Deuteronomy 29 · 29 verses

व्यवस्थाविवरण 29 Deuteronomy 29 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 29.

1

इस्त्राएलियों से जिस वाचा के बान्धने की आज्ञा यहोवा ने मूसा को मोआब के देश में दी उसके ये ही वचन हैं, और जो वाचा उसने उन से होरेब पहाड़ पर बान्धी थी यह उस से अलग है।

Istrayeliyon se jis vacha ke bandhane ki aagya Yahowa ne Musa ko moaab ke desh mein di uske ye hi vachan hain, aur jo vacha usne un se horeb pahaad par bandhi thi yah us se alag hai.

2

फिर मूसा ने सब इस्त्राएलियों को बुलाकर कहा, जो कुछ यहोवा ने मिस्र देश में तुम्हारे देखते फिरौन और उसके सब कर्मचारियों, और उसके सारे देश से किया वह तुम ने देखा है;

Phir Musa ne sab istrayeliyon ko bulakar kaha, jo kuchh Yahowa ne Misr desh mein tumhare dekhte Firaun aur uske sab karmachariyon, aur uske sare desh se kiya vah tum ne dekha hai;

3

वे बड़े बड़े परीक्षा के काम, और चिन्ह, और बड़े बड़े चमत्कार तेरी आंखों के साम्हने हुए;

Ve bade bade pareeksha ke kaam, aur chinh, aur bade bade chamatkaar teri aankhon ke samhane hue;

4

परन्तु यहोवा ने आज तक तुम को न तो समझने की बुद्धि, और न देखने की आंखें, और न सुनने के कान दिए हैं।

Parantu Yahowa ne aaj tak tum ko na to samajhne ki buddhi, aur na dekhne ki aankhein, aur na sunne ke kaan diye hain.

5

मैं तो तुम को जंगल में चालीस वर्ष लिए फिरा; और न तुम्हारे तन पर वस्त्र पुराने हुए, और न तेरी जूतियां तेरे पैरों में पुरानी हुई;

Main to tum ko jangal mein chalees varsh liye phira; aur na tumhare tan par vastra purane hue, aur na teri jootiyan tere pairon mein purani hui;

6

रोटी जो तुम नहीं खाने पाए, और दाखमधु और मदिरा जो तुम नहीं पीने पाए, वह इसलिये हुआ कि तुम जानो कि मैं यहोवा तुम्हारा परमेश्वर हूं।

Roti jo tum nahi khane paye, aur dakhamdhu aur madira jo tum nahi peene paye, vah isliye huaa ki tum jano ki main Yahowa tumhara Parmeshwar hoon.

7

और जब तुम इस स्थान पर आए, तब हेशबोन का राजा सीहोन और बाशान का राजा ओग, ये दोनों युद्ध के लिये हमारा साम्हना करने को निकल आए, और हम ने उन को जीत कर उनका देश ले लिया;

Aur jab tum is sthaan par aaye, tab heshbon ka raja seehon aur bashaan ka raja og, ye donon yuddh ke liye hamara samhana karne ko nikal aaye, aur ham ne un ko jeet kar unka desh le liya;

8

और रूबेनियों, गादियों, और मनश्शे के आधे गोत्र के लोगों को निज भाग करके दे दिया।

Aur roobeniyon, gadiyon, aur manashshe ke aadhe gotra ke logon ko nij bhaag karke de diya.

9

इसलिये इस वाचा की बातों का पालन करो, ताकि जो कुछ करो वह सफल हो॥

Isliye is vacha ki baton ka palan karo, taki jo kuchh karo vah saphal ho.

10

आज क्या वृद्ध लोग, क्या सरदार, तुम्हारे मुख्य मुख्य पुरूष, क्या गोत्र गोत्र के तुम सब इस्राएली पुरूष,

Aaj kya vriddh log, kya sardaar, tumhare mukhya mukhya puroosh, kya gotra gotra ke tum sab Israeli puroosh,

11

क्या तुम्हारे बालबच्चे और स्त्रियां, क्या लकड़हारे, क्या पनभरे, क्या तेरी छावनी में रहने वाले परदेशी, तुम सब के सब अपने परमेश्वर यहोवा के साम्हने इसलिये खड़े हुए हो,

