Deuteronomy 1 · 46 verses

व्यवस्थाविवरण 1 Deuteronomy 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vyavasthavivran 1.

1

जो बातें मूसा ने यरदन के पार जंगल में, अर्थात सूप के सामने के अराबा में, और पारान और तोपेल के बीच, और लाबान हसरोत और दीजाहाब में, सारे इस्त्राएलियों से कहीं वे ये हैं।

Jo batein Musa ne yardan ke paar jangal mein, arthaat soop ke samne ke araba mein, aur paraan aur topel ke beech, aur labaan hasrot aur deejahaab mein, sare istrayeliyon se kahi ve ye hain.

2

होरेब से कादेशबर्ने तक सेईर पहाड़ का मार्ग ग्यारह दिन का हैं।

Horeb se kadeshbarne tak seir pahaad ka maarg gyarah din ka hain.

3

चालीसवें वर्ष के ग्यारहवें महीने के पहिले दिन को जो कुछ यहोवा ने मूसा को इस्त्राएलियों से कहने की आज्ञा दी थी, उसके अनुसार मूसा उन से ये बातें कहने लगा।

Chaleesvein varsh ke gyarahvein maheene ke pahile din ko jo kuchh Yahowa ne Musa ko istrayeliyon se kahne ki aagya di thi, uske anusaar Musa un se ye batein kahne laga.

4

अर्थात जब मूसा ने एमोरियों के राजा हेशबोनवासी सीहोन और बाशान के राजा अशतारोतवासी ओग को एद्रेई में मार डाला,

Arthaat jab Musa ne emoriyon ke raja heshbonvasi seehon aur bashaan ke raja ashtarotvasi og ko edrei mein maar dala,

5

उसके बाद यरदन के पार मोआब देश में वह व्यवस्था का विवरण यों करने लगा,

Uske baad yardan ke paar moaab desh mein vah vyavastha ka vivran yon karne laga,

6

कि हमारे परमेश्वर यहोवा ने होरेब के पास हम से कहा था, कि तुम लोगों को इस पहाड़ के पास रहते हुए बहुत दिन हो गए हैं;

Ki hamare Parmeshwar Yahowa ne horeb ke paas ham se kaha tha, ki tum logon ko is pahaad ke paas rahte hue bahut din ho gaye hain;

7

इसलिये अब यहां से कूच करो, और एमोरियों के पहाड़ी देश को, और क्या अराबा में, क्या पहाड़ों में, क्या नीचे के देश में, क्या दक्खिन देश में, क्या समुद्र के तीर पर, जितने लोग एमोरियों के पास रहते हैं उनके देश को, अर्थात लबानोन पर्वत तक और परात नाम महानद तक रहने वाले कनानियों के देश को भी चले जाओ।

Isliye ab yahan se kooch karo, aur emoriyon ke pahadi desh ko, aur kya araba mein, kya pahadon mein, kya neeche ke desh mein, kya dakkhin desh mein, kya samudra ke teer par, jitne log emoriyon ke paas rahte hain unke desh ko, arthaat labanon parvat tak aur paraat naam mahanad tak rahne vale kananiyon ke desh ko bhi chale jao.

8

सुनो, मैं उस देश को तुम्हारे साम्हने किए देता हूं; जिस देश के विषय यहोवा ने इब्राहीम, इसहाक, और याकूब, तुम्हारे पितरों से शपथ खाकर कहा था, कि मैं इसे तुम को और तुम्हारे बाद तुम्हारे वंश को दूंगा, उसको अब जा कर अपने अधिकार में कर लो।

Suno, main us desh ko tumhare samhane kiye deta hoon; jis desh ke vishay Yahowa ne Ibrahim, Ishaq, aur Yakub, tumhare pitron se shapath khakar kaha tha, ki main ise tum ko aur tumhare baad tumhare vansh ko doonga, usko ab ja kar apne adhikaar mein kar lo.

