Deuteronomy 6 · 25 verses

व्यवस्थाविवरण 6 Deuteronomy 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 6.

1

यह वह आज्ञा, और वे विधियां और नियम हैं जो तुम्हें सिखाने की तुम्हारे परमेश्वर यहोवा ने आज्ञा दी है, कि तुम उन्हें उस देश में मानो जिसके अधिकारी होने को पार जाने पर हो;

Yah vah aagya, aur ve vidhiyan aur niyam hain jo tumhein sikhane ki tumhare Parmeshwar Yahowa ne aagya di hai, ki tum unhein us desh mein mano jiske adhikari hone ko paar jane par ho;

2

और तू और तेरा बेटा और तेरा पोता यहोवा का भय मानते हुए उसकी उन सब विधियों और आज्ञाओं पर, जो मैं तुझे सुनाता हूं, अपने जीवन भर चलते रहें, जिस से तू बहुत दिन तक बना रहे।

Aur tu aur tera beta aur tera pota Yahowa ka bhay mante hue uski un sab vidhiyon aur aagyaon par, jo main tujhe sunata hoon, apne jeevan bhar chalte rahein, jis se tu bahut din tak bana rahe.

3

हे इस्राएल, सुन, और ऐसा ही करने की चौकसी कर; इसलिये कि तेरा भला हो, और तेरे पितरों के परमेश्वर यहोवा के वचन के अनुसार उस देश में जहां दूध और मधु की धाराएं बहती हैं तुम बहुत हो जाओ।

He Israel, sun, aur aisa hi karne ki chauksi kar; isliye ki tera bhala ho, aur tere pitron ke Parmeshwar Yahowa ke vachan ke anusaar us desh mein jahan doodh aur madhu ki dharayen bahti hain tum bahut ho jao.

4

हे इस्राएल, सुन, यहोवा हमारा परमेश्वर है, यहोवा एक ही है;

He Israel, sun, Yahowa hamara Parmeshwar hai, Yahowa ek hi hai;

5

तू अपने परमेश्वर यहोवा से अपने सारे मन, और सारे जीव, और सारी शक्ति के साथ प्रेम रखना।

Tu apne Parmeshwar Yahowa se apne sare man, aur sare jeev, aur sari shakti ke saath prem rakhna.

6

और ये आज्ञाएं जो मैं आज तुझ को सुनाता हूं वे तेरे मन में बनी रहें;

Aur ye aagyayen jo main aaj tujh ko sunata hoon ve tere man mein bani rahein;

7

और तू इन्हें अपने बाल-बच्चों को समझाकर सिखाया करना, और घर में बैठे, मार्ग पर चलते, लेटते, उठते, इनकी चर्चा किया करना।

Aur tu inhein apne baal-bachchon ko samjhakar sikhaya karna, aur ghar mein baithe, maarg par chalte, lette, uthte, inki charcha kiya karna.

8

और इन्हें अपने हाथ पर चिन्हानी करके बान्धना, और ये तेरी आंखों के बीच टीके का काम दें।

Aur inhein apne haath par chinhani karke bandhana, aur ye teri aankhon ke beech teeke ka kaam dein.

9

और इन्हें अपने अपने घर के चौखट की बाजुओं और अपने फाटकों पर लिखना॥

Aur inhein apne apne ghar ke chaukhat ki bajuon aur apne phatkon par likhna.

10

और जब तेरा परमेश्वर यहोवा तुझे उस देश में पहुंचाए जिसके विषय में उसने इब्राहीम, इसहाक, और याकूब नाम, तेरे पूर्वजों से तुझे देने की शपथ खाई, और जब वह तुझ को बड़े बड़े और अच्छे नगर, जो तू ने नहीं बनाए,

Aur jab tera Parmeshwar Yahowa tujhe us desh mein pahunchaye jiske vishay mein usne Ibrahim, Ishaq, aur Yakub naam, tere poorvajon se tujhe dene ki shapath khai, aur jab vah tujh ko bade bade aur achchhe nagar, jo tu ne nahi banaye,

11

और अच्छे अच्छे पदार्थों से भरे हुए घर, जो तू ने नहीं भरे, और खुदे हुए कुंए, जो तू ने नहीं खोदे, और दाख की बारियां और जलपाई के वृक्ष, जो तू ने नहीं लगाए, ये सब वस्तुएं जब वह दे, और तू खाके तृप्त हो,

Aur achchhe achchhe padarthon se bhare hue ghar, jo tu ne nahi bhare, aur khude hue kune, jo tu ne nahi khode, aur daakh ki bariyan aur jalpai ke vriksh, jo tu ne nahi lagaye, ye sab vastuein jab vah de, aur tu khake tript ho,

12

तब सावधान रहना, कहीं ऐसा न हो कि तू यहोवा को भूल जाए, जो तुझे दासत्व के घर अर्थात मिस्र देश से निकाल लाया है।

Tab savdhaan rahna, kahi aisa na ho ki tu Yahowa ko bhool jaye, jo tujhe dasatva ke ghar arthaat Misr desh se nikaal laya hai.

13

अपने परमेश्वर यहोवा का भय मानना; उसी की सेवा करना, और उसी के नाम की शपथ खाना।

Apne Parmeshwar Yahowa ka bhay manna; usi ki seva karna, aur usi ke naam ki shapath khana.

14

तुम पराए देवताओं के, अर्थात अपने चारों ओर के देशों के लोगों के देवताओं के पीछे न हो लेना;

Tum paraye devtaon ke, arthaat apne charon or ke deshon ke logon ke devtaon ke peechhe na ho lena;

15

क्योंकि तेरा परमेश्वर यहोवा जो तेरे बीच में है वह जल उठने वाला ईश्वर है; कहीं ऐसा न हो कि तेरे परमेश्वर यहोवा का कोप तुझ पर भड़के, और वह तुझ को पृथ्वी पर से नष्ट कर डाले॥

Kyonki tera Parmeshwar Yahowa jo tere beech mein hai vah jal uthne vala ishwar hai; kahi aisa na ho ki tere Parmeshwar Yahowa ka kop tujh par bhadke, aur vah tujh ko prithvi par se nasht kar dale.

16

तुम अपने परमेश्वर यहोवा की परीक्षा न करना, जैसे कि तुम ने मस्सा में उसकी परीक्षा की थी।

Tum apne Parmeshwar Yahowa ki pareeksha na karna, jaise ki tum ne massa mein uski pareeksha ki thi.

17

अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञाओं, चितौनियों, और विधियों को, जो उसने तुझ को दी हैं, सावधानी से मानना।

Apne Parmeshwar Yahowa ki aagyaon, chitauniyon, aur vidhiyon ko, jo usne tujh ko di hain, savdhani se manna.

18

और जो काम यहोवा की दृष्टि में ठीक और सुहावना है वही किया करना, जिस से कि तेरा भला हो, और जिस उत्तम देश के विषय में यहोवा ने तेरे पूर्वजों से शपथ खाई उस में तू प्रवेश करके उसका अधिकारी हो जाए,

Aur jo kaam Yahowa ki drishti mein theek aur suhavna hai vahi kiya karna, jis se ki tera bhala ho, aur jis uttam desh ke vishay mein Yahowa ne tere poorvajon se shapath khai us mein tu pravesh karke uska adhikari ho jaye,

19

कि तेरे सब शत्रु तेरे साम्हने से दूर कर दिए जाएं, जैसा कि यहोवा ने कहा था॥

Ki tere sab shatru tere samhane se door kar diye jayen, jaisa ki Yahowa ne kaha tha.

20

फिर आगे को जब तेरा लड़का तुझ से पूछे, कि ये चितौनियां और विधि और नियम, जिनके मानने की आज्ञा हमारे परमेश्वर यहोवा ने तुम को दी है, इनका प्रयोजन क्या है?

Phir aage ko jab tera ladka tujh se poochhe, ki ye chitauniyan aur vidhi aur niyam, jinke manne ki aagya hamare Parmeshwar Yahowa ne tum ko di hai, inka prayojan kya hai?

21

तब अपने लड़के से कहना, कि जब हम मिस्र में फिरौन के दास थे, तब यहोवा बलवन्त हाथ से हम को मिस्र में से निकाल ले आया;

Tab apne ladke se kahna, ki jab ham Misr mein Firaun ke daas the, tab Yahowa balvant haath se ham ko Misr mein se nikaal le aaya;

22

और यहोवा ने हमारे देखते मिस्र में फिरौन और उसके सारे घराने को दु:ख देने वाले बड़े बड़े चिन्ह और चमत्कार दिखाए;

Aur Yahowa ne hamare dekhte Misr mein Firaun aur uske sare gharane ko dukh dene vale bade bade chinh aur chamatkaar dikhaye;

23

और हम को वह वहां से निकाल लाया, इसलिये कि हमें इस देश में पहुंचाकर, जिसके विषय में उसने हमारे पूर्वजों से शपथ खाई थी, इस को हमें सौंप दे।

Aur ham ko vah vahan se nikaal laya, isliye ki hamein is desh mein pahunchakar, jiske vishay mein usne hamare poorvajon se shapath khai thi, is ko hamein saump de.

24

और यहोवा ने हमें ये सब विधियां पालने की आज्ञा दी, इसलिये कि हम अपने परमेश्वर यहोवा का भय मानें, और इस रीति सदैव हमारा भला हो, और वह हम को जीवित रखे, जैसा कि आज के दिन है।

Aur Yahowa ne hamein ye sab vidhiyan palne ki aagya di, isliye ki ham apne Parmeshwar Yahowa ka bhay manein, aur is reeti sadaiv hamara bhala ho, aur vah ham ko jeevit rakhe, jaisa ki aaj ke din hai.

25

और यदि हम अपने परमेश्वर यहोवा की दृष्टि में उसकी आज्ञा के अनुसार इन सारे नियमों को मानने में चौकसी करें, तो वह हमारे लिये धर्म ठहरेगा॥

Aur yadi ham apne Parmeshwar Yahowa ki drishti mein uski aagya ke anusaar in sare niymon ko manne mein chauksi karein, to vah hamare liye dharm thahrega.