Kya tumhare balbachche aur striyan, kya lakadhare, kya panabhre, kya teri chhavni mein rahne vale pardeshi, tum sab ke sab apne Parmeshwar Yahowa ke samhane isliye khade hue ho,

12

कि जो वाचा तेरा परमेश्वर यहोवा आज तुझ से बान्धता है, और जो शपथ वह आज तुझ को खिलाता है, उस में तू साझी हो जाए;

Ki jo vacha tera Parmeshwar Yahowa aaj tujh se bandhata hai, aur jo shapath vah aaj tujh ko khilata hai, us mein tu sajhi ho jaye;

13

इसलिये कि उस वचन के अनुसार जो उसने तुझ को दिया, और उस शपथ के अनुसार जो उसने इब्राहीम, इसहाक, और याकूब, तेरे पूर्वजों से खाई थी, वह आज तुझ को अपनी प्रजा ठहराए, और आप तेरा परमेश्वर ठहरे।

Isliye ki us vachan ke anusaar jo usne tujh ko diya, aur us shapath ke anusaar jo usne Ibrahim, Ishaq, aur Yakub, tere poorvajon se khai thi, vah aaj tujh ko apni praja thahraye, aur aap tera Parmeshwar thahre.

14

फिर मैं इस वाचा और इस शपथ में केवल तुम को नहीं,

Phir main is vacha aur is shapath mein keval tum ko nahi,

15

परन्तु उन को भी, जो आज हमारे संग यहां हमारे परमेश्वर यहोवा के साम्हने खड़े हैं, और जो आज यहां हमारे संग नहीं हैं, साझी करता हूं।

Parantu un ko bhi, jo aaj hamare sang yahan hamare Parmeshwar Yahowa ke samhane khade hain, aur jo aaj yahan hamare sang nahi hain, sajhi karta hoon.

16

तुम जानते हो कि जब हम मिस्र देश में रहते थे, और जब मार्ग में की जातियों के बीचोंबीच हो कर आ रहे थे,

Tum jante ho ki jab ham Misr desh mein rahte the, aur jab maarg mein ki jatiyon ke beechombeech ho kar aa rahe the,

17

तब तुम ने उनकी कैसी कैसी घिनौनी वस्तुएं, और काठ, पत्थर, चांदी, सोने की कैसी मूरतें देखीं।

Tab tum ne unki kaisi kaisi ghinauni vastuein, aur kaath, patthar, chandi, sone ki kaisi moortein dekhi.

18

इसलिये ऐसा न हो, कि तुम लोगों में ऐसा कोई पुरूष, वा स्त्री, वा कुल, वा गोत्र के लोग हों जिनका मन आज हमारे परमेश्वर यहोवा से फिर जाए, और वे जा कर उन जातियों के देवताओं की उपासना करें; फिर ऐसा न हो कि तुम्हारे मध्य ऐसी कोई जड़ हो, जिस से विष वा कडुआ बीज उगा हो,

Isliye aisa na ho, ki tum logon mein aisa koi puroosh, va stri, va kul, va gotra ke log hon jinka man aaj hamare Parmeshwar Yahowa se phir jaye, aur ve ja kar un jatiyon ke devtaon ki upasna karein; phir aisa na ho ki tumhare madhya aisi koi jad ho, jis se vish va kaduaa beej uga ho,

19

और ऐसा मनुष्य इस शाप के वचन सुनकर अपने को आशीर्वाद के योग्य माने, और यह सोचे कि चाहे मैं अपने मन के हठ पर चलूं, और तृप्त हो कर प्यास को मिटा डालूं, तौभी मेरा कुशल होगा।

Aur aisa manushya is shaap ke vachan sunkar apne ko aasheervaad ke yogya mane, aur yah soche ki chahe main apne man ke hath par chalun, aur tript ho kar pyaas ko mita dalun, taubhi mera kushal hoga.

20

यहोवा उसका पाप क्षमा नहीं करेगा, वरन यहोवा के कोप और जलन का धुंआ उसको छा लेगा, और जितने शाप इस पुस्तक में लिखें हैं वे सब उस पर आ पड़ेंगे, और यहोवा उसका नाम धरती पर से मिटा देगा।

Yahowa uska paap kshama nahi karega, varan Yahowa ke kop aur jalan ka dhunaa usko chha lega, aur jitne shaap is pustak mein likhein hain ve sab us par aa padenge, aur Yahowa uska naam dharti par se mita dega.

