Daniel 9 · 27 verses

दानिय्येल 9 Daniel 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Daniyyel 9.

1

मादी क्षयर्ष का पुत्र दारा, जो कसदियों के देश पर राजा ठहराया गया था,

Madi kshayarsh ka putra dara, jo kasdiyon ke desh par raja thahraya gaya tha,

2

उसके राज्य के पहिले वर्ष में, मुझ दानिय्येल ने शास्त्र के द्वारा समझ लिया कि यरूशलेम की उजड़ी हुई दशा यहोवा के उस वचन के अनुसार, जो यिर्मयाह नबी के पास पहुंचा था, कुछ वर्षों के बीतने पर अर्थात सत्तर वर्ष के बाद पूरी हो जाएगी।

Uske rajya ke pahile varsh mein, mujh daniyyel ne shastra ke dwara samajh liya ki Yerushalem ki ujdi hui dasha Yahowa ke us vachan ke anusaar, jo yirmayaah nabi ke paas pahuncha tha, kuchh varshon ke beetne par arthaat sattar varsh ke baad poori ho jayegi.

3

तब मैं अपना मुख परमेश्वर की ओर कर के गिड़गिड़ाहट के साथ प्रार्थना करने लगा, और उपवास कर, टाट पहिन, राख में बैठ कर वरदान मांगने लगा।

Tab main apna mukh Parmeshwar ki or kar ke gidgidahat ke saath prarthana karne laga, aur upvaas kar, taat pahin, raakh mein baith kar vardaan mangne laga.

4

मैं ने अपने परमेश्वर यहोवा से इस प्रकार प्रार्थना की और पाप का अंगीकार किया, हे प्रभु, तू महान और भययोग्य परमेश्वर है, जो अपने प्रेम रखने और आज्ञा मानने वालों के साथ अपनी वाचा को पूरा करता और करूणा करता रहता है,

Main ne apne Parmeshwar Yahowa se is prakaar prarthana ki aur paap ka angeekaar kiya, he Prabhu, tu mahaan aur bhayyogya Parmeshwar hai, jo apne prem rakhne aur aagya manne valon ke saath apni vacha ko poora karta aur karoona karta rahta hai,

5

हम लोगों ने तो पाप, कुटिलता, दुष्टता और बलवा किया है, और तेरी आज्ञाओं और नियमों को तोड़ दिया है।

Ham logon ne to paap, kutilta, dushtata aur balva kiya hai, aur teri aagyaon aur niymon ko tod diya hai.

6

और तेरे जो दास नबी लोग, हमारे राजाओं, हाकिमों, पूर्वजों और सब साधारण लोगों से तेरे नाम से बातें करते थे, उनकी हम ने नहीं सुनी।

Aur tere jo daas nabi log, hamare rajaon, hakimon, poorvajon aur sab sadharan logon se tere naam se batein karte the, unki ham ne nahi suni.

7

हे प्रभु, तू धर्मी है, परन्तु हम लोगों को आज के दिन लज्जित होना पड़ता है, अर्थात यरूशलेम के निवासी आदि सब यहूदी, क्या समीप क्या दूर के सब इस्राएली लोग जिन्हें तू ने उस विश्वासघात के कारण जो उन्होंने तेरा किया था, देश देश में बरबस कर दिया है, उन सभों को लज्जित होना पड़ता है।

He Prabhu, tu dharmi hai, parantu ham logon ko aaj ke din lajjit hona padta hai, arthaat Yerushalem ke nivasi aadi sab Yahudi, kya sameep kya door ke sab Israeli log jinhein tu ne us vishwasghaat ke karan jo unhonne tera kiya tha, desh desh mein barbas kar diya hai, un sabhon ko lajjit hona padta hai.

8

हे यहोवा हम लोगों ने अपने राजाओं, हाकिमों और पूर्वजों समेत तेरे विरुद्ध पाप किया है, इस कारण हम को लज्जित होना पड़ता है।

He Yahowa ham logon ne apne rajaon, hakimon aur poorvajon samet tere viruddh paap kiya hai, is karan ham ko lajjit hona padta hai.

