Deuteronomy 31 · 30 verses

व्यवस्थाविवरण 31 Deuteronomy 31 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 31.

1

और मूसा ने जा कर यह बातें सब इस्राएलियों को सुनाईं।

Aur Musa ne ja kar yah batein sab Israeliyon ko sunai.

2

और उसने उन से यह भी कहा, कि आज मैं एक सौ बीस वर्ष का हूं; और अब मैं चल फिर नहीं सकता; क्योंकि यहोवा ने मुझ से कहा है, कि तू इस यरदन पार नहीं जाने पाएगा।

Aur usne un se yah bhi kaha, ki aaj main ek sau bees varsh ka hoon; aur ab main chal phir nahi sakta; kyonki Yahowa ne mujh se kaha hai, ki tu is yardan paar nahi jane payega.

3

तेरे आगे पार जाने वाला तेरा परमेश्वर यहोवा ही है; वह उन जातियों को तेरे साम्हने से नष्ट करेगा, और तू उनके देश का अधिकारी होगा; और यहोवा के वचन के अनुसार यहोशू तेरे आगे आगे पार जाएगा।

Tere aage paar jane vala tera Parmeshwar Yahowa hi hai; vah un jatiyon ko tere samhane se nasht karega, aur tu unke desh ka adhikari hoga; aur Yahowa ke vachan ke anusaar yahoshu tere aage aage paar jayega.

4

और जिस प्रकार यहोवा ने एमोरियों के राजा सीहोन और ओग और उनके देश को नष्ट किया है, उसी प्रकार वह उन सब जातियों से भी करेगा।

Aur jis prakaar Yahowa ne emoriyon ke raja seehon aur og aur unke desh ko nasht kiya hai, usi prakaar vah un sab jatiyon se bhi karega.

5

और जब यहोवा उन को तुम से हरवा देगा, तब तुम उन सारी आज्ञाओं के अनुसार उन से करना जो मैं ने तुम को सुनाईं हैं।

Aur jab Yahowa un ko tum se harva dega, tab tum un sari aagyaon ke anusaar un se karna jo main ne tum ko sunai hain.

6

तू हियाव बान्ध और दृढ़ हो, उन से न डर और न भयभीत हो; क्योंकि तेरे संग चलने वाला तेरा परमेश्वर यहोवा है; वह तुझ को धोखा न देगा और न छोड़ेगा।

Tu hiyaav baandh aur dridh ho, un se na dar aur na bhaybheet ho; kyonki tere sang chalne vala tera Parmeshwar Yahowa hai; vah tujh ko dhokha na dega aur na chhodega.

7

तब मूसा ने यहोशू को बुलाकर सब इस्राएलियों के सम्मुख कहा, कि तू हियाव बान्ध और दृढ़ हो जा; क्योंकि इन लोगों के संग उस देश में जिसे यहोवा ने इनके पूर्वजों से शपथ खाकर देने को कहा था तू जाएगा; और तू इन को उसका अधिकारी कर देगा।

Tab Musa ne yahoshu ko bulakar sab Israeliyon ke sammukh kaha, ki tu hiyaav baandh aur dridh ho ja; kyonki in logon ke sang us desh mein jise Yahowa ne inke poorvajon se shapath khakar dene ko kaha tha tu jayega; aur tu in ko uska adhikari kar dega.

8

और तेरे आगे आगे चलने वाला यहोवा है; वह तेरे संग रहेगा, और न तो तुझे धोखा देगा और न छोड़ देगा; इसलिये मत डर और तेरा मन कच्चा न हो॥

Aur tere aage aage chalne vala Yahowa hai; vah tere sang rahega, aur na to tujhe dhokha dega aur na chhod dega; isliye mat dar aur tera man kachcha na ho.

9

फिर मूसा ने यही व्यवस्था लिखकर लेवीय याजकों को, जो यहोवा की वाचा के सन्दूक उठाने वाले थे, और इस्राएल के सब वृद्ध लोगों को सौंप दी।

Phir Musa ne yahi vyavastha likhkar leveeya yajkon ko, jo Yahowa ki vacha ke sandook uthane vale the, aur Israel ke sab vriddh logon ko saump di.

10

तब मूसा ने उन को आज्ञा दी, कि सात सात वर्ष के बीतने पर, अर्थात उगाही न होने के वर्ष के झोपड़ी वाले पर्व्व में,

Tab Musa ne un ko aagya di, ki saat saat varsh ke beetne par, arthaat ugahi na hone ke varsh ke jhopdi vale parvva mein,

11

जब सब इस्राएली तेरे परमेश्वर यहोवा के उस स्थान पर जिसे वह चुन लेगा आकर इकट्ठे हों, तब यह व्यवस्था सब इस्राएलियों को पढ़कर सुनाना।

Jab sab Israeli tere Parmeshwar Yahowa ke us sthaan par jise vah chun lega aakar ikatthe hon, tab yah vyavastha sab Israeliyon ko padhkar sunana.