9

फिर उसी समय मैं ने तुम से कहा, कि मैं तुम्हारा भार अकेला नहीं सह सकता;

Phir usi samay main ne tum se kaha, ki main tumhara bhaar akela nahi sah sakta;

10

क्योंकि तुम्हारे परमेश्वर यहोवा ने तुम को यहां तक बढ़ाया है, कि तुम गिनती में आज आकाश के तारों के समान हो गए हो।

Kyonki tumhare Parmeshwar Yahowa ne tum ko yahan tak badhaya hai, ki tum ginti mein aaj aakaash ke taron ke samaan ho gaye ho.

11

तुम्हारे पितरों का परमेश्वर तुम को हजारगुणा और भी बढ़ाए, और अपने वचन के अनुसार तुम को आशीष भी देता रहे।

Tumhare pitron ka Parmeshwar tum ko hajarguna aur bhi badhaye, aur apne vachan ke anusaar tum ko aasheesh bhi deta rahe.

12

परन्तु तुम्हारे जंजाल, और भार, और झगड़े रगड़े को मैं अकेला कहां तक सह सकता हूं।

Parantu tumhare janjaal, aur bhaar, aur jhagde ragde ko main akela kahan tak sah sakta hoon.

13

सो तुम अपने एक एक गोत्र में से बुद्धिमान और समझदार और प्रसिद्ध पुरूष चुन लो, और मैं उन्हें तुम पर मुखिया ठहराऊंगा।

So tum apne ek ek gotra mein se buddhimaan aur samajhdaar aur prasiddh puroosh chun lo, aur main unhein tum par mukhiya thahraoonga.

14

इसके उत्तर में तुम ने मुझ से कहा, जो कुछ तू हम से कहता है उसका करना अच्छा है।

Iske uttar mein tum ne mujh se kaha, jo kuchh tu ham se kahta hai uska karna achchha hai.

15

इसलिये मैं ने तुम्हारे गोत्रों के मुख्य पुरूषों को जो बुद्धिमान और प्रसिद्ध पुरूष थे चुनकर तुम पर मुखिया नियुक्त किया, अर्थात हजार-हजार, सौ-सौ, पचास-पचास, और दस-दस के ऊपर प्रधान और तुम्हारे गोत्रों के सरदार भी नियुक्त किए।

Isliye main ne tumhare gotron ke mukhya purooshon ko jo buddhimaan aur prasiddh puroosh the chunkar tum par mukhiya niyukt kiya, arthaat hajaar-hajaar, sau-sau, pachaas-pachaas, aur das-das ke oopar pradhaan aur tumhare gotron ke sardaar bhi niyukt kiye.

16

और उस समय मैं ने तुम्हारे न्यायियों को आज्ञा दी, कि तुम अपने भाइयों के मुकद्दमे सुना करो, और उनके बीच और उनके पड़ोसियों और परदेशियों के बीच भी धर्म से न्याय किया करो।

Aur us samay main ne tumhare nyayiyon ko aagya di, ki tum apne bhaiyon ke mukaddame suna karo, aur unke beech aur unke padosiyon aur pardeshiyon ke beech bhi dharm se nyaay kiya karo.

17

न्याय करते समय किसी का पक्ष न करना; जैसे बड़े की वैसे ही छोटे मनुष्य की भी सुनना; किसी का मुँह देखकर न डरना, क्योंकि न्याय परमेश्वर का काम है; और जो मुकद्दमा तुम्हारे लिये कठिन हो, वह मेरे पास ले आना, और मैं उसे सुनूंगा।

Nyaay karte samay kisi ka paksh na karna; jaise bade ki vaise hi chhote manushya ki bhi sunna; kisi ka munh dekhkar na darna, kyonki nyaay Parmeshwar ka kaam hai; aur jo mukaddama tumhare liye kathin ho, vah mere paas le aana, aur main use sunoonga.

18

और मैं ने उसी समय तुम्हारे सारे कर्त्तव्य कर्म तुम को बता दिए॥

Aur main ne usi samay tumhare sare karttavya karm tum ko bata diye.