9

परन्तु, यद्यपि हम अपने परमेश्वर प्रभु से फिर गए, तौभी तू दयासागर और क्षमा की खानि है।

Parantu, yadyapi ham apne Parmeshwar Prabhu se phir gaye, taubhi tu dayasagar aur kshama ki khani hai.

10

हम तो अपने परमेश्वर यहोवा की शिक्षा सुनने पर भी उस पर नहीं चले जो उसने अपने दास नबियों से हम को सुनाईं।

Ham to apne Parmeshwar Yahowa ki shiksha sunne par bhi us par nahi chale jo usne apne daas nabiyon se ham ko sunai.

11

वरन सब इस्राएलियों ने तेरी व्यवस्था का उल्लंघन किया, और ऐसे हट गए कि तेरी नहीं सुनी। इस कारण जिस शाप की चर्चा परमेश्वर के दास मूसा की व्यवस्था में लिखी हुई है, वह शाप हम पर घट गया, क्योंकि हम ने उसके विरुद्ध पाप किया है।

Varan sab Israeliyon ne teri vyavastha ka ullanghan kiya, aur aise hat gaye ki teri nahi suni. Is karan jis shaap ki charcha Parmeshwar ke daas Musa ki vyavastha mein likhi hui hai, vah shaap ham par ghat gaya, kyonki ham ne uske viruddh paap kiya hai.

12

सो उसने हमारे और न्यायियों के विषय जो वचन कहे थे, उन्हें हम पर यह बड़ी विपत्ति डालकर पूरा किया है; यहां तक कि जैसी विपत्ति यरूशलेम पर पड़ी है, वैसी सारी धरती पर और कहीं नहीं पड़ी।

So usne hamare aur nyayiyon ke vishay jo vachan kahe the, unhein ham par yah badi vipatti dalkar poora kiya hai; yahan tak ki jaisi vipatti Yerushalem par padi hai, vaisi sari dharti par aur kahi nahi padi.

13

जैसे मूसा की व्यवस्था में लिखा है, वैसे ही यह सारी विपत्ति हम पर आ पड़ी है, तौभी हम अपने परमेश्वर यहोवा को मनाने के लिये न तो अपने अधर्म के कामों से फिरे, और ने तेरी सत्य बातों पर ध्यान दिया।

Jaise Musa ki vyavastha mein likha hai, vaise hi yah sari vipatti ham par aa padi hai, taubhi ham apne Parmeshwar Yahowa ko manane ke liye na to apne adharm ke kamon se phire, aur ne teri satya baton par dhyaan diya.

14

इस कारण यहोवा ने सोच विचार कर हम पर विपत्ति डाली है; क्योंकि हमारा परमेश्वर यहोवा जितने काम करता है उन सभों में धर्मी ठहरता है; परन्तु हम ने उसकी नहीं सुनी।

Is karan Yahowa ne soch vichaar kar ham par vipatti dali hai; kyonki hamara Parmeshwar Yahowa jitne kaam karta hai un sabhon mein dharmi thaharta hai; parantu ham ne uski nahi suni.

15

और अब, हे हमारे परमेश्वर, हे प्रभु, तू ने अपनी प्रजा को मिस्र देश से, बली हाथ के द्वारा निकाल लाकर अपना ऐसा बड़ा नाम किया, जो आज तक प्रसिद्ध है, परन्तु हम ने पाप किया है और दुष्टता ही की है।

Aur ab, he hamare Parmeshwar, he Prabhu, tu ne apni praja ko Misr desh se, bali haath ke dwara nikaal lakar apna aisa bada naam kiya, jo aaj tak prasiddh hai, parantu ham ne paap kiya hai aur dushtata hi ki hai.

