जो आशीर्वाद परमेश्वर के जन मूसा ने अपनी मृत्यु से पहिले इस्राएलियों को दिया वह यह है॥
Jo aasheervaad Parmeshwar ke jan Musa ne apni mrityu se pahile Israeliyon ko diya vah yah hai.
Deuteronomy 33 · 29 verses
जो आशीर्वाद परमेश्वर के जन मूसा ने अपनी मृत्यु से पहिले इस्राएलियों को दिया वह यह है॥
Jo aasheervaad Parmeshwar ke jan Musa ne apni mrityu se pahile Israeliyon ko diya vah yah hai.
उसने कहा, यहोवा सीनै से आया, और सेईर से उनके लिये उदय हुआ; उसने पारान पर्वत पर से अपना तेज दिखाया, और लाखों पवित्रों के मध्य में से आया, उसके दाहिने हाथ से उनके लिये ज्वालामय विधियां निकलीं॥
Usne kaha, Yahowa seenai se aaya, aur seir se unke liye uday huaa; usne paraan parvat par se apna tej dikhaya, aur lakhon pavitron ke madhya mein se aaya, uske dahine haath se unke liye jwalamay vidhiyan nikli.
वह निश्चय देश देश के लोगों से प्रेम करता है; उसके सब पवित्र लोग तेरे हाथ में हैं: वे तेरे पांवों के पास बैठे रहते हैं, एक एक तेरे वचनों से लाभ उठाता है॥
Vah nishchay desh desh ke logon se prem karta hai; uske sab pavitra log tere haath mein hain: ve tere panvon ke paas baithe rahte hain, ek ek tere vachnon se laabh uthata hai.
मूसा ने हमें व्यवस्था दी, और याकूब की मण्डली का निज भाग ठहरी॥
Musa ne hamein vyavastha di, aur Yakub ki mandali ka nij bhaag thahri.
जब प्रजा के मुख्य मुख्य पुरूष, और इस्राएल के गोत्री एक संग हो कर एकत्रित हुए, तब वह यशूरून में राजा ठहरा॥
Jab praja ke mukhya mukhya puroosh, aur Israel ke gotri ek sang ho kar ekatrit hue, tab vah yashooroon mein raja thahra.
रूबेन न मरे, वरन जीवित रहे, तौभी उसके यहां के मनुष्य थोड़े हों॥
Rooben na mare, varan jeevit rahe, taubhi uske yahan ke manushya thode hon.
और यहूदा पर यह आशीर्वाद हुआ जो मूसा ने कहा, हे यहोवा तू यहूदा की सुन, और उसे उसके लोगों के पास पहुंचा। वह अपने लिये आप अपने हाथों से लड़ा, और तू ही उसके द्रोहियों के विरुद्ध उसका सहायक हो॥
Aur Yahuda par yah aasheervaad huaa jo Musa ne kaha, he Yahowa tu Yahuda ki sun, aur use uske logon ke paas pahuncha. Vah apne liye aap apne hathon se lada, aur tu hi uske drohiyon ke viruddh uska sahayak ho.
फिर लेवी के विषय में उसने कहा, तेरे तुम्मीम और ऊरीम तेरे भक्त के पास हैं, जिस को तू ने मस्सा में परख लिया, और जिसके साथ मरीबा नाम सोते पर तेरा वादविवाद हुआ;
Phir levi ke vishay mein usne kaha, tere tummeem aur ooreem tere bhakt ke paas hain, jis ko tu ne massa mein parakh liya, aur jiske saath mareeba naam sote par tera vadvivaad huaa;
उसने तो अपने माता पिता के विषय में कहा, कि मैं उन को नहीं जानता; और न तो उसने अपने भाइयों को अपना माना, और न अपने पुत्रों को पहिचाना। क्योंकि उन्होंने तेरी बातें मानी, और वे तेरी वाचा का पालन करते हैं॥
Usne to apne mata pita ke vishay mein kaha, ki main un ko nahi janta; aur na to usne apne bhaiyon ko apna mana, aur na apne putron ko pahichana. Kyonki unhonne teri batein mani, aur ve teri vacha ka palan karte hain.