19

और हम होरेब से कूच करके अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञा के अनुसार उस सारे बड़े और भयानक जंगल में हो कर चले, जिसे तुम ने एमोरियों के पहाड़ी देश के मार्ग में देखा, और हम कादेशबर्ने तक आए।

Aur ham horeb se kooch karke apne Parmeshwar Yahowa ki aagya ke anusaar us sare bade aur bhayanak jangal mein ho kar chale, jise tum ne emoriyon ke pahadi desh ke maarg mein dekha, aur ham kadeshbarne tak aaye.

20

वहाँ मैं ने तुम से कहा, तुम एमोरियों के पहाड़ी देश तक आ गए हो जिस को हमारा परमेश्वर यहोवा हमें देता है।

Vahan main ne tum se kaha, tum emoriyon ke pahadi desh tak aa gaye ho jis ko hamara Parmeshwar Yahowa hamein deta hai.

21

देखो, उस देश को तुम्हारा परमेश्वर यहोवा तुम्हारे साम्हने किए देता है, इसलिऐ अपने पितरों के परमेश्वर यहोवा के वचन के अनुसार उस पर चढ़ो, और उसे अपने अधिकार में ले लो; न तो तुम डरो और न तुम्हारा मन कच्चा हो।

Dekho, us desh ko tumhara Parmeshwar Yahowa tumhare samhane kiye deta hai, isliai apne pitron ke Parmeshwar Yahowa ke vachan ke anusaar us par chadho, aur use apne adhikaar mein le lo; na to tum daro aur na tumhara man kachcha ho.

22

और तुम सब मेरे पास आकर कहने लगे, हम अपने आगे पुरूषों को भेज देंगे, जो उस देश का पता लगाकर हम को यह सन्देश दें, कि कौन सा मार्ग हो कर चलना होगा और किस किस नगर में प्रवेश करना पड़ेगा?

Aur tum sab mere paas aakar kahne lage, ham apne aage purooshon ko bhej denge, jo us desh ka pata lagakar ham ko yah sandesh dein, ki kaun sa maarg ho kar chalna hoga aur kis kis nagar mein pravesh karna padega?

23

इस बात से प्रसन्न हो कर मैं ने तुम में से बारह पुरूष, अर्थात गोत्र पीछे एक पुरूष चुन लिया;

Is baat se prasann ho kar main ne tum mein se barah puroosh, arthaat gotra peechhe ek puroosh chun liya;

24

और वे पहाड़ पर चढ़ गए, और एशकोल नाम नाले को पहुँचकर उस देश का भेद लिया।

Aur ve pahaad par chadh gaye, aur eshkol naam nale ko pahunchkar us desh ka bhed liya.

25

और उस देश के फलों में से कुछ हाथ में ले कर हमारे पास आए, और हम को यह सन्देश दिया, कि जो देश हमारा परमेश्वर यहोवा हमें देता है वह अच्छा है।

Aur us desh ke phalon mein se kuchh haath mein le kar hamare paas aaye, aur ham ko yah sandesh diya, ki jo desh hamara Parmeshwar Yahowa hamein deta hai vah achchha hai.

26

तौभी तुम ने वहाँ जाने से नाह किया, किन्तु अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञा के विरुद्ध हो कर

Taubhi tum ne vahan jane se naah kiya, kintu apne Parmeshwar Yahowa ki aagya ke viruddh ho kar

27

अपने अपने डेरे में यह कहकर कुड़कुड़ाने लगे, कि यहोवा हम से बैर रखता है, इस कारण हम को मिस्र देश से निकाल ले आया है, कि हम को एमोरियों के वश में करके सत्यनाश कर डाले।

Apne apne dere mein yah kahkar kudkudane lage, ki Yahowa ham se bair rakhta hai, is karan ham ko Misr desh se nikaal le aaya hai, ki ham ko emoriyon ke vash mein karke satyanaash kar dale.