16

हे प्रभु, हमारे पापों और हमारे पुरखाओं के अधर्म के कामों के कारण यरूशलेम की और तेरी प्रजा की, और हमारे आस पास के सब लोगों की ओर से नामधराई हो रही है; तौभी तू अपने सब धर्म के कामों के कारण अपना क्रोध और जलजलाहट अपने नगर यरूशलेम पर से उतार दे, जो तेरे पवित्र पर्वत पर बसा है।

He Prabhu, hamare papon aur hamare purkhaon ke adharm ke kamon ke karan Yerushalem ki aur teri praja ki, aur hamare aas paas ke sab logon ki or se namadhrai ho rahi hai; taubhi tu apne sab dharm ke kamon ke karan apna krodh aur jalajlahat apne nagar Yerushalem par se utaar de, jo tere pavitra parvat par basa hai.

17

हे हमारे परमेश्वर, अपने दास की प्रार्थना और गिड़गिड़ाहट सुनकर, अपने उजड़े हुए पवित्र स्थान पर अपने मुख का प्रकाश चमका; हे प्रभु, अपने नाम के निमित्त यह कर।

He hamare Parmeshwar, apne daas ki prarthana aur gidgidahat sunkar, apne ujde hue pavitra sthaan par apne mukh ka prakaash chamka; he Prabhu, apne naam ke nimitt yah kar.

18

हे मेरे परमेश्वर, कान लगाकर सुन, आंख खोल कर हमारी उजड़ी हुई दशा और उस नगर को भी देख जो तेरा कहलाता है; क्योंकि हम जो तेरे साम्हने गिड़गिड़ाकर प्रार्थना करते हैं, सो अपने धर्म के कामों पर नहीं, वरन तेरी बड़ी दया ही के कामों पर भरोसा रख कर करते हैं।

He mere Parmeshwar, kaan lagakar sun, aankh khol kar hamari ujdi hui dasha aur us nagar ko bhi dekh jo tera kahlata hai; kyonki ham jo tere samhane gidgidakar prarthana karte hain, so apne dharm ke kamon par nahi, varan teri badi daya hi ke kamon par bharosa rakh kar karte hain.

19

हे प्रभु, सुन ले; हे प्रभु, पाप क्षमा कर; हे प्रभु, ध्यान देकर जो करता है उसे कर, विलम्ब न कर; हे मेरे परमेश्वर, तेरा नगर और तेरी प्रजा तेरी ही कहलाती है; इसलिये अपने नाम के निमित्त ऐसा ही कर॥

He Prabhu, sun le; he Prabhu, paap kshama kar; he Prabhu, dhyaan dekar jo karta hai use kar, vilamb na kar; he mere Parmeshwar, tera nagar aur teri praja teri hi kahlati hai; isliye apne naam ke nimitt aisa hi kar.

20

इस प्रकार मैं प्रार्थना करता, और अपने और अपने इस्राएली जाति भाइयों के पाप का अंगीकार करता हुआ, अपने परमेश्वर यहोवा के सम्मुख उसके पवित्र पर्वत के लिये गिड़गिड़ाकर बिनती करता ही था,

Is prakaar main prarthana karta, aur apne aur apne Israeli jati bhaiyon ke paap ka angeekaar karta huaa, apne Parmeshwar Yahowa ke sammukh uske pavitra parvat ke liye gidgidakar binti karta hi tha,

21

तब वह पुरूष जिब्राएल जिस मैं ने उस समय देखा जब मुझे पहिले दर्शन हुआ था, उसने वेग से उड़ने की आज्ञा पाकर, सांझ के अन्नबलि के समय मुझ को छू लिया; और मुझे समझाकर मेरे साथ बातें करने लगा।

Tab vah puroosh jibrayel jis main ne us samay dekha jab mujhe pahile darshan huaa tha, usne veg se udne ki aagya pakar, saanjh ke annabli ke samay mujh ko chhu liya; aur mujhe samjhakar mere saath batein karne laga.

22

उसने मुझ से कहा, हे दानिय्येल, मैं तुझे बुद्धि और प्रविणता देने को अभी निकल आया हूं।

Usne mujh se kaha, he daniyyel, main tujhe buddhi aur pravinta dene ko abhi nikal aaya hoon.

23

जब तू गिड़गिड़ाकर बिनती करने लगा, तब ही इसकी आज्ञा निकली, इसलिये मैं तुझे बताने आया हूं, क्योंकि तू अति प्रिय ठहरा है; इसलिये उस विषय को समझ ले और दर्शन की बात का अर्थ बूझ ले॥

Jab tu gidgidakar binti karne laga, tab hi iski aagya nikli, isliye main tujhe batane aaya hoon, kyonki tu ati priya thahra hai; isliye us vishay ko samajh le aur darshan ki baat ka arth boojh le.

24

तेरे लोगों और तेरे पवित्र नगर के लिये सत्तर सप्ताह ठहराए गए हैं कि उनके अन्त तक अपराध का होना बन्द हो, और पापों को अन्त और अधर्म का प्रायश्चित्त किया जाए, और युगयुग की धार्मिकता प्रगट होए; और दर्शन की बात पर और भविष्यवाणी पर छाप दी जाए, और परमपवित्र का अभिषेक किया जाए।

Tere logon aur tere pavitra nagar ke liye sattar saptaah thahraye gaye hain ki unke ant tak apraadh ka hona band ho, aur papon ko ant aur adharm ka prayashchitt kiya jaye, aur yugyug ki dharmikta pragat hoye; aur darshan ki baat par aur bhavishyavani par chhaap di jaye, aur parmapvitra ka abhishek kiya jaye.

25

सो यह जान और समझ ले, कि यरूशलेम के फिर बसाने की आज्ञा के निकलने से ले कर अभिषिक्त प्रधान के समय तक सात सप्ताह बीतेंगे। फिर बासठ सप्ताहों के बीतने पर चौक और खाई समेत वह नगर कष्ट के समय में फिर बसाया जाएगा।

So yah jaan aur samajh le, ki Yerushalem ke phir basane ki aagya ke nikalne se le kar abhishikt pradhaan ke samay tak saat saptaah beetenge. Phir basath saptahon ke beetne par chauk aur khai samet vah nagar kasht ke samay mein phir basaya jayega.

26

और उन बासठ सप्ताहों के बीतने पर अभिषिक्त पुरूष काटा जाएगा: और उसके हाथ कुछ न लगेगा; और आने वाले प्रधान की प्रजा नगर और पवित्रस्थान को नाश तो करेगी। परन्तु उस प्रधान का अन्त ऐसा होगा जैसा बाढ़ से होता है; तौभी उसके अन्त तक लड़ाई होती रहेगी; क्योंकि उसका उजड़ जाना निश्चय ठाना गया है।

Aur un basath saptahon ke beetne par abhishikt puroosh kata jayega: aur uske haath kuchh na lagega; aur aane vale pradhaan ki praja nagar aur pavitrasthaan ko naash to karegi. Parantu us pradhaan ka ant aisa hoga jaisa baadh se hota hai; taubhi uske ant tak ladai hoti rahegi; kyonki uska ujad jana nishchay thana gaya hai.

27

और वह प्रधान एक सप्ताह के लिये बहुतों के संग दृढ़ वाचा बान्धेगा, परन्तु आधे सप्ताह के बीतने पर वह मेलबलि और अन्नबलि को बन्द करेगा; और कंगूरे पर उजाड़ने वाली घृणित वस्तुएं दिखाई देंगी और निश्चय से ठनी हुई बात के समाप्त होने तक परमेश्वर का क्रोध उजाड़ने वाले पर पड़ा रहेगा॥

Aur vah pradhaan ek saptaah ke liye bahuton ke sang dridh vacha bandhega, parantu aadhe saptaah ke beetne par vah melabli aur annabli ko band karega; aur kangoore par ujadne vali ghrinit vastuein dikhai dengi aur nishchay se thani hui baat ke samaapt hone tak Parmeshwar ka krodh ujadne vale par pada rahega.