Deuteronomy 26 · 19 verses

व्यवस्थाविवरण 26 Deuteronomy 26 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 26.

1

फिर जब तू उस देश में जिसे तेरा परमेश्वर यहोवा तेरा निज भाग करके तुझे देता है पहुंचे, और उसका अधिकारी हो कर उन में बस जाए,

Phir jab tu us desh mein jise tera Parmeshwar Yahowa tera nij bhaag karke tujhe deta hai pahunche, aur uska adhikari ho kar un mein bas jaye,

2

तब जो देश तेरा परमेश्वर यहोवा तुझे देता है, उसकी भूमि की भांति भांति की जो पहिली उपज तू अपने घर लाएगा, उस में से कुछ टोकरी में ले कर उस स्थान पर जाना, जिसे तेरा परमेश्वर यहोवा अपने नाम का निवास करने को चुन ले।

Tab jo desh tera Parmeshwar Yahowa tujhe deta hai, uski bhoomi ki bhanti bhanti ki jo pahili upaj tu apne ghar layega, us mein se kuchh tokri mein le kar us sthaan par jana, jise tera Parmeshwar Yahowa apne naam ka nivaas karne ko chun le.

3

और उन दिनों के याजक के पास जा कर यह कहना, कि मैं आज तेरे परमेश्वर यहोवा के साम्हने निवेदन करता हूं, कि यहोवा ने हम लोगों को जिस देश के देने की हमारे पूर्वजों से शपथ खाई थी उस में मैं आ गया हूं।

Aur un dinon ke yajak ke paas ja kar yah kahna, ki main aaj tere Parmeshwar Yahowa ke samhane nivedan karta hoon, ki Yahowa ne ham logon ko jis desh ke dene ki hamare poorvajon se shapath khai thi us mein main aa gaya hoon.

4

तब याजक तेरे हाथ से वह टोकरी ले कर तेरे परमेश्वर यहोवा की वेदी के साम्हने धर दे।

Tab yajak tere haath se vah tokri le kar tere Parmeshwar Yahowa ki vedi ke samhane dhar de.

5

तब तू अपने परमेश्वर यहोवा से इस प्रकार कहना, कि मेरा मूलपुरूष एक अरामी मनुष्य था जो मरने पर था; और वह अपने छोटे से परिवार समेत मिस्र को गया, और वहां परदेशी हो कर रहा; और वहाँ उस से एक बड़ी, और सामर्थी, और बहुत मनुष्यों से भरी हुई जाति उत्पन्न हुई।

Tab tu apne Parmeshwar Yahowa se is prakaar kahna, ki mera moolpuroosh ek arami manushya tha jo marne par tha; aur vah apne chhote se parivaar samet Misr ko gaya, aur vahan pardeshi ho kar raha; aur vahan us se ek badi, aur samarthi, aur bahut manushyon se bhari hui jati utpann hui.

6

और मिस्रियों ने हम लोगों से बुरा बर्ताव किया, और हमें दु:ख दिया, और हम से कठिन सेवा लीं।

Aur misriyon ne ham logon se bura bartaav kiya, aur hamein dukh diya, aur ham se kathin seva li.

7

परन्तु हम ने अपने पूर्वजों के परमेश्वर यहोवा की दोहाई दी, और यहोवा ने हमारी सुनकर हमारे दुख-श्रम और अन्धेर पर दृष्टि की;

Parantu ham ne apne poorvajon ke Parmeshwar Yahowa ki dohai di, aur Yahowa ne hamari sunkar hamare dukh-shram aur andher par drishti ki;

8

और यहोवा ने बलवन्त हाथ और बढ़ाई हुई भुजा से अति भयानक चिन्ह और चमत्कार दिखलाकर हम को मिस्र से निकाल लाया;

Aur Yahowa ne balvant haath aur badhai hui bhuja se ati bhayanak chinh aur chamatkaar dikhlakar ham ko Misr se nikaal laya;

9

और हमें इस स्थान पर पहुंचाकर यह देश जिस में दूध और मधु की धाराएं बहती हैं हमें दे दिया है।

Aur hamein is sthaan par pahunchakar yah desh jis mein doodh aur madhu ki dharayen bahti hain hamein de diya hai.

10

अब हे यहोवा, देख, जो भूमि तू ने मुझे दी है उसकी पहली उपज मैं तेरे पास ले आया हूं।

Ab he Yahowa, dekh, jo bhoomi tu ne mujhe di hai uski pahli upaj main tere paas le aaya hoon.