28

हम किधर जाएँ? हमारे भाइयों ने यह कहके हमारे मन को कच्चा कर दिया है, कि वहाँ के लोग हम से बड़े और लम्बे हैं; और वहाँ के नगर बड़े बड़े हैं, और उनकी शहरपनाह आकाश से बातें करती हैं; और हम ने वहाँ अनाकवंशियों को भी देखा है।

Ham kidhar jayen? Hamare bhaiyon ne yah kahke hamare man ko kachcha kar diya hai, ki vahan ke log ham se bade aur lambe hain; aur vahan ke nagar bade bade hain, aur unki shahrapnaah aakaash se batein karti hain; aur ham ne vahan anakvanshiyon ko bhi dekha hai.

29

मैं ने तुम से कहा, उनके कारण त्रास मत खाओ और न डरो।

Main ne tum se kaha, unke karan traas mat khao aur na daro.

30

तुम्हारा परमेश्वर यहोवा जो तुम्हारे आगे आगे चलता है वह आप तुम्हारी ओर से लड़ेगा, जैसे कि उसने मिस्र में तुम्हारे देखते तुम्हारे लिये किया;

Tumhara Parmeshwar Yahowa jo tumhare aage aage chalta hai vah aap tumhari or se ladega, jaise ki usne Misr mein tumhare dekhte tumhare liye kiya;

31

फिर तुम ने जंगल में भी देखा, कि जिस रीति कोई पुरूष अपने लड़के को उठाए चलता है, उसी रीति हमारा परमेश्वर यहोवा हम को इस स्थान पर पहुँचने तक, उस सारे मार्ग में जिस से हम आए हैं, उठाये रहा।

Phir tum ne jangal mein bhi dekha, ki jis reeti koi puroosh apne ladke ko uthaye chalta hai, usi reeti hamara Parmeshwar Yahowa ham ko is sthaan par pahunchne tak, us sare maarg mein jis se ham aaye hain, uthaye raha.

32

इस बात पर भी तुम ने अपने उस परमेश्वर यहोवा पर विश्वास नहीं किया,

Is baat par bhi tum ne apne us Parmeshwar Yahowa par vishwaas nahi kiya,

33

जो तुम्हारे आगे आगे इसलिये चलता रहा, कि डेरे डालने का स्थान तुम्हारे लिये ढूंढ़े, और रात को आग में और दिन को बादल में प्रगट हो कर चला, ताकि तुम को वह मार्ग दिखाए जिस से तुम चलो।

Jo tumhare aage aage isliye chalta raha, ki dere dalne ka sthaan tumhare liye dhoondhe, aur raat ko aag mein aur din ko badal mein pragat ho kar chala, taki tum ko vah maarg dikhaye jis se tum chalo.

34

परन्तु तुम्हारी वे बातें सुनकर यहोवा का कोप भड़क उठा, और उसने यह शपथ खाई,

Parantu tumhari ve batein sunkar Yahowa ka kop bhadak utha, aur usne yah shapath khai,

35

कि निश्चय इस बुरी पीढ़ी के मनुष्यों में से एक भी उस अच्छे देश को देखने न पाएगा, जिसे मैं ने उनके पितरों को देने की शपथ खाई थी।

Ki nishchay is buri peedhi ke manushyon mein se ek bhi us achchhe desh ko dekhne na payega, jise main ne unke pitron ko dene ki shapath khai thi.

36

यपुन्ने का पुत्र कालेब ही उसे देखने पाएगा, और जिस भूमि पर उसके पाँव पड़े हैं उसे मैं उसको और उसके वंश को भी दूंगा; क्योंकि वह मेरे पीछे पूरी रीति से हो लिया है।

Yapunne ka putra kaleb hi use dekhne payega, aur jis bhoomi par uske paanv pade hain use main usko aur uske vansh ko bhi doonga; kyonki vah mere peechhe poori reeti se ho liya hai.