21

और व्यवस्था की इस पुस्तक में जिस वाचा की चर्चा है उसके सब शापों के अनुसार यहोवा उसको इस्राएल के सब गोत्रों में से हानि के लिये अलग करेगा।

Aur vyavastha ki is pustak mein jis vacha ki charcha hai uske sab shapon ke anusaar Yahowa usko Israel ke sab gotron mein se hani ke liye alag karega.

22

और आने वाली पीढ़ियों में तुम्हारे वंश के लोग जो तुम्हारे बाद उत्पन्न होंगे, और परदेशी मनुष्य भी जो दूर देश से आएंगे, वे उस देश की विपत्तियों और उस में यहोवा के फैलाए हुए रोग देखकर,

Aur aane vali peedhiyon mein tumhare vansh ke log jo tumhare baad utpann honge, aur pardeshi manushya bhi jo door desh se aayenge, ve us desh ki vipattiyon aur us mein Yahowa ke phailaye hue rog dekhkar,

23

और यह भी देखकर कि इसकी सब भूमि गन्धक और लोन से भर गई है, और यहां तक जल गई है कि इस में न कुछ बोया जाता, और न कुछ जम सकता, और न घास उगती है, वरन सदोम और अमोरा, अदमा और सबोयीम के समान हो गया है जिन्हें यहोवा ने अपने कोप और जलजलाहट में उलट दिया था;

Aur yah bhi dekhkar ki iski sab bhoomi gandhak aur lon se bhar gai hai, aur yahan tak jal gai hai ki is mein na kuchh boya jata, aur na kuchh jam sakta, aur na ghaas ugti hai, varan sadom aur amora, adma aur saboyeem ke samaan ho gaya hai jinhein Yahowa ne apne kop aur jalajlahat mein ulat diya tha;

24

और सब जातियों के लोग पूछेंगे, कि यहोवा ने इस देश से ऐसा क्यों किया? और इस बड़े कोप के भड़कने का क्या कारण है?

Aur sab jatiyon ke log poochhenge, ki Yahowa ne is desh se aisa kyon kiya? Aur is bade kop ke bhadakne ka kya karan hai?

25

तब लोग यह उत्तर देंगे, कि उनके पूर्वजों के परमेश्वर यहोवा ने जो वाचा उनके साथ मिस्र देश से निकालने के समय बान्धी थी उसको उन्होंने तोड़ा है।

Tab log yah uttar denge, ki unke poorvajon ke Parmeshwar Yahowa ne jo vacha unke saath Misr desh se nikalne ke samay bandhi thi usko unhonne toda hai.

26

और पराए देवताओं की उपासना की है जिन्हें वे पहिले नहीं जानते थे, और यहोवा ने उन को नहीं दिया था;

Aur paraye devtaon ki upasna ki hai jinhein ve pahile nahi jante the, aur Yahowa ne un ko nahi diya tha;

27

इसलिये यहोवा का कोप इस देश पर भड़क उठा है, कि पुस्तक मे लिखे हुए सब शाप इस पर आ पड़ें;

Isliye Yahowa ka kop is desh par bhadak utha hai, ki pustak me likhe hue sab shaap is par aa padein;

28

और यहोवा ने कोप, और जलजलाहट, और बड़ा ही क्रोध करके उन्हें उनके देश में से उखाड़ कर दूसरे देश में फेंक दिया, जैसा कि आज प्रगट है॥

Aur Yahowa ne kop, aur jalajlahat, aur bada hi krodh karke unhein unke desh mein se ukhaad kar doosre desh mein phenk diya, jaisa ki aaj pragat hai.

29

गुप्त बातें हमारे परमेश्वर यहोवा के वश में हैं; परन्तु जो प्रगट की गई हैं वे सदा के लिये हमारे और हमारे वंश में रहेंगी, इसलिये कि इस व्यवस्था की सब बातें पूरी ही जाएं॥

Gupt batein hamare Parmeshwar Yahowa ke vash mein hain; parantu jo pragat ki gai hain ve sada ke liye hamare aur hamare vansh mein rahengi, isliye ki is vyavastha ki sab batein poori hi jayen.