Deuteronomy 32 · 52 verses

व्यवस्थाविवरण 32 Deuteronomy 32 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 32.

1

हे आकाश, कान लगा, कि मैं बोलूं; और हे पृथ्वी, मेरे मुंह की बातें सुन॥

He aakaash, kaan laga, ki main bolun; aur he prithvi, mere munh ki batein sun.

2

मेरा उपदेश मेंह की नाईं बरसेगा और मेरी बातें ओस की नाईं टपकेंगी, जैसे कि हरी घास पर झीसी, और पौधों पर झड़ियां॥

Mera updesh menh ki nai barsega aur meri batein os ki nai tapkengi, jaise ki hari ghaas par jheesi, aur paudhon par jhadiyan.

3

मैं तो यहोवा नाम का प्रचार करूंगा। तुम अपने परमेश्वर की महिमा को मानो!

Main to Yahowa naam ka prachaar karoonga. Tum apne Parmeshwar ki mahima ko mano!

4

वह चट्टान है, उसका काम खरा है; और उसकी सारी गति न्याय की है। वह सच्चा ईश्वर है, उस में कुटिलता नहीं, वह धर्मी और सीधा है॥

Vah chattaan hai, uska kaam khara hai; aur uski sari gati nyaay ki hai. Vah sachcha ishwar hai, us mein kutilta nahi, vah dharmi aur seedha hai.

5

परन्तु इसी जाति के लोग टेढ़े और तिर्छे हैं; ये बिगड़ गए, ये उसके पुत्र नहीं; यह उनका कलंक है॥

Parantu isi jati ke log tedhe aur tirchhe hain; ye bigad gaye, ye uske putra nahi; yah unka kalank hai.

6

हे मूढ़ और निर्बुद्धि लोगों, क्या तुम यहोवा को यह बदला देते हो? क्या वह तेरा पिता नहीं है, जिसने तुम को मोल लिया है? उसने तुम को बनाया और स्थिर भी किया है॥

He moodh aur nirbuddhi logon, kya tum Yahowa ko yah badla dete ho? Kya vah tera pita nahi hai, jisne tum ko mol liya hai? Usne tum ko banaya aur sthir bhi kiya hai.

7

प्राचीनकाल के दिनों को स्मरण करो, पीढ़ी पीढ़ी के वर्षों को विचारो; अपने बाप से पूछो, और वह तुम को बताएगा; अपने वृद्ध लोगों से प्रश्न करो, और वे तुझ से कह देंगे॥

Pracheenkaal ke dinon ko smaran karo, peedhi peedhi ke varshon ko vicharo; apne baap se poochho, aur vah tum ko batayega; apne vriddh logon se prashn karo, aur ve tujh se kah denge.

8

जब परमप्रधान ने एक एक जाति को निज निज भाग बांट दिया, और आदमियों को अलग अलग बसाया, तब उसने देश देश के लोगों के सिवाने इस्राएलियों की गिनती के अनुसार ठहराए॥

Jab parmapradhaan ne ek ek jati ko nij nij bhaag baant diya, aur aadmiyon ko alag alag basaya, tab usne desh desh ke logon ke sivane Israeliyon ki ginti ke anusaar thahraye.

9

क्योंकि यहोवा का अंश उसकी प्रजा है; याकूब उसका नपा हुआ निज भाग है॥

Kyonki Yahowa ka ansh uski praja hai; Yakub uska napa huaa nij bhaag hai.

10

उसने उसको जंगल में, और सुनसान और गरजने वालों से भरी हुई मरूभूमि में पाया; उसने उसके चंहु ओर रहकर उसकी रक्षा की, और अपनी आंख की पुतली की नाईं उसकी सुधि रखी॥

Usne usko jangal mein, aur sunsaan aur garajne valon se bhari hui maroobhoomi mein paya; usne uske chanhu or rahkar uski raksha ki, aur apni aankh ki putli ki nai uski sudhi rakhi.

11

जैसे उकाब अपने घोंसले को हिला हिलाकर अपने बच्चों के ऊपर ऊपर मण्डलाता है, वैसे ही उसने अपने पंख फैलाकर उसको अपने परों पर उठा लिया॥

Jaise ukaab apne ghonsle ko hila hilakar apne bachchon ke oopar oopar mandalata hai, vaise hi usne apne pankh phailakar usko apne paron par utha liya.

