Deuteronomy 27 · 26 verses

व्यवस्थाविवरण 27 Deuteronomy 27 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 27.

1

फिर इस्राएल के वृद्ध लोगों समेत मूसा ने प्रजा के लोगों को यह आज्ञा दी, कि जितनी आज्ञाएं मैं आज तुम्हें सुनाता हूं उन सब को मानना।

Phir Israel ke vriddh logon samet Musa ne praja ke logon ko yah aagya di, ki jitni aagyayen main aaj tumhein sunata hoon un sab ko manna.

2

और जब तुम यरदन पार होके उस देश में पहुंचो, जो तेरा परमेश्वर यहोवा तुझे देता है, तब बड़े बड़े पत्थर खड़े कर लेना, और उन पर चूना पोतना;

Aur jab tum yardan paar hoke us desh mein pahuncho, jo tera Parmeshwar Yahowa tujhe deta hai, tab bade bade patthar khade kar lena, aur un par choona potna;

3

और पार होने के बाद उन पर इस व्यवस्था के सारे वचनों को लिखना, इसलिये कि जो देश तेरे पूर्वजों का परमेश्वर यहोवा अपने वचन के अनुसार तुझे देता है, और जिस में दूध और मधु की धाराएं बहती हैं, उस देश में तू जाने पाए।

Aur paar hone ke baad un par is vyavastha ke sare vachnon ko likhna, isliye ki jo desh tere poorvajon ka Parmeshwar Yahowa apne vachan ke anusaar tujhe deta hai, aur jis mein doodh aur madhu ki dharayen bahti hain, us desh mein tu jane paye.

4

फिर जिन पत्थरों के विषय में मैं ने आज आज्ञा दी है, उन्हें तुम यरदन के पार हो कर एबाल पहाड़ पर खड़ा करना, और उन पर चूना पोतना।

Phir jin pattharon ke vishay mein main ne aaj aagya di hai, unhein tum yardan ke paar ho kar ebaal pahaad par khada karna, aur un par choona potna.

5

और वहीं अपने परमेश्वर यहोवा के लिये पत्थरों की एक वेदी बनाना, उन पर कोई औजार न चलाना।

Aur vahi apne Parmeshwar Yahowa ke liye pattharon ki ek vedi banana, un par koi aujaar na chalana.

6

अपने परमेश्वर यहोवा की वेदी अनगढ़े पत्थरों की बनाकर उन पर उसके लिये होमबलि चढ़ाना;

Apne Parmeshwar Yahowa ki vedi anagdhe pattharon ki banakar un par uske liye homabli chadhana;

7

और वहीं मेलबलि भी चढ़ाकर भोजन करना, और अपने परमेश्वर यहोवा के सम्मुख आनन्द करना।

Aur vahi melabli bhi chadhakar bhojan karna, aur apne Parmeshwar Yahowa ke sammukh aanand karna.

8

और उन पत्थरों पर इस व्यवस्था के सब वचनों को शुद्ध रीति से लिख देना॥

Aur un pattharon par is vyavastha ke sab vachnon ko shuddh reeti se likh dena.

9

फिर मूसा और लेवीय याजकों ने सब इस्राएलियों से यह भी कहा, कि हे इस्राएल, चुप रहकर सुन; आज के दिन तू अपने परमेश्वर यहोवा की प्रजा हो गया है।

Phir Musa aur leveeya yajkon ne sab Israeliyon se yah bhi kaha, ki he Israel, chup rahkar sun; aaj ke din tu apne Parmeshwar Yahowa ki praja ho gaya hai.

10

इसलिये अपने परमेश्वर यहोवा की बात मानना, और उसकी जो जो आज्ञा और विधि मैं आज तुझे सुनाता हूं उनका पालन करना।

Isliye apne Parmeshwar Yahowa ki baat manna, aur uski jo jo aagya aur vidhi main aaj tujhe sunata hoon unka palan karna.