11

तब तू उसे अपने परमेश्वर यहोवा के साम्हने रखना; और यहोवा को दण्डवत करना;

Tab tu use apne Parmeshwar Yahowa ke samhane rakhna; aur Yahowa ko dandavat karna;

12

और जितने अच्छे पदार्थ तेरा परमेश्वर यहोवा तुझे और तेरे घराने को दे, उनके कारण तू लेवीयों और अपने मध्य में रहने वाले परदेशियों सहित आनन्द करना॥

Aur jitne achchhe padaarth tera Parmeshwar Yahowa tujhe aur tere gharane ko de, unke karan tu leveeyon aur apne madhya mein rahne vale pardeshiyon sahit aanand karna.

13

और तू अपने परमेश्वर यहोवा से कहना, कि मैं ने तेरी सब आज्ञाओं के अनुसार पवित्र ठहराई हुई वस्तुओं को अपने घर से निकाला, और लेवीय, परदेशी, अनाथ, और विधवा को दे दिया है; तेरी किसी आज्ञा को मैं ने न तो टाला है, और न भूला है।

Aur tu apne Parmeshwar Yahowa se kahna, ki main ne teri sab aagyaon ke anusaar pavitra thahrai hui vastuon ko apne ghar se nikala, aur leveeya, pardeshi, anaath, aur vidhva ko de diya hai; teri kisi aagya ko main ne na to tala hai, aur na bhoola hai.

14

उन वस्तुओं में से मैं ने शोक के समय नहीं खाया, और न उन में से कोई वस्तु अशुद्धता की दशा में घर से निकाली, और न कुछ शोक करने वालों को दिया; मैं ने अपने परमेश्वर यहोवा की सुन ली, मैं ने तेरी सब आज्ञाओं के अनुसार किया है।

Un vastuon mein se main ne shok ke samay nahi khaya, aur na un mein se koi vastu ashuddhata ki dasha mein ghar se nikali, aur na kuchh shok karne valon ko diya; main ne apne Parmeshwar Yahowa ki sun li, main ne teri sab aagyaon ke anusaar kiya hai.

15

तू स्वर्ग में से जो तेरा पवित्र धाम है दृष्टि करके अपनी प्रजा इस्राएल को आशीष दे, और इस दूध और मधु की धाराओं के देश की भूमि पर आशीष दे, जिसे तू ने हमारे पूर्वजों से खाई हुई शपथ के अनुसार हमें दिया है।

Tu swarg mein se jo tera pavitra dhaam hai drishti karke apni praja Israel ko aasheesh de, aur is doodh aur madhu ki dharaon ke desh ki bhoomi par aasheesh de, jise tu ne hamare poorvajon se khai hui shapath ke anusaar hamein diya hai.

16

आज के दिन तेरा परमेश्वर यहोवा तुझ को इन्हीं विधियों और नियमों के मानने की आज्ञा देता है; इसलिये अपने सारे मन और सारे प्राण से इनके मानने में चौकसी करना।

Aaj ke din tera Parmeshwar Yahowa tujh ko inhi vidhiyon aur niymon ke manne ki aagya deta hai; isliye apne sare man aur sare praan se inke manne mein chauksi karna.

17

तू ने तो आज यहोवा को अपना परमेश्वर मानकर यह वचन दिया है, कि मैं तेरे बनाए हुए मार्गों पर चलूंगा, और तेरी विधियों, आज्ञाओं, और नियमों को माना करूंगा, और तेरी सुना करूंगा।

Tu ne to aaj Yahowa ko apna Parmeshwar mankar yah vachan diya hai, ki main tere banaye hue margon par chaloonga, aur teri vidhiyon, aagyaon, aur niymon ko mana karoonga, aur teri suna karoonga.

18

और यहोवा ने भी आज तुझ को अपने वचन के अनुसार अपना प्रजारूपी निज धन सम्पत्ति माना है, कि तू उसकी सब आज्ञाओं को माना करे,

Aur Yahowa ne bhi aaj tujh ko apne vachan ke anusaar apna prajaroopi nij dhan sampatti mana hai, ki tu uski sab aagyaon ko mana kare,

19

और कि वह अपनी बनाईं हुई सब जातियों से अधिक प्रशंसा, नाम, और शोभा के विषय में तुझ को प्रतिष्ठित करे, और तू उसके वचन के अनुसार अपने परमेश्वर यहोवा की पवित्र प्रजा बना रहे।

Aur ki vah apni banai hui sab jatiyon se adhik prashansa, naam, aur shobha ke vishay mein tujh ko pratishthit kare, aur tu uske vachan ke anusaar apne Parmeshwar Yahowa ki pavitra praja bana rahe.