12

यहोवा अकेला ही उसकी अगुवाई करता रहा, और उसके संग कोई पराया देवता न था॥

Yahowa akela hi uski aguvai karta raha, aur uske sang koi paraya devta na tha.

13

उसने उसको पृथ्वी के ऊंचे ऊंचे स्थानों पर सवार कराया, और उसको खेतों की उपज खिलाई; उसने उसे चट्टान में से मधु और चकमक की चट्टान में से तेल चुसाया॥

Usne usko prithvi ke oonche oonche sthanon par savaar karaya, aur usko kheton ki upaj khilai; usne use chattaan mein se madhu aur chakmak ki chattaan mein se tel chusaya.

14

गायों का दही, और भेड़-बकरियों का दूध, मेम्नों की चर्बी, बकरे और बाशान की जाति के मेढ़े, और गेहूं का उत्तम से उत्तम आटा भी; और तू दाखरस का मधु पिया करता था॥

Gayon ka dahi, aur bhed-bakriyon ka doodh, memnon ki charbi, bakre aur bashaan ki jati ke medhe, aur gehun ka uttam se uttam aata bhi; aur tu dakhras ka madhu piya karta tha.

15

परन्तु यशूरून मोटा हो कर लात मारने लगा; तू मोटा और हृष्ट-पुष्ट हो गया, और चर्बी से छा गया है; तब उसने अपने सृजनहार ईश्वर को तज दिया, और अपने उद्धारमूल चट्टान को तुच्छ जाना॥

Parantu yashooroon mota ho kar laat marne laga; tu mota aur hrisht-pusht ho gaya, aur charbi se chha gaya hai; tab usne apne srijanhaar ishwar ko taj diya, aur apne uddharmool chattaan ko tuchchh jana.

16

उन्होंने पराए देवताओं को मानकर उस में जलन उपजाई; और घृणित कर्म करके उसको रिस दिलाई॥

Unhonne paraye devtaon ko mankar us mein jalan upjai; aur ghrinit karm karke usko ris dilai.

17

उन्होंने पिशाचों के लिये जो ईश्वर न थे बलि चढ़ाए, और उनके लिये वे अनजाने देवता थे, वे तो नये नये देवता थे जो थोड़े ही दिन से प्रकट हुए थे, और जिन से उनके पुरखा कभी डरे नहीं।

Unhonne pishachon ke liye jo ishwar na the bali chadhaye, aur unke liye ve anjane devta the, ve to naye naye devta the jo thode hi din se prakat hue the, aur jin se unke purkha kabhi dare nahi.

18

जिस चट्टान से तू उत्पन्न हुआ उसको तू भूल गया, और ईश्वर जिस से तेरी उत्पत्ति हुई उसको भी तू भूल गया है॥

Jis chattaan se tu utpann huaa usko tu bhool gaya, aur ishwar jis se teri utpatti hui usko bhi tu bhool gaya hai.

19

इन बातों को देखकर यहोवा ने उन्हें तुच्छ जाना, क्योंकि उसके बेटे-बेटियों ने उसे रिस दिलाई थी॥

In baton ko dekhkar Yahowa ne unhein tuchchh jana, kyonki uske bete-betiyon ne use ris dilai thi.

20

तब उसने कहा, मैं उन से अपना मुख छिपा लूंगा, और देखूंगा कि उनका अन्त कैसा होगा, क्योंकि इस जाति के लोग बहुत टेढ़े हैं और धोखा देने वाले पुत्र हैं।

Tab usne kaha, main un se apna mukh chhipa loonga, aur dekhoonga ki unka ant kaisa hoga, kyonki is jati ke log bahut tedhe hain aur dhokha dene vale putra hain.