11

फिर उसी दिन मूसा ने प्रजा के लोगों को यह आज्ञा दी,

Phir usi din Musa ne praja ke logon ko yah aagya di,

12

कि जब तुम यरदन पार हो जाओ तब शिमोन, लेवी, यहूदा, इस्साकार, युसुफ, और बिन्यामीन, ये गिरिज्जीम पहाड़ पर खड़े हो कर आशीर्वाद सुनाएं।

Ki jab tum yardan paar ho jao tab shimon, levi, Yahuda, issakaar, yusuph, aur binyameen, ye girijjeem pahaad par khade ho kar aasheervaad sunayen.

13

और रूबेन, गाद, आशेर, जबूलून, दान, और नप्ताली, ये एबाल पहाड़ पर खड़े हो के शाप सुनाएं।

Aur rooben, gaad, aasher, jabooloon, daan, aur naptali, ye ebaal pahaad par khade ho ke shaap sunayen.

14

तब लेवीय लोग सब इस्राएली पुरूषों से पुकार के कहें,

Tab leveeya log sab Israeli purooshon se pukaar ke kahein,

15

कि शापित हो वह मनुष्य जो कोई मूर्ति कारीगर से खुदवाकर वा ढलवाकर निराले स्थान में स्थापन करे, क्योंकि इस से यहोवा को घृणा लगती है। तब सब लोग कहें, आमीन॥

Ki shapit ho vah manushya jo koi moorti kareegar se khudvakar va dhalvakar nirale sthaan mein sthapan kare, kyonki is se Yahowa ko ghrina lagti hai. Tab sab log kahein, Aamin.

16

शापित हो वह जो अपने पिता वा माता को तुच्छ जाने। तब सब लोग कहें, आमीन॥

Shapit ho vah jo apne pita va mata ko tuchchh jane. Tab sab log kahein, Aamin.

17

शापित हो वह जो किसी दूसरे के सिवाने को हटाए। तब सब लोग कहें, आमीन॥

Shapit ho vah jo kisi doosre ke sivane ko hataye. Tab sab log kahein, Aamin.

18

शापित हो वह जो अन्धे को मार्ग से भटका दे। तब सब लोग कहें, आमीन॥

Shapit ho vah jo andhe ko maarg se bhatka de. Tab sab log kahein, Aamin.

19

शापित हो वह जो परदेशी, अनाथ, वा विधवा का न्याय बिगाड़े। तब सब लोग कहें आमीन॥

Shapit ho vah jo pardeshi, anaath, va vidhva ka nyaay bigade. Tab sab log kahein Aamin.

20

शापित हो वह जो अपनी सौतेली माता से कुकर्म करे, क्योकिं वह अपने पिता का ओढ़ना उघाड़ता है। तब सब लोग कहें, आमीन॥

Shapit ho vah jo apni sauteli mata se kukarm kare, kyoki vah apne pita ka odhna ughadta hai. Tab sab log kahein, Aamin.

21

शापित हो वह जो किसी प्रकार के पशु से कुकर्म करे। तब सब लोग कहें, आमीन॥

Shapit ho vah jo kisi prakaar ke pashu se kukarm kare. Tab sab log kahein, Aamin.

22

शापित हो वह जो अपनी बहिन, चाहे सगी हो चाहे सौतेली, उस से कुकर्म करे। तब सब लोग कहें, आमीन॥

Shapit ho vah jo apni bahin, chahe sagi ho chahe sauteli, us se kukarm kare. Tab sab log kahein, Aamin.

23

शापित हो वह जो अपनी सास के संग कुकर्म करे। तब सब लोग कहें, आमीन॥

Shapit ho vah jo apni saas ke sang kukarm kare. Tab sab log kahein, Aamin.

24

शापित हो वह जो किसी को छिपकर मारे। तब सब लोग कहें, आमीन॥

Shapit ho vah jo kisi ko chhipkar mare. Tab sab log kahein, Aamin.

25

शापित हो वह जो निर्दोष जन के मार डालने के लिये धन ले। तब सब लोग कहें, आमीन॥

Shapit ho vah jo nirdosh jan ke maar dalne ke liye dhan le. Tab sab log kahein, Aamin.

26

शापित हो वह जो इस व्यवस्था के वचनों को मानकर पूरा न करे। तब सब लोग कहें, आमीन॥

Shapit ho vah jo is vyavastha ke vachnon ko mankar poora na kare. Tab sab log kahein, Aamin.