur bhed-bakriyon ki badhti ho, aur tera sona, chandi, aur tera sab prakaar ka dhan badh jaye,

14

तब तेरे मन में अहंकार समा जाए, और तू अपने परमेश्वर यहोवा को भूल जाए, जो तुझ को दासत्व के घर अर्थात मिस्र देश से निकाल लाया है,

Tab tere man mein ahankaar sama jaye, aur tu apne Parmeshwar Yahowa ko bhool jaye, jo tujh ko dasatva ke ghar arthaat Misr desh se nikaal laya hai,

15

और उस बड़े और भयानक जंगल में से ले आया है, जहां तेज विष वाले सर्प और बिच्छू हैं, और जलरहित सूखे देश में उसने तेरे लिये चकमक की चट्टान से जल निकाला,

Aur us bade aur bhayanak jangal mein se le aaya hai, jahan tej vish vale sarp aur bichchhu hain, aur jalarhit sookhe desh mein usne tere liye chakmak ki chattaan se jal nikala,

16

और तुझे जंगल में मन्ना खिलाया, जिसे तुम्हारे पुरखा जानते भी न थे, इसलिये कि वह तुझे नम्र बनाए, और तेरी परीक्षा करके अन्त में तेरा भला ही करे।

Aur tujhe jangal mein manna khilaya, jise tumhare purkha jante bhi na the, isliye ki vah tujhe namra banaye, aur teri pareeksha karke ant mein tera bhala hi kare.

17

और कहीं ऐसा न हो कि तू सोचने लगे, कि यह सम्पत्ति मेरे ही सामर्थ्य और मेरे ही भुजबल से मुझे प्राप्त हुई।

Aur kahi aisa na ho ki tu sochne lage, ki yah sampatti mere hi samarthya aur mere hi bhujbal se mujhe praapt hui.

18

परन्तु तू अपने परमेश्वर यहोवा को स्मरण रखना, क्योंकि वही है जो तुझे सम्पति प्राप्त करने का सामर्थ्य इसलिये देता है, कि जो वाचा उसने तेरे पूर्वजों से शपथ खाकर बान्धी थी उसको पूरा करे, जैसा आज प्रगट है।

Parantu tu apne Parmeshwar Yahowa ko smaran rakhna, kyonki vahi hai jo tujhe sampati praapt karne ka samarthya isliye deta hai, ki jo vacha usne tere poorvajon se shapath khakar bandhi thi usko poora kare, jaisa aaj pragat hai.

19

यदि तू अपने परमेश्वर यहोवा को भूलकर दूसरे देवताओं के पीछे हो लेगा, और उसकी उपासना और उन को दण्डवत करेगा, तो मैं आज तुम को चिता देता हूं कि तुम नि:सन्देह नष्ट हो जाओगे।

Yadi tu apne Parmeshwar Yahowa ko bhoolkar doosre devtaon ke peechhe ho lega, aur uski upasna aur un ko dandavat karega, to main aaj tum ko chita deta hoon ki tum nisandeh nasht ho jaoge.

20

जिन जातियों को यहोवा तुम्हारे सम्मुख से नष्ट करने पर है, उन्ही की नाईं तुम भी अपने परमेश्वर यहोवा का वचन न मानने के कारण नष्ट हो जाओगे।

Jin jatiyon ko Yahowa tumhare sammukh se nasht karne par hai, unhi ki nai tum bhi apne Parmeshwar Yahowa ka vachan na manne ke karan nasht ho jaoge.