Deuteronomy 19 · 21 verses

व्यवस्थाविवरण 19 Deuteronomy 19 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 19.

1

जब तेरा परमेश्वर यहोवा उन जातियों को नाश करे जिनका देश वह तुझे देता है, और तू उनके देश का अधिकारी हो के उनके नगरों और घरों में रहने लगे,

Jab tera Parmeshwar Yahowa un jatiyon ko naash kare jinka desh vah tujhe deta hai, aur tu unke desh ka adhikari ho ke unke nagron aur gharon mein rahne lage,

2

तब अपने देश के बीच जिसका अधिकारी तेरा परमेश्वर यहोवा तुझे कर देता है तीन नगर अपने लिये अलग कर देना।

Tab apne desh ke beech jiska adhikari tera Parmeshwar Yahowa tujhe kar deta hai teen nagar apne liye alag kar dena.

3

और तू अपने लिये मार्ग भी तैयार करना, और अपने देश के जो तेरा परमेश्वर यहोवा तुझे सौंप देता है तीन भाग करना, ताकि हर एक खूनी वहीं भाग जाए।

Aur tu apne liye maarg bhi taiyaar karna, aur apne desh ke jo tera Parmeshwar Yahowa tujhe saump deta hai teen bhaag karna, taki har ek khooni vahi bhaag jaye.

4

और जो खूनी वहां भाग कर अपने प्राण को बचाए, वह इस प्रकार का हो; अर्थात वह किसी से बिना पहिले बैर रखे वा उसको बिना जाने बूझे मार डाला हो

Aur jo khooni vahan bhaag kar apne praan ko bachaye, vah is prakaar ka ho; arthaat vah kisi se bina pahile bair rakhe va usko bina jane boojhe maar dala ho

5

जैसे कोई किसी के संग लकड़ी काटने को जंगल में जाए, और वृक्ष काटने को कुल्हाड़ी हाथ से उठाए, और कुल्हाड़ी बेंट से निकल कर उस भाई को ऐसी लगे कि वह मर जाए तो वह उस नगरों में से किसी में भाग कर जीवित रहे;

Jaise koi kisi ke sang lakdi katne ko jangal mein jaye, aur vriksh katne ko kulhadi haath se uthaye, aur kulhadi bent se nikal kar us bhai ko aisi lage ki vah mar jaye to vah us nagron mein se kisi mein bhaag kar jeevit rahe;

6

ऐसा न हो कि मार्ग की लम्बाई के कारण खून का पलटा लेने वाला अपने क्रोध के ज्वलन में उसका पीछा कर के उसको जा पकड़े, और मार डाले, यद्यपि वह प्राणदण्ड के योग्य नहीं, क्योंकि उस से बैर नहीं रखता था।

Aisa na ho ki maarg ki lambai ke karan khoon ka palta lene vala apne krodh ke jwalan mein uska peechha kar ke usko ja pakde, aur maar dale, yadyapi vah prandand ke yogya nahi, kyonki us se bair nahi rakhta tha.

7

इसलिये मैं तुझे यह आज्ञा देता हूं, कि अपने लिये तीन नगर अलग कर रखना।

Isliye main tujhe yah aagya deta hoon, ki apne liye teen nagar alag kar rakhna.

8

और यदि तेरा परमेश्वर यहोवा उस शपथ के अनुसार जो उसने तेरे पूर्वजों से खाई थी तेरे सिवानों को बढ़ाकर वह सारा देश तुझे दे, जिसके देने का वचन उसने तेरे पूर्वजों को दिया था

Aur yadi tera Parmeshwar Yahowa us shapath ke anusaar jo usne tere poorvajon se khai thi tere sivanon ko badhakar vah sara desh tujhe de, jiske dene ka vachan usne tere poorvajon ko diya tha

9

यदि तू इन सब आज्ञाओं के मानने में जिन्हें मैं आज तुझ को सुनाता हूं चौकसी करे, और अपने परमेश्वर यहोवा से प्रेम रखे और सदा उसके मार्गों पर चलता रहे तो इन तीन नगरों से अधिक और भी तीन नगर अलग कर देना,

Yadi tu in sab aagyaon ke manne mein jinhein main aaj tujh ko sunata hoon chauksi kare, aur apne Parmeshwar Yahowa se prem rakhe aur sada uske margon par chalta rahe to in teen nagron se adhik aur bhi teen nagar alag kar dena,

10

इसलिये कि तेरे उस देश में जो तेरा परमेश्वर यहोवा तेरा निज भाग करके देता है किसी निर्दोष का खून न बहाया जाए, और उसका दोष तुझ पर न लगे।

Isliye ki tere us desh mein jo tera Parmeshwar Yahowa tera nij bhaag karke deta hai kisi nirdosh ka khoon na bahaya jaye, aur uska dosh tujh par na lage.

11

परन्तु यदि कोई किसी से बैर रखकर उसकी घात में लगे, और उस पर लपककर उसे ऐसा मारे कि वह मर जाए, और फिर उन नगरों में से किसी में भाग जाए,

Parantu yadi koi kisi se bair rakhkar uski ghaat mein lage, aur us par lapakkar use aisa mare ki vah mar jaye, aur phir un nagron mein se kisi mein bhaag jaye,

12

तो उसके नगर के पुरनिये किसी को भेज कर उसको वहां से मंगाकर खून के पलटा लेने वाले के हाथ में सौंप दे, कि वह मार डाला जाए।

To uske nagar ke purniye kisi ko bhej kar usko vahan se mangakar khoon ke palta lene vale ke haath mein saump de, ki vah maar dala jaye.

13

उस पर तरस न खाना, परन्तु निर्दोष के खून का दोष इस्राएल से दूर करना, जिस से तुम्हारा भला हों॥

Us par taras na khana, parantu nirdosh ke khoon ka dosh Israel se door karna, jis se tumhara bhala hon.

14

जो देश तेरा परमेश्वर यहोवा तुझ को देता है, उसका जो भाग तुझे मिलेगा, उस में किसी का सिवाना जिसे अगले लोगों ने ठहराया हो न हटाना॥

Jo desh tera Parmeshwar Yahowa tujh ko deta hai, uska jo bhaag tujhe milega, us mein kisi ka sivana jise agle logon ne thahraya ho na hatana.

15

किसी मनुष्य के विरुद्ध किसी प्रकार के अधर्म वा पाप के विषय में, चाहे उसका पाप कैसा ही क्यों न हो, एक ही जन की साक्षी न सुनना, परन्तु दो वा तीन साक्षीयों के कहने से बात पक्की ठहरे।

Kisi manushya ke viruddh kisi prakaar ke adharm va paap ke vishay mein, chahe uska paap kaisa hi kyon na ho, ek hi jan ki sakshi na sunna, parantu do va teen saksheeyon ke kahne se baat pakki thahre.

16

यदि कोई झूठी साक्षी देने वाला किसी के विरुद्ध यहोवा से फिर जाने की साक्षी देने को खड़ा हो,

Yadi koi jhoothi sakshi dene vala kisi ke viruddh Yahowa se phir jane ki sakshi dene ko khada ho,

17

तो वे दोनों मनुष्य, जिनके बीच ऐसा मुकद्दमा उठा हो, यहोवा के सम्मुख, अर्थात उन दिनों के याजकों और न्यायियों के साम्हने खड़े किए जाएं;

To ve donon manushya, jinke beech aisa mukaddama utha ho, Yahowa ke sammukh, arthaat un dinon ke yajkon aur nyayiyon ke samhane khade kiye jayen;

18

तब न्यायी भली भांति पूछपाछ करें, और यदि यह निर्णय पाए कि वह झूठा साक्षी है, और अपने भाई के विरुद्ध झूठी साक्षी दी है

Tab nyayi bhali bhanti poochhpaachh karein, aur yadi yah nirnay paye ki vah jhootha sakshi hai, aur apne bhai ke viruddh jhoothi sakshi di hai

19

तो अपने भाई की जैसी भी हानि करवाने की युक्ति उसने की हो वैसी ही तुम भी उसकी करना; इसी रीति से अपने बीच में से ऐसी बुराई को दूर करना।

To apne bhai ki jaisi bhi hani karvane ki yukti usne ki ho vaisi hi tum bhi uski karna; isi reeti se apne beech mein se aisi burai ko door karna.

20

और दूसरे लोग सुनकर डरेंगे, और आगे को तेरे बीच फिर ऐसा बुरा काम नहीं करेंगे।

Aur doosre log sunkar darenge, aur aage ko tere beech phir aisa bura kaam nahi karenge.

21

और तू बिलकुल तरस न खाना; प्राण की सन्ती प्राण का, आंख की सन्ती आंख का, दांत की सन्ती दांत का, हाथ की सन्ती हाथ का, पांव की सन्ती पांव का दण्ड देना॥

Aur tu bilkul taras na khana; praan ki santi praan ka, aankh ki santi aankh ka, daant ki santi daant ka, haath ki santi haath ka, paanv ki santi paanv ka dand dena.