वे याकूब को तेरे नियम, और इस्राएल को तेरी व्यवस्था सिखाएंगे; और तेरे आगे धूप और तेरी वेदी पर सर्वांग पशु को होमबलि करेंगे॥
Ve Yakub ko tere niyam, aur Israel ko teri vyavastha sikhayenge; aur tere aage dhoop aur teri vedi par sarvaang pashu ko homabli karenge.
हे यहोवा, उसकी सम्पत्ति पर आशीष दे, और उसके हाथों की सेवा को ग्रहण कर; उसके विरोधियों और बैरियों की कमर पर ऐसा मार, कि वे फिर न उठ सकें॥
He Yahowa, uski sampatti par aasheesh de, aur uske hathon ki seva ko grahan kar; uske virodhiyon aur bairiyon ki kamar par aisa maar, ki ve phir na uth sakein.
फिर उसने बिन्यामीन के विषय में कहा, यहोवा का वह प्रिय जन, उसके पास निडर वास करेगा; और वह दिन भर उस पर छाया करेगा, और वह उसके कन्धों के बीच रहा करता है॥
Phir usne binyameen ke vishay mein kaha, Yahowa ka vah priya jan, uske paas nidar vaas karega; aur vah din bhar us par chhaya karega, aur vah uske kandhon ke beech raha karta hai.
फिर यूसुफ के विषय में उसने कहा; इसका देश यहोवा से आशीष पाए अर्थात आकाश के अनमोल पदार्थ और ओस, और वह गहिरा जल जो नीचे है,
Phir Yusuf ke vishay mein usne kaha; iska desh Yahowa se aasheesh paye arthaat aakaash ke anmol padaarth aur os, aur vah gahira jal jo neeche hai,
और सूर्य के पकाए हुए अनमोल फल, और जो अनमोल पदार्थ चंद्रमा के उगाए उगते हैं,
Aur soorya ke pakaye hue anmol phal, aur jo anmol padaarth chandrama ke ugaye ugte hain,
और प्राचीन पहाड़ों के उत्तम पदार्थ, और सनातन पहाड़ियों के अनमोल पदार्थ,
Aur pracheen pahadon ke uttam padaarth, aur sanatan pahadiyon ke anmol padaarth,
और पृथ्वी और जो अनमोल पदार्थ उस में भरे हैं, और जो झाड़ी में रहता था उसकी प्रसन्नता। इन सभों के विषय में यूसुफ के सिर पर, अर्थात उसी के सिर के चांद पर जो अपने भाइयों से न्यारा हुआ था आशीष ही आशीष फले॥
Aur prithvi aur jo anmol padaarth us mein bhare hain, aur jo jhadi mein rahta tha uski prasannata. In sabhon ke vishay mein Yusuf ke sir par, arthaat usi ke sir ke chaand par jo apne bhaiyon se nyara huaa tha aasheesh hi aasheesh phale.
वह प्रतापी है, मानो गाय का पहिलौठा है, और उसके सींग बनैले बैल के से हैं; उन से वह देश देश के लोगों को, वरन पृथ्वी के छोर तक के सब मनुष्यों को ढकेलेगा; वे एप्रैम के लाखों लाख, और मनश्शे के हजारों हजार हैं॥
Vah pratapi hai, mano gaay ka pahilautha hai, aur uske seeng banaile bail ke se hain; un se vah desh desh ke logon ko, varan prithvi ke chhor tak ke sab manushyon ko dhakelega; ve epraim ke lakhon laakh, aur manashshe ke hajaron hajaar hain.
फिर जबूलून के विषय में उसने कहा, हे जबूलून, तू बाहर निकलते समय, और हे इस्साकार, तू अपने डेरों में आनन्द करे॥
Phir jabooloon ke vishay mein usne kaha, he jabooloon, tu bahar nikalte samay, aur he issakaar, tu apne deron mein aanand kare.
वे देश देश के लोगों को पहाड़ पर बुलाएंगे; वे वहां धर्मयज्ञ करेंगे; क्योंकि वे समुद्र का धन, और बालू के छिपे हुए अनमोल पदार्थ से लाभ उठाएंगे॥
Ve desh desh ke logon ko pahaad par bulayenge; ve vahan dharmayagy karenge; kyonki ve samudra ka dhan, aur balu ke chhipe hue anmol padaarth se laabh uthayenge.