37

और मुझ पर भी यहोवा तुम्हारे कारण क्रोधित हुआ, और यह कहा, कि तू भी वहाँ जाने न पाएगा;

Aur mujh par bhi Yahowa tumhare karan krodhit huaa, aur yah kaha, ki tu bhi vahan jane na payega;

38

नून का पुत्र यहोशू जो तेरे साम्हने खड़ा रहता है, वह तो वहाँ जाने पाएगा; सो तू उसको हियाव दे, क्योंकि उस देश को इस्राएलियों के अधिकार में वही कर देगा।

Noon ka putra yahoshu jo tere samhane khada rahta hai, vah to vahan jane payega; so tu usko hiyaav de, kyonki us desh ko Israeliyon ke adhikaar mein vahi kar dega.

39

फिर तुम्हारे बालबच्चे जिनके विषय में तुम कहते हो, कि ये लूट में चले जाएंगे, और तुम्हारे जो लड़केबाले अभी भले बुरे का भेद नहीं जानते, वे वहाँ प्रवेश करेंगे, और उन को मैं वह देश दूँगा, और वे उसके अधिकारी होंगे।

Phir tumhare balbachche jinke vishay mein tum kahte ho, ki ye loot mein chale jayenge, aur tumhare jo ladkebale abhi bhale bure ka bhed nahi jante, ve vahan pravesh karenge, aur un ko main vah desh doonga, aur ve uske adhikari honge.

40

परन्तु तुम लोग घूमकर कूच करो, और लाल समुद्र के मार्ग से जंगल की ओर जाओ।

Parantu tum log ghoomkar kooch karo, aur laal samudra ke maarg se jangal ki or jao.

41

तब तुम ने मुझ से कहा, हम ने यहोवा के विरुद्ध पाप किया हैं; अब हम अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञा के अनुसार चढ़ाई करेंगे और लड़ेंगे। तब तुम अपने अपने हथियार बान्धकर पहाड़ पर बिना सोचे समझे चढ़ने को तैयार हो गए।

Tab tum ne mujh se kaha, ham ne Yahowa ke viruddh paap kiya hain; ab ham apne Parmeshwar Yahowa ki aagya ke anusaar chadhai karenge aur ladenge. Tab tum apne apne hathiyaar bandhakar pahaad par bina soche samjhe chadhne ko taiyaar ho gaye.

42

तब यहोवा ने मुझ से कहा, उन से कह दे, कि तुम मत चढ़ो, और न लड़ो; क्योंकि मैं तुम्हारे मध्य में नहीं हूँ; कहीं ऐसा न हो कि तुम अपने शत्रुओं से हार जाओ।

Tab Yahowa ne mujh se kaha, un se kah de, ki tum mat chadho, aur na lado; kyonki main tumhare madhya mein nahi hoon; kahi aisa na ho ki tum apne shatruon se haar jao.

43

यह बात मैं ने तुम से कह दी, परन्तु तुम ने न मानी; किन्तु ढिठाई से यहोवा की आज्ञा का उल्लंघन करके पहाड़ पर चढ़ गए।

Yah baat main ne tum se kah di, parantu tum ne na mani; kintu dhithai se Yahowa ki aagya ka ullanghan karke pahaad par chadh gaye.

44

तब उस पहाड़ के निवासी एमोरियों ने तुम्हारा साम्हना करने को निकलकर मधुमक्खियों की नाईं तुम्हारा पीछा किया, और सेईर देश के होर्मा तक तुम्हें मारते मारते चले आए।

Tab us pahaad ke nivasi emoriyon ne tumhara samhana karne ko nikalkar madhumakkhiyon ki nai tumhara peechha kiya, aur seir desh ke horma tak tumhein marte marte chale aaye.

45

तब तुम लौटकर यहोवा के साम्हने रोने लगे; परन्तु यहोवा ने तुम्हारी न सुनी, न तुम्हारी बातों पर कान लगाया।

Tab tum lautkar Yahowa ke samhane rone lage; parantu Yahowa ne tumhari na suni, na tumhari baton par kaan lagaya.

46

और तुम कादेश में बहुत दिनों तक पड़े रहे, यहाँ तक कि एक जुग हो गया॥

Aur tum kadesh mein bahut dinon tak pade rahe, yahan tak ki ek jug ho gaya.