21

उन्होंने ऐसी वस्तु मानकर जो ईश्वर नहीं हैं, मुझ में जलन उत्पन्न की; और अपनी व्यर्थ वस्तुओं के द्वारा मुझे रिस दिलाई। इसलिये मैं भी उनके द्वारा जो मेरी प्रजा नहीं हैं उनके मन में जलन उत्पन्न करूंगा; और एक मूढ़ जाति के द्वारा उन्हें रिस दिलाऊंगा॥

Unhonne aisi vastu mankar jo ishwar nahi hain, mujh mein jalan utpann ki; aur apni vyarth vastuon ke dwara mujhe ris dilai. Isliye main bhi unke dwara jo meri praja nahi hain unke man mein jalan utpann karoonga; aur ek moodh jati ke dwara unhein ris dilaoonga.

22

क्योंकि मेरे कोप की आग भड़क उठी है, जो पाताल की तह तक जलती जाएगी, और पृथ्वी अपनी उपज समेत भस्म हो जाएगी, और पहाड़ों की नेवों में भी आग लगा देगी॥

Kyonki mere kop ki aag bhadak uthi hai, jo pataal ki tah tak jalti jayegi, aur prithvi apni upaj samet bhasm ho jayegi, aur pahadon ki nevon mein bhi aag laga degi.

23

मैं उन पर विपत्ति पर विपत्ति भेजूंगा; और उन पर मैं अपने सब तीरों को छोडूंगा॥

Main un par vipatti par vipatti bhejoonga; aur un par main apne sab teeron ko chhodoonga.

24

वे भूख से दुबले हो जाएंगे, और अंगारों से और कठिन महारोगों से ग्रसित हो जाएंगे; और मैं उन पर पशुओं के दांत लगवाऊंगा, और धूलि पर रेंगने वाले सर्पों का विष छोड़ दूंगा॥

Ve bhookh se duble ho jayenge, aur angaron se aur kathin maharogon se grasit ho jayenge; aur main un par pashuon ke daant lagvaoonga, aur dhooli par rengne vale sarpon ka vish chhod doonga.

25

बाहर वे तलवार से मरेंगे, और कोठरियों के भीतर भय से; क्या कुंवारे और कुंवारियां, क्या दूध पीता हुआ बच्चा क्या पक्के बाल वाले, सब इसी प्रकार बरबाद होंगे।

Bahar ve talvaar se marenge, aur kothriyon ke bheetar bhay se; kya kunvare aur kunvariyan, kya doodh peeta huaa bachcha kya pakke baal vale, sab isi prakaar barbaad honge.

26

मैं ने कहा था, कि मैं उन को दूर दूर से तित्तर-बित्तर करूंगा, और मनुष्यों में से उनका स्मरण तक मिटा डालूंगा;

Main ne kaha tha, ki main un ko door door se tittar-bittar karoonga, aur manushyon mein se unka smaran tak mita daloonga;

27

परन्तु मुझे शत्रुओं की छेड़ छाड़ का डर था, ऐसा न हो कि द्रोही इस को उलटा समझकर यह कहने लगें, कि हम अपने ही बाहुबल से प्रबल हुए, और यह सब यहोवा से नहीं हुआ॥

Parantu mujhe shatruon ki chhed chhaad ka dar tha, aisa na ho ki drohi is ko ulta samajhkar yah kahne lagein, ki ham apne hi bahubal se prabal hue, aur yah sab Yahowa se nahi huaa.

28

यह जाति युक्तहीन तो है, और इन में समझ है ही नहीं॥

Yah jati yuktaheen to hai, aur in mein samajh hai hi nahi.

29

भला होता कि ये बुद्धिमान होते, कि इस को समझ लेते, और अपने अन्त का विचार करते!

Bhala hota ki ye buddhimaan hote, ki is ko samajh lete, aur apne ant ka vichaar karte!

30

यदि उनकी चट्टान ही उन को न बेच देती, और यहोवा उन को औरों के हाथ में न कर देता; तो यह क्योंकर हो सकता कि उनके हजार का पीछा एक मनुष्य करता, और उनके दस हजार को दो मनुष्य भगा देते?

Yadi unki chattaan hi un ko na bech deti, aur Yahowa un ko auron ke haath mein na kar deta; to yah kyonkar ho sakta ki unke hajaar ka peechha ek manushya karta, aur unke das hajaar ko do manushya bhaga dete?