12

क्या पुरूष, क्या स्त्री, क्या बालक, क्या तुम्हारे फाटकों के भीतर के परदेशी, सब लोगों को इकट्ठा करना कि वे सुनकर सीखें, और तुम्हारे परमेश्वर यहोवा का भय मानकर, इस व्यवस्था के सारे वचनों के पालन करने में चौकसी करें,

Kya puroosh, kya stri, kya balak, kya tumhare phatkon ke bheetar ke pardeshi, sab logon ko ikattha karna ki ve sunkar seekhein, aur tumhare Parmeshwar Yahowa ka bhay mankar, is vyavastha ke sare vachnon ke palan karne mein chauksi karein,

13

और उनके लड़केबाले जिन्होंने ये बातें नहीं सुनीं वे भी सुनकर सींखें, कि तुम्हारे परमेश्वर यहोवा का भय उस समय तक मानते रहें, जब तक तुम उस देश में जीवित रहो जिसके अधिकारी होने को तुम यरदन पार जा रहे हो॥

Aur unke ladkebale jinhonne ye batein nahi suni ve bhi sunkar seenkhein, ki tumhare Parmeshwar Yahowa ka bhay us samay tak mante rahein, jab tak tum us desh mein jeevit raho jiske adhikari hone ko tum yardan paar ja rahe ho.

14

फिर यहोवा ने मूसा से कहा, तेरे मरने का दिन निकट है; तू यहोशू को बुलवा, और तुम दोनों मिलापवाले तम्बू में आकर उपस्थित हो कि मैं उसको आज्ञा दूं। तब मूसा और यहोशू जा कर मिलापवाले तम्बू में उपस्थित हुए।

Phir Yahowa ne Musa se kaha, tere marne ka din nikat hai; tu yahoshu ko bulva, aur tum donon milapvale tambu mein aakar upasthit ho ki main usko aagya dun. Tab Musa aur yahoshu ja kar milapvale tambu mein upasthit hue.

15

तब यहोवा ने उस तम्बू में बादल के खम्भे में हो कर दर्शन दिया; और बादल का खम्भा तम्बू के द्वार पर ठहर गया।

Tab Yahowa ne us tambu mein badal ke khambhe mein ho kar darshan diya; aur badal ka khambha tambu ke dwaar par thahar gaya.

16

तब यहोवा ने मूसा से कहा, तू तो अपने पुरखाओं के संग सो जाने पर है; और ये लोग उठ कर उस देश के पराये देवताओं के पीछे जिनके मध्य वे जा कर रहेंगे व्यभिचारी हो जाएंगे, और मुझे त्यागकर उस वाचा को जो मैं ने उन से बान्धी है तोडेंगे।

Tab Yahowa ne Musa se kaha, tu to apne purkhaon ke sang so jane par hai; aur ye log uth kar us desh ke paraye devtaon ke peechhe jinke madhya ve ja kar rahenge vyabhichari ho jayenge, aur mujhe tyagkar us vacha ko jo main ne un se bandhi hai todenge.

17

उस समय मेरा कोप इन पर भड़केगा, और मैं भी इन्हें त्यागकर इन से अपना मुंह छिपा लूंगा, और ये आहार हो जाएंगे; और बहुत सी विपत्तियां और क्लेश इन पर आ पड़ेंगे, यहां तक कि ये उस समय कहेंगे, क्या ये विपत्तियां हम पर इस कारण तो नहीं आ पड़ीं, क्योंकि हमारा परमेश्वर हमारे मध्य में नहीं रहा?

Us samay mera kop in par bhadkega, aur main bhi inhein tyagkar in se apna munh chhipa loonga, aur ye aahaar ho jayenge; aur bahut si vipattiyan aur klesh in par aa padenge, yahan tak ki ye us samay kahenge, kya ye vipattiyan ham par is karan to nahi aa padi, kyonki hamara Parmeshwar hamare madhya mein nahi raha?

18

उस समय मैं उन सब बुराइयों के कारण जो ये पराये देवताओं की ओर फिर कर करेंगे नि:सन्देह उन से अपना मुंह छिपा लूंगा।

Us samay main un sab buraiyon ke karan jo ye paraye devtaon ki or phir kar karenge nisandeh un se apna munh chhipa loonga.

19

सो अब तुम यह गीत लिख लो, और तू उसे इस्राएलियों को सिखाकर कंठ करा देना, इसलिये कि यह गीत उनके विरुद्ध मेरा साक्षी ठहरे।

So ab tum yah geet likh lo, aur tu use Israeliyon ko sikhakar kanth kara dena, isliye ki yah geet unke viruddh mera sakshi thahre.

20

जब मैं इन को उस देश में पहुंचाऊंगा जिसे देने की मैं ने इनके पूर्वजों से शपथ खाईं थी, और जिस में दूध और मधु की धाराएं बहती हैं, और खाते-खाते इनका पेट भर जाए, और ये हृष्ट-पुष्ट हो जाएंगे; तब ये पराये देवताओं की ओर फिरकर उनकी उपासना करने लगेंगे, और मेरा तिरस्कार करके मेरी वाचा को तोड़ देंगे।

Jab main in ko us desh mein pahunchaoonga jise dene ki main ne inke poorvajon se shapath khai thi, aur jis mein doodh aur madhu ki dharayen bahti hain, aur khate-khate inka pet bhar jaye, aur ye hrisht-pusht ho jayenge; tab ye paraye devtaon ki or phirkar unki upasna karne lagenge, aur mera tiraskaar karke meri vacha ko tod denge.

21

वरन अभी भी जब मैं इन्हें इस देश में जिसके विषय मैं ने शपथ खाई है पहुंचा नहीं चुका, मुझे मालूम है, कि ये क्या क्या कल्पना कर रहे हैं; इसलिये जब बहुत सी विपत्तियां और क्लेश इन पर आ पड़ेंगे, तब यह गीत इन पर साक्षी देगा, क्योंकि इनकी सन्तान इस को कभी भी नहीं भूलेगी।

Varan abhi bhi jab main inhein is desh mein jiske vishay main ne shapath khai hai pahuncha nahi chuka, mujhe maloom hai, ki ye kya kya kalpana kar rahe hain; isliye jab bahut si vipattiyan aur klesh in par aa padenge, tab yah geet in par sakshi dega, kyonki inki santaan is ko kabhi bhi nahi bhoolegi.

22

तब मूसा ने उसी दिन यह गीत लिख कर इस्राएलियों को सिखाया।

Tab Musa ne usi din yah geet likh kar Israeliyon ko sikhaya.

23

और उसने नून के पुत्र यहोशू को यह आज्ञा दी, कि हियाव बान्ध और दृढ़ हो; क्योंकि इस्राएलियों को उस देश में जिसे उन्हें देने को मैं ने उन से शपथ खाई है तू पहुंचाएगा; और मैं आप तेरे संग रहूंगा॥

Aur usne noon ke putra yahoshu ko yah aagya di, ki hiyaav baandh aur dridh ho; kyonki Israeliyon ko us desh mein jise unhein dene ko main ne un se shapath khai hai tu pahunchayega; aur main aap tere sang rahoonga.

24

जब मूसा इस व्यवस्था के वचन को आदि से अन्त तक पुस्तक में लिख चुका,

Jab Musa is vyavastha ke vachan ko aadi se ant tak pustak mein likh chuka,

25

तब उसने यहोवा के सन्दूक उठाने वाले लेवियों को आज्ञा दी,

Tab usne Yahowa ke sandook uthane vale leviyon ko aagya di,

26

कि व्यवस्था की इस पुस्तक को ले कर अपने परमेश्वर यहोवा की वाचा के सन्दूक के पास रख दो, कि यह वहां तुझ पर साक्षी देती रहे।

Ki vyavastha ki is pustak ko le kar apne Parmeshwar Yahowa ki vacha ke sandook ke paas rakh do, ki yah vahan tujh par sakshi deti rahe.

27

क्योंकि तेरा बलवा और हठ मुझे मालूम है; देखो, मेरे जीवित और संग रहते हुए भी तुम यहोवा से बलवा करते आए हो; फिर मेरे मरने के बाद भी क्यों न करोगे!

Kyonki tera balva aur hath mujhe maloom hai; dekho, mere jeevit aur sang rahte hue bhi tum Yahowa se balva karte aaye ho; phir mere marne ke baad bhi kyon na karoge!

28

तुम अपने गोत्रों के सब वृद्ध लोगों को और अपने सरदारों को मेरे पास इकट्ठा करो, कि मैं उन को थे वचन सुनाकर उनके विरुद्ध आकाश और पृथ्वी दोनों को साक्षी बनाऊं।

Tum apne gotron ke sab vriddh logon ko aur apne sardaron ko mere paas ikattha karo, ki main un ko the vachan sunakar unke viruddh aakaash aur prithvi donon ko sakshi banaun.

29

क्योंकि मुझे मालूम है कि मेरी मृत्यु के बाद तुम बिलकुल बिगड़ जाओगे, और जिस मार्ग में चलने की आज्ञा मैं ने तुम को सुनाई है उसको भी तुम छोड़ दोगे; और अन्त के दिनों में जब तुम वह काम करके जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है, अपनी बनाई हुई वस्तुओं की पूजा करके उसको रिस दिलाओगे, तब तुम पर विपत्ति आ पड़ेगी॥

Kyonki mujhe maloom hai ki meri mrityu ke baad tum bilkul bigad jaoge, aur jis maarg mein chalne ki aagya main ne tum ko sunai hai usko bhi tum chhod doge; aur ant ke dinon mein jab tum vah kaam karke jo Yahowa ki drishti mein bura hai, apni banai hui vastuon ki pooja karke usko ris dilaoge, tab tum par vipatti aa padegi.

30

तब मूसा ने इस्राएल की सारी सभा को इस गीत के वचन आदि से अन्त तक कह सुनाए:

Tab Musa ne Israel ki sari sabha ko is geet ke vachan aadi se ant tak kah sunaye: