Deuteronomy 11 · 32 verses

व्यवस्थाविवरण 11 Deuteronomy 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 11.

1

इसलिये तू अपने परमेश्वर यहोवा से अत्यन्त प्रेम रखना, और जो कुछ उसने तुझे सौंपा है उसका, अर्थात उसी विधियों, नियमों, और आज्ञाओं का नित्य पालन करना।

Isliye tu apne Parmeshwar Yahowa se atyant prem rakhna, aur jo kuchh usne tujhe saumpa hai uska, arthaat usi vidhiyon, niymon, aur aagyaon ka nitya palan karna.

2

और तुम आज यह सोच समझ लो (क्योंकि मैं तो तुम्हारे बाल-बच्चों से नहीं कहता,) जिन्होंने न तो कुछ देखा और न जाना है कि तुम्हारे परमेश्वर यहोवा ने क्या क्या ताड़ना की, और कैसी महिमा, और बलवन्त हाथ, और बड़ाई हुई भुजा दिखाई,

Aur tum aaj yah soch samajh lo (kyonki main to tumhare baal-bachchon se nahi kahta,) jinhonne na to kuchh dekha aur na jana hai ki tumhare Parmeshwar Yahowa ne kya kya tadna ki, aur kaisi mahima, aur balvant haath, aur badai hui bhuja dikhai,

3

और मिस्र में वहां के राजा फिरौन को कैसे कैसे चिन्ह दिखाए, और उसके सारे देश में कैसे कैसे चमत्कार के काम किए;

Aur Misr mein vahan ke raja Firaun ko kaise kaise chinh dikhaye, aur uske sare desh mein kaise kaise chamatkaar ke kaam kiye;

4

और उसने मिस्र की सेना के घोड़ों और रथों से क्या किया, अर्थात जब वे तुम्हारा पीछा कर रहे थे तब उसने उन को लाल समुद्र में डुबोकर किस प्रकार नष्ट कर डाला, कि आज तक उनका पता नहीं;

Aur usne Misr ki sena ke ghodon aur rathon se kya kiya, arthaat jab ve tumhara peechha kar rahe the tab usne un ko laal samudra mein dubokar kis prakaar nasht kar dala, ki aaj tak unka pata nahi;

5

और तुम्हारे इस स्थान में पहुंचने तक उसने जंगल में तुम से क्या क्या किया;

Aur tumhare is sthaan mein pahunchne tak usne jangal mein tum se kya kya kiya;

6

और उसने रूबेनी एलीआब के पुत्र दातान और अबीराम से क्या क्या किया; अर्थात पृथ्वी ने अपना मुंह पसार के उन को घरानों, और डेरों, और सब अनुचरों समेत सब इस्राएलियों के देखते देखते कैसे निगल लिया;

Aur usne roobeni eleeaab ke putra dataan aur abeeraam se kya kya kiya; arthaat prithvi ne apna munh pasaar ke un ko gharanon, aur deron, aur sab anuchron samet sab Israeliyon ke dekhte dekhte kaise nigal liya;

7

परन्तु यहोवा के इन सब बड़े बड़े कामों को तुम ने अपनी आंखों से देखा है।

Parantu Yahowa ke in sab bade bade kamon ko tum ne apni aankhon se dekha hai.

8

इस कारण जितनी आज्ञाएं मैं आज तुम्हें सुनाता हूं उन सभों को माना करना, इसलिये कि तुम सामर्थी हो कर उस देश में जिसके अधिकारी होने के लिये तुम पार जा रहे हो प्रवेश करके उसके अधिकारी हो जाओ,

Is karan jitni aagyayen main aaj tumhein sunata hoon un sabhon ko mana karna, isliye ki tum samarthi ho kar us desh mein jiske adhikari hone ke liye tum paar ja rahe ho pravesh karke uske adhikari ho jao,

9

और उस देश में बहुत दिन रहने पाओ, जिसे तुम्हें और तुम्हारे वंश को देने की शपथ यहोवा ने तुम्हारे पूर्वजों से खाई थी, और उस में दूध और मधु की धाराएं बहती हैं।

Aur us desh mein bahut din rahne pao, jise tumhein aur tumhare vansh ko dene ki shapath Yahowa ne tumhare poorvajon se khai thi, aur us mein doodh aur madhu ki dharayen bahti hain.

10

देखो, जिस देश के अधिकारी होने को तुम जा रहे हो वह मिस्र देश के समान नहीं है, जहां से निकलकर आए हो, जहां तुम बीज बोते थे और हरे साग के खेत की रीति के अनुसार अपने पांव की नलियां बनाकर सींचते थे;

Dekho, jis desh ke adhikari hone ko tum ja rahe ho vah Misr desh ke samaan nahi hai, jahan se nikalkar aaye ho, jahan tum beej bote the aur hare saag ke khet ki reeti ke anusaar apne paanv ki naliyan banakar seenchte the;

11

परन्तु जिस देश के अधिकारी होने को तुम पार जाने पर हो वह पहाड़ों और तराईयों का देश है, और आकाश की वर्षा के जल से सिंचता है;

Parantu jis desh ke adhikari hone ko tum paar jane par ho vah pahadon aur taraiyon ka desh hai, aur aakaash ki varsha ke jal se sinchta hai;

12

वह ऐसा देश है जिसकी तेरे परमेश्वर यहोवा को सुधि रहती है; और वर्ष के आदि से ले कर अन्त तक तेरे परमेश्वर यहोवा की दृष्टि उस पर निरन्तर लगी रहती है॥

Vah aisa desh hai jiski tere Parmeshwar Yahowa ko sudhi rahti hai; aur varsh ke aadi se le kar ant tak tere Parmeshwar Yahowa ki drishti us par nirantar lagi rahti hai.

13

और यदि तुम मेरी आज्ञाओं को जो आज मैं तुम्हें सुनाता हूं ध्यान से सुनकर, अपने सम्पूर्ण मन और सारे प्राण के साथ, अपने परमेश्वर यहोवा से प्रेम रखो और उसकी सेवा करते रहो,

Aur yadi tum meri aagyaon ko jo aaj main tumhein sunata hoon dhyaan se sunkar, apne sampoorn man aur sare praan ke saath, apne Parmeshwar Yahowa se prem rakho aur uski seva karte raho,

14

तो मैं तुम्हारे देश में बरसात के आदि और अन्त दोनों समयों की वर्षा को अपने अपने समय पर बरसाऊंगा, जिस से तू अपना अन्न, नया दाखमधु, और टटका तेल संचय कर सकेगा।

To main tumhare desh mein barsaat ke aadi aur ant donon samyon ki varsha ko apne apne samay par barsaoonga, jis se tu apna ann, naya dakhamdhu, aur tatka tel sanchay kar sakega.

15

और मैं तेरे पशुओं के लिये तेरे मैदान में घास उपजाऊंगा, और तू पेट भर खाएगा और सन्तुष्ट रहेगा।

Aur main tere pashuon ke liye tere maidaan mein ghaas upjaoonga, aur tu pet bhar khayega aur santusht rahega.

16

इसलिये अपने विषय में सावधान रहो, ऐसा न हो कि तुम्हारे मन धोखा खाएं, और तुम बहककर दूसरे देवताओं की पूजा करने लगो और उन को दण्डवत करने लगो,

Isliye apne vishay mein savdhaan raho, aisa na ho ki tumhare man dhokha khayen, aur tum bahakkar doosre devtaon ki pooja karne lago aur un ko dandavat karne lago,

17

और यहोवा का कोप तुम पर भड़के, और वह आकाश की वर्षा बन्द कर दे, और भूमि अपनी उपज न दे, और तुम उस उत्तम देश में से जो यहोवा तुम्हें देता है शीघ्र नष्ट हो जाओ।

Aur Yahowa ka kop tum par bhadke, aur vah aakaash ki varsha band kar de, aur bhoomi apni upaj na de, aur tum us uttam desh mein se jo Yahowa tumhein deta hai sheeghra nasht ho jao.

18

इसलिये तुम मेरे ये वचन अपने अपने मन और प्राण में धारण किए रहना, और चिन्हानी के लिये अपने हाथों पर बान्धना, और वे तुम्हारी आंखों के मध्य में टीके का काम दें।

Isliye tum mere ye vachan apne apne man aur praan mein dharan kiye rahna, aur chinhani ke liye apne hathon par bandhana, aur ve tumhari aankhon ke madhya mein teeke ka kaam dein.

19

और तुम घर में बैठे, मार्ग पर चलते, लेटते-उठते इनकी चर्चा करके अपने लड़केबालों को सिखाया करना।

Aur tum ghar mein baithe, maarg par chalte, lette-uthte inki charcha karke apne ladkebalon ko sikhaya karna.

20

और इन्हें अपने अपने घर के चौखट के बाजुओं और अपने फाटकों के ऊपर लिखना;

Aur inhein apne apne ghar ke chaukhat ke bajuon aur apne phatkon ke oopar likhna;

21

इसलिये कि जिस देश के विषय में यहोवा ने तेरे पूर्वजों से शपथ खाकर कहा था, कि मैं उसे तुम्हें दूंगा, उस में तुम्हारे और तुम्हारे लड़केबालों की दीर्घायु हो, और जब तक पृथ्वी के ऊपर का आकाश बना रहे तब तक वे भी बने रहें।

Isliye ki jis desh ke vishay mein Yahowa ne tere poorvajon se shapath khakar kaha tha, ki main use tumhein doonga, us mein tumhare aur tumhare ladkebalon ki deerghayu ho, aur jab tak prithvi ke oopar ka aakaash bana rahe tab tak ve bhi bane rahein.

22

इसलिये यदि तुम इन सब आज्ञाओं के मानने में जो मैं तुम्हें सुनाता हूं पूरी चौकसी करके अपने परमेश्वर यहोवा से प्रेम रखो, और उसके सब मार्गों पर चलो, और उस से लिपटे रहो,

Isliye yadi tum in sab aagyaon ke manne mein jo main tumhein sunata hoon poori chauksi karke apne Parmeshwar Yahowa se prem rakho, aur uske sab margon par chalo, aur us se lipte raho,

23

तो यहोवा उन सब जातियों को तुम्हारे आगे से निकाल डालेगा, और तुम अपने से बड़ी और सामर्थी जातियों के अधिकारी हो जाओगे।

To Yahowa un sab jatiyon ko tumhare aage se nikaal dalega, aur tum apne se badi aur samarthi jatiyon ke adhikari ho jaoge.

24

जिस जिस स्थान पर तुम्हारे पांव के तलवे पड़ें वे सब तुम्हारे ही हो जाएंगे, अर्थात जंगल से लबानोन तक, और परात नाम महानद से ले कर पश्चिम के समुद्र तक तुम्हारा सिवाना होगा।

Jis jis sthaan par tumhare paanv ke talve padein ve sab tumhare hi ho jayenge, arthaat jangal se labanon tak, aur paraat naam mahanad se le kar pashchim ke samudra tak tumhara sivana hoga.

25

तुम्हारे साम्हने कोई भी खड़ा न रह सकेगा; क्योंकि जितनी भूमि पर तुम्हारे पांव पड़ेंगे उस सब पर रहने वालों के मन में तुम्हारा परमेश्वर यहोवा अपने वचन के अनुसार तुम्हारे कारण उन में डर और थरथराहट उत्पन्न कर देगा।

Tumhare samhane koi bhi khada na rah sakega; kyonki jitni bhoomi par tumhare paanv padenge us sab par rahne valon ke man mein tumhara Parmeshwar Yahowa apne vachan ke anusaar tumhare karan un mein dar aur tharathrahat utpann kar dega.

26

सुनो, मैं आज के दिन तुम्हारे आगे आशीष और शाप दोनों रख देता हूं।

Suno, main aaj ke din tumhare aage aasheesh aur shaap donon rakh deta hoon.

27

अर्थात यदि तुम अपने परमेश्वर यहोवा की इन आज्ञाओं को जो मैं आज तुम्हे सुनाता हूं मानो, तो तुम पर आशीष होगी,

Arthaat yadi tum apne Parmeshwar Yahowa ki in aagyaon ko jo main aaj tumhe sunata hoon mano, to tum par aasheesh hogi,

28

और यदि तुम अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञाओं को नहीं मानोगे, और जिस मार्ग की आज्ञा मैं आज सुनाता हूं उसे तजकर दूसरे देवताओं के पीछे हो लोगे जिन्हें तुम नहीं जानते हो, तो तुम पर शाप पड़ेगा।

Aur yadi tum apne Parmeshwar Yahowa ki aagyaon ko nahi manoge, aur jis maarg ki aagya main aaj sunata hoon use tajkar doosre devtaon ke peechhe ho loge jinhein tum nahi jante ho, to tum par shaap padega.

29

और जब तेरा परमेश्वर यहोवा तुझ को उस देश में पहुंचाए जिसके अधिकारी होने को तू जाने पर है, तब आशीष गरीज्जीम पर्वत पर से और शाप एबाल पर्वत पर से सुनाना।

Aur jab tera Parmeshwar Yahowa tujh ko us desh mein pahunchaye jiske adhikari hone ko tu jane par hai, tab aasheesh gareejjeem parvat par se aur shaap ebaal parvat par se sunana.

30

क्या वे यरदन के पार, सूर्य के अस्त होने की ओर, अराबा के निवासी कनानियों के देश में, गिल्गाल के साम्हने, मोरे के बांज वृक्षों के पास नहीं है?

Kya ve yardan ke paar, soorya ke ast hone ki or, araba ke nivasi kananiyon ke desh mein, gilgaal ke samhane, more ke baanj vrikshon ke paas nahi hai?

31

तुम तो यरदन पार इसी लिये जाने पर हो, कि जो देश तुम्हारा परमेश्वर यहोवा तुम्हें देता है उसके अधिकारी हो कर उस में निवास करोगे;

Tum to yardan paar isi liye jane par ho, ki jo desh tumhara Parmeshwar Yahowa tumhein deta hai uske adhikari ho kar us mein nivaas karoge;

32

इसलिये जितनी विधियां और नियम मैं आज तुम को सुनाता हूं उन सभों के मानने में चौकसी करना॥

Isliye jitni vidhiyan aur niyam main aaj tum ko sunata hoon un sabhon ke manne mein chauksi karna.