फिर गाद के विषय में उसने कहा, धन्य वह है जो गाद को बढ़ाता है! गाद तो सिंहनी के समान रहता है, और बांह को, वरन सिर के चांद तक को फाड़ डालता है॥
Phir gaad ke vishay mein usne kaha, dhanya vah hai jo gaad ko badhata hai! Gaad to sinhni ke samaan rahta hai, aur baanh ko, varan sir ke chaand tak ko phaad dalta hai.
और उसने पहिला अंश तो अपने लिये चुन लिया, क्योंकि वहां रईस के योग्य भाग रखा हुआ था; तब उसने प्रजा के मुख्य मुख्य पुरूषों के संग आकर यहोवा का ठहराया हुआ धर्म, और इस्राएल के साथ हो कर उसके नियम का प्रतिपालन किया॥
Aur usne pahila ansh to apne liye chun liya, kyonki vahan rais ke yogya bhaag rakha huaa tha; tab usne praja ke mukhya mukhya purooshon ke sang aakar Yahowa ka thahraya huaa dharm, aur Israel ke saath ho kar uske niyam ka pratipalan kiya.
फिर दान के विषय में उसने कहा, दान तो बाशान से कूदने वाला सिंह का बच्चा है॥
Phir daan ke vishay mein usne kaha, daan to bashaan se koodne vala sinh ka bachcha hai.
फिर नप्ताली के विषय में उसने कहा, हे नप्ताली, तू जो यहोवा की प्रसन्नता से तृप्त, और उसकी आशीष से भरपूर है, तू पच्छिम और दक्खिन के देश का अधिकारी हो॥
Phir naptali ke vishay mein usne kaha, he naptali, tu jo Yahowa ki prasannata se tript, aur uski aasheesh se bharpoor hai, tu pachchhim aur dakkhin ke desh ka adhikari ho.
फिर आशेर के विषय में उसने कहा, आशेर पुत्रों के विषय में आशीष पाए; वह अपने भाइयों में प्रिय रहे, और अपना पांव तेल में डुबोए॥
Phir aasher ke vishay mein usne kaha, aasher putron ke vishay mein aasheesh paye; vah apne bhaiyon mein priya rahe, aur apna paanv tel mein duboye.
तेरे जूते लोहे और पीतल के होंगे, और जैसे तेरे दिन वैसी ही तेरी शक्ति हो॥
Tere joote lohe aur peetal ke honge, aur jaise tere din vaisi hi teri shakti ho.
हे यशूरून, ईश्वर के तुल्य और कोई नहीं है, वह तेरी सहायता करने को आकाश पर, और अपना प्रताप दिखाता हुआ आकाशमण्डल पर सवार हो कर चलता है॥
He yashooroon, ishwar ke tulya aur koi nahi hai, vah teri sahayta karne ko aakaash par, aur apna prataap dikhata huaa aakashmandal par savaar ho kar chalta hai.
अनादि परमेश्वर तेरा गृहधाम है, और नीचे सनातन भुजाएं हैं। वह शत्रुओं को तेरे साम्हने से निकाल देता, और कहता है, उन को सत्यानाश कर दे॥
Anadi Parmeshwar tera grihdhaam hai, aur neeche sanatan bhujayen hain. Vah shatruon ko tere samhane se nikaal deta, aur kahta hai, un ko satyanaash kar de.
और इस्राएल निडर बसा रहता है, अन्न और नये दाखमधु के देश में याकूब का सोता अकेला ही रहता है; और उसके ऊपर के आकाश से ओस पड़ा करती है॥
Aur Israel nidar basa rahta hai, ann aur naye dakhamdhu ke desh mein Yakub ka sota akela hi rahta hai; aur uske oopar ke aakaash se os pada karti hai.
हे इस्राएल, तू क्या ही धन्य है! हे यहोवा से उद्धार पाई हुई प्रजा, तेरे तुल्य कौन है? वह तो तेरी सहायता के लिये ढाल, और तेरे प्रताप के लिये तलवार है; तेरे शत्रु तुझे सराहेंगे, और तू उनके ऊंचे स्थानों को रौंदेगा॥
He Israel, tu kya hi dhanya hai! He Yahowa se uddhaar pai hui praja, tere tulya kaun hai? Vah to teri sahayta ke liye dhaal, aur tere prataap ke liye talvaar hai; tere shatru tujhe sarahenge, aur tu unke oonche sthanon ko raundega.