31

क्योंकि जैसी हमारी चट्टान है वैसी उनकी चट्टान नहीं है, चाहे हमारे शत्रु ही क्यों न न्यायी हों॥

Kyonki jaisi hamari chattaan hai vaisi unki chattaan nahi hai, chahe hamare shatru hi kyon na nyayi hon.

32

क्योंकि उनकी दाखलता सदोम की दाखलता से निकली, और अमोरा की दाख की बारियों में की है; उनकी दाख विषभरी और उनके गुच्छे कड़वे हैं;

Kyonki unki dakhalta sadom ki dakhalta se nikli, aur amora ki daakh ki bariyon mein ki hai; unki daakh vishabhri aur unke guchchhe kadve hain;

33

उनका दाखमधु सांपों का सा विष और काले नागों का सा हलाहल है॥

Unka dakhamdhu sampon ka sa vish aur kale nagon ka sa halahal hai.

34

क्या यह बात मेरे मन में संचित, और मेरे भण्डारों में मुहरबन्द नहीं है?

Kya yah baat mere man mein sanchit, aur mere bhandaron mein muharband nahi hai?

35

पलटा लेना और बदला देना मेरा ही काम है, यह उनके पांव फिसलने के समय प्रगट होगा; क्योंकि उनकी विपत्ति का दिन निकट है, और जो दुख उन पर पड़ने वाले है वे शीघ्र आ रहे हैं॥

Palta lena aur badla dena mera hi kaam hai, yah unke paanv phisalne ke samay pragat hoga; kyonki unki vipatti ka din nikat hai, aur jo dukh un par padne vale hai ve sheeghra aa rahe hain.

36

क्योंकि जब यहोवा देखेगा कि मेरी प्रजा की शक्ति जाती रही, और क्या बन्धुआ और क्या स्वाधीन, उन में कोई बचा नहीं रहा, तब यहोवा अपने लोगों का न्याय करेगा, और अपने दासों के विषय में तरस खाएगा॥

Kyonki jab Yahowa dekhega ki meri praja ki shakti jati rahi, aur kya bandhuaa aur kya swadheen, un mein koi bacha nahi raha, tab Yahowa apne logon ka nyaay karega, aur apne dason ke vishay mein taras khayega.

37

तब वह कहेगा, उनके देवता कहां हैं, अर्थात वह चट्टान कहां जिस पर उनका भरोसा था,

Tab vah kahega, unke devta kahan hain, arthaat vah chattaan kahan jis par unka bharosa tha,

38

जो उनके बलिदानों की चर्बी खाते, और उनके तपावनों का दाखमधु पीते थे? वे ही उठ कर तुम्हारी सहायता करें, और तुम्हारी आड़ हों!

Jo unke balidanon ki charbi khate, aur unke tapavnon ka dakhamdhu peete the? Ve hi uth kar tumhari sahayta karein, aur tumhari aad hon!

39

इसलिये अब तुम देख लो कि मैं ही वह हूं, और मेरे संग कोई देवता नहीं; मैं ही मार डालता, और मैं जिलाता भी हूं; मैं ही घायल करता, और मैं ही चंगा भी करता हूं; और मेरे हाथ से कोई नहीं छुड़ा सकता॥

Isliye ab tum dekh lo ki main hi vah hoon, aur mere sang koi devta nahi; main hi maar dalta, aur main jilata bhi hoon; main hi ghayal karta, aur main hi changa bhi karta hoon; aur mere haath se koi nahi chhuda sakta.

40

क्योंकि मैं अपना हाथ स्वर्ग की ओर उठा कर कहता हूं, क्योंकि मैं अनन्त काल के लिये जीवित हूं,

Kyonki main apna haath swarg ki or utha kar kahta hoon, kyonki main anant kaal ke liye jeevit hoon,

41

सो यदि मैं बिजली की तलवार पर सान धरकर झलकाऊं, और न्याय को अपने हाथ में ले लूं, तो अपने द्रोहियों से बदला लूंगा, और अपने बैरियों को बदला दूंगा॥

So yadi main bijli ki talvaar par saan dharkar jhalkaun, aur nyaay ko apne haath mein le lun, to apne drohiyon se badla loonga, aur apne bairiyon ko badla doonga.

42

मैं अपने तीरों को लोहू से मतवाला करूंगा, और मेरी तलवार मांस खाएगी वह लोहू, मारे हुओं और बन्धुओं का, और वह मांस, शत्रुओं के प्रधानों के शीश का होगा॥

Main apne teeron ko lohu se matvala karoonga, aur meri talvaar maans khayegi vah lohu, mare huon aur bandhuon ka, aur vah maans, shatruon ke pradhanon ke sheesh ka hoga.

43

हे अन्यजातियों, उसकी प्रजा के साथ आनन्द मनाओ; क्योंकि वह अपने दासों के लोहू का पलटा लेगा, और अपने द्रोहियों को बदला देगा, और अपने देश और अपनी प्रजा के पाप के लिये प्रायश्चित देगा।

He anyajatiyon, uski praja ke saath aanand manao; kyonki vah apne dason ke lohu ka palta lega, aur apne drohiyon ko badla dega, aur apne desh aur apni praja ke paap ke liye prayashchit dega.

44

इस गीत के सब वचन मूसा ने नून के पुत्र होशे समेत आकर लोगों को सुनाए।

Is geet ke sab vachan Musa ne noon ke putra hoshe samet aakar logon ko sunaye.

45

जब मूसा ये सब वचन सब इस्राएलियों से कह चुका,

Jab Musa ye sab vachan sab Israeliyon se kah chuka,

46

तब उसने उन से कहा कि जितनी बातें मैं आज तुम से चिताकर कहता हूं उन सब पर अपना अपना मन लगाओ, और उनके अर्थात इस व्यवस्था की सारी बातों के मानने में चौकसी करने की आज्ञा अपने लड़केबालों को दो।

Tab usne un se kaha ki jitni batein main aaj tum se chitakar kahta hoon un sab par apna apna man lagao, aur unke arthaat is vyavastha ki sari baton ke manne mein chauksi karne ki aagya apne ladkebalon ko do.

47

क्योंकि यह तुम्हारे लिये व्यर्थ काम नहीं, परन्तु तुम्हारा जीवन ही है, और ऐसा करने से उस देश में तुम्हारी आयु के दिन बहुत होंगे, जिसके अधिकारी होने को तुम यरदन पार जा रहे हो॥

Kyonki yah tumhare liye vyarth kaam nahi, parantu tumhara jeevan hi hai, aur aisa karne se us desh mein tumhari aayu ke din bahut honge, jiske adhikari hone ko tum yardan paar ja rahe ho.

48

फिर उसी दिन यहोवा ने मूसा से कहा,

Phir usi din Yahowa ne Musa se kaha,

49

उस अबारीम पहाड़ की नबो नाम चोटी पर, जो मोआब देश में यरीहो के साम्हने है, चढ़कर कनान देश जिसे मैं इस्राएलियों की निज भूमि कर देता हूं उसको देख ले।

Us abareem pahaad ki nabo naam choti par, jo moaab desh mein yareeho ke samhane hai, chadhkar kanaan desh jise main Israeliyon ki nij bhoomi kar deta hoon usko dekh le.

50

तब जैसा तेरा भाई हारून होर पहाड़ पर मरकर अपने लोगों में मिल गया, वैसा ही तू इस पहाड़ पर चढ़कर मर जाएगा, और अपने लोगों में मिल जाएगा।

Tab jaisa tera bhai haroon hor pahaad par markar apne logon mein mil gaya, vaisa hi tu is pahaad par chadhkar mar jayega, aur apne logon mein mil jayega.

51

इसका कारण यह है, कि सीन जंगल में, कादेश के मरीबा नाम सोते पर, तुम दोनों ने मेरा अपराध किया, क्योंकि तुम ने इस्राएलियों के मध्य में मुझे पवित्र न ठहराया।

Iska karan yah hai, ki seen jangal mein, kadesh ke mareeba naam sote par, tum donon ne mera apraadh kiya, kyonki tum ne Israeliyon ke madhya mein mujhe pavitra na thahraya.

52

इसलिये वह देश जो मैं इस्राएलियों को देता हूं, तू अपने साम्हने देख लेगा, परन्तु वहां जाने न पाएगा॥

Isliye vah desh jo main Israeliyon ko deta hoon, tu apne samhane dekh lega, parantu vahan